*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rehamtulahi Wa Barkatuhu..
Hamare Do Sawal Hai...👇
1) Kya Agr Makeup Hua Hai Toh Kya Humari Namaz Hojayegi Ya Nhi???
2) Aur Agr Wazu Hone Ke Baad Makeup Kare Tu Kya Wazu Toot Jayega Ya Nhi???
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aurtoñ Ke Liye Mackup Karna Jaaiz He Jabki Usme Napaak Cheez Ki Aamezish Na Ho Or Agar Mackup Wagairah Jarm Daar Ho Jis Ki Wajah Se Paani Na Pahunch Sake, To Usko Saaf Kiye Bagair Wuzu Ya Gusl Sahih Nahi Hoga, Or Usme Namaz Bhi Sahih Na Hogi.
Fatawa Europe Me He,
Lipstick Or Nakhun Palish Jin Me Haram Of Napaak Ashya Ki Aamezish Ho Unka Istemal Muslima Auratoñ Ke Liye Haram He. Or Unke Lage Rahne Ki Soorat Me Na Wuzu Sahih He Na Gusl Or Na Hi Namaz.
Haañ Agar Lip Stick Or Nel Palish Ke Sath Uska Formula Bhi Maujud Ho Jis Me Zanne Galib Ho Ki Usme Koi Napaak Or Haram Ashya Ki Milawat Nahi He To Uska Istemal Muslima Aurtoñ Ke Liye Jaaiz He Ki Vo Samane Zeenat He Or Aurtoñ Ke Liye Zeenat Rawa He.
Phir Agar Lip Stick Or Nakhun Palish Ka Jarm Paani Ke Bahaaw Ko Na Roke Or Vo Laboñ Or Nakhun Par Maujud Ho To Aurtoñ Ke Liye Maane'a Wuzu W Gusl Nahi Hona Chahiye Kyuñ Ki Lip Stick Or Nel Palish Ka Wahi Hukm He Jo Mahendi Or Mahendi Ke Jarm Ka He, Jaisa Ki Aala Hazrat Imame Ahle Sunnat Fazile Barailvy Alaihir Rahma Ne Ta'aleeqate Shami Me Surma Ke Jarm Ko Mahendi Ke Jarm Ki Tarah بدلالۃ النّص Sabit Farmaya.
Or Durre Mukhtar Jild Awwal Me He,
لا یمنع الطھارۃ خرءذ باب وبر غوث لم یصل الماء تحتہ وحنا ولو جرمہ بہ یفتی,اھ
Ye Aasani Zeenat Ke Sabab Aurtoñ Ko Di Gai He Warna Gusl Ka Itlaaq Az Rooe Istelahe Fiqhi Is Par Sadir Nahi Aata.
Yaani Baaz Aulma Muhaqqiqeen Ke Nazdeek Nakhun Palish Pent Ki Tarah He Jis Me Sarayat W Nafooz Ki Salahiyat Nahi He Lihaza Vo Wuzu W Gusl Ke Adame Sehat Ka Hukm Dete Hai Or Ye Pur Zahir Ki Ikhtelafe Aulma Se Bachna Awla He. Pas Ehtiyat Isi Me He Ki Aysi Cheezoñ Ka Istemal Hi Na Kiya Jaye.
*📚(Fatawa Europe, S-107, 108)*
Or Tafhimul Masail Me He,
(Lipstick Wagairah Mackup) Ke Ajza Tarkeebi Me Koi Napaak Cheez Shamil Na Ho Or Agar Lip Stick Water Proof He Or Uske Lage Rahne Ki Wajah Se Hontoñ Ki Jild Wuzu Ke Dauran Paani Se Tar Nahi Hoti To Wuzu Ada Nahi Hoga Or Ayse Natamam Wuzu Se Namaz Sahih Ada Nahi Hogi Or Jo Cheez Kisi Sharaee Farz Ki Sehat Ada Me Maane'a Ban Jaye Vo Jaaiz Nahi He.
*📚(Tafhimul Masail, J-1, S-187)*
Isi Tarah Sirajul Fuqha Ki Deeni Majalis Me Lipstick Ke Ta'alluq Se He,
Suna He Isme Alcohol Ki Aamezish Hoti He Is Liye Bachna Bahetar He Or Tahqeeq Se Ye Aamezish Sabit Ho Jaye To Uska Istemal Haram W Gunah He.
Jaaiz Khilafe Awla Hone Ki Soorat Me Bhi Ye Farz He Ki Junubi Or Be Wuzu Aurat Or Wuzu Ke Waqt Achhi Tarah Chhura Kar Hont Saaf Karleñ Warna Na Wuzu Hoga Na Gusl Kyuñ Ki Lipstick Se Hont Par Na Jam Jati He Jiske Baais Wahañ Paani Nahi Pahunchega To Vo Paak Bhi Na Hoga.
*📚(Sirajul Fuqha Ki Deeni Majalis, S-144)*
Lihaza Aysa Mackup Istemal Karna Jisme Koi Napaak Ya Haram Ashya Ho To Najaaizo Haram Or Usme Namaz Bhi Na Hogi, Or Aysa Mackup Jo Jarm Daar Ho Jisse Paani Na Pahunch Sake To Wuzu Ya Gusl Sahih Na Hoga Or Namaz Bhi Sahih Nahi Hogi. Baqiya Soorat Me Bhi Ehtiyat Isi Me He Ki Namaz Ke Waqt Mackup Wagairah Sahih Se Saaf Kar Liya Jaye. Or Wuzu Ke Baad Mackup Kiya Jisme Koi Napaak Ashya He To Namaz Na Hogi Or Agar Napaak Ashya Nahi Na Koi Or Wajhe Mumane'at To Namaz Ho Jayegi..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓8 Jan 2021, 23 Jamadi Ul Awwal 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment