Girvi Zameen Ki Kheti Se Fayda Uthana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum. Hazrat Sawal Ye H Ki Zaid Ne Ek Shakhs Se 25000 Rs Liya Aur Kaha Ki Meri Ek Bigha Zamin Lelo Uski Paidwar Khao Jab Rupye Wapas Karunga Tab Apni Zamin Lunga Kya Aisa Karna Jaiz H Jawab Inayat Farmayen


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ye Muamla Bazaahir Rahan Ka He. Lekin Sharaee Nuqta E Nazar Se Qarz Basharte Nafa'a Ka He. Yaani Rupye Qarz De Kar Maqrooz Ki Zameen Se Nafa'a Hasil Karne Ki Shart Hoti He Is Liye Musalman Musalman Ke Darmiyan Ye Karobar Najaaiz He. Hadees Shareef Me He,

كل قرض جر منفعة فهو ربا

Or Durre Mukhtar Me He,

لا الانتفاع به مطلقا لا بالاستخدام ولا سكنى ولا لبس ولا اجارة ولا اعارة كان من مرتهن او راهن

*📚(Jild-6, Safha-482)*


Lihaza Bakar Ka Zaid Se Kuchh Rupye Le Kar Apna Khet Uske Paas Is Shart Par Rahan(girvi) Rakhna Ki Tum Khet Se Faaida Uthate Raho Or Jab Ham Tumhare Pure Rupye Wapas Kardeñge To Tum Hamara Khet Wapas Kar Dena Ye Najaaizo Haram He. 


Haañ Hal Ki Ek Soorat Ye He Ki Bakar Jis Se Qarz Le Use Khet Kiraya Parde. Yaani Agar Munasib Kiraya Salana Paanch So Rupye Bigha Ho To Do Dhaaiso Me De Dale. Is Se Qarz Dene Wale Ko Bhi Faaida Hoga Ki Paanch So Ka Khet Use Do Dhaai So Me Mil Jayega. Or Ye Raqam Qarz Se Mujra Hoti Rahegi Jab Kul Raqam Ada Ho Jayegi Khet Wapas Mil Jayega.

(Isi Tarah Bahare Shariyat Me Bhi He)

*📚Makhuz:(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-270)*


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓7 Jan 2021, 22 Jamadi Ul Awwal 1442*

📲+91


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts