Imam Bada Par Fatiha Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamo Alykum Sawal Y H Ki Aajkal Dekhne Ko Milta H Ki Ladkiya  Imambada Pe Ja Kar Fatiha Karwati H Shirni Wagairah To Kya Ladkiyo Ka Wha Jana Sahi Hai Jawab Inayat Farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Imaam Bada Ya Chok Par Ja Kar Taziya Par Fatiha Wagairah Karna Mard Aurat Kisi Ko Jaiz Nahi, Or Aurtoñ Ka Be Pardagi Se Jana Badarja Awla Najaizo Haram Gunah Ka Kaam He.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Masnooee Karbala Ko Jana, Aurtoñ Ka Taziye Dekhne Ko Nikalna, Ye Sab Baateñ Haram W Gunah W Najaaiz W Mana'a Hai. Fatiha Jaaiz He Roti Shirni Sharbat Jis Cheez Par Ho, Magar Taziya Par Rakh Kar Ya Uske Samne Hona Jahalat He Or Us Par Charhane Ke Sabab Tabarruk Samajhna Himaqat He Haañ Taziya Se Juda Jo Khalis Sachchi Niyyat Se Hazraate Shohda E Kiram RadiAllahu Anhum Ki Niyaz Ho Vo Zaroor Tabarruk He.
*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-498, Raza Foundation)*

Or Huzur Bahrul Uloom Alaihir Rahma Farmate Hai,
Chok Or Taziya Daari Ye Sab Najaaiz He Is Liye Wahañ Fatiha Dena Najaaiz He Shohda E Karbala Ridwanallahu Ajmaeen Ki Fatiha Ghar Me Paak W Saaf Jagah Dena Chahiye.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-5, S-446)*

Isi Tarah Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate Hai,
Chok Par Ya Taziya Ke Samne Shirni Wagairah Rakh Kar Fatiha Karna Jaaiz Nahi.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-524)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓27 Aug 2020, 7 Muharram 1442*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Ko Kiraye Pe Makan Dena Kesa Jis Me Vo Kufr Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam O Alaikum
Zaid Apna Makan Kiraye Par Dena Chahta Hai Gair Muslim Ko Ab Gair Muslim Ghar Me Ayega To Puja Wagarah Bhi Karega To Kiya Wo Apna Makan Kiraye Par Gair Muslim Ko De Sakta Hai
Rahnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Musalman Ne Gair Muslim Kafir Wagairah Ko Makan Rahne Ki Niyyat Se Kiraye Par Diya He To Fir Musalman Par Koi Hukm Nahi Kafir Usme Pooja Ya Kufr Kare Ya Kuchh Bhi Kare. Lekin Agar Koi Musalman Kafiro Ko Makan Dene Se Parhez Kare To Bahetar Warna Kafir Ko Rahne Ke Liye Diye Makan Me Kafir Kuch Bhi Kare Uska Wabal Makan Malik Par Na Hoga.

Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Sarkar Mufti Aazame Hind Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Kuffar W Fussaqo Fujjar Makan Kiraya Par Lete Hai Us Me Boodobaash (Rahte He) Karte Hai. Kafir Us Me Kufr Karta He Pooja Paat Karta He Kalimate Kufr Bakta He Fussaq W Fujjar Sharab Peete Hai Banate Hai Bechte Hai Zina Gina Hota He Is Sab Ka Wabal Un Par He, Makan Wale Par Iska Ilzam Nahi Hoga Ki Usne Makan Is Liye Nahi Diya He Ki Kafir Usme Kufr Kare Or Faasiq W Faajir Usme Fisqo Fujoor.
*📚(Fatawa Mustafiya, S-269)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 Aug 2020, 7 Muharram 1442*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hazrat Umar Ko Murade Rasool ﷺ Kahna

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
 Kya Ye Post Durust He ?
Tamam Sahaba RadiAllahu Anhu Mere Nabi  ﷺ Ke Mureed He Lekin Hazrat Umar Bin Khattab RadiAllahu Anhu Mere Nabi  ﷺ Ki Muraad Hai.

*🌹JAWAB:-🌹*
بسم اللہ الرحمن الرحیم
 الجواب
وعلیکم السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ
Yuñ To Tamam Hazrat E  Sahaba E Kiram رضوان اللہ تعالی علیھم اجمعین Hamare Aaqa Huzoorﷺke Mureed Hai Is Me  Hazrat E Umar Farooq E Aazam  رضی اللہ تعالی عنہ Bhi Shamil Hai ...ha Hazrat E Umar Ke Bare Me Hamare Aaqa Huzoor ﷺ ne Khas Dua Farmayi Thi Voh Ye K
اعزالاسلام باحدالرجلین اما ابن ہشام واماعمر بن الخطاب..
Ya Alllah Islam Ko Abu Jahal Ya Umar Bin Khattab Se Moazzaz Farma.
*📚(Jame'a Tirmizi)*

Aur Tibrani Ki Rivayat Hai :-
اَ لّٰھُمَّ اَعِزَّ الاِسلاَمِ بِاَحَبِّ الَّجُلَینِ اِلَیکَ بعمر بن الخطاب اَو بِاَبِی جہل بن ہشام
Yani Islam Ko In Dono Me Jo Tera Mahboob Hai Kisi Ek Se Izzat Ata Farma...
Isi Vajah Se Hazrat E Umar Ko Murad E Rasul ﷺ Bhi Kehte Hai...
Aur Isi Taraf Sarkar Aala Hazrat قدس سرہ Ne Ishara Farmaya :-
جلو میں اجابت خواصی میں رحمت
بڑھی کس تزک سے دعائے محمد

اجابت نے جھک کر گلے سے لگایا
بڑھی ناز سے جب دعائے محمد

اجابت کا سہرا عنایت کا جوڑا
دلہن بن کے نکلی دعائے محمد
Alhasil Jo Bat Post Me Likhi Hai Durust Hai.
 ھذا ما ظھر لی و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️19 Aug 2020, 28 Zilhijja 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Me Namaze Janaza Padhna Kesa?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Masjid Me Namaze Janaza Padna Kisa He Tafseel Ke Sath Jawab Inyat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Masjid Me Namaze Janaza Padhna Makroohe Tahrimi, Najaaizo Gunah He.

Hidaya Me He,
لایصلی علٰی میت فی مسجدجماعۃ لقول النبی صلی اللہ تعالی علیہ وسلم من صلی علٰی جنازۃ فی المسجد فلااجرلہ ولانہ بنی لاداء المکتوب ولانہ یحتمل تلویث المسجد و فیہا اذاکان المیت خارج المسجد اختلف المشائخ
Yaani Masjide Jama'at Me Kisi Mayyat Ki Namaze Janaza Na Padhi Jayegi Is Liye Ki Nabi  ﷺ Ka Irshad He: Jisne Masjid Me Namaze Janaza Padhi Uske Liye Ajr Nahi. Or Is Liye Ki Masjid Farz Namazoñ Ki Adaayegi Ke Liye Bani He. Or Is Liye Isme Masjid Ki Aaloodgi Ka Ehtemaal He. Or Hidaya Me He: Jab Mayyat Masjid Ke Bahar Ho To Isme Mashaaikh Ka Ikhtelaf He.
*📚(Hidaya Fasl Fees Salaat Alal Mayyat, Matbooah Maktabul Arbiyah Karachi, J-1, S-161)*
Ba Hawala: *📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-9, S-258)*

Or Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma Ek Jagah Irshad Farmate Hai,

Janaza Masjid Me Rakh Kar Us Par Namaz Mazhabe Hanfi Me Makroohe Tahreemi He,

Tanweerul Absaar Me He,
کرھت تحریما فی مسجد جماعۃ ھی فیہ واختلف فی الخارجۃ والمختارالکراھۃ
Masjide Jama'at Me Namaze Janaza Makroohe Tahrimi He Jab Ki Janaza Masjid Ke Andar Ho, Or Agar Bahar He To Is Baare Me Ikhtelaf He, Mukhtar Ye He Makrooh He.
*📚(Durre Mukhtar Baab Salaatul Janaaiz, Matbooah Matba E Mujtabaai Dehli, J-1, S-123)*

Namaze Janaza Bahut Halki Or Jald Hone Wali Cheez He Itni Der Dhoop Ki Takleef Aysi Nahi Ki Uske Liye Makroohe Tahreemi Gawara Kiya Jaye Or Masjid Ki Behurmati Rawa Rakheñ. Rahi Namaz, Vo Ada Ho Jayegi, Farz Utar Jayega Or Mukhalifate Hukm Ka Gunah Or Nafse Namaz Ka Sawab Allah Azwajal Ke Haath, Jaise Koi Magsoob Zameen Me Namaze Panjgana Padhe.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-9, S-259)*

Or Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Masjid Me Namaze Janaza Mutlaqan Makroohe Tahreemi He, Khwañ Mayyat Masjid Ke Andar Ho Ya Bahar, Sab Namazi Masjid Me Hoñ Ya Ba'az, Ki Hadees Me Namaze Janaza Masjid Me Padhne Ki Mumane'at Aai.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-4, S-190)*

Lihaza Masjid Me Namaze Janaza Padhna Jaaiz Nahi Makroohe Tahrimi Or Gunah He. Mazeed Tafseel Ke Kiye Fatawa Razviya Jadeed Jild 9 Ka Muta'ala Farmaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓13 Aug 2020, 22 Zilhijja 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Awam Ko Ahle Bayt Ya Sahaba Ki Taraf Khata E Ijtehadi Ki Nisbat Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam Hazrat

Abhi Ke Mahol Ko Dekhte Hue
Awaam Me Kuch Log Keh Rahe Hai Fala Shksiyat Khata Pr Thi Fala Khata Pr Tha Me Nabi Ki Khata Bhi Sabit Kr Skta Hu... Etc

To Hazrat Ese Awam Hi Age Bole Ke Nabi Bhi Khata Krte Hai Ijtihadi To Kya Ye Sahi Hai

Awaam Ko Ye Haq Hasil Hai Ki Vo Ahly Bait, Sahaba, Our Ambiya Ki Taraf Khata Ki Nisbat Kre?  Chahe Vo Ijtihadi Ho Ya Kuch Our.

Hazrat Awam Ka Esa Krna Kesa Hai Plz Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
بِسمِ اللّٰہِ الرَّحمٰنِ الرحیم
Aqaaide Ahle Sunnat Ka Ilm Har Sunni Ko Hona Chahiye, Or Ijtehadi Khata Ka Mas'ala Bhi Aqaaid Hi Se Ta'alluq Rakhta He,

Lekin Ye Baat Yaad Rakheñ Ki Ijtehadi Khata Mo'asiyat W Gunah Hargiz Nahiñ Balki Mujtahid Ko Is Par Sawab Milta He. Kyuñ Ki Ijtehadi Khata Me Mujtahid Ka Qasd Hargiz Gunah Karna Nahiñ Hota Balki Daleele Sharaee Ki Roshni Mai Mujtahid Apni Ek Qissa Or Samajh Ko Bayan Karta He. Agar Vo Durust Nahiñ Hoti To Usko Ijtehadi Khata Kahte Hai.

Misaal: Abul Bashar Hazrat Aadam Ala Nabiyyina W Alaihis Salam Ne Shajare Mamnoo'ah Se Kha Liya Tha Ye Aapki Ijtehadi Khata Thi Jis Me Allah Ke Hukm Ki Na Farmani Ka Qat'an Qasd W Iradah Nahiñ Tha Isi Liye Allah Ta'ala Ne Aapki Is Ijtehadi Lagzish Ke Bare Me Yuñ Irshad Farmaya,
وَلَقَدْ عَهِدْنَا إِلَىٰ آدَمَ مِن قَبْلُ فَنَسِيَ وَلَمْ نَجِدْ لَهُ عَزْمًا
Tarjamah: Or Beshak Hamne Aadam Ko Isse Pahle Takeedi Hukm Diya Tha Vo Bhul Gaya Or Hamne Uska Qasd (irada) Na Paya.
*(📚Kanzul Imaan, Surah Taha, Aayat-115)*

Yaani Allah Ta'ala Ne Hazrat Aadam Ko Takeed Ke Sath Hukm Diya Tha Ki Us Darakht Ke Qareeb Na Jana Magar Aapne Ijtehadi Taur Se Ye Samjha Ki Ye Mana'a Tahreemi Nahiñ Tanzeehi He. Isme Aapka Allah Ki Nafarmani Ka Bilkul Bhi Irada Nahiñ Tha Or Na Ho Sakta He Ki Tamam Ambiya Gunahe Sageera W Kabeera Se Ma'asoom Hote Hai.

Ye To Khata E Ijtehadi Ka Mukhtasar Mafhoom Tha Ab Rahi Baat Sawal Ki To Ye Achchi Tarah Samajh Lijye Ki Allah Ke Mahboob Bande Ambiya, Ahle Bayt, Sahaba, Awliya Allah Ye Sab Ke Sab Allah Ki Bargah Me Badi Shaan Wale Hai Hameñ Koi Haq Hargiz Nahiñ Ki Unki Shaane Aqdas Meñ Koi Na Zeba Baat Kaheñ Agarche Ijtehaadi Khata Ki Bahas Hi Mai Kyuñ Na Ho.. Hargiz Durust Nahiñ. Kahañ Vo Ma'asoom W Mahfooz Shakhsiyateñ Or Kahañ Ham Jaise Badkaar Gunahgar.

Lihaza Awam To Door Aulma Ko Bhi Ayse Masaail Mai Khub Achcha Mutalaa Karke Apne Aslaaf Ke Haq Mauqif Hi Ko Bayan Kare Khud Apni Taraf Se Na Ghataye Badhaye. Isi Me Aafiyat He.. Or Rahi Awam To Pahle Awam Ko Is Qism Ke Masaail Me Ulajhna Hi Na Chahiye Balki Aulma E Haq Ke Irshadat Par Amal Kareñ Or Ayse Masaail Me Unse Puchheñ Or Unki Baatoñ Par Amal Kareñ.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad W Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujarat_*
*🗓️9 Aug 2020, 18 Zilhijja 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ham Ajmi He Bagair Tajweed Ke Quraan Padh Sakte He Kahna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alykum Hazrat

Agr Koi Shaks Yeh Kahe Ke *ke Quran Ko Tajweed Se Parhna Zruri Nahi He Hm To Ajmi Log He Islam Me To Asani He  Shariyat Ne To Hme  Chhoot De Rakhi He*

👆🏻 Ese Shaks Ko Kya Jawab Diya Jaye Ba-Daleel Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aysa Kahne Wala Shakhs Sakht Gunahgar He Us Par Lazim He Ki Fauran Taubah Kare, Or Agar Mutlaqan Tajweed Sikhne Ya janne Ko Naahaq Bataya To Kufr He.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Tajweed Banasse Qataee Qura'an W Akhbaare Mutwaatira Saiyedul Inso Jaan Alaihi W Ala Aala Afzalus Salaat Wa Salaam W Ijama E Taam Sahaba W Taba'aeen W Saair A'imma E Kiram Alaihimur Ridwanul Mustadaam Haq W Wajib Or Ilme Deen Shara'a Ilahi He,

Allah Ta'ala Ka Ka Farman He,
ورتَّلِ القرآن ترتیلا
Or Qura'an Ko Khub Thahar Thahar Kar Padho

Use Mutlaqan Naahaq Batana Kalma E Kufr He Wal Ayazo Billahi Ta'ala. Haañ Jo Apni Nawaqifi Se Kisi Qa'ade Par Inkar Kare Vo Uska Jahal He Use Aagah W Mutnabeh Karna Chahiye.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, S-323)*

Or Farmate Hai,
Itni Tajweed (sikhna) Ki Har Harf Dusre Harf Se Sahih Mumtaz Ho Farze Ayn He. Bagair Iske Namaz Qata'an Batil He..
*📚(Fatawa Razviya, J-3, S-253)*

Farze Ayn Vo Farz He Jiska Ada Karna Har Aaqil Balig Par Is Tarah Laazim W Zaroori Ho Ki Ek Ke Karne Se Dusre Ke Zimma Se Saaqit Na Hoga Jaise Namaz Roza Farze Ayn Hai, Uska Karna Zaroori, Bila Kisi Azr Ke Chhodne Wala Fasiq Or Jahannami Or Uska Inkar Karne Wala Kafir He.

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate Hai,
Aham Cheezon Me Se Tajweede Qura'an Sikhna Bhi He Or Tajweed Huroof Ko Unke Huqooq Dena Or Unko Unke Asl Or Makhraj Ki Taraf Lautana He, Or Isme Koi Shak Nahi Jis Tarah Ummate Muslima Ma'ani  Qura'an Ke Faham Or Uski Hudood Ke Qayaam Ko Ibadat Jante Hai Isi Tarah Uske Alfaz Ki Tasheeh Or Uske Huroof Ki Us Sifate Jawaima Qura'a Se Manqool He Pur Adaeegi Ko Bhi Ibadat Jante Hai Or Un Qura'a Ki Qira'at Ka Silsila Nabi E Akram ﷺ Tak Pahunchta He, Or Aulma Ns Tajweed Ke Bagair Qura'an Padhne Ko Galat Padhna Qaraar Diya He.

Ahsanul Fatawa Fatawa Bazariya Wagairah Me He,

Galat Padhna Bil Ijma Haram He.
*📚(Fatawa Bazariya Ala Hashya Fatawa Hindiya Saani Feel Ibadat, J-6, S-353)*

Walihaza A'imma E Deen Tasreeh Farmate Hai Ki Aadmi Se Agar Koi Harf Galat Hota Ho To Uaki Tasheeh W Ta'alim Me Us Par Koshish Wajib Balki Bahut Aupma Ne Us Saee Ki Koi Had Muqarrar Na Ki Or Hukm Diya Ki Umr Bhar Rozo Shab Hamesha Jahad Kiye Jaye.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-261)*

Lihaza Itni Tajweed Sikhna Ki Ek Harf Dusre Harf Se Mumtaz Ho Sake Farze Ayn He Chahe Ajmi Ho Ya Arbi Sabhi Musalman Par Tajweed Sikhna Lazim W Zaroori He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓7 Aug 2020, 16 Zil Hijja 1441*
📲+91848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Bewa Aurat Par Qurbani Wajib He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Koi Bewa Aurat Hai To Uske Upar Kya Qurbaani  Wajib Hai

Kya Qabr Me Azab Or Sawal Jawab Roz Hote He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Marne Ke Baad Qabr Mein Kya Har Roz Azab Hota Hai Kya Sawalo Jawab Har Roz Hotey Hai Bahawala Jawab Inayat Farmai Meherbani Hogi Hazrat

🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Qabr Me Sawalo Jawab Usi Waqt Hote Hai Jab Murde Ko Dafn Kiya Jata He Uske Baad Agar Usne Jawab Sahih Diye He To Jannat Ki Khidki Khol di Jaati He aur yeah Kah kar (Ki So Ja Jaise Nai Naweli Dulhan Soti hai) Use Sula Diya Jata He, Or Agar Sawalo Ke Jawab Sahih Nahi Diye He To Jahannum Ki Khidki Khol Di Jati He, Or Qayamat Tak Uske Upar Har Roz Azab Hota Rahega. Sawal o Jawab Sirf ek Hi Baar Hote He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujarat_*
*🗓️20 July 2020, 28 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zilhijja Ki Chand Raat Ko Baal Nakhun Katna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum

Kya Baal Nakhun Wagera Chand Raat Ko Katana Kesa He???

Muharram Me Siyah Laal Or Hare Rang Ke Kapde Pahanna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmat Ullahi Wa Barkatuh
Muharram Ke Din Laal(Red), Hara(Green), Ya Kala(Black) Rang Ke Kapde Ya Kurta Pehenna Kaisa??


*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Ayyame Muharram Me Yaani Pahli Muharram Se Barhviñ (12) Tak 3 Qism Ke Rang Na Pahne Jayeñ, Siyah Ke Ye Rafziyoñ Ka Tareeqa He Or Sabz Ki He Mubtadaeen Yaani Taziya Daroñ Ka Tareeqa He Or Surkh Ki Ye Kharjiyoñ Ka Tareeqa He, Ki Vo Ma'azallah Izhare Masarrat Ke Liye Surkh Pahante Hai.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-16, S-59)*

Fatawa Hindiya Me He,
Matam Ki Wajah Se Siyah (black) Libas Pahanna Haram He.
*📚(Fatawa Hindiya, J-5, S-333, Noorani Kutub Khana Peshavar)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Ayyame Muharram Shareef Me Sabz (Green) Libas Jis Tarah Jahiloñ Me Murawwaj He Najaaiz W Gunah He. Or Ooda Ya Neela Ya Abi Ya Siyah (black) Or Badtar He. Ki Rawafiz Ka Shuaar Or Unki Tashbah He Is Tarah In Ayyam Me Surkh (laal/red) Bhi Naasbi Khabees Ba Niyyat Khushi W Shadi Pahante Hai.
*📚 (Fatawa Razviya Jadeed, J-22, S-180)*

Or Aage Farmate Hai,
Muharram Me Sabz Or Siyah Kapde Alamate Sog (Mourning/Sadness) Hai Or Sog Haram He Khusoosan Siyah Ki Shuaare Rawafiz Libas He.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-24, S-746)*

Lihaza Ayyame Muharram Me In 3 Rango Ko Na Pahna Jaye.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓23 Aug 2020, 3 Muharram 1442*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Watan Se Muhabbat Imaan Ka Hissa He Hadees Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Watan Se Muhabbat Iman Ka Hissa He Kya Is Tarah Ki Koi Hadees He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
حب الوطن من الایمان
(Watan Se Muhabbat Iman Ka Hissa He) Na Hadees Se Sabit Na Hargiz Iske Ye Ma'ana.

Imam Badruddin Zarkashi Ne Apne Juz Or Imam Shamshuddin Sakhaavi Ne Maqaaside Hasna Or Imam Khatimul Huffaz Jalaluddin Suyuti Ne Al-Durrul Muntashirah Me Bil-ittefaq Is Riwayat Ko Farmaya: Me Is Se Aagah Nahi Ho Saka.
*📚(Al-Maqaaside Hasnah Lil Sakhaavi, Hadees- 386, S-109)*

Aage Farmate Hai,

Vo Watan Jis Ki Muhabbat Iman Se He Watane Asli He Jahañ Se Aadmi Aaya Or Jahañ Jana He.
کن فی الدنیا کانک غریب اوعابرسبیل
وحسبنا اﷲ ونعم الوکیل
Yaani Dunya Me Is Tarah Raho Jaise Ajnabi Ho Ya Musafir, Or Hamare Liye Allah Ta'ala Kaafi He Or Wahi Sabka Kaarsaaz He.
*📚(Kanzul Ummal, Hadees-6127, J-3, S-196)*
*📚(Quraan Kareem, Surah-3, Aayat-173)*
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-15, S-290)*

Or Muhaddiseen Ne Ise Mauzu Qaraar Diya He,
Jaisa Ki Mauzuaate Kabeer Me Hazrat Mulla Ali Qaari Hanfi Alaihir Rahma Likhte Hai,
وَأَمَّا حَدِيثُ «حُبِّ الْوَطَنِ مِنَ الْإِيمَانِ» فَمَوْضُوعٌ،
*📚(Mirqaatul Mafaateeh Sharah Mishkatul Masaabeeh, J-3, S-1158)*

Or Huzur Hakeemul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Taherir Farmate Hai,
Sufya Jo Farmate Hai Ki
 حُبِّ الْوَطَنِ مِنَ الْإِيمَانِ
Yaani Watan Ki Muhabbat Imaan Ka Rukn He, Wahañ Watan Se Murad Jannat He Yaani Asli Watan Ya Madina Munawwara Ki Vo Momin Ka Ruhani Watan He.
*📚(Miratul Manaajeeh, J-2, S-431)*

Lihaza Is Tarah Ka Qaul Ki Watan Ki Muhabbat Imaan Ka Hissa He Huzur ﷺ Se Sabit Nahi, Ise Muhaddiseen Ne Mauzu Qaraar Diya He, Haañ Sufiya E Kiraam Se Is Tarah Ka Qaul Saabit He Lekin Iska Hargiz Vo Ma'ana Nahi Jo Awaam Leti He, Balki Watan Se Murad Watane Asli He, Jahañ Se Aadmi Aaya Or Jahañ Marne Ke Baad Jana He, Ya Madina Munawwara Jo Momin Ka Ruhani Watan He. Lihaza Is Qaul Ki Nisbat Huzur ﷺ Ki Taraf Karna Ya Ise Hadees Kahna Hargiz Munasib Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 Aug 2020, 23 Zilhijja 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts