Hazrate Fatima Ki Rooh Allah Ne Qabz Ki Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Esa Kahna Kesa Ki Hazrat Fatimtuz Zahra RadiAllahu Anha Ki Rooh Khud Allah Ta'ala Ne Qabz Ki ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Ye Kahna Ki Hazrat Fatima RadiAllahu Anha Ki Rooh Ko Allah Ta'ala Ne Qabz Farmai Shar'an Koi Qabahat Nahi. Kyu Ki Beshak Haqiqi Rooh Dene Wali Or Qabz Karne Wali Zaat Allah Ta'ala Hi Ki He, Magar Logo Ke Samne Aysi Baate Nahi Karni Chahiye Jo Unki Samajh Me Na Aaye Or Usse Fitna Me Padh Jaye.

_Chunanche Huzur Bahrul Uloom Hazrat Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,_

Maut Ke Mauzu Par Qura'an Shareef Me Bahut Si Aayate He, Ham Mas'ala Ki Wazahat Ke Liye 3 Aayato Ka Zikr Karte He,

اللَّهُ يَتَوَفَّى الْأَنفُسَ حِينَ مَوْتِهَ
*📚(Sura e Zumar, Aayat-42)*
Yaani Allah Ta'ala Maut Ke Waqt Sab Ki Rooh Qabz Karta He.

Is Aayate Shareefa Me Rooh Qabz Karne Ki Nisbat Allah Ta'ala Ki Taraf He.

حَتَّى إِذَا جَاءَ أَحَدَكُمُ الْمَوْتُ تَوَفَّتْهُ رُسُلُنَا وَهُمْ لا يُفَرِّطُونَ
*📚(Sura e An'aam, Aayat-61)*
Yaani Jab Tum Me Se  Kisi Ko Maut Aati He, To Hamare Farishte Jo Jaan Nikalne Par Muqarrar He, Rooh Qabz Kar Lete He.

Is Aayat Me Is Baat Ki Sarahat He Ki Rooh Qabz Karne Wale Bahut Se Farishte He.

Allah Ta'ala Sura e Sajdah Me Irshad Farmata He,
قُلْ يَتَوَفَّاكُم مَّلَكُ الْمَوْتِ الَّذِي وُكِّلَ بِكُمْ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمْ تُرْجَعُونَ
*📚(Sura e Sajdah, Aayat-11)*
Yaani Aap Farmao!  Ki Malakul Maut Roohe Qabz Karte He, Jo Is Par Muqarrar He.

Aap Heran Hoge Ki Mas'ala Ek Or Qura'an Shareef Me Iske 3 Mukhtalif Jawabat !! Allah Ta'ala Sab Ki Rooh Qabz Karta He, Malakul Maut Sab Ki Rooh Qabz Karte He, Bahut Se Farishte Mil Kar Rooh Qabz Karte He.

Isme Kuchh Achambe Ki Baat Nahi He, Ek makan banta he, malik ki Zameen, paisa or saman usme lagta he is kiye vo khush ho kar kahta he ki mene makan banavaya. Aap ko uski baaat par koi hairat nahi hoti. Engineer socha he ki mere naqshe or meri nigrani me ye makan bana, is par vo kahta he ki mene ye makan banaya or aap ko koi Ta'ajjub nahi. Mistri or mazdooro ne mill kar malik ke Sarmaya or Engineer ke naqshe ko mujassam or mukammal kar diya, is liye unka Da'awa he ki ye makan ham ne banaya, aap isko bhi taslim kaarte he ki ye Da'awa saab ka ek he. Lekin nawiyat sab kii alag he.

Baat samjhane ke liye hamne ek dunyavi misal bayan ki, warna Kahañ khaaki insan or kahañ Allah baqi Ki Shan.

Is Mas'ala Me Allama Ahmad Saawi Ka Bayan Mulahiza Ho,
ولا منافات بينها فما هنا محمول على مباشرة اخذها - وما فى الا نعام محمول على معالجة أعوان عزرائيل عليه السلام لمن أمر بقبض روحه - وما فى الزمر محمول على الحقيقة فإن المتوفى حقيقة هو الله - "
*📚(Saawi, Jild-3, Safa-246)*

In Tino Aayato me koi munafaat nahi. Izrail Alaihis Salam ke Ae'awan marne wale ke pure jism se rooh samet kar Halq Tak Pahucha Dete He. Is liye Unko Qaabize Rooh Kaha Gaya, Hazrat Izrail Alaihis Salam Usko Halq Paas Se Apne Qabza Me Kar Lete He To Unke Liye Kaha Ki Vo Rooh Qabz Karte He. Or Allah Ta'ala Ki Taraf Rooh Qabz Karne Ki Nisbat Haqiqi He, Wahi Haqiqat Me Wafat Dene Wala He, To Agar Ye Kah Diya Jaye Ki ' Hazrat Fatima Zahra RadiAllahu Anha Ki Rooh Ko Allah Ta'ala Ne Qabz Kiya To Isme Koi Sharai Qabahat Kya ?

Ab Ahadise Mubaraka Mulahiza Farmaye !!

Huzur Nabi e Kareem ﷺ Ne Ek Janaza Par Ye Dua Parhi,
" اللهم انت ربها وانت خلقها وانت  هديتها الى الا سلام وانت. قبضت روحها "
*📚(Mishkat Shareef, Safa-147)*

Yani Ya Allah Tu Us Marne Wale Ka Rab He, Tune Hi Use Paida Kiya Or Tune Hi Use Islam Ki Hidayat Di Or Tune Hi Uski Rooh Qabz Ki.

Janaza Ki Namaz Me Ham Ye Padhte He,
 اللھم....!!! من احییتہ منا فاحیہ علی الاسلام...!  ومن توفیتہ منا فتوفاہ علی الایمان -"
Yaani Ya Allah Tu Ham Se Jis Ko Zinda Rakhe Islam Par Zinda Rakh ! Or Jis Ko Wafat De, Jis Ki Rooh Qabz Kar Tu Iman Par Qabz Farma.

Or Farmate He,

Sahibe Roohul Bayan Ek Bade Aalime Deen He, Is Waqt Hamare Samne Unki Tafseer Ka Aanthva Hissa He, Jis Ka Sarnama Par Tahreer He Ki,
Imame Aalam Fazile Shaikh Muhaqqiq, Kamil, Ilme Zahir w Batin Ke Jame'a Or Apne Iqraan Amasaal Me Qabile Fakhr Mufassireen Ke Khawaatim Or Ahle Tahqiq w Taswwuf Ke Rahenuma, Apne Waqt Ke Yakta Or Qutube Zamana, Tamam Uloom Ke Mamba'a, Hamare Or Tamam Logo Ke Maulana Shaikh Ismail Hanfi Or Mash'hoor Mu'arrikh Muniruddin Zarqani Ne Apni Mash'hoor Kitab
*📚(Al-Aa'alaam, J-1, S-312)*
Par Inka Tazkira Naql Kiya, Farmate He,
اسماعیل حقی ابن مصطفی ، متصوف  ؛ مفسر؛ ترکی ؛ مستعرب؛ من العربیہ؛ مات ۱۱۳۷
Aapne Apni Tafseer, *📚(Roohul Bayan, J-8, S-143)*  Par Ye Riwayat Bila Sanad Naql Ki, Kyu Ki Baab Fazail Me Aulma Tanqeed W Tahqeeq Nahi Karte He. Uske Sath Hazrat Zunnoon Misri Rahematullah Alaihi Ye Dua e Naql Ki He,
الھی...!!! لا تکلف الی ملک الموت واقبض روحی انت

Bahar Haal Jahil Aawam Ke Samne Ye Riwayat Nahi Karni Chahiye, Jis Se Khwah Makhwah Hijan Paida Ho.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan *📚(Fatawa Razviya Shareef, J-6, S-206)*

Par Ye Hadees Shareef Naql Farmate He,
حدثواالناس بما یفھمون
Yaani Logo Ke Samne Aysi Baate Bayan Karo Jise Samajh Sake.

Neez Farmate He,
Logo Se Unke Samajh Me Na Aane Wali Baat Bayan Karoge To Usse Ba'az Log Fitna Me Pad Jayege
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-5,6,7)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts