*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Mohtaram Hazraat Mera Ye Sawaal Hai Ki Jo Kisi Aise Ki Tareef Kare Jisko Poori Kaum Khuda Maanti Hai Apna Jaisa Hindu Ram Ko Maante Hai To Kya Hukm Lagega Uspe?? Agar Aap Ko Malum Ho Ubaidullah Aazmi Hai Uski Baat Krra Hu
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aulma E Ahle Sunnat Ne Is Ta'alluq Se Fatawa Sadir Farmaya Ki,
Kuffar Ke Devi Devtaoñ Ki Tareef Karna Khula Kufr He,
Fatawa Razviya Mutarjim Me He, Kuffar Ke Devtaoñ Ko Izzat Dena Sareeh Kalma E Kufr He.
*📚(Jild-14, S-625)*
Lihaza Aysa Shakhs Daira E Islam Se Bahar He Us Par Taubah Tajdeede Iman Or Agar Biwi Rakhta Ho To Tajdeede Nikah Farz He. Use Program Me Bulana Uski Taqreer Sunna Najaizo Gunah He.
Is Fatawa Ki Tasdeeq Hindustan Ke Kai Bade Bade Muftiyane Kiram Ne Farmai Jisme Huzur Tajushshariya Alaihir Rahma Or Huzur Muhaddise Kabeer Maddazilahul Aali Ki Bhi Tasdeeq He..
Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Fatmate Hai,
Kuffar Ke Mazhabi Jazbat Or Unke Devtaoñ Or Peshwaoñ Ko Izzat Dena Sareeh Kalma E Kufr He,
Allah Ta'ala Ne Farmaya,
وَلِلَّهِ الْعِزَّةُ وَلِرَسُولِهِ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَلَٰكِنَّ الْمُنَافِقِينَ لَا يَعْلَمُونَ
*📚(Surah Munafiqun, Aayat-8)*
Yaani Izzat To Khas Allah Or Uske Rasool Or Musalmano Ke Liye He Magar Munafiqo Ko Khabar Nahi.
Unke Devtaoñ Or Peshwaoñ Or Mazhabi Jazbat Ka Aezaz To Dar-kinar Jo Unke Kisi Fe'al Ki Tahseen Kare, Bil-ittefaqe A'imma Kafir He.
Gumzul Auyun Wal Basaair Me He,
اتفق مشائخنا ان من رأی امرالکفار حسنا فقد کفر
Yaani Jisne Kisi Kafir Ke Amal Ko Achcha Guman Kiya Vo Bil-ittefaqe Mashaikh Kafir He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-14, S-625)*
Or Isi Tarah Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Gair Muslimon Ki Devi Devtaoñ Ki Tareef Karna Unko Izzat Dena He, Phir Aage Likha Ki Jin Baato Se Unke Devtaoñ Ka Aezaz Zahir Ho, Sareeh Kufr He.
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-60)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️21 Jan 2021, 7 Jamadi Ul Aakhir 1442*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment