Shohar Ke Talaq Dene Ke Baad Bhi Miya Biwi Ka Ek Sath Rahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Mera sawal hai ki Hinda ko uske  shauhar ne 3 talaq dediya tha bahot saal pehle fir bhi woh dono ek saath reh rahe the.  Shauhar nahi chahta tha ke woh aurat halala kare.  Bache chote hone ki wajah se woh alag na ho sake. Dar gaye the. Par biwi ko hamesha yeh baat khayi jaati hai . Aise me use kya karna chaiye. Rehnumai farmaye.
Urjent  h plzZzzzzz
Gulam Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bar Sidqe Mustafti Agar Waqe'ee Me Aurat Ko Uske Shohar Ne 3 Talaq Dedi To Vo Aurat Us Par Haram Ho Gai, Ab Bagair Halala Uske Nikah Me Nahi  Aa Sakti.

Allah Tabarak w Ta'ala Ne Qura'an Majeed Me Farmaya,
فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُ مِن بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُ
Yaani Agar Tisri Talaq Use Di To Ab Vo Aurat Use Halal Na Hogi Jab Tak Dusre Khawind  Ke Paas Na Rahe.
*📚(Sura e Baqrah, Aayat-230)*

Jab Itna Saaf Hukm Hone Ke Bawajood Usne Halala Nahi Kiya Or Bachcche Chhote Hone Wagairah Ka Or Shohar Ke Na Manne Ka Usne Uzr Pesh Kiya, To Ye Uzre Lang Hargiz Hargiz Qubool Na Kiye Jayege. Aurat Ko Chahiye Jis Tarah Se Bhi Vo Mard Se Rihaai Hasil Kar Sakti He To Kare, Agarche Usko Maal De Kar Rupya Paisa De Kar Apni Jaan Chhuda Sakti He To Apni Jaan Chhudae Or Agar Maal Daulat Wagairah Le Kar Bhi Vo Mard Usko Na Chhode To Jis Tarah Ban Pade Uske Paas Se Bhag Jaaye, Or Kabhi Bhi Use Apne Upar Kaabu Na De, Hambistari Wagairah Ka Koi Bhi Ta'alluk Hargiz Hargiz Qaaim Na Kare, Or Agar Ye Bhi Na Mumkeen Ho Ki Kahi Nahi Bhag Sakti To Kabhi Bhi Apni Khwahish Se Uske Sath Miya Biwi Jesa Bartwav Na Kare, Or Na Uske Majboor Karne Par Khud Raazi Ho Jaye, Fir Agar Us Mard Ne Majboor Kiya, Or Hambistari Ki To Fir Wabaal Us Par He, Ki Is Soorat Me

Allah Tabarak w Ta'ala ka Irshad He Ki
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا ۚ لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ ۗ
*📚(Sura e Baqrah, Aayat-286)*

Yaani Allah Ta'ala Kisi Jaan Par Uski Taqat Se Zyada Takleef Nahi Dalta,

Algarz Us Aurat Ko Ye Chahiye Ki Kisi Bhi Tarah Se Apni Jaan Ko Usse Chhudaye  Maalo Daulat De Kar Bhi Usse Chhuda Le, Or Ye Uzr Karna Ki Chhote Chhote Bachche Hone Ki Wajah Se Me Alag Na Hui, To Ye Uzr Lang He Hargiz Hargiz Qubool Na Kiya Jayega,

Albatta Rahi Baat Khufiya Taur Par Halala Karane Ki  To Usme Zahir Si Baat He Ki Usme Nikahe Saani Hargiz Hargiz Khufya Na Rahega, Fir Bhi Agar Vo Kisi Tarah Se Halala Kara Leti He Khufya Taur Par Dubara Fir Jo Dusre Shohar Se Talaq Hui, Or Us Talaq Ki Iddat Guzarne Ke Baad Pahle Wale Shohar Ke Paas Agar Jana He To Fir Se Nikah Padhna Padhega.

Jab Vo Nikahe Jadeed, Dusra Nikah Padhne Ke Liye Shohare Awwal Ke Paas Jayegi To Us Waqt Us Shohare Awwal Ko Maloom Ho hi Jayega Ki Ye Halala Kar Diya He, Algarz Agar Vo Is Tarah Khufya Taur Par Halala Karle Chahe Shohare Awwal Raazi Ho Ya Na Ho, Or Uski Iddat Guzar Jaye, Or Iddat Guzar Jane Ke Baad Fir Vo Shohare Awwal Se Dubara Nikah Karle, To Fir Ba-dastoor Vo Uski Biwi Ho Jayegi Or Baadahu Vo Hambistari Wagairah Kar Sakti He, Magar Jab Tak Halala Na Kiya Shohare Awwal Ke Upar Vo Haram vo Ajnabi He, Dono Ke Bich Me Kisi Qism Ka Koi Ta'alluk Qaaim Hona Ye Khalis Zina He, Or Jo Bachcha Usse Paida Hoga Vo Waladuzzana Hoga Harami Hoga, In Tamam Baato Ko Malhoos Rakha Jaye, Fir Bhi Agar Kisi Kareebi Aalime Deen Se Mas'ala Khub Achchi Tarah Se Maloom Karle Fir Vo Jis Tarah Se Hidayat Farmaye Us Par Amal Kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts