*Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm*
*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Sawal Ye Hai Ke Agar Koi Banda Beilmi Ki Wajah Se Jab Se Balig Hua Aur Us Par Gusl Farz Hua Lekin Usne Gusal Nahi Kiya Balke Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Jitni Namaz Padha usne Wo Sab Lautana Pasldegi ? Ya Fir Koi Kuffara Ada Karna Hoga use ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Soorate Mas'oola Me Kaffara To Nahiñ He, Taubah Zaroor Karni Hogi... Is Mas'ale Ki Tafseel Ye Hai Ki Agar Waqaee Me Sahih Taur Par Gusl Nahiñ Kiya Yaani Gusl Ke Tin Faraiz Muh Bhar Kulli Karna , Dusra Naak Ki Naram Haddi Tak Pani Pahunchana,, Tisra Pure Badan Par Pani Bahana to Agar Muñh Bhar Ke Kulli Nahiñ Ki Daatoñ Ke Har Har Hisse Khidki Zaban Ke Har Hisse Algarz Munh Ke Andruni Hisse Me Har Jagah Paani Nahiñ Pahuchaya Ya Naak Ki Naram Haddi Tak Paani Nahiñ Pahuchaya to Aysi Soorat Me Gusl Hi Na Hua or Uske Baad Jo Namaze Padhi Gai Vo Namaze Bhi Na Hui.. Haañ Agar Kisi Tareeqe Se Muñh Bharke Kulla Kar Liya Muñh Ke Har Hisse Me Paani Pahunch Gaya Ho Ya Naak Ki Naram Haddi Me Paani Pahunch Gaya Ho to Fir Ye Tareeqa Ada Karne Ke Baad Yaqeenan Gusl Ho Gaya Ab Uske Baad Wuzu Karke Jo Namaze Padhi Gai Vo Namaze Ho Gai... To Ab Jiske Sath Ye Mas'ala Pesh Aaya He Vo Khud Is Par Gauro Fikr Kare..
Khulasa E Kalam Ye He Ki Agar Sahih Taur Par Gusl Kar Liya Ho Uske Baad Wali Namaze Ho Gai, or Sahih Taur Par Gusl Na Kiya Ho to Fir Baad Wali Namaze Na Hui, Un Namazoñ Ko Dubara Padhna Zaroori He.. Kyuñ Ki Namaz Ki Ek Shart Taharat He or Bagair Taharat Namaz Sire Se Shuru'a Hi Nahiñ Hoti. Namazo Ki Qaza Kare Aur Sachhi Taubah Kare...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️8 Aug 2024, 2 Safar Ul Muzaffar 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*