Namaz Me Shirt Ka Upar Ka Button Khula Rakh Kar Namaz Padhna ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum 

Ek Sawal Hai Ki Kya Namaz Me Shirt Ki Upar Ki Button Khuli Ho To Namaz Hogi Ya Nahi?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Namaz Me Shirt Ki Upar Ki Button Is Tarah Khuli He Ki Sine Ka Hissa Dikhe Ya Sine Ki Haddi Jise Hansli Ki Haddi Bhi Kahte Hai Agar Ye Dikhai Di To Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hogi, Yaani Is Halat Me Padhi Namaz Ka Lautana Wajib.. Or Agar Shirt Ya Kurta Ka Button Is Tarah Khula Raha Ki Hansli Ki Haddi Dikhai Na De Sina Dhaka Hua Ho Or Sirf Gale Ke Paas Ka Khafeef Hissa Khula Raha To Namaz Ho Jayegi.. Lihaza Upar Ka Button Ho To Use Laga Kar Namaz Padhna Bahetar...


Jaisa Ki Huzur Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,

Gale Ka Button Laga Kar Ke Gala Band Ho Jaye Khula Na Rahe Namaz Padhna Chahiye Or Agar Gala Khula Raha Is Taur Par Ki Hansli Ki Haddi Sine Ki Haddi Nazar Aa Rahi He Is Soorat Me Karahate Tahreemi Hogi..


Http://jamiaturraza.com/session/10Jun12/27.mp3


Or Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaludin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Ek Sawal Ke Jawab Me Taherir Famate Hai,


Qamees Ya Kurte Ke Agar Itne Button Lagaye Ki Seena Dhak Gaya Or Upar Ka Button Na Lagane Ke Sabab Gale Ke Paas Ka Khafeef Hissa Khula Raha To Harj Nahi.

*📚(Fatawa Razviya, J-3, S-447)*


Or Agar Seena Khula Raha To Makrooh Or Zahir Karahate Tahreem.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, S-166)*


Or Is Soorat Me Imam Muqtadi Or Munfarid Sab Par Namaz Ka Ae'aada Wajib

لأن کل صلوة ادیت مع کراهة التحریم تجب إعادتها

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-273, Shabbir Biradarz Lahor)*


Or Farmate Hai,

Kurte Ka Button Khula Rahne Ki Chand Soorateñ Hai.. Ya To Kurte Ke Upar Ya Niche Koi Dusra Kapda Maslan Sadri, Sherwani, Ya Baniyain Wagairah Pahne Huve Tha Aysi Soorat Me Agar Upar Ya Niche Wale Dusre Kapde Ki Wajah Se Seena Dhaka Huva Tha To Kurte Ke Button Ka Khulna Namaz Me Koi Zarar Nahiñ Pahunchega.. 


Or Agar Kurte Ke Upar Ya Niche Dusra Kapda Nahi Tha Jis Se Seena Dhaka Rahe Is Soorat Me Ya To Sirf Upar Ka Button Khula Hua Tha Ya Uske Sath Niche Wala Bhi... Alhaasil Agar Button Is Tarah Khule Huye The (Khwah Ek Hi Ya Zyada) Jis Se Seena Zahir Ho To Namaz Makroohe Tahreemi Hogi. Or Agar Sirf Upar Ka Button Is Tarah Khula Hua He Jis Se Sirf Gale Ke Paas Ka Khafeef Hissa Nazar Aa Raha He To Koi Harj Nahi.


Ye Ahkaam *📚Fatawa Razviya, J-3, S-447* Ki Mandarja Zail Ibarat Se Makhuz Hai,

"Or Kisi Kapde Ko Aysa Khilafe Aadat Pahanna Jise Muhazzab Aadmi Majama'a Ya Bazar Me Na Kar Sake Or Agar Kare To Be Adab Khafeeful Harkaat Samjha Jaye Ye Bhi Makrooh He Jaise Angarkha Pahanna Or Ghundi Ya Bahar Ke Band Na Lagana Ya Aysa Kurta Jiske Button Seene Par Hai Pahanna Or Botam Itne Lagana Ki Seena Ya Shana Khula Rahe Jabki Upar Se Angarkha Na Pahene Ho Ye Bhi Makoorh He Or Agar Upar Se Angarkha He Ya Itne Botam Laga Liye Ki Seena Ya Shana Dhak Gaye Agarche Upar Ka Botam Na Lagane Se Gale Ke Paas Ka Khafeef Hissa Khula Raha To Harj Nahi...." Mulakhkhasan..

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-373, Shabbir Biradarz Lahor)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+918487928693

*🗓20 Nov 2021, 14 Rabi Us Saani 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabr Me Shajra Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum 


Ek Sawal Hai Ki Qabr Me Shajra Mubarak Rakhna Kaisa Or Rakhe To Kaha Or Kis Tarha Rakha Jaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Qabr Me Shajra Shareef Rakhna Jaaiz He Balki Mustahsan He, Ki Shajra Me Allah Ke Maheboob Bandoñ Ke Naam Hote Hai Or Allah Waloñ Ke Naam Se Musibateñ W Balaayeñ Talti Hai Or Faidah Hasil Hota He.


Jaisa Ki Imame Ahle Sunnat Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Qabr Me Kafan Par Likhne Ka Juz'iya, Kafan Par Kalma Shareef Ya Aayate Kareema Likhna Wagairah, Or Tabarrukat, Ahad Naama, Awrado Wazaaif Qabr Me Rakhne Ke Jawaz Me Tafseeli Bayan Karne Ke Baad Taherir Farmate Hai,


Jab Khud Kafan Par Ad'iya Wagairah Tabarrukan Likhne Ka Jawaaz Fuqhan W Hadeesan Sabit He To Shajra Shareef Rakhna Bhi Hadiyatan Usi Baab Se Balki Ba-awla, Awwal To Asma E Mahboobane Khuda Alaihimut Tahiyyah Was Sana Se Tawassul W Tabarruk Bila Shuba Mahmood W Mandoob He.


Tafseere Tabri Phir Sharah Mawahibul Ladunya Lil Allama Zarqaani Me He,

اذاکتب اسماء اھل الکھف فی شیئ والقی فی النار اطفئت

Jab As'haabe Kahaf Ke Naam Likh Kar Aag Me Daale Jayeñ To Aag Bujh Jaati He.

*📚( شرح الزرقانی علی المواہب اللدنیۃ المقصد الثامن مطبوعہ معرفۃ بیروت ۷ /۱۰۸)*


As'haabe Kahaf Ke Naamoñ Ki Barkaat Bayan Karne Ke Baad Aage Farmate Hai,

Jab Asma E As'haabe Kahaf قدست اسرارہم Me Vo Barkaat Hai, Halañki Vo Auliya E Isween Me Se Hai To Auliya E Muhammadeen صلوات اﷲ تعالٰی وسلامہ علیہ وعلیہم اجمعین Ka Kya Kahna, Unke Asma E Kiram Ki Barkat Kya Shumar Me Aa Sake.


Or Farmate Hai,

Or Allah W Maheboob W Awliya Ke Silsila E Kiram W Karaamat Me Insilaak (Wabastagi) Ki Sanad To Shajra E Tayyabah Se Badh Kar Or Kya Tawassul Chahiye, Phir Kafan Par Likhna Ke Hamare A'imma Ne Jise Jaaiz Farmaya Or Ummid Gaahe Magfirat Banaya, Or Baaz Shafeiya Ko Usme Khayale Tajnees Aaya Shajra E Tayyabah Me Iska Khayal Bhi Luzoom Nahi. 


Kya Zaroor Ki Kafan Hi Me Rakheñ Balki Qabar Me Taaq Bana Kar Khwañ Sarhaane K Nakeerain Paayinti Ki Taraf Se Aate Hai Un Se Peshe Nazar Ho, Khwah Janibe Qibla K Mayyat Ke Peshe Ru Rahe Or Uske Sukoono Itminaan W Anaa'ate Jawab Ka Baais Ho باذنہٖ تعالٰی ولہ الحمد


Shah Abdul Azeez Sahab Ne Bhi Risala "Faize Aam" Me Shajra Qabar Me Rakhne Ko Ma'amoole Buzurgane Deen Bata Kar Sarhaane Taaq Me Rakhna Pasand Kiya.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, S-131-134, Mas'ala-15)*


Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

Shajra Ya Ahad Naama Qabr Me Rakhna Jaaiz He Or Bahetar Ye He Ki Mayyat Ke Munh Ke Samne Qibla Ki Janib Taaq Khod Kar Usme Rakheñ, Balki Durre Mukhtar Me Kafan Par Ahad Naama Likhne Ko Jaaiz Kaha He Or Farmaya Ki Isse Magfirat Ki Ummid He Or Mayyat Ke Sina Or Peshani Par Bismillah Shareef Likhna Jaaiz He. 


Ek Shakhs Ne Iski Wasiyat Ki Thi, Inteqal Ke Baad Sina Or Peshani Par Bismillah Shareef Likh Di Gai Phir Kisi Ne Unheñ Khwab Me Dekha, Haal Puchha ? Kaha: Jab Me Qabr Me Rakhkha Gaya Azab Ke Farishte Aaye, Farishtoñ Ne Jab Peshani Par Bismillah Shareef Dekhi Kaha To Azab Se Bach Gaya. Yuñ Bhi Ho Sakta He Ki Peshani Par Bismillah Shareef Or Sina Par Kalma E Tayyabah Magar Nahlane Ke Baad Kafan Pahnane Se Peshtar Kalma Ki Ungli Se Likheñ Roshnai Se Na Likhe.

*📚(Bahare Shariyat, H-4, Qabar W Dafan Ka Bayan, Mas'ala-34)*


Lihaza Qabr Me Shajra Shareef Rakhna Jaaizo Mustahsan Balki Usse Azabe Qabr Talne W Magfirat Ki Bhi Ummid He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️17 Nov 2021, 11 Rabi Us Saani 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabr Par Paani Dalna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum . 


Ek Saval He Ke Kabr Par Pani Dalna Kesa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Dafnane Ke Baad Qabr Par Paani Chhidakna To Hadeese Paak Se Sabit He. Or Kachchi Qabar Ki Mitti Bikhri Hui Ho Ya Bikharne Ka Ehtemaal Ho To Us Par Bhi Pani Chhidakna Jaaiz He, Albatta Upar Se Pukhta Qabar Ya Aysi Kachchi Qabar Jiski Mitti Khub Jami Hui He Or Uske Bikharne Ka Andesha Bhi Nahi To Us Qabr Par Paani Dalna Israaf He.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,


Baade Dafn Qabr Par Paani Chhirakna Masnoon He Or Agar Muroor Zaman Se Uski Khak Muntashir Ho Gai Ho Or Nai Daali Gai Ya Muntashir Ho Jane Ka Ehtemal Ho To Ab Bhi Paani Dala Jaye Ki Nishani Baaqi Rahe Or Qabr Ki Tauheen Na Hone Paye

(Durre Mukhtar Wagairah Me Ye Illat Bayan Farmai He Ki Nishani Mit Jane Ke Sabab Be Hurmati Na Ho) 

Iske Liye Koi Din Muayyan Nahi Ho Sakta He Jab Hajat Ho Or Be Hajat Paani Ka Dalna Zaaye'a Karna He Or Paani Zaaye'a Karna Jaaiz Nahi.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, Mas'ala-94)*


Or Farmate Hai,

Qabr Agar Pukhta He Us Par Paani Dalna Fuzool W Be Ma'ana He, Yuñhi Agar Kachchi He Or Uski Mitti Jami Hui He. Haañ Agar Kachchi He Or Mitti Muntashir He To Uske Jam Jane Ko Paani Dalne Me Harj Nahi. Jaisa Ki Ibteda E Dafan Me Khud Sunnat He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, Mas'ala-215)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓17 Nov 2021, 11 Rabi Us Saani 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya 3 Jumuah Chhodne Wala Kafir He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh


Agar Koi Shaqs Lagatar 3 Jumm'ah Tak Namaz Ada Nahi Kiya To Kya Wo Kafir Huwa??


Aur Us Shaqs Per Kya Hukum Hoga?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jumuah Farze Ayn He Uski Farziyat Ka Inkar Karna Ya Halqa Samjhna Zaroor Kufr He.. Magar Ye Jo Awam Me Mash'hoor He Ki Lagatar Teen Jumuah Chhodne Wala Kaafir He Iski Koi Asl Nahi.. Sirf Jumuah Hi Nahi Balki Panjwaqta Namaz Bhi Bila Uzre Sharai Chhodne Wala Sakht Gunahgar Azabe Ilahi Ka Haqdaar He.. Or Jumuah Ko Chhodne Ke Ta'alluq Se Hadees Shareef Me Kai Waeede Aai He. 


Hadees Shareef Me He,

Farmaya RasoolAllah ﷺ Ne Ki Jo 3 Jumue Susti Se Chhod De Allah Uske Dil Par Muhar Kardega.

*📚(Abu Dawood, Tirmizi, Ibne Maja, Darimi)*


Is Hadees Ki Tashreeh Me He,

Susti Ki Qaid Se Maloom Hua Ki Mazoor Ka Ye Hukm Nahi, Muhar Se Murad Gaflat Ki Muhar He Na Ki Kufr Ki Kyuñ Ki Jumuah Chhorna Fisq He, Kufr Nahi. Isse Maloom Hua Baaz Gunah Dil Ki Sakhti Ka Baais Hai Or Gunahe Sageera Baar Baar Karne Se Gunahe Kabeera Ban Jata He.

*📚(Miratul Manajeeh Sharah Mishkatul Masabih, J-2, S-323, Hadees-1371)*


Or Dusri Hadeese Paak Me He,

Riwayat He Hazrat Ibne Abbas Se Ki Nabi  ﷺ Ne Farmaya Jo Bila Uzr Jumuah Chhod De Vo Us Kitab Me Munafiq Likha Jayega Jisme Na Mahw He Na Tabdili Or Baaz Riwayat Me He Ki Teen Farmaya..


Yaani Jo Teen Jumuah Bila Uzr Chhore Vo Munafiq Amal Hoga Or Ye Nifaq Us Par Aysa Lazim Hoga Ki Phir Usse Nikalna Mushkil Hoga. Is Hadees Ka Matlab He Kyuñ Ki Jumuah Chhorna Munafiqoñ Ka Sa Kaam He.

*📚(Miratul Manajeeh Sharah Mishkatul Masabih, J-2, S-325, Hadees-1379)*


Lihaza Bila Uzr Jumuah Chhodne Wale Par Sakht Waeede He, Lagatar 3 Jumuah Chhodne Wala Munafiqana Amal Kahelayega Or Uske Dil Par Allah Ta'ala Gaflat Ki Muhar Laga Deta He. Magar Lagatar Teen Jumuah Chhorne Wala Kafir Ya Islam Se Kharij Nahi Hota Jab Tak Use Halqa Samajh Kar Ya Uski Farziyat Ka Inkar Na Kare..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓8 Nov 2021, 2 Rabi Us Saani 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Attahiyat Me Shahadat Ki Ungli Uthane Ki Hikmat Or Uska Tareeqa

 *🌹SAWAL:-🌹*

Halate Namaz Me Attahiyat Padhte Waqt Shahadat Ki Ungli Kyuñ Uthate He Or Iska Tareeqa Kya He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Tash'hud Me Kalma E Shahadat Par Ungli Uthana Sunnat He, 


Jaisa Ki Hadeese Paak Me He,

Jab Namaz Me Bethte To (huzur ﷺ) Apne Donoñ Hath Donoñ Guthnoñ Par Rakhte Or Apni Dahni (Right) Ungli Jo Anguthe Se Mili He Use Uthate Usse Ishara Karte Or Apna Baayañ  Hath Baayeñ Guthne Par Bichhate.

*📚(Muslim)*


Is Hadees Ki Sharah Me Hakeemul Ummat Mufti Ahemad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate Hai,


Is Tarah Ki Zaban Se Farmate لا الہ الا اللہ Or Ye Ungli Utha Kar Tauheed Ka Ishara Karte Taaki Qaulan W Amlan Tauheed Ki Gawahi Ho Or Baad Ishara Phir Hath Bichha Dete Taaki Ungliyañ Qibla Roo Raheñ.

*📚(Miratul Manajeeh Sharah Mishkatul Masabih, J-2, S-53, Baabut Tash'hud, Hadees-907)*


Or Dusri Hadeese Paak Me He,


Riwayat He Hazrat Naafe'a Se Farmate Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Umar Jab Namaz Me Bethte To Apni Ungli Se Ishara Karte Or Apni Nigah Us Par Rakhte.. Phir Farmaya Ki Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Ye Shaitan Par Lohe Se Zyada Giraañ He Yaani Ungli.. 

*📚(Ahmad)*


Is Ki Sharah Me He,

Yaani Jaise Neza Bhala Lagne Se Tumheñ Takleef Hoti He Usse Zyada Takleef Shaitan Ko Is Ishara Se Hoti He Iski Barkat Se Shaitan Use Bahkane Se Mayus Ho Jata He.

*📚(Miratul Manajeeh Sharah Mishkatul Masabih, J-2, S-59, Hadees-917)*


Iska Tareeqa Bayan Karte Huve Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Attahiyat Me Jab Kalma "Laa" Ke Qareeb Pahucnhe Dahne (Right) Hath Ki Beech Ki Ungli Or Anguthe Ka Halqa Banaye Or Chhungaliyañ Or Us Paas Wali Ko Hatheli Se Milade Or Lafz "Laa" Par Ungli Uthaye Magar Usko Junbish Na De Or Kalma "ilaa" Par Girade Or Sab Ungliyañ Fauran Sidhi Karle.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, Namaz Parhne Ka Tareeqa)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+918487928693

*🗓10 Nov 2021, 4 Rabi Us Saani 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

"Dile Mahboob Ba Hijazi Basitam" Farsi She'ar Ka ma'ani

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalam Alaikum Hazrat Is Farsi Ke Mayene Islah Farma Den.                               

دل بمحبوب حجازی بستیم


*🌹JAWAB:-🌹*

وعلیکم السلام 

Hijaaz Kehte He Najd W Arab Ke Darmiyani Ilaqe Ko Our Chunki ROUZA E RASOOL ALYHISSLAAT O WATTASLEEM Bhi Arab Sharif Yani MADINA TUL MUNaWWaRA Me He Lihaza Yanha MEHBUB E HIJAZI Se Murad Sarkar Alyhusslat O Wasslam Murad He.. 

Matalb Ye He..

Mera Dil HIJAZI MEHBUB Yani HUZUR ALYISSLAAT O WASSLAM Se Bandha Huwa (laga Huwa) He...yani Aapki Yaad Me Laga Huwa He...wallahu Taala Aalam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️9 Nov 2021, 3 Rabi Us Saani 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Wahabi Deobandi Badmazhab Se Taleem Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kya Farmate Hai Aulma E Kiram Is Mas'ala Md Ki Badmazhab Or Wahabi Deobandi Wagairah Se Tution Parhna Or Uski Tazeem Karna Kesa He Or Tazeem Lafz Ke Ta'alluq Se Hazrat Kuchh Tafseel Se Samjha Kar Rahenumai Farmaye.


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Wahabi, Deobandi, Wagairah Badmazhaboñ Ke Pas Apne Bachchoñ Ko Talim Dilwana Hargiz Hargiz Jaaiz Nahi, Balki Unke Aqaaid E Batila Fasida Par Muttla Hone Ke Bawajud Aysa Kare To Uspar Hukm E Kufr He Ke Usne Ayso Ko Sahih Jana Our Qabile Tazim O Touqir Samjha Jo Bargaah E Risaalat Maa'ab Ke Gustakh He.. Ihaza Jo Inka Hukm He Wahi Us Ka Hukm He Jo Inko Sahih Jane Our Inke Aqaaid Ko Durust Jaane Our Agar Unke Aqaaid Se Nawaqif He Tab Bhi Ayso Se Taalim Dilwana Jaaiz Nahi.. Ke Ayso Ke Aqaaide Batila Se Waqfiyyat Hasil Karna Lazmi He Taaki Unse Apne Our Apni Awlad Ke Aqaaid Ko Mehfuz Rakh Sake...


Bayhaqi Sharif Ki Hadees He...

من وقر صاحب بدعة فقد اعان علي هدم الاسلام ...

Jisne Ehle Bid'at Badmazhab Ki Taazim Ki Usne Deen Ko Dhane Me Madad Ki...


Taazim Se Murad Unko Aysi Hi Izzat Dena Jaysi Ehl E Sunnat Ke Olma Ko Dete He, Usko Salam Karna Usko Khilana Pilana ... Al Garaz Har Aysa Kaam Jis Se Uski Shaan Buland Ho Usko Taazim Kahenge... Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️8 Nov 2021, 2 Rabi Us Saani 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Badmazhab Se Dunyavi Taleem Hasil Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ek Government/pvt School Me Jaha All Religions Ke Log Study Karte (Duniyawi Knowledge) Only Aur Us School Me Kuch Non Muslim Teachers Hai Kuch Bad Mazhab Jo Teaching Karte Only Duniyawi Subjects To Kya Aise Bad Mazhab Teachers Se Talim Lena Jaiz Hoge ❓


Note : Only Duniyawi Muamlat Ke Subject Par Teaching Hote Deeni Nahi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Se Sawal Hua Ki Wahabiyoñ Ke Paas Apne Bachchoñ Ko Parhana Kesa Jiske Jawab Me Aap Taherir Farmate Hai Ki,


Haram Haram Haram, Or Jo Aysa Kare Badkhwah Atfaal W Mubtala E Aasam.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, Mas'ala-313)*


Or Farmate Hai,

Collage Ho Ya Madarsa Che Kaisa Hi Deeni Kahlata Ho Etebar Taleem Ka He, Agar Usme Deene Islam Ya Mazhabe Ahle Sunnat Ya Shariyate Mutahhara Ke Khilaf Taleem Di Jati Talqeen Ki Jati He To Uski Imdad Bhi Haram Or Usme Parhna Parhana Bhi Haram.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-21, Mas'ala 267)*


Or Dunyavi Taleem hasil karne Ke Ta'alluq Se Farmate Hai,

Zee Ilm Musalman Agar Ba Niyyate Radde Nasara Angrezi Parhe Ajr Payega Or Dunya Ke Liye Sirf Zaban Sikhe Ya Hisab (Account), Aqleedas (Geometry), Jografiya (Geography) Jaaiz Ilm Parhne Me Harj Nahi Basharte Ki Hama Tan Usme Masroof Ho Kar Apne Deen W Ilm Se Gafil Na Ho Jaye Warna Jo Cheez Apna Deen W Ilm Baqadre Farz Sikhne Me Maane'a Aaye Haram He...

*(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, S-530, Mas'ala-207)*


Or 

Collage Or Uski Taleem Me Jis Qadar Baat Khilafe Shariyat He Usse Bachna Hamesha Farz Tha Or He Jahañ Tak Mukhalifate Shara'a Na Ho Usse Bachna Kabhi Bhi Farz Nahi.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-15, Mas'ala 8)*


Lihaza Badmazhab Wahabi Deobandi Shia Wagairah Se Deeni Taleem Hasil Karna To Sakht Najaaizo Haram He, School Collage Wagairah Me Badmazhab Se Dunyavi Taleem Hasil Karna Haram Nahi Jab Ki Uski Tazeemo Tauqeer Na Ki Jaye Or Na Hi Uske Gumrah Kun Aqaaid Sikhaye Jaye.. Or Na Hi Koi Mukhalife Shara'a Amal Ho, Baqadre Zaroorat Mahaz Dunyavi Rasmo Riwaj Ke Madde Muqabil Sirf Dunyavi Taleem Lena Jaaiz Hoga.. Magar Bachna Bahetar..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️9 Nov 2021, 3 Rabi Us Saani 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Ae'rabi Galti Se Namaz Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalam O Alaikum

Kisi Ne Namaz Me Surah Tabb ... Padha 

But Us Ne Tabbat Yada Ke Bajaye ... Tabbat Yida Padha To Kya Us Ki Namaz Ho Jayegi .. 

Hujur Jawab Rahnumai Farmaya ...


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Namaz Ho Jayegi.. Kyuñ Ki Isme Qaidah Ye He Ki Ae'rabi Galti Agar Aysi Ho Jinse Ma'ani Na Bigadte Ho To Mufside Salaat Nahi.


Bahare Shariyat Me He,

Aerabi Galtiyañ Agar Aysi Hoñ Jinse Ma'ana Na Bigadte Hoñ To Mufsid Nahiñ, Maslan لَا تَرْفَعُوْا اَصْوَا تِکُمُْ، نَعْبَدُ Or Agar Itna Taggeer Ho Ki Uska Aeteqaad Or Qasdan Padhna Kufr Ho, To Ahwat Ye He Ki Eaada Kare, Malsan { وَ عَصٰۤى اٰدَمُ رَبَّهٗ } Me Meem Ko Zabar Or Be Ko Pesh Padh Diya Or {  اِنَّمَا یَخْشَى اللّٰهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمٰٓؤُا } Me Jalalat Ko Raf'a Or العلما Ko Zabar Padha Or { فَسَآءَ مَطَرُ الْمُنْذَرِیْنَ } Me Zaal Ko Zer Padha,  {  اِیَّاكَ نَعْبُدُ }  Me Kaaf Ko Zer Padha {  الْمُصَوِّرُ  } Ke Waaw Ko Zabar Padha.

*📚(Bahare Shariyat, H-3 Qiraat Me Galti Ho Jane Ka Bayan, Mas'ala-1)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️2 Nov 2021, 26 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Allah Bhulne Se Paak He.. Allah Ke Liye Bhulne Ka Aqeeda Rakhna ???

 *🌹SAWAL:-🌹*

"Raham Kar Tu Apne Na Aaine Karam Ko Bhul Ja,

Ham Tujhe Bhule Hai Lekin Tu Na Hamko Bhul Ja"


Is Sher Ko Padhna Kaisa  Aur Padhne Wale Par Kya Huqm Lagega Ek Taheqiqi Jawab Ataa Kare ?


*🌹JAWAB:-🌹*

Asslamu Alykum

Allah Ta'ala Bhulne Se Paak He Uske Liye Bhulne Ka Aqida Rakhna Kufr He,


Jaisa Ki Qura'an Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala Ka Farman He,

وَمَا كَانَ رَبُّكَ نَسِيًّا

Or Huzur Ka Rab Bhulne Wala Nahi.

*📚(Surah Maryam, Aayat-64)*


Is Aayat Ki Tafseer Me He,

Ki Allah Ta'ala Usse Paak He Ki Vo Kuchh Bhul Jaye. Isse Unlogoñ Ko Apne Tarze Amal Gaur Karne Ki Sakht Zaroorat He Jo Mazaq Me Kisi Burhe Ke Bare Me Ya Kisi Cheez Ke Bare Me Kah Dete Hai Ki Allah Ta'ala To Ise Bhul Hi Gaya He. Ye Kahna Sareeh Kufr He Or Aysa Kahne Wala Kafir He.

*📚(Tafseer Siraatul Jinaan)*


Lihaza Ayse Ash'aar Allah Ta'ala Ki Shan Me Padhne Wale Par Tajdid E Iman W Nikaho Bay'at Lazim He... Wallahu Taala Aalam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️2 Nov 2021, 26 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Surrogacy Se Bachcha Paida Karana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Kya Islam Mein Surrogacy Jayz H Ager Hamal Baar Baar Zay Hota Ho Ya Kisi Uzr Ke Tehet


*🌹JAWAB:-🌹*

Assalamualaikum

Surrogacy,, Janha Tak Mujhe Ilm He, Ye Kisi Aurat Ki Kokh Ko Kiraye Par Liya Jata He Yaani Mard Ke Nutfe Ko Aurat Ki Bachcha Daani Me Pahunchaya Jata He Our Fir Baad E Paydaish Wo Bachcha Jis Mard Ka Nutfa Hota He Usko De Diya Jata He Our Iske Ewaz Aurat Ko Mutayyana Raqam Di Jaati He... Ye Tariqa Bilkul Gair Sharai Our Is Me Bhut Se Kaam Haraam He...blihaza Iski Ijazat Nahi, Albatta Kisi Ke Bacche Ko Mutbanna Yani Apna Beta, Beti Bana Kar Usko Apne Paas Rakh Sakte He Jisko Le Palak Kehte He.. Ye Jaaiz Our Muwafiq E Shara He..

هذا ما ظهر لي والله اعلم بالصواب

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️2 Nov 2021, 26 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aalim Ka Saiyed Ki Tazim Na Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamu Alaykum

Agar Koi Aalima Fazila Sayyed Ki Tazim Ko Yu Kehkar Tark Karde Ke Hum Bhi Ambiya Ke Waris He To Uske Baare Me Kya Kahoge?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

Saiyed Sunni Ul Mazhab Ki Tazeem Lazim He Agarche Uske Aamal Kaise Hoñ Un Aamal Ke Sabab Usse Tanaffar (Yaani Nafrat) Na Kiya Jaye Nafse Aamal Se Nafrat Ho Balki Uske Mazhab Me Bhi Qaleel Farq Ho Ki Hadde Kufr Tak Na Pahunche Jaise Tafzeeli To Is Halat Me Bhi Uski Tazeeme Siyadat Na Jayegi Haañ Agar Uski Bad Mazhabi Hadde Kufr Tak Pahunche Jaise Rafzi Wahabi Qadiyani Nechri Wagairahum To Ab Uski Tazeem Haram He Ki Jo Wajhe Tazeem Thi Yaani Siyadat Wahi Na Rahi.


قَالَ یٰنُوْحُ اِنَّهٗ لَیْسَ مِنْ اَهْلِكَۚ-اِنَّهٗ عَمَلٌ غَیْرُ صَالِحٍ 

Allah Ta'ala Ne Irshad Farmaya Ay Nooh (Alaihis Salam) Vo Yaani Tera Beta Tere Khandan Or Ghar Waloñ Me Se Nahiñ Is Liye Uske Kaam Achhe Nahi.

*📚(Surah Hud, Aayat-46)*


Shariyat Ne Taqwa Ko Fazilat Di He,

اِنَّ اَكْرَمَكُمْ عِنْدَ اللّٰهِ اَتْقٰىكُمْؕ

Allah Ta'ala Ke Nazdeek Tum Me Sab Se Zyada Ba Izzat Vo He Jo Tumme Sabse Zyada Parhezgaar Ho.

*📚(Surah Hujurat, Aayat-13)*


Magar Ye Fazle Zaati He Fazle Nasab Muntaha E Nasab Ki Afzaliyat Par He, Sadate Kiram Ki Inteha E Nasab Huzur Saiyede Aalam  ﷺ Par He. Is Fazle Intesab Ki Tazeem Har Mutaqqi Par Farz He Ki Vo Uski Tazeem Nahiñ Huzur ﷺ Ki Tazeem He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, Mas'ala-184)*


Lihaza Kisi Aalim Ya Aalima Ka Saiyed Sahihul Mazhab Ki Tazim Se Inkar Karna Be Adbi He. Unka Is Tarah Jumla Istemal Karna Bhi Durust Nahi.. Saiyed Sahihul Mazhab Ki Tazeem Har Haal Me Har Mutaqqi Par Bhi Lazim He.. Lihaza Is Tarah Ka Jumla Istemal Karne Se Ruju'a Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓2 Nov 2021, 26 Rabi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Farz Namaz Ke Baad Imam Ka Dahni Taraf Rukh Karke Dua Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum

Hazrat Mera Sawal Ye Hai Ki Har Farz Namaz Ke Baad Mein Imam Aur Muqhtadi Dono Dua Karne Ke Liye Right Side Muh Karke Dua Karte Hai Kya Ye Sahi Hai Meherbani Hogi Jawab Bahawala Inayat Farmai Hazrat


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Namaz Ke Baad Dua Ke Liye Imam Dono Janib Yaani Dahni Or Baayiñ Janib Rukh Karke Beth Sakta He, Magar Dahni Taraf Inheraf Afzal He, Or Muqtadiyoñ Ki Taraf Bhi Munh Karke Beth Sakta He Jabki Kisi Musalli Ki Taraf Uska Rukh Na Ho..


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Salam Ke Baad Sunnat Ye He Ki Imam Dahne Baayeñ Ko Inheraf Kare Or Dahini Taraf Afzal He Or Muqtadiyoñ Ki Taraf Bhi Munh Karke Beth Sakta He, Jab Ki Koi Muqtadi Uske Samne Namaz Me Na Ho, Agarche Pichhli Saf Me Vo Namaz Padhta Ho.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, Baab Durood Shareef Ke Fazail W Masail, Mas'ala-137)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️2 Nov 2021, 26 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

"o Rab Vi Khel He Khele" Song Gana Sunna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام عليكم ورحمة الله وبركاته!! 

Aajkal Ek Gaana Trending Pr Hai Or Musalman Bhi Isko Share Krrhe, Uske Lyrics Me Ye Sab Lines Hen, 


"Oh Rabb Vi Khel Hai Khele

Roz Lagave Mele

Kehnda Kuch Na Badla

Jhooth Bole Har Velle"


Mujhe Ye Jumle Kufriya Or Allah Pr Iftera' Ksi Mehsoos Horhy, Kia Ye Jumle Waqey Kufriya He? Jawab Inayat Farmayen Ga 


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Allah Ta'ala Ke Liye Aysa Aqeedah Rakhna Ke Wo Apne Bando Se Khel Khelta He.. معاذ اللہ Kufr He Our Ayse Gaane Ko Gaana Usko Ayse Aqeede Ke Saath Apne Mobile Me Status Wagairah Par Rakhna Ye Kufr He... Allah Ta'ala Tamam Aybo Se Paak He Uske Liye Ayb Muhaal He.. Uske Liye Ayb Ko Mumkin Janna Bhi Kufr He... Lihaza Ayse Shakhsh Par Taubah Tajdeed E Iman O Niakh W Bay'at Laazim He...

Musalman Hargiz Hargiz Ayse Gaano Ko Na Sune Our Na Hi Kisi Ko Forwerd Kare... Allah Ta'ala Ham Sab Ke Imaan O Aqide Ki Hifazat Farmae.. Aameen

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh   Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️2 Nov 2021, 26 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chhote Bachche Ka Tija Fatiha Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum

Ek Bacche Ka Inteqal Huva He,

11 Saal Ka He Kya Uska Teeja Kar Sakte He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ji Kar Sakte Hai, Chhote Bachche Ko Bhi Isale Sawab Kareñ To Uska Sawab Usko Pahunchta He. Or Teeja Daswañ Chaliswañ Ye Sab Isale Sawab Hi He, Inka Karna Kaare Sawab He, Na Kareñ To Gunah Bhi Nahi.. Isme Umr Ki Koi Qaid Nahi Balig Nabalig Sabke Liye Kar Sakte Hai..


Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Radiallahu Anhu Se Chhote Bachche Ko Isale Sawab Karne Ke Bare Me Suwal Kiya Gaya To Aap Irshad Farmate Hai Ki,


Zaroor Jaaiz He Or Beshak Sawab Pahunchta He, Ahle Sunnat Ka Yahi Mazhab He.

والصبی لاشک انہ من اھل الثواب ونصوص الحدیث وارشادات العلماء مطلقۃ لاتخصیص فیھا، واﷲ سبحانہ وتعالی اعلم۔

Isme Koi Shak Nahi Ki Bachha Ahle Sawab Me Se He. (Kyuñ Ki) Hadees Shareef Me Tasreehat Aulma E Kiram Ke Irshadaat Mutlaq Mazkoor Hai Ki Jin Me Koi Takhsees Nahi (Yaani Balig W Nabalig Ki Koi Qaid Mazkoor Nahi) 

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, Mas'ala-30)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓27 Oct 2021, 20 Rabi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bachche Ka Aysa Naam Rakhna Jiska koi Ma'ana Na Ho ? Ridan Naam Rakhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*

*Ridan* Naam Rakhna Kaisa Aur Iske Kya Mane Hai


Kuch Aalime Deen Hazraat Ne Ye Naam Rakhne Se Mana Kiya Hai

Inme Kya Sahi Hai

Rehnumayi Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kai Jagah Talash Karne Ke Baad Bhi Is Naam Ka Ma'ana Na Mila... Or Kuchh Aulma E Kiram Ne Mana'a Kiya He To Isse Bachna Hi Bahetar.. Lihaza Is Tarah Ka Naam Na Rakha Jaye.. Jiska Koi Ma'ana Na Ho Ya Koi Bura Ma'ana Ho... Agar Sahih Ma'ana Ho To Harj Nahi...


Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Bachcha Ka Achchha Naam Rakha Jaye. Hindustan Me Bahut Logoñ Ke Ayse Naam Hai Jin Ke Kuchh Ma'ana Nahiñ Ya Un Ke Bure Ma'ana Hai Ayse Naamoñ Se Ehteraz Kareñ.. Ambiya E Kiram Alaihimus Salato Salam Ke Asma E Tayyabah Or Sahaba W Tabaeen W Buzurgane Deen Ke Naam Par Naam Rakhna Bahetar He.. Ummid He Ki Unki Barkat Bachcha Ke Shamile Haal Ho.

*📚(Bahare Shariyat, H-15, Aqeedah Ka Bayan, Mas'ala-2)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓26 Oct 2021, 19 Rabi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafir Ka Rupya Masjid Me Lagana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم و رحمتہ اللہ 

Kafir Ka Diya Hua Paisa Masjid Me Laga Sakte Hai Ya Nahiñ ??

Mudallal Mufassal Jawab Inayat Farmayeñ Bahut Maherbani Hogi..


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Fatawa Faqihe Millat Me He,

Kafir Ke Diye Huve Paise Ko Masjid Me Lagane Ke Bare Me Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddise Barailvy Radiallahu Anhu Taherir Famate Hai,


Masjid Me Lagane Ko Rupya Agar Is Taur Par Deta He Ki Masjid Ya Musalmanoñ Par Ahsan Rakhta He Ya Uske Sabab Masjid Me Koi Mudakhilat Rahegi To Lena Jaaiz Nahi. Or Agar Niyazmandana Taur Par Pesh Karta He To Harj Nahi. Jabki Uske Aoz Koi Cheez Kafir Ki Taraf Se Khareed Kar Masjid Me Na Lagai Jaye Balki Musalman Bataure Khud Khareedeñ Ya Rahiboñ, Mazdooroñ Ki Ujrat Me Deñ, Or Isme Bhi Aslam Wahi Tareeqa He Ki Kafir Musalman Ko Hiba Karde Musalman Apni Taraf Se Lagaye.

*📚(Fatawa Razviya, Jild-6, Safha-484)*


Or Usi *📚Jild Ke Safha 396* Par Taherir Farmate Hai,

Agar Usne Masjid Banwane Ki Sirf Niyyat Se Musalman Ko Rupya Diya Ya Rupya Dete Waqt Sarahatan Kah Bhi Diya Ki Isse Masjid Banao Or Musalman Ne Aysa Hi Kiya To Vo Masjid Zaroor Masjid Ho Gai Or Usme Namaz Padhni Durust He.


Lihaza Agara Kafir Apne Rupye Ko Niyazmandana De Ya Musalman Ko Hiba Karde To Usse Masjid Banana Or Usme Namaz Padhna Jaaiz He.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-155)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓13 Oct 2021, 6 Rabi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Saf Me Chhote Bachcho Ko Khada Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum

Masjid Me Namaz K Dauran Chote Bacche Agar Saf Me Niyat Bandh Kar Khade Ho Jaye To Kya Baad Me Aane Wala Shaks Unhe Piche Kar Sakta Hai Ya Baccho K Baad Wo Saf Me Khada Hoga (Aksar Chote Bacche Halat E Namaz Me Shararate Karte Hai) 

Is Par Kya Hukm Hoga 

Hazrat Rehnumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aysa Bachha Jo Namaz Se Waqif Ho Koi Galti Na Kar Raha Ho To Ayse Bachhe Ko Saf Se Hatana Jaaiz Nahi, Balki Jahalat He... Lekin Agar Bachha Namaz Se Itni Waqfiyat Na Rakhta Ho To Ayse Bachche Ko Saf Se Hatane Me Koi Qabahat Nahi, Balki Hatana Hi Bahtar He Taaki Dusre Ki Namaz Kharab Na Ho.


Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Se Sawal Hua Ki,

Ek Samajh Wala Ladka 8 9 Baras Ka Jo Namaz Khub Janta He Agar Tanha Ho To Aaya Use Ye Hukm He Ki Saf Se Door Khada Ho Ya Saf Me Bhi Khada Ho Sakta He ?


Aapne Jawaban Taherir Farmaya ,

Use Saf Se Door Yaani Bich Me Fasla Chhod Kar Khada Karna To Mana'a He.

فان صلاۃ الصبی الممیز الذی یعقل الصلاۃ صحیحۃ قطعا وقدامر النبی صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم بسدالفرج والتراض فی الصفوف ونھی عن خلافہ بنھی شدید


Kyuñ Ki Mumeez Bachche ( Jo Namaz Ko Janta Ho) Ki Namaz Qat'an Sahih He Or Huzure Akram ﷺ Ne Sufoof Me Khula Na Chhodne Or Muttasil Rakhne Ka Hukm Diya He Or Iske Khilaf Par Nahi Shadeed Farmai He. Or Ye Bhi Koi Zaroori Amr Nahi Ki Vo Saf Ke Baayeñ Hi Hath Ko Khada Ho, Aulma Use Saf Me Aane Or Mardoñ Ke Darmiyan Khade Hone Ki Saaf Ijazat Dete Hai,


Durre Mukhtar Me He,

یصف الرجال ثم الصبیان ظاھرہ تعددھم فلو واحد ادخل الصف

*📚( درمختار باب الامامۃ مطبو عہ مطبع مجتبائی دہلی ۱ /۸۴)*


Mard Saf Banayeñ Phir Bachche, Uska Zahir Wazeh Kar Raha He Ki Ye Waqt He Jab Bachche Muta'addid Hoñ, Agar Akela Ho To Use Saf Ke Andar Khada Kar Liya Jaye.


مراقی الفلاح میں ہے:ان لم یکن جمع من الصبیان یقوم الصبی بین الرجال۔

Agar Bachche Zyada Nahiñ To Ek Bachche Ko Mardoñ Ki Saf Me Khada Kar Liya Jaye.

*📚( مراقی الفلاح مع حاشیۃ الطحطاوی فصل فی بیان الاحق بالامامۃ مطبوعہ نورمحمد کتب خانہ کراچی ص۱۶۸)*


Baaz Be Ilm Jo Ye Zulm Karte Hai Ki Ladka Pahle Se Dakhile Namaz He Ab Ye Aaye To Use Niyyat Bandha Huva Hata Kar Kinare Kar Dete Or Khud Bich Me Khade Ho Jate Hai Ye Mahaz Jahalat He, Isi Tarah Ye Khayal Ki Ladka Barabar Khada Ho To Mard Ki Namaz Na Hogi Galat W Khata He Jis Ki Kuchh Asl Nahi.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-7, S-209, Mas'ala-934)*


Or Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

Bachhoñ Ko Pichhe Khada Hona Chahiye. Agar Koi Bachcha Ya Chand Bachche Ya Sab Jo Aaye Vo Agli Saf Me Shamil Ho Gaye To Usse Namaz Me Koi Khalal Na Aayega. Magar Bachchoñ Ko Isse Roka Jaye Jo Bachche 9 Saal Ya Isse Kam Ke Hoñ Unheñ Zyada Takeed Pichhe Khade Hone Ki Ki Jaye Or Jo Nasamajh Bachche Na Hoñ Namaz Se Pure Waqif Hoñ Unheñ Bhi Pichhe Khada Hona Chahiye Agar 9 Saal Se Zyada Ke Hoñ Agar Agli Saf Me Ayse Bachche Khade Hoñ To Jo Balig Nahiñ Magar Qareebul Buloog Hoñ To Na Samajh Bachchoñ Ki Tarah Bura Nahiñ Baaqi He Yahi Bahetar Ki Agli Saf Mardoñ Ki Ho Uske Pichhe Unki Jo Abhi Mard Nahiñ Unke Pichhe Aurtoñ Ki Agar Hoñ Unse Pichhe Ladkiyoñ Ki Agar Hoñ..


Bilkul Na Samajh Bachche Agar Bich Saf Me Hoñge To Ye Bura Hoga Jaise Kuchh Kuchh Fasla Se Aadmi Khade Hoñ Ki Ye Bura Or Gunah Bhi He.


Hadees Me He,

تراصواالصفوف وسدواالخلل

Yaani Safoñ Me Khub Mil Kar Khade Ho Or Safoñ Ke Khula Ko Band Kardo.


Or Chhote Bachchoñ Ke Khade Hone Me Ye Baat Sad Khalal Goya Ki Hasil Na Hogi. Is Liye Ki Agar Koi Bachcha Khada Ho Jaye To Ya Use Pichhe Kar Diya Jaye Ya Jo Aata Jaye Use Ek Taraf Hata Kar Uski Jagah Khud Khada Hota Jaye, Magar Jabki Vo Bachcha Namaz Se Waqif Or Aysa Ho Goya Mard Qareebul Buloog Use Na Hataya Jaye Ki Jo Ada Me Buloog Ke Qareeb He Goya Vo Balig He Or Is Bare Me Vo Balig Martabae Rijal Ho Jana Chahiye.

*📚(Fatawa Mustafwiya, Kitabus Salat, S-216)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓13 Oct 2021, 6 Rabi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aysi Dawat Me Jana Kesa Jiski Haram Kamai Ho

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum

Hazrat Mera Ek Sawal He

Sawal Ye Ke Agar Koi Dost Ya Rishtedar Hamari Dawat Kre Or Hme Pta He Ke Uski Jo Kmayi He Wo Haram Ki Kmayi Ka Paisa He To Kya Uski Wo Dawat Khana Jaiz He Ya Nhi Rehnumai Farmaye Hazarat?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Dawat Karne Vale Ke Paas Halal Haram Dono Qism Ka Maal Hai  Agar Galib Maal Halal Hai To Jaye Aur Agar Galib Maal Haram Ka Hai To Jana Jaaiz Nahi, 


Bahare Shariat Me Hai ....

Jis Ne Hadiya Bheja Agar Uske Paas Halal W Haram Donoñ Qism Ke Amwaal Hoñ Magar Galib Maal Halal He To Uske Qubool Karne Me Harj Nahi. Yuñhi Hukm Uske Yahañ Dawat Khane Ka He Or Agar Uska Galib Maal Haram He To Na Hadiya Qubool Kare Or Na Uski Dawat Khaye, Jab Tak Ye Na Maloom Ho Ki Ye Cheez Jo Use Pesh Ki Gai He Halal He.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Walima Or Ziyafat Ka Bayan, Mas'ala-12)*

واللہ تعالی اعلم بالصواب

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️11 Oct 2021, 4 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mahar Ada Na kiya Or Biwi Inteqal Kar Jaye To Mahar Ka Kya Hukm He

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kya Farmate Hai Aulma E Deen Mas'ala Zail Me Ki Biwi Ka Inteqal Huva Or Abhi Tak Shohar Ne Haqe Mahar Nahi Ada Kiya He To Kya Nahar Muaaf Higa Ya Uske Wariseen Ko Milega ? 


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Shohar Apni Biwi Ko Mahar Ada Na Kiya Or Na Hi Muaaf Karaya Ki Biwi Ka Inteqal Ho Gaya To Ab Muaaf Kare Kon ? Lihaza Ab Vo Mahar Uske Wariseen Me Taqseem Hoga, Jisme Ek Waris Khud Shohar Bhi He..


Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,,

Agar Shohar Ne Mahar Ada Nahiñ Kiya Or Aurat Bagaur Muaaf Kiye Mar Gai To Ab Ye Uska Tarka He Jo Uske Wariseen Ka Haq He. Aysa Hi *📚Fatawa Amjadiya, J-2, S-148* Par He


Or *📚badai Us Sanaai'a Jild-2, S-589* Me He

 " لا یسقت عن الزوج شئی من المہر  بل بتأکد المھر فی تلک الحالت الورثۃ ۔ اھ "

(Yaani Aurat Ke Marne Se) Mahar Shohar Ke Zimma Se Saqit Nahiñ Hoga Balki Muakkad Ho Jayega Or Is Soorat Me Vo Wariseen Ka Haq Hoga.. Lihaza Aurat Agar Awlad Chhod Kar Faut Hui He To Mahar Ka Chothai Hissa Shohar Ka He Warna Aadha Uska He. 

Khuda E Ta'ala Ka Irshad He,

وَلَكُمْ نِصْفُ مَا تَرَكَ أَزْوَاجُكُمْ إِن لَّمْ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٌ ۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٌ فَلَكُمُ الرُّبُعُ 

*📚(Surah Nisa, Aayat-12)*

Or Maazi Mahar Aurat Ke Digar Warsa Ka He Shohar Unheñ Unke Hisse Ke Mutabiq Pahuñcha De To Vo Bari Uz Zimma Ho Jayega.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-422)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*

*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujarat_*

*🗓️11 Oct 2021, 4 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Wahabi Ke GK Competition Me Hissa Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

ASSALAM O ALAIKUM

Agar Wahabhi Log Islamic G K Compitition Karaye To Us Mai Hissa Lena Kaisa Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

وعلیکم السلام  و رحمۃ اللہ و برکاتہ

Sakht NaJaaiz Va Haram. Aise Competition Me Hargiz Hargiz Hissa Na Le.. Apne Iman Ki Hifazat Kare.. Unse Door Rahe Unko Apne Se Door Rakhhe... Hadis Sharif Me Hai ...

إياكم و إياهم لا يضلونكم ولا يفتنونكم 

أو كما قال رسول الله صلى الله عليه وسلم 

واللہ تعالی اعلم بالصواب

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️11 Oct 2021, 4 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Tyohar Navdurga Par Chhalni Wagairah crockery ka saman bechana kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hamari Shop Crockery And Plastic Items Ki Hai, Kya Hum Hinduo K Festival K Items Bech Sakte Hai ? Jese Hinduo Ke Tehvar Naudurga Chal Raha He Fir Karwa Chauth Aayega To Uske Liye Hamari Shop Se Ye Log Tiffin, Balti, Chhalni Wagairah Jisme Chaand Dekhte He Is Tarah Ke Itmes Lejate He..


*🌹JAWAB:-🌹*

Ye Sab Cheeze Khas Unke Mabudane Batila Ki Pooja Me Istemal Hone Wali Nahi He, Balki Ye Ghrelu Zarooriyyat Ki Cheeze He Jinki Zaroorat Sab Ko Padti He, Chahe Kisi Bhi Mazhab Ka Ho Lihaza Apni Shop Par In Chizo Ka Rakhne Our Bechne Me Koi Haraj Nahi.. Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️11 Oct 2021, 4 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Se Sood Par Paise Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum


Ek Sawal Hai Ki Kya Koi Musalman Ghair Muslim Se Sood Pe Paise Le Sakta Hai?


*🌹JAWAB:-🌹*

وعلیکم السلام  و رحمۃ اللہ و برکاتہ 

Bagair Hajat E Sharaee Sood Par Paisa Lena Na Jaaiz Va Haram Hai ...

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️11 Oct 2021, 5 Rabi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts