Dadhi Ki Miqdar Kitni Honi chahiye

*🌹SAWAL:-🌹*
Dadhi Ki Miqdar Kithni Honi Chahiye? Dadhi Kaha Se Kaha Tak Hai? 
Gale Par Jo Baal Hai Wo Kya Daadhi Kehlaenge?  Kya Use Kaat Sakte Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
Dadhi Ek Musht Rakhna Wajib Or Huzur  ﷺ Or Ambiya E Kiram Alaihimus Salato Salam Ki Sunnate Daaimi Or Ahle Islam Ke Shiaar Se He Ek Musht Se Kam Karna Najaizo Haram Or Gunah He Or Shiaare Kuffar He.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He,
Dadhi Ki Had Muqarrare Shara'a (ek Musht) Se Kam Na Karna Wajib Or Huzur Sarware Aalam  ﷺ Or Ambiya E Kiram Alaihimus Salato Salam Ki Sunnate Daaimi Or Ahle Islam Ke Shiaair Se He Or Uske Khilaf Mamnoo'a W Haram Or Kuffar Ka Shiaar He.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-29)*

Or Faqihe Aazame Hind Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate He,
Dadhi Badhana Sunane Ambiya E Sabiqeen Se He Mundana Ya Ek Musht Se Kam Karna Haram He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, S-197)*

Dadhi Ki Miqdar Ek Musht He, Isse Zaaid Baal Ho To Ek Musht Ki Had Tak Usko Kaat Sakte Hai, Dadhi Ke Bare Me Yahi Ma'amool Huzur ﷺ Or Sahaba RadiAllahu Anhum Se Marwi He.

Dadhi Ki Ye Miqdaar Is Liye Wajib He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Bahut Hi Takeed Ke Sath Dadhi Badhane Ka Hukm Diya He, Jin Riwayaat Ki Bina Par Dadhi Badhana Wajib He, Dusri Taraf RasoolAllah ﷺ Or Kai Sahaba E Kiram Ridwanallahu Alaihim Ajmaeen Se Dadhi Ko Ek Musht Tak Kam Karwana Sabit He, Isse Kam Miqdar Kisi Se Bhi Sabit Nahi He, In Tamam Riwayaat Ke Majmooe Se Yahi Nateeja Nikalta He Ki Dadhi Katne Ki Aakhri Had Ek Musht He, Isse Kam Jaiz Nahi He, Agar Jaiz Hoti To Sahaba Kiram Ridwanallahu Alaihim Ajmaeen Me Se Koi Kam Karte.

Do Hadees Shareef Peshe Khidmat He,

Hazrat Umru Bin Shoyib RadiAllahu Anhu Ba Wasta Walid Apne Dada Se Riwayat Karte He,
Nabie Kareem ﷺ Apni Dadhi Mubarak Lambai Or Chodai Me Kam Karte The.
*📚(Tirmizi, Sunan, J-5, S-94)*

Hazrat Ibne Umar RadiAllahu Anhuma Se Riwayat He Ki Nabi E Akram  ﷺ Ne Farmaya, Mushrikeen Ki Mukhalifat Karo, Munchhe Barik Karo Or Dadhi Badhao. Hazrat Ibne Umar Jab Haj Ya Umrah Karte To Apni Dadhi Ko Muthi Me Pakadte Or Jo Izaafi Hoti Usko Kaat Dete.
*📚(Sahih Bukhari, J-5, S-2209)*

Dadhi Me Khat Banwane Ke Ta'alluq Se Mas'ala He Ki,

Jahañ Tak Jabda Hilta He Wahañ Tak Dadhi He Agar Uske Upar He To Saaf Karva Sakte Hai,
Isi Tarah Halq Me Jahañ Mardoñ Ki Ubhri Hui Haddi Hoti He Wahañ Tak Dadhi He Uske Niche Agar Baal He To Katwa Sakte Hai Koi Harj Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓1 June 2020, 8 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Aurtoñ Ko Artificial Jewellery Pahanna Jaaiz nahiñ...

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum  Muftiyan E Ikram Ki Baargha Mai Ek Sawal Arz Hai Kya Aurten Artificial Jewellery Pahen Sakti Hai??? *🌹JAWA...

Popular Posts