Kya Ek Ki Bimari Dusre Shakhs Ko Lag Sakti He ? Jese Corona Virus

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Kisi Ki Bimari Corona Virus Ya Or Koi bhi Bimari Dusre Shakhs Ko Lag Sakti He, Bimar Shakhs Ke Paas Jane Se Uski Bimari Tandurast Shaks Me Aa Sakti He Ya Nahi ? Kya Is Tarah Ki Koi Hadees He Jisme Huzur ﷺ Ne Bimar Shakhs Se Door Rahne Ka Kaha Ho ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ek Shakhs Ki Bimari Dusre Ko Nahi Lagti, Hadeese Paak Me Huzur ﷺ Ka Irshade Aali He لا عدوى Yaani Koi Bimari Ud Kar Nahi Lagti, Or Jin Ahadis Me Juzam Ki Bimari Wale Mareez Se Door Rahne Ka Aaya Ye Is Wajah Se Nahi Ki iski Bimari Ud kar Use Lag Jaye, Balki Is Wajah Se Ki Juzami Ke Jism Se Badboo Aati He, Or Use Dekh Kar Nafrat Paida Ho Ya Gheen Mahsoos Kare Ya Musibat Zado Ko Dekh Kar Haqeer Samjhe Wagairah..

Lihaza Ek Shakhs Ki Bimari Dusre Ko Lagna Ye Batil Aqida He, Islam Me Iski Koi Haqiqat Nahi.. Koi Bhi Marz Ek Shakhs Se Dusre Shakhs Me Nahi Ja Sakta, Allah Ta'ala Hi Malik He, Allah Ke Hukm Ke Bagair Patta Bhi Nahi Hil Sakta, Taqdeere Ilahi Par Yaqeene Kamil Chahiye, Or Huzur ﷺ Ka Ye Hukm لا عدوی Hi Aqida e Barhaq He.

Ye Kaha Jata He Ki Ek Ki Bimari Dusre Ko Lag Gai, To Fir Pahle Wale Ko Bimari Kaha Se Lagi ?? Yaani Jis Tarah Allah Ne Pahle Shakhs Ko Bimari Di Usi Tarah Dusre Ko Balki Hazaro Ko Bhi De Sakta He, Yaani Ek Ki Bimari Dusre Ko Nahi Lagti, Sab Allah Hi Ke Hukm Se He,

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Is Par Ek Mukammal Risala Raqam Farmaya Jiska Naam, الحق المجتلٰی فی حکم المبتلٰی (Yaani Bimari Ke Shikar Shakhs Ke Hukm Se Muta'alliq Wazeh w Roshan Haq) Jisme Aapne Dono Tarah Ki Ahadise Zikr Farmai Or Aakhir Me Hukme Shara'a Farmaya Ki Ek Ki Bimari Ud Kar Dusre Ko Lagna Ye Batil Khayal He.

Chunanche Hadeese Paak Me He,

RasoolAllah ﷺ Farmate He,
لا عدوى ولا طيرة
Yaani Koi Bhi Bimari Ud Kar Nahi Lagti Or BadShuguni, Badfali, Koi Cheez Nahi.
*📚(Bukhari Shareef, J-2, S-859)*

Or Farmate He,
"لا عدوى ولا صفر ولا هامة فقال أعرابي يا رسول الله صلى الله عليه وسلم :    فما بال الإبل تكون في الرمال لكأنها الظباء فيخالطها البعير الاجرب فيجربها فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم :  فمن أعدى الأول"

Yaani Bimari Ud Kar Nahi Lagti, Safar Ke Mahine Ki Nahoosat Koi Cheez Nahi, Ullu Ki Nahoosat Ki Kuchh Haqiqat Nahi, To Ek Aerabi Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Agar Aysa He To Fir Unto Ke Bareme Kya Kahna He ? Jo Registan Me Hote He To (Khal Ki Saaf Safai Or Chamak Me) Hirno Ki Tarah Lagte He Fir Achanak Koi Kharish Zada Unt Un Unto Se Mil Jata He To Unhe Bhi Kharish Zada Bana Deta He, To RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,
Agar Ye Baat Haqiqat He To Fir Pahle Unt Ko Bimari Kis Ne Lagai ?

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya, Kisi Marz Me Ta'adiya Nahi (Yaani Marz Ud Kar Dusre Tandurast Ko Lag Jaye) Or Ullu Wagairah Me Nahoosat Nahi, Maahe Safar Ki Aamad Me Nahoosat Nahi. Bimar Janwar Ko Tandurast Janwar Ke Paas Na Laaye Balki Tandurast Janwar Ko Jahañ Chahe Le Jaye. Logo Ne Arz Kiya Ye Kyuñ Ya RasoolAllah ﷺ . Aap Ne Irshad Farmaya Isme Aziyat He Yaani Logo Ko Eeza Hogi.
*📚(Muta Imam Malik Kitabul Jame'a, S-721)*
*📚(Sharah Zarqani Alal Muta Imam Malik, J-2, S-333)*

Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Kai Ahadise Kareema Pesh Karne Ke Baad Tahqiqi Hukm Farmate He Ki,

Ahadis Qism Saani To Apne Ifada Me Saaf Sareeh He Ki Bimari Ud Kar Nahi Lagti, Koi Marz Ek Se Dusre Ki Taraf Sarayat Nahi Karta, Koi Tandurast Bimar Ke Qareeb W Ikhtelat Se Bimar Nahi Ho Jata, Jise Pahle Shuru'a Hui Use Kis Ki Ud Kar Lagi. In Mutwatir w Roshan w Zahid Irshadate Aalya Ko Sun Kar Ye Khayal Kisi Tarah Gunjaish Nahi Pata Ki Waqe'a Me To Bimari Ud Kar Lagti He Magar RasoolAllah ﷺ Ne Zamana e Jahiliyat Ka Waswasa Uthane Ke Liye Mutlaqan Nafee Farmai, Fir Huzur ﷺ w Ajalla Sahaba e Kiram رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی  عَنْہَم Ki Amali Kaar-Rawai Majzoomo Ko Apne Sath Khilana, Unka Jhutha Paani Pina, Unka Hath Apne Hath Se Pakad Kar Bartan Me Rakhna, Khas Unke Khane Ki Jagah Se Niwala Utha Kar Khana Jahañ Munh Laga Kar Unhone Piya Bil Qasd Usi Jagah Munh Rakh Kar Khud Nosh Karna Ye Or Bhi Wazeh Kar Rahi He Ki Adwa Yaani Ek Ki Bimari Dusre Ko Lag Jana Mahaz Khayale Batil He Warna Apne Aap Ko Bala Ke Liye Pesh Karna Shara'a Hargiz Rawa Nahi Rakhti.

Allah Ta'ala Ka Irshad He,
وَ لَا لاتلقوا بِاَیْدِیْکُمْ اِلَی التَّهْلُکْةِ ـ
Aap Apne Hatho Halakat Me Na Pado.
*📚Sura e Baqrah, Aayat-195)*

Rahi Qism Awwal Ki Hadeese, Vo Is Darja e Aaliya Sahat Par Nahi Jis Par Ahadise Nafee He Unme Aksar Zaeef He Jaisa Ki Ham Bayan w ishara Kar Aaye...
*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-237)*

Or Farmate He,
Koi Hadees Saboote Adwa Me Nas Nahi, Ye Mutwatir Hadeeso Me Farmaya Ki Bimari Ud Kar Nahi Lagti, Or Ye Ek Hadees Me Bhi Nahi Aaya Ki Aadi Taur Par Ud Kar Lag Jati He. Hadees Chaharum Ki "Juzamiyo Ko Nazar Jama Kar Na Dekho Unki Taraf Tez Nigah Na Karo" Saaf Ye Mahmul Rakhti He Ki Udhar Zyada Dekhne Se Tumhe Gheen Aayegi Nafrat Paida Hogi Un Musibat Zado Ko Haqeer Samjhoge, Ek To Ye Khud Izzat Ko Pasand Nahi Fir Usse Un Giraftarane Bala Ko Nahaq Eeza Pahuchegi, Or Ye Rawa Nahi,

Or Farmate He,

Beshak Huzur ﷺ Ne In Aasar Me (Ahadis) Ta'adiya Marz Ki Nafee Farmai, Chunanche Aap Ka Irshad He Ki Pahle Mareez Ko Kaise Ta'adiya Marz Huva Balki Allah Ta'ala Ki Taqdeer Se Lahiq Huva.

Is Liye Dusro Ko Bhi Jo Kuchh Pahucha Usi Tarah Pahucha, Agar Koi Qaail Yu Kahe Ki Ham Isko Is Hadees Ke Mutzad Qarar Dete He Jo Huzur ﷺ Se Marwi He Ki Koi Mareez Kisi Tandurast Aadmi Ke Paas Na Jaye.

Jaisa Ki Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Ne Yahi Kaha He.

Me Kahta Hu Ki Ham Aysa Nahi Karte Balki Unke Irshad La Adwa Ko Lete He.

Jaisa Ki Huzur ﷺ Ne Farmaya To Ta'adiya Marz Ki Hamesha Nafee Hogi Or Ham Huzur ﷺ Ke Irshad "Koi Mareez Kisi Tandurast Par Na Warid Ho" Ki Bunyad In Andesha Par Rakhte He Ki Mareez Kabhi Kabhar Sehat Mand Or Tandurast Ke Paas Jaye Or Fir Tandurast Ko Taqdire Ilahi Se Wahi Marz Lahiq Ho Jaye Jis Me Mareez Mubtala Ho Chuka Ho To Log Kahege Ki Pahle Ka Marz (Bataure Tajawuz) Us Me Sarayat Kar Gaya He To Fir Us Kahne Andesha Se Kisi Tandurast Ka Mareez Ke Paas Jana Ya Uska Ulat, Na Pasand Kiya Gaya Or Hamne Or Hamne RasoolAllah ﷺ Ka Apna Mubarak Amal Bhi Ta'adiya Marz Ki Nafee Ki Daleel He. Agar Ta'adiya Marz Kisi Tarah Imkan Rakhta To Nabi e Kareem ﷺ Kabhi Aysa Khatarnak Kaam (Juzami Ko Apne Sath Khana Khilane wala) Na Karte Kyu Ki Isme Eeza Ko Apni Taraf Khinch Kar Lana He Halanki Allah Ta'ala Buzurg w Bartar Ne Isse Mana'a Farmaya He.
*📚(Sharah Ma'aanil Aasare Lil Tahtawi, Kitabul Karahat, J-2, S417)*

*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-245, 247)*

Makhuz Az: *📚(Fatawa Razviya Shareef, J-24, Risala Haqqul Mujtala Fee Hukme Mubtala,)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts