Awam Ko Ahle Bayt Ya Sahaba Ki Taraf Khata E Ijtehadi Ki Nisbat Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam Hazrat

Abhi Ke Mahol Ko Dekhte Hue
Awaam Me Kuch Log Keh Rahe Hai Fala Shksiyat Khata Pr Thi Fala Khata Pr Tha Me Nabi Ki Khata Bhi Sabit Kr Skta Hu... Etc

To Hazrat Ese Awam Hi Age Bole Ke Nabi Bhi Khata Krte Hai Ijtihadi To Kya Ye Sahi Hai

Awaam Ko Ye Haq Hasil Hai Ki Vo Ahly Bait, Sahaba, Our Ambiya Ki Taraf Khata Ki Nisbat Kre?  Chahe Vo Ijtihadi Ho Ya Kuch Our.

Hazrat Awam Ka Esa Krna Kesa Hai Plz Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
بِسمِ اللّٰہِ الرَّحمٰنِ الرحیم
Aqaaide Ahle Sunnat Ka Ilm Har Sunni Ko Hona Chahiye, Or Ijtehadi Khata Ka Mas'ala Bhi Aqaaid Hi Se Ta'alluq Rakhta He,

Lekin Ye Baat Yaad Rakheñ Ki Ijtehadi Khata Mo'asiyat W Gunah Hargiz Nahiñ Balki Mujtahid Ko Is Par Sawab Milta He. Kyuñ Ki Ijtehadi Khata Me Mujtahid Ka Qasd Hargiz Gunah Karna Nahiñ Hota Balki Daleele Sharaee Ki Roshni Mai Mujtahid Apni Ek Qissa Or Samajh Ko Bayan Karta He. Agar Vo Durust Nahiñ Hoti To Usko Ijtehadi Khata Kahte Hai.

Misaal: Abul Bashar Hazrat Aadam Ala Nabiyyina W Alaihis Salam Ne Shajare Mamnoo'ah Se Kha Liya Tha Ye Aapki Ijtehadi Khata Thi Jis Me Allah Ke Hukm Ki Na Farmani Ka Qat'an Qasd W Iradah Nahiñ Tha Isi Liye Allah Ta'ala Ne Aapki Is Ijtehadi Lagzish Ke Bare Me Yuñ Irshad Farmaya,
وَلَقَدْ عَهِدْنَا إِلَىٰ آدَمَ مِن قَبْلُ فَنَسِيَ وَلَمْ نَجِدْ لَهُ عَزْمًا
Tarjamah: Or Beshak Hamne Aadam Ko Isse Pahle Takeedi Hukm Diya Tha Vo Bhul Gaya Or Hamne Uska Qasd (irada) Na Paya.
*(📚Kanzul Imaan, Surah Taha, Aayat-115)*

Yaani Allah Ta'ala Ne Hazrat Aadam Ko Takeed Ke Sath Hukm Diya Tha Ki Us Darakht Ke Qareeb Na Jana Magar Aapne Ijtehadi Taur Se Ye Samjha Ki Ye Mana'a Tahreemi Nahiñ Tanzeehi He. Isme Aapka Allah Ki Nafarmani Ka Bilkul Bhi Irada Nahiñ Tha Or Na Ho Sakta He Ki Tamam Ambiya Gunahe Sageera W Kabeera Se Ma'asoom Hote Hai.

Ye To Khata E Ijtehadi Ka Mukhtasar Mafhoom Tha Ab Rahi Baat Sawal Ki To Ye Achchi Tarah Samajh Lijye Ki Allah Ke Mahboob Bande Ambiya, Ahle Bayt, Sahaba, Awliya Allah Ye Sab Ke Sab Allah Ki Bargah Me Badi Shaan Wale Hai Hameñ Koi Haq Hargiz Nahiñ Ki Unki Shaane Aqdas Meñ Koi Na Zeba Baat Kaheñ Agarche Ijtehaadi Khata Ki Bahas Hi Mai Kyuñ Na Ho.. Hargiz Durust Nahiñ. Kahañ Vo Ma'asoom W Mahfooz Shakhsiyateñ Or Kahañ Ham Jaise Badkaar Gunahgar.

Lihaza Awam To Door Aulma Ko Bhi Ayse Masaail Mai Khub Achcha Mutalaa Karke Apne Aslaaf Ke Haq Mauqif Hi Ko Bayan Kare Khud Apni Taraf Se Na Ghataye Badhaye. Isi Me Aafiyat He.. Or Rahi Awam To Pahle Awam Ko Is Qism Ke Masaail Me Ulajhna Hi Na Chahiye Balki Aulma E Haq Ke Irshadat Par Amal Kareñ Or Ayse Masaail Me Unse Puchheñ Or Unki Baatoñ Par Amal Kareñ.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad W Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujarat_*
*🗓️9 Aug 2020, 18 Zilhijja 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts