Corona Virus Ke Khauf Se Masjid Me Jamat Qaaim Na Karna Or Azan Me Assalatu Buyutikum Kahna Kesa


*🌹SAWAL:-🌹*
Corona Virus Ke Khauf Se Ye Ailan Kiya Ja Raha He Ki Masjido Me Na Jaye, Jumaa Ki Namaz Me Na Jaye, Jama'at Qayam Na Ki Jaye. Kya Corona Virua Ke Khauf Se Jama'at Ko Tark Kar Sakte He, Or Ye Kaha Jata He Ki Kuwait Ki Ek Masjid Me Azan Ke Dauran Muazzin Ne Hayya Alas Salah Ki Jagah Assalatu Fi Buyutikum Kaha Or Ye Kah Rahe He Ki Esa Huzur ﷺ Ke Daur Me Bhi Hua Tha, Kya Is Waqt Azan Me Aysa Kahna Durust He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Corona Virus Ke Dar Se Masjid Me Jane Se Rokna, Ba Jama'at Namaz Ada Na Karna Or Jumuah Ki Namaz Ke Liye Bhi Jama'at Na Karna, Masjido Ko Taale Laga Dena, Ye Sab Bilkul Najaiz He. Aysa Karne Wale Sab Sakht Gunahgar He, Allah Ke Azab Ke Haqdar He, Mahaz Ek Bimari Ke Dar Se Allah Ki Ibadat Se Rokna, Farz Namazo Se Rokna, Wajibat Se Rokna, Ye Islami Tariqa Nahi, Balki Jahil Or Waham Parastoñ, Or Khaufe Khuda Na Rakhne walo Ka Tariqa He. Sabhi Musalmano Ko Chahiye Ki Panj Waqta Namaz Ya Jumuah Ki Namaz Ba Jama'at Hi Ada Kare.

Or Ye Kahna Ki Kuwait Ki Ek Masjid Me ' Hayya Alas Salah' Ki Jagah Muazzin Ne "AsSalatu Fee Buyutikum" (Yaani Apne Gharo Me Hi Namaz Padho) Kaha, Or Ek Hadees Ka Hawala Diya Ja Rahe He, Pahle To Ye Jaan Le Ki Ahnaf Ke Nazdik Azan Ke Dauran Koi Or Lafz Bolna Durust Nahi. Or Is Tarah Ek Bimari Se Dar Ke Ailan Karna Bhi Jaiz Nahi,
Is Tarah Ki Ek Hadees Shareef Kutube Ahadis Me Paai Jaati He Vo Ye He Ki,
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ ، قَالَ : أَخْبَرَنَا مَالِكٌ ، عَنْ نَافِعٍ ، أَنَّ ابْنَ عُمَرَ أَذَّنَ بِالصَّلَاةِ فِي لَيْلَةٍ ذَاتِ بَرْدٍ وَرِيحٍ ، ثُمّ قَالَ : أَلَا صَلُّوا فِي الرِّحَالِ ، ثُمَّ قَالَ إِنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ :    كَانَ يَأْمُرُ الْمُؤَذِّنَ إِذَا كَانَتْ لَيْلَةٌ ذَاتُ بَرْدٍ وَمَطَرٍ يَقُولُ أَلَا صَلُّوا فِي الرِّحَالِ
Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhuma Ne Ek Thandi Or Barsaat Ki Raat Me Azan Di, Fir Yuñ Pukar Kar Kah Diya ألاصلوا في الرحال‏ Ki Ay Logo Apni Qayam Gaaho Par Hi Namaz Padhlo.
Fir Farmaya Ki Nabi e Kareem ﷺ Sardi w Barish Ki Raato Me Mu'azzin Ko Hukm Dete The Ki Vo Ailan Karde Ki Logo Apni Qayam Gaaho Par Hi Namaz Padhlo.
*📚(Al-Jameus Sahih Bukhari, S-166, Matbuaa Daar Ibne Kaseer Damishk)*
Iski Shara'a Me Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahma Farmate He,
Is Hadees Se Sabit Hua Ki Sunnat Yahi He Ki Kalimat Azan Me Kuchh Dakhil Na Kiya Jaye, Ba'ad Me ألا صلوا في الرحال‏ Kaha Jaye.
*📚(Nuzhatul Qaari, J-2, S-314,315, Matbuaa Faridi Book Stall)*
Lihaza Hadees Shareef Me Jo Assalah Fir Rihal Kaha Gaya He Vo Azan Ke Baad Kaha Jaye Na Ki Azan Ke Bich Me, Or Ye Us Daur Me Khas Mauqa Par Tha Ki Logo Ko Masjid Ki Bajaye Apne Gharo Me Namaz Padhne Ka Is Liye Kaha Gaya Tha Ki Us Waqt Itna Tez Toofan Or Tez Barish Thi Ki Ek To Sahaba e Kiram Ke Paas Itne Kapde Nahi Hote The Ki Toofan Ya Barish Me Kapde Bhigne Se Dusre Kapde Pahan Sake, Or Pahne Huye Kapde Bhigne Ke Baad Bhi Shardi Wagairah Se Mahfooz Rah Sake, Or Dusra Ye Ki Pahle Ke Raste Itne Pakke Nahi The, Tez Barish Ki Wajah Se Itna Kichad Ho Gaya Tha Ki Pure Pair Usme Dhas Jate, Chalna Mushkil, Ek Jagah Se Dusri Jagah Jana Mushkil, Is Wajah Se Us Waqt Huzur ﷺ Ne Masjid Ki Bajaye Apni Apni Qayam Gaah Me Logo Ko Namaz Ka Hukm Diya, Or Aaj Ke Daur Me To Raste, Sadake Itne Achche Hote He Ki Barish Ke Mausam Me Bhi Masjid Tak Pahuncha Ja Sake,  Bagair Kisi Badi Dikkat Ke..
Or Corona Virus Ke Khauf Se Masjid Me Aane Se Namaziyo Ko Rokna Jama'at Qaaim Karne Se Mana Karna Ye Mahaz Jahalat He, Or Vo Kisi Ko Ye Bimari Hone Ka Yaqeen Nahi Sirf Shak Or Waham Ki Kisi Ko Agar Ye Bimari Ho, Or Islam Ne Waham Parasti Ko Bilkul Door Kiya He. Or us zamana me haqiqi is tarah ki pareshani thi jis ki wajah se ye hukm diya gaya tha magar aaj Na to ye bimari kisi ko lagi ho uska yaqeen.
Or Ye Baat Samajh Leñ Ki Faraiz w Wajibat, Jumuah Or Jama'at Ki Namaz Ko Chhod Dene Me Wabao Ka Ilaj Nahi Rakha Gaya He, Balki In Wabao Ke Ilaj Ke Taur Par Taubah, Astagfaar, Namaz, Tilawat, Duaa, Durood Shareef Wagairah Kiya Jaye.
Qura'an Majeed Me Allah Ta'ala Irshad Farmata He,
ظَهَرَ الْفَسَادُ فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ بِمَا كَسَبَتْ أَيْدِي النَّاسِ لِيُذِيقَهُم بَعْضَ الَّذِي عَمِلُوا لَعَلَّهُمْ يَرْجِعُونَ
Yaani Khushki Or Tari Me Jitni Kharabi He Vo Sab Insano Ke Hatho Ki Kamai He, (Ye Sab Is Liye He) Taaki Unhe Chakhaye Unki Ba'az Bad Aamaliyo Ki Saza (Or Ye Is Liye) Taaki Vo (Apni Bad Aamaliyo) Se Taubah Karle.
*📚(Surah Rum, Aayat-41)*
Or In Musibato Se Darna Kesa Jo Allah Ta'ala Ne Hamari Taqdeer Me Likha He Vo Ho Kar Rahega.
Allah Ta'ala Ka Irshad He,
مَا أَصَابَ مِن مُّصِيبَةٍ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي أَنفُسِكُمْ إِلَّا فِي كِتَابٍ مِّن قَبْلِ أَن نَّبْرَأَهَا ۚ
Tarjama: Nahi Pahunchti Koi Musibat Zameen Me Or Na Tumhari Jaano Me Magar Vo Ek Kitab Me He Qabl Uske Ki Ham Use Paida Kare.
*📚(Surah Hadeed, Aayat-22)*
Yaani Jo Bhi Musibat Zameen Par Aati He Ya Tumhari Jaano Par Aati He Vo Pahle Se Atal Shuda Taqdeer Me Likhi Hui He.
Or Farmata He,
قُل لَّن يُصِيبَنَا إِلَّا مَا كَتَبَ اللَّهُ لَنَا هُوَ مَوْلَانَا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُونَ
Tarjama: Tum Farmao Hame Na Pahuchega  Magar Jo Allah Ne Hamare Liye Likh Diya Vo Hamara Maula He Or  Musalmano Ko Allah Hi Par Bharosa Chahiye.
*📚(Surah Taubah, Aayat-51)*
Or Farmata He,
ۗ قُل لَّوْ كُنتُمْ فِي بُيُوتِكُمْ لَبَرَزَ الَّذِينَ كُتِبَ عَلَيْهِمُ الْقَتْلُ إِلَىٰ مَضَاجِعِهِمْ ۖ
Tarjama: Tum Farmado Ki Agar Tum Apne Gharo Me Hote Jab Bhi Jinka Mara Jana Likha Jaa Chuka Tha Apni Qatl Gaaho Tak Nikal Aate. (Yaani Taqdeer Ka Likha Huaa Ho Kar Rahega)
*📚(Sura e Aale Imran, Aayat-154)*
Pas Hamara Allah Ta'ala Ki Taqdeer Par Iman Or Uski Zaat Par Bharosa Hame Kisi Bimari Wagairah Ke Waham Se Faraizo Wajibat, Jumuah Or Jama'at Se Rok Nahi Sakta.
Or Allah Ta'ala Ka Irshad He,
وَاسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ ۚ وَإِنَّهَا لَكَبِيرَةٌ إِلَّا عَلَى الْخَاشِعِينَ
Tarjama: Or Sabr Or Namaz Se Madad Chaho, Or Beshak Namaz Zaroor Bhari He Magar Un Par (Nahi) Jo Dil Se Meri Taraf Jhukte He.
*📚(Sura e Baqrah, Aayat-45)*
Is Aayat Se Pata Chala Ki Namaz Ko Qaaim Karke Madad Hasil Ki Jaye. To Fir Namaz Ke Zariye Madad Hasil Karne Ki Bajaye Namaz Ko Tarq Kar Dena Konsa Islam He ?
Or Namaz Ko Qaaim Karne Ka Tariqa Vo Hoga Jo Nabi e Kareem ﷺ Ne Masjid Me Ada Karke Dikhaya.
Or Nabi e Kareem ﷺ Ko Jab Bhi Koi Sakht Or Nagawar Baat Pesh Aati To Aap  ﷺ Fauran Namaz Ada Karte The.
Nabi e Kareem ﷺ Ke Amal Se Hamare Liye Ye Rahenumai Milti He Ki Corona Ke Hamle Ke Mauqa Par Ham Bhi Namaz Ki Taraf Dodne Wale Ho. Naa Ye Ki Jumuah Or Jama'at Ki Namaz Ko Hi Tark Karde.


Or Allah Ta'ala Irshad Farmata He,

وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَاجِدَ اللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا اسْمُهُ وَسَعَىٰ فِي خَرَابِهَا ۚ أُولَٰئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَا إِلَّا خَائِفِينَ ۚ لَهُمْ فِي الدُّنْيَا خِزْيٌ وَلَهُمْ فِي الْآخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌ

Tarjama: Or Usse Badh Kar Zalim Kon Jo Allah Ki Masjido Ko Roke, Unme Naame Khuda Liye Jane Se Me Or Unki Wirani Me Koshish Kare, Unko Na Pahunchta Tha Ki Masjido Me Jaaye Magar Darte Huye Unke Liye Dunya Me Ruswai He Or Unke Liye Aakhirat Me Bada Azab.
*📚(Sura e Baqrah, Aayat-114)*

Is Aayat Se Pata Chala Ki Masjido Me Jane Se Rokna, Masjido Me Zikre Khuda Karne Se Rokna Zalimo Ka Kaam He, Or Ayse Logo Ko Dunya Me Ruswai Or Aakhirat Me Bhi Allah Ka Bada Azab He Jo Masjido Me Jane Se Rokte He.

Or Jo Log Roke Unka Sath Hargiz Na Do Balki Masjido Me Ba Jama'at Namaz Ada Karo.

Allah Ta'ala Ka Irshad He,
وَلَا تَعَاوَنُوا عَلَى الْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ
Gunah Or Zulm Par Ek Dusre Ka Sath Na Do..

Lihaza Corona Virus Ya Kisi Bhi Is Tarah Ki Bimari Ke Khauf Se Namaze Ba Jama'at Band Karna Masjido Ko Band Karna Ye Sab Najaizo Gunah He, Namaze Ba Jama'at Se Rokne Wale Gunahgar, Zalim Or Azabe Ilahi Ke Haqdad He, Balki Sahih Tariqa To Ye He Ki Mushkilo Me Allah Ki Ibadat Ki Jaye, Zyada Se Zyada Masjide Aabad Ki Jaye. Magar Baad Me Hukumat Ki Taraf Se Sakht Hukm Diya Gaya, Lihaza Hukumat Ke Hukm Ki Khilaf Warzi Bhi Na Ki Jaye, Jisse Musalmano Ko Taklif Uthani Pade, Hukumat Jitne Logo ki Ijazat De 4 5 Jitne Bhi Log Ho Utne Bhi Jama'a Ho Kar Masjid Me Jama'at Qayam Kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*24 March 2020*
📲http://wa.me/+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts