*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Sawal Ye Hai Ki Mai ne Suna Hai Ki 40 Logon Me 1 Allah Ka Walee Hota Hai Jab Ki Aksar pahchan Ke Hi 50, 60 Logo Ka Majma Dekha Jata Hai Aur Maloomaat Ke Mutabik Us Majme me Ko Aalime Deen Bhi Nahi to kya Us Majme me Bhi Kya Koi Allah Ka Walee Ho Sakta Hai ? Aur Walee Kise Kahte Hain Is Par Roshni Daal Den .

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jahañ 40 Muttaqi Musalman Maujud Hote He Usme Se Ek Wali Hota He, Is Hadis Me Musalman Se Murad Muttaqi Parhezgar Musalman He, Or Wali Se Murad TashreeAi Wali He, Warna Cinemao Wagairah Me Hazaro Fasiq w Gair Muttaqi Musalman Bhi Hote He, Iska Matlab Ye Hargiz Nahi Ki Unme se Ek Wali Ho.

Jaisa Ki Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Awliya Do Qism Ke He,
1. TashreeAi Wali
2. Takweeni Wali
1. TashreeAi Wali
2. Takweeni Wali
TashreeAi Wali Yaani Allah Se Qurb Rakhne Wale Awliya, Huzur Ki Ummat Me Be Shumar He Jahañ Chalis Saleh Musalman Jama'a Ho Vahañ Ek Do Wali Zaroor Hote He.
Takweeni Wali Vo Ki Jinhe Aalam Me Tasarruf Ka Ikhtiyar Diya Gaya Ho, Unki Makhsoos Jama'at He Jaise Gaus, Qutub, Abdal Wagairah Unki Mukhtalif Aqsam He Or Ye Tamam Qayamat Ke Dar Or Ranj Se Ya Dunya Ke Muzir Khauf w Gam Se Mahfooz He.
*📚(Miratul Manajeeh, J-8, S-517)*
*📚(Noorul Irfan Parah-11, Sura e Yoonus, Aayat-62)*

Or Ek Hadis Shareef Me He,
Riwayat He Hazrat Kuraib Ibne Abbas Ke Maula Se Vo Abdullah Ibne Abbas Se Raawi Ki unka Farzand Qadeer Ya Asfaan Me Wafat Paa Gaya, To Aap Ne Farmaya Ki Ay Kuraib Dekho Kitne Log Jama'a Ho Gaye, Farmate He Me Nikla To Kuchh Log Jama'a Ho Hi Gaye The, Mene Aap Ko Khabar Di, Farmaya Kya Tum Kah Sakte Ho Ki Chalis Hoge, Mene Kaha Haañ, Farmaya Mayyat Ko Laao Mene RasoolAllah ﷺ Ko Farmate Suna Ki Aysa Koi Musalman Nahi Jo Mar Jaaye Uske Janaze Par Chalis Aadmi Khade Ho Jo Allab Ka Koi Shareek Na Banate Ho, Allah Unki Sifarish Us Mayyat Ke Bare Me Zaroor Qabool Farmata He.
*📚(Muslim Shareef)*

Is Hadees Ki Sharah Me Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate He,
Mirqat Me He Ki Jahañ Chalis Musalman Jama'a Ho Unme Koi Wali Zaroor Hota He, Jis Ki Duaa Qubool Hoti He, Uski Barkat Se Dusro Ki Bhi. Khayal Rahe Ki Ye Zikr Wali TashreeAi Ka He, Wali Takweeni Ki Ta'adad Muqarrar He Ki Cinemao Or Tamasha Gaaho Me Secdo Fussaq Hote He.
*📚(Miratul Manajeeh, J-2, S-484, Baab Janaze Ke Sath Chalna Or Us Par Namaz)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment