Shohar Ke Inteqal Par Biwi Par Iddat W Sog He Magar Biwi Ki Maut Par Shohar Par Iddat W Sog Kyuñ Nahiñ ?

 *Shohar Ke Inteqal Par Biwi Par Iddat W Sog He Magar Biwi Ki Maut Par Shohar Par Iddat W Sog Kyuñ Nahiñ ?*

Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Me Ki,
Agar Shohar Ka Inteqal Ho to Uski Biwi Us Par Iddat Karti He Par Biwi Ka Inteqal Hota He To Shohar Aysa Kuchh Kyuñ Nahiñ Karta He ? Donoñ Ka Hukm Barabar He to Shohar Ko Kya Karna Chahiye ? Bara E Karam Jawab Inayat Farma Kar Shukriya Ka Mauka Deñ..

*Al-Mustafti:* Muhammad Naved Raza, *Saakin:* Laal Poor Patti Qadar Khan, Rampur, Up

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*حامداومصليا و مسلما الجواب اللهم هداية الحق والصواب*

Maut Ahdul Zaujain Se Sirf Aurat Par Iddat Wajib He Mard Par Iddat Nahiñ Is Ki Kai Wajheñ Hai.. 

1 Wajah Ye He Ki Allah عَزَّوَجَلَّ  Ne Aurtoñ Par Iddat Guzarne Ka Hukm Diya He Mardoñ Ko Nahiñ, 

Allah Ta'ala Qur'aan Majeed Me Irshad Farmata He,
وَ الَّذِیۡنَ یُتَوَفَّوۡنَ مِنۡکُمۡ وَ یَذَرُوۡنَ اَزۡوَاجًا یَّتَرَبَّصۡنَ بِاَنۡفُسِہِنَّ اَرۡبَعَۃَ اَشۡہُرٍ وَّ عَشۡرًا ۚ
Tarjama: or Tum Me Jo Mareñ or Bibiyañ Chhore Vo Char Mahine Das Din Apne Aapko Roke Raheñ
*📚(Surah Baqrah, Aayat-234)*

Sharah Mukhtasar Al-Tahawi Me He,
العدة واجبة من يوم الطلاق ويوم الموت، وذلك لقول الله تعالى: يَتَرَبَّصْنَ بِأَنْفُسِهِنَّ أَرْبَعَةَ أَشْهُرٍ وَّعَشْرًا 
*📚[باب العدة والاستبراء، ج۵، ص۲۳۸]*

Ek or Maqam Par Irshad Farmaya,
وَاللَّاتِي يَئِسْنَ مِنَ الْمَحِيْضِ مِنْ نِّسَائِكُمْ إِنِ ارْتَبْتُمْ فَعِدَّتُهُنَّ ثَلَاثَةَ أَشْهُرٍ وَّاللَّائِي لَمْ يَحِضْنَ وَأُولاتُ الْأَحْمَالِ أَجَلُهُنَّ أَنْ يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ وَمَنْ يَّتَّقِ اللهَ يَجْعَل لَّهُ مِنْ أَمْرِهِ يُسْرًا 
Tarjama: Aur Tumhari Aurtoñ Me Jinheñ Haiz Ki Ummid Na Rahi Agar Tumheñ Kuchh Shak Ho to Unki Iddat 3 Mahine He or Unki Jinheñ Abhi Haiz Na Aaya or Hamal Waaliyoñ Ki Meaad Ye He Ki Vo Apna Hamal Jan Leñ Aur Vo Allah Se Dare Allah Uske Kaam Me Aasani Farma Dega.
*📚(Surah Talaq, Aayat-4)*

2 (Dusri) Wajah Ye He Ki Nikah Aurat Ke Haq Me Ek Azeem Ne'amat He Ki Ba-Wajhe Nikah Shohar Uski Hifazat W Siyaanat, Uska Nafqah, Kapda Or Maskan Ka Kharcha Bardasht Karne Ka Mukallaf Ho Jata He to Uske Faut Hone Par Aurat Par Iddat Wajib He Ki Us Ne'amate Azma Ke Faut Hone Par Gam Ka Izhaar Kare,

Imam Alauddin Abu Bakar Bin Mas'aood Kaasani رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ Raqam Taraaz He,
" ان العدة تجب لاظهار الحزن بفوت نعمة النكاح اذ النكاح كان نعمة عظيمة في حقهافان الزوج كان سبب صيانتها وعفافها وايفائها بالنفقة والكسوة والمسكن فوجب عليها العدة اظهار اللحزن بفوت النعمة وتعريف القدرها"
*📚(بدائع الصنائع في ترتيب الشرائع، فصل في عدة الاشهر، ج۴، ص۴۹۴)*

3 (Tisri) Wajah Ye He Ki Iddat Aurat Par Wajib He Taa Ki Waazeh Ho Jaye Ki Aurat Ke Raham Me Faut Shuda Mard Ka Nutfa He Ya Nahiñ ?,

Shaikhul Islam Burhanuddin Ali Bin Abu Bakar Margeenani  رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ Tahreer Farmate Hai,
"ان العدة للتعرف عن براءة الرحم لا لقضاء حق النكاح" و فيه ايضا : "يجب اظهار اللتاسف على فوت نعمة النكاح الذي هو سبب لصونهاو كفاية مؤنها"
*📚(ہدایہ اولین ، کتاب الطلاق، باب العدة، ص۴۰۴ تا ۴۰۷، مجلس برکات مبارک پور)*

Muhaqqiq Alal Itlaaq Imam Kamaaluddin Ibne Humaam رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ Raqam Farmate Hai,
"ان العدة تجب للتعرف وانها ايضا تجب لقضاء حق النكاح باظهار الاسف عليه"
*📚(فتح القدير، كتاب الطلاق، باب العدة، ج۴، ص۲۷۶)*

Durre Mukhtar Ma'a Tanweerul Absaar Me He,
"ثلاث حيض كوامل لعدم تجزى الحيضة، فالاولى لتعرف براءة الرحم والثانية لحرمة النكاح والثالثة لفضيلة الحرية" و في حاشيته الشامية: "بيان لحكمة كونها ثلاثا مع ان مشروعية العدة التعرف براءة الرحم أى خلوه عن الحمل وذلك يحصل بمرة فبين ان حكمة الثانية لحرمة النکاح ای لاظهار حرمته و اعتباره حيث لم ينقطع اثره بحيضة واحدة في الحرة والامة وزيد في الحرة ثالثة لفضيلتها"
 *📚(شامی، کتاب الطلاق، باب العدة ، ج۵، ص۱۸۲ ، زکریا)*

Imam Alauddin Abu Bakar Bin Mas'ood Kaasani رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ  Raqam Taraaz Hai,
"انما قدرت هذه العدة بهذه المدة لان الولد يكون في بطن امه اربعين يوما نطفة ثم اربعين يوما علقة ثم اربعين يوما مضغة ثم ينفخ فيه الروح في العشر فامرت بتربص هذه المدة ليستبين الحبل ان كان بها حبل"
*📚(بدائع الصنائع في ترتيب الشرائع، فصل في عدة الاشهر ، ج۴، ص۵۰۲)*

Or لباب فی شرح الکتب Me He,
"ان العدة للتعرف عن براءة الرحم لا قضاء حق النكاح والحيض هو المعرف والاشهر قائمة مقام الحيض"
*📚(کتاب العدۃ، الجزء الثالث، ص٨٥)*

Sadrushshariyah Allama Mufti Muhammad Amjad Ali Aazmi رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ  Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Tahreer Farmate Hai,
"Aurat Ke Liye Iddat Isi Liye He Taa Ki Wazeh Ho Jaye Ki Usko Hamal He Ki Agar Hamal Huva or Nikah Ho Gaya to Bachcha Ke Nasab Me Dushwari Paida Hogi or Iddat Ke Digar Asbaab Bhi Hai Jo Mard Me Nahiñ Paaye Jate.
*📚(فتاویٰ امجدیہ، کتاب الطلاق، باب العدۃ، ج٢، ص٢٩٠ تا ٢٩١)*

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza قدس سرہ Tahreer Farmate Hai,
"Us Par Chaar Mahine Das Din Iddat Farz He, 
Durre Mukhtar Me He,
" وللموت اربعة اشهر وعشر مطلقا وطںٔت اولا ولو صغيرة او كتابية تحت مسلم ولو عبدافلم يخرج عنها الا الحامل"
Ahkaame Ilaahi Me Chuñ Chara Nahiñ Karte, الاسلام گردن  نہادن نہ کہ زبان بجرأت کشدان Bahut Ahkaame Ilaahi Ta'addi Hote Hai or Jo Ma'aqool Al-ma'ani Hai Unki Hikmateñ Bhi Man W Tan Ki Samajh Me Nahiñ Aateñ, Subah Ki Do Magrib Ki Tin Baaqi Char Char Rak'ateñ Kyuñ Hai, Ta'arruf Baraate Raham Ke Liye Ek Haiz Kaafi Tha Teen Agar Ehtiyatan Rakhe Gaye to Iddate Wafat Haizoñ Se Badal Kar Mahine Kyuñ Hui or Hoti to Teen Mahine Hoti Jis Tarah Aaysa Sageerah Me Tin Haiz Ki Jagah Teen Mahine Qaaim Farmaye Hai Ek Mahina Das Din or Zaaid Kyuñ Farmaye Gaye, *Garz Ayse Behooda Sawaloñ Ka Darwaza Kholna Uloomo Barkaat Ka Darwaza Band Karna He,* Musalman Ki Shaan Ye He:
 "سمعنا واطعنا غفرانک ربنا و الیک المصیر“
Iddate Talaq Ta'arruf Bara'ate Raham Ke Liye He Qabl Khalwat Baraa'at Khud Ma'aloom Phir Iddat Kyuñ Ho or Iddate Wafaat Me Sirf Yahi Maqsood Nahiñ Balki Maute Shohar Ka Sog Bhi, or Usme Khalwat Hone Na Hone Ko Kuchh Dakhal Nahiñ, Rasoolallah ﷺ Farmate Hai,
"لا يحل لامرأةتومن بالله واليوم الآخر ان تحد على ميت فوق ثلث ليال الا على زوج اربعة اشهر وعشرا"
 رواه البخارى ومسلم عن ام المومنين ام حبيبة و زینب بنت جحش رضی الله تعالى عنهما
*📚(فتاوی رضویہ قدیم ، کتاب الطلاق، باب العدة، ج۵، ص۸۳۷ تا ۸۳۸).*
 واللہ تعالی اعلم۔
*✍️Mujeeb: Hazrat Muhammad Arif Husain Alghausi Rampuri*
*📬Al-Mutakhassis Fil-Fiqhe Al-Hanfi, Imam Ahmad Raza learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️18 Safar Ul Muzaffar 1445, 5 Sep 2023*

*✅Al-Jawabus Sahih, Wal Mujibun Najeeh, Wahuw Ta'ala Aa'alam*
*Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nashik*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Deeni Ijtema'a Ke Liye Wahabiyoñ Deobandiyoñ Se Chanda Lene or Unki Khatir W Tawaazeh Karne Wale Imaam Ke Pichhe Namaz Hogi Ya Nahiñ ?

 *Deeni Ijtema'a Ke Liye Wahabiyoñ  Deobandiyoñ Se Chanda Lene or Unki Khatir W Tawaazeh Karne Wale Imaam Ke Pichhe Namaz Hogi Ya Nahiñ ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Ke Bare Me Ki Zaid Sarzameene Akola Me Ek Jagah Ijtema'a Mun'aqid Kiya Jis Me Kamo Besh Hazar Se Zaaid Ta'adad Maujud Thi Jisme Ijtema'a Ke Zimme Daar Hafiz Sunni Saheehul Aqeedah Ne Deobandi Se 10 Hazar or Ek Dusre Shakhs Se 5 Hazar Naqad Raqam Liya or Us Raqam Ko Sunni Ijtema'a Me Shamil Kiya Or Unhiñ Paisoñ Par Program Karwaya or Wahabiyoñ Ke Khane Chay Paani Ka Intezam Kiya or Unhiñ Deobandiyoñ Ko Program Me Mad'aoo Kiya or Sunni Saheehul Aqeedah Musalmanoñ or Ijtema'a Me Maujud Khas Taur Par Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Ko Deobandiyoñ or Wahabiyoñ Ka Khana Chaye Paani Khilaya or Pilaya To Ab Aysi Soorat Me Shar'an Kya Hukm Lazim Aayega to Agar Yahi Shakhs Imamat Kare to Uska Imamat Karana Durust He ? Az-raahe Karam Jawab Inayat Farmayeñ..
Al-Mustafti : Muhammad Mahboob Raza, Saakin: Haidar Pura Akola, Maharashtra

*🌹JAWAB:-🌹*
Wahabiyoñ Se Mel Jol, Salam O Kalam, Aklo Shurb Bahukme Hadees Najaaiz W Gunah He..

Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Ta'ala Anhu Se Marwi He Ki Rasoolallah ﷺ Irshad Farmate Hai:
"اياكم واياهم لا يضلونكم ولا يفتنونكم ان مرضو افلا تعودهم وان ماتوافلاتشهدوهم وان لقيتموهم فلاتسلموهم ولا تجالسوهم ولاتشاربوهم ولا تواكلوهم ولاتناكحوهم ولاتصلواعليهم ولاتصلوامعهم"
Yaani Unse Door Raho or Khud Ko Unse Door Rakho Kahiñ Vo Tumheñ Gumrah Na Kardeñ Kahiñ Vo Tumheñ Fitna Me Na Daal Deñ Agar Vo Bimar Hoñ To Unki Ayadat Na Karo, Vo Mar Jaayeñ to Unke Janaza Me Hazir Na Ho, Agar Unse Mulaqat Ho to Unheñ Salam Na Karo, Unke Sath Nashisto Barkhaast, Khana, Paan Na Karo, or Na Unke Sath Shadi Biyah Karo, or Na Unki Namaze Janaza Parho or Na Unke Sath Namaz Parho.
*📚(Kanzul Ummal, J-11, S-25)*

Deeni Ijlaas Ke Liye Unse Chanda Lena Unse Raaho Rasm or Deegar Ta'alluqat Ko Hamwaar Karke Badmazhaboñ Ko Taqwiyat Dena or Sunniyat Ko Kamzor Karna He Jo Deeno Sunniyat Ko Dhaane Ke Mutraadif He..

Hadees Shareef Me He:
"من وقرصاحب بدعةفقداعان على ھدم الإسلام"
Yaani Jisne Bid'ati W Badmazhab Ki Ta'azeem W Tauqeer Ki Usne Islam Ko Dhaane Par Uski Madad Ki.
*📚(مرقاۃ المفاتیح شرح مشکوٰۃالمصابیح، کتاب الایمان، باب الاتعصام بالکتاب والسنتہ، ج١، ص٢٧١)*

Zaid Be Qaid Wahabiyoñ Deobandiyoñ Se Chanda Wasoolne or Unki Ta'azeem W Tauqeer Karne Ke Sabab Sakht Mujrim W Gunahgaar or Faasiqe Muallin He Us Par Lazim He Ki Apne Jurm Se Ailaniya Taubah W Astagfaar Kare, Jab Tak Vo Sachchi Taubah Na Karle Hargiz Imamat Ke Laaiq Nahiñ..

Raddul Muhtaar Me He:
"و اماالفاسق فقد عللواكراهة تقديمه بانه لايهتم لامردينه وبان في تقديمه للامامة تعظيمه وقدوجب عليهم اهانته شرعاً"
*📚(شامى، كتاب الصلوة، باب الامامة، ج۲، ص۲۹۹ ، زکریا)۔*
 واللہ تعالی اعلم
*✍🏻 Mujeeb: Abul Akhtar, (Mufti) Mushtaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla*
*📬 Azhari Darul Ifta, Nashik*
*imam Ahmad Raza Learning And Research Centre,, Nashik*
*🗓️12 Safarul Muzaffar 1445, 30 August 2023*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Ruku'a Sajda 'Allahu Akbar' Kahne Ke Sath Kare Ya Baad Me Ya Pahle

 *Namaz Me Ruku'a Sajda 'Allahu Akbar' Kahne Ke Sath Kare Ya Baad Me Ya Pahle*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّلامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اَللّٰهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Aap Ki Bargah Mai Sawal Hai Ki Namaz Mai Buland Awaz Mai Allahu Akbar Bolne Ke Baad Haat Uthake Niyyat Kare , Allahu Akbar Kahne Ke Baad Ruqu Mai Jayenge , Allahu Akbar Kahne Ke Baad Sajda Karenge Ya Allahu Akbar Kahne Ke Saath Hi Saath Niyyat Mai Hat Bandhenge , Ruku Mai Jayenge Sajda Karenge , Ya Pahle Haath Bandhenge , Ruku Mai Jayenge Sajda Karenge Fir Allahu Akbar Kahenge ? Konsa Sahi Tariqa Hai Imam Aur Musalli Ke Liye , Hadees Ki Roushni Mai Boliye Meherbani .

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Takbeerate Inteqal Yaani Namaz Me Ek Haalat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hote Waqt Jo Takbeer Kahi Jaati He, Yuñhi Ruku'a Se Uthte Waqt Tasmee'a Yaani Samee'a Allahu Liman Hamidah Kaha Jata He, in Tamam Me Sunnat Ye He Ki Jab Ek Halat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hone Lage Maslan Qayam Se Ruku'a Ki Taraf Jaane Lage to Us Waqt Takbeer Yaani Allahu Akbar Ke "Alif" Se Aagaz Kare or Jaise Hi Halat Tabdeel Ho Jaye Maslan Qayam Se Ruku'a Me Pahunch Jaaye to Takbeer Khatam W Mukammal Karde. Sawal Me Mazkoor Donoñ Tareeqe Yaani Mukammal Takbeer Isi Saabqa Halat (Maslan Qayam) Me Kah Kar Phir Khamoshi Se Ek Halat Se Dusri Halat (Maslan Qayam Se Ruku'a) Ki Taraf Muntaqil Hona or Ek Halat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hone Ke Baad (Maslan Qayam Se Ruku'a Me Pahunch Ne Ke Baad) Takbeer Ka Aagaz Karna, Khilfe Sunnat or Makroohe Tanzeehi Hai, Lihaza Musalmanoñ Ko Chahiye Ki in Donoñ Tareeqoñ Se Ijtenab Kareñ or Shuru'a Me Bayan Karda Sunnat Tareeqe Par Amal Kareñ..

Matan Tanweerul Absaar or Sharah Durre Mukhtar Me He,
"(ثم)کما فرغ( یکبر)مع الانحطاط (للرکوع)
Phir Jaise Qiraat Se Farig Ho, Ruku'a Ke Liye Jhukte Sath Hi Takbeer Kahe.
*📚(Matan Tanweerul Absaar W Sharah Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtaar, J-2, a-239, 240, Matbooah Koitah)*

Allama Muhaqqiq Ibne Aabedin Ash-shaami Alaihir Rahma Durre Mukhtar Ki Ibarat (مع الانحطاط) Ke Tahat Farmate Hai,
"افاد ان السنۃ کون ابتداء التکبیر عند الخرور و انتھائہ عند استواء الظھر ۔وقیل انہ یکبر قائماً و الاول ھو الصحیح کما فی المضمرات و تمامہ فی القھستانی"

(Is Ibarat Me) Is Baat Ka Ifaada Farmaya Ki Sunnat Ye He Ki Takbeer Ki Ibteda, Ruku'a Ke Liye Jhukte Waqt Ho or Inteha Peeth Barabar Hote Waqt Ho or Ye Bhi Kaha Gaya He Ki Takbeer, Qayaam Me Kahi Jaye Lekin Pahla Qaul Hi Sahih He Jaisa Ki Mazmuraat Me He, Iski Mukmmal Bahas Qahstaani Me He.
*📚(Raddul Muhtaar, J-2, S-240, Matbooah Koitah)*

Saiyedi Aala Hazrat Ash-shah Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahma Irshad Farmate Hai,
Sunnat Ye He Ki Sameea Allahu Ka 'seen' Ruku'a Se Sar Uthane Ke Sath Kaheñ or Hamidah(حمده) Ki 'haa (ہ) ' Sidha Hone Ke Sath Khatam, Isi Tarah Har Takbeere Inteqaal Me Hukm He Ki Ek Fe'al Se Dusre Fe'al Ko Jaane Ki Ibteda Allahu Akbar Ka Alif Shuru'a Ho or Khatam Ke Sath Khatam.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-188, Matbooah Raza Foundation Lahor)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Naazim Ta'alimaat W Shaikhul Hadees W Naaib Sadarul Mudarriseen Darul Uloom Mustafwiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️6 Sep 2023, 19 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shohar Ki Waqaf Ki Hui Jagah Par Biwi Ka Rahne Ke Liye Jagah Mangna Kesa ?

 *_Shohar Ki Waqaf Ki Hui Jagah Par Biwi Ka Rahne Ke Liye Jagah Mangna Kesa ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Mas'ala Ye Arz He Ki Ek Shakhs Ne Apne Makan Ko Masjid Me Waqaf Kar Diya Inteqaal Ke Kai Saaloñ Baad Waqfi Kagzaat Hath Aaye.
Uske Baad Masjid Ke Muntazimeen Ne Masjid Ki Raqam Se Uska Kaam Karwaya or Us Makan Ko Imam Ke Rahne Ke Liye De Diya..

Lekin Us Shakhs Ki Biwi Jo Ki Zinda He Usne Ye Shart Lagaai He Ki Me Jab Tak Hayat Rahuñ Ek Kamra Mere Rahne Ke Liye Mujhe Supurd Kardo..

To Kya Is Tarah Shart Laga Sakte He?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Yaqeenan Ye Shart Lagana Najaaizo Haram He, Aur Unka Is Tarah Se Us Makaan Par Qabza Karke Rahna Bhi Najaaizo Haram He... Ye Makan Masjid Ka He Masjid Ki  Aamdani Se Banaya Hua He or Isme Wahi Shakhs Rah Sakta He Jo Masjid Ka Imam Ho.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️2 Sep 2023, 15 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Artificial Daant Lagana Kesa Or Wuzu W Gusl Ka Hukm?

 *_Artificial Daant Lagana Kesa Or Wuzu W Gusl Ka Hukm?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Artificial Dant Lagwana Kaisa Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Masnooi Daant Lagva Sakte Hai Or Daant Aysa Laga Ho Ki Ba-Aasani Use Nikala Ja Sake to Gusl Me Use Nikaalna Farz or Wuzu Me Nikalna Mustahab He or Agar Na Nikal Sake to Nikalna Zaroori Nahiñ..

Jaisa Ki Fatawa Razviya Shareef Me He,
Hilta Hua Daant Agar Taar Se Jakrha He Muaafi Honi Chahiye Agarche Paani Taar Ke Niche Na Bahe Ki Baar Baar Kholna Zarar Dega Na Usse Har Waqt Bandish Ho Sakegi.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-1, S-608)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️31 Aug 2023, 13 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Ki Pahli Ya Dusri Manzil Par Imam Ke Liye Hujra Banana Kesa ?

 *_Masjid Ki Pahli Ya Dusri Manzil Par Imam Ke Liye Hujra Banana Kesa ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Deen W Muftiyane Kiram Is Mas'ala Ke Bare Me Ki, Masjid 2 Manzil Ki He Jis Me Wuzu Khana Nahiñ He, Masjid Ki Pahli Manzil Ke Upar Hujra Banana Kesa He ?
Isi Tarah Masjid Ke Dusri Manzil Ke Upar Hujra Banana Kaisa ?
Jawab Qur'aan W Hadees Ki Roshni Me Inayat Farmayeñ.
Saail: Hafiz Nooruddin, Up

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Masjid Ki Pahli Manzil Ya Dusri Manzil Ke Upar Imaam Sahab Ke Liye Hujra Banana Najaaiz W Mamnoo'a He, Balki Agar Bana Diya Ho to Usko Torna Wajib Ki Ba'ade Tamam Masjidiyat Hudoode Masjid Me Khilafe Masjid Kisi Amal Ki Ijazat Nahiñ Agarche Vo Kaam Masjid Ki Masaaleh Hi Se Hoñ Maslan Wuzu Khana Ya Imam Ke Liye Hujra Wagairah Banana..

Durre Mukhtar Ma'a Tanweerul Absaar Me He,
واذا جعل تحته سردابابالمصالحة اى المسجد جاز كمسجد القدس ولو جعل لغيرها او جعل فوقه بيتا وجعل باب المسجد الى طريق وعزله عن ملكه لا يكون مسجدا ولو بنى فوقه بيتا للامام لا يضر لانه من المصالح اما لو تمت المسجدية ثم اراد البناء منع ولو قال عنيت ذلك لم يصدق تاتر خانية ، فاذا كان هذا فى الواقف فكيف بغيره فيجب هدمه ولو على جدار المسجد وفي حاشيته الشامية: "ظاهره انه لا فرق بين ان يكون البيت للمسجد اولا الا انه يوخذ من التعليل ان محل عدم كونه مسجدا فيما اذالم يكن وقفا على مصالح المسجد وبه صرح في الاسعاف
فقال: واذا كان السرداب او العلو لمصالح المسجد اواکانا وقفا عليه صار مسجدا 
*📚[ شامی، کتاب الوقف ، مطلب فی احکام المسجد، ج ۶، ص ۵۴۷، زکریا ]*

Sadrushshariyah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi  Rahematullahi Ta'ala Alaihi Is Ibarat Ki Tarjamaani Yuñ Raqam Farmate Hai,
Masjid Ki Chhat Par Imam Ke Liye Baala Khana Banana Chahta He Agar Qable Tamaame Masjidiyat Ho to Bana Sakta He or Masjid Ho Jane Ke Baad Nahiñ Bana Sakta Agarche Kahta Ho Ki Masjid Hone Ke Pahle Se Meri Niyyat Banane Ki Thi Balki Agar Diware Masjid Par Hujra Banana Chahta Ho to Uski Bhi Ijazat Nahiñ to Dusre Badarja Awla Nahiñ Bana Sakte Agar Is Qism Ki Koi Najaaiz Imarat Chhat Ya Diwar Par Bana Di Gai Ho to Use Gira Dena Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Masjid Ka Bayan, J-2, S-599 Ta 560)*

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Quddassirahu Raqam Taraaz Hai,
Masjid Ke Upar Waaqif Ne Tamame Masjidiyat Se Pahle Rahaaish Banadi To Ye Jaaiz He Kyuñ Ki Ye Masaaleh Masjid Se He Albatta Tamame Masjid Ke Baad Ye Jaaiz Nahiñ or Uska Girana Wajib He.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-505)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍️Mujeeb: Hazrat Muhammad Arif Husain Alghausi Rampuri*
*📬Al-Mutakhassis Filfiqhe Alhanfi, Imam Ahmad Raza learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️31 Aug 2023, 13 Safar Ul Muzaffar 1445*

*✅Al-Jawabus Sahih, Wal Mujibun Najeeh, Wahuw Ta'ala Aa'alam*
*Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nashik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aasoob Chashme Wale Shaksh Ke Liye Namaz Ka Hukm

 *_Aasoob Chashme Wale Shaksh Ke Liye Namaz Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Me Ki Shahar Me Aasoob Chashm Ki Bimari Phaili Hui He to Is Bimari Me Daurane Namaz Agar Aankh Se Paani Nikle to Namaz Ka Kya Hukm Hoga ? Shariyat Ki Roshni Me Jawab Inayat Farmayeñ..

*🌹JAWAB:-🌹*
Daurane Namaz Bimari Ke Sabab Aankh Se Paani Nikle to Uski Namaz Nahiñ Hogi Ki Sababe Bimari Aankh Se Paani Nikalna Naaqise Wuzu He or Jab Bimari Ke Sabab Aankh Se Paani Nikalne Se Wuzu Chala Jayega to Usse Namaz Bhi Nahiñ Hogi Jab Tak Hadde Uzr Ko Na Pahuñche Us Par Laazim He Ki Dubara Wuzu Karke Namaz Parhe..

Fatawa Hindiya Me He,
 والغرب في العين بمنزلة الجرح فما يسيل منه ينقض الوضوء كذا في فتاوى قاضی خان ولو كان في عينه رمدااو عمش يسيل منها الدموع قالوا : يومر بالوضوء لوقت كل صلوة لاحتمال ان یکون سدیدا او فیحا كذافی التبیین۔۔
*📚(Fatawa Aalamgiri, Kitabut Taharat, J-1, S-62, Jadeed)*

Sadrushshariyah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Aankh, Kaan, Naaf, Pistan Wagairaha Me Dana Ya Nasoor Ya Koi Bimari Ho in Wajhoñ Se Jo Aansu Ya Paani Bahe Wuzu Tod Dega  Wafiyah Aydan: "Aankh Dukhte Me Jo Aansu Bahta He Najis W Naqize Wuzu He Isse Ehtiyaat Zaroori He"
*📚(Bahare Shariyat, Wuzu Ka Bayan, J-1, S-305 Ta 310, Mulakhkhsan)*

Agar Ye Aarza Hadde Uzr Ko Pahuñch Jaaye Yaani Musalsal Paani Nikalta Rahe Hatta Ki Ek Namaz Ka Pura Waqt Paani Nikalta Raha or Itni Muhlat Na Mili Jis Me Ba Wuzu Farz Waqt Ada Kar Sake to Shara'a Ki Nazar Me Ye Shakhs Ma'azoor He or Ma'azoor Ka Hukm Ye He Ki Jab Namaz Ka Waqt Shuru'a Ho Wuzu Karle or Us Wuzu Se Us Waqt Me Jis Qadar Chahe Namaz Wagairah Parh Sakta He Agarche Aasoob Chashm Ke Sabab Paani Nikalta Rahe Ki Ab Sababe Ma'azoori Is Wuzu Se Nahiñ Tutega Haañ Mazkoora Uzr Ke Maa-siwa Koi Naaqize Wuzu Paya Jaye to Uska Wuzu Toot Jayega Yuñhi Us Namaz Ka Waqt Khatm Ho Jaye to Use Hukm He Ki Dubara Wuzu Kare Ki Uske Haq Me Waqte Namaz Ka Khatm Hona Bhi Naaqize Wuzu He..

Tanweerul Absaar Ma'a Durre Mukhtar Me He,
"وصاحب عذر من به سلس بول لا يمكنه امسا که او استطلاق بطن او انفلات ريح او استحاضة او بعينه رمد او عمش او غرب ، وكذا كل ما يخرج بوجع ولو من اذن وثدى و سرة ان استوعب عذره تمام وقت صلاة مفروضة بان لا يجد في جميع وقتها زمنا يتوضا و يصلى فيه خاليا عن الحدث ولوحكما لان انقطاع اليسير ملحق بالعدم وهذا شرط العذر في حق الابتداء وفي حق البقاء كفى وجوده في جزءمن الوقت ولو مرة وفي حق الزوال يشترط استيعاب الانقطاع تمام الوقت حقيقة لانه الانقطاع الكامل - وحكمه الوضوء لا غسل ثوبه ونحوه الكل فرض اللام للوقت كما فى لدلوك الشمس ثم يصلى به فيه فرضا و نفلا فدخل الواجب بالاولى فاذا خرج الوقت بطل *📚[ شامی ، کتاب الطهارة ، باب الحیض ، ج۱، ص ۵۰۴ تا ۵۰۵، زکریا]*

Sadrushshariyah Allama Ahmad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Har Vo Shakhs Jisko Koi Aysi Bimari He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Ma'azoor He or Uska Bhi Yahi Hukm He Ki Waqt Me Wuzu Karle or Aakhri Waqt Tak Jitni Namazeñ Chahe Us Wuzu Se Parhe Us Bimari Se Uska Wuzu Nahiñ Jata Jaise Qatre Ka Marz Ya Dast Aana, Ya Hawa Kharij Hona, Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna Ya Phore Ya Nasoor Se Har Waqt Ratoobat Bahna, Ya Kaan, Naaf, Pistan Se Paani Nikalna Ki Ye Sab Bimariyañ Wuzu Todne Waali Hai Unme Jab Pura Ek Waqt Aysa Guzar Gaya Ki Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Sath Namaz Na Parh Saka to Uzr Sabit Ho Gaya.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Istehaza Ka Bayan, J-1, S-385)*

Is Soorat Me Jo Paani Aankh Se Nikle Vo Najis W Napaak Bhi He Lihaza Ye Paani Kapde Ya Badan Par Ek Dirham Se Zaaid Lag Jaye to Uska Izala Farz He Aysi Najasat Ko Door Kiye Bagair Namaz Sare Se Nahiñ Hogi or Agar Dirham Ke Barabar Ho to Uska Door Karna Wajib He or Is Najasat Ke Sath Namaz to Ho Jayegi Magar Makroohe Tahreemi or Wajibul Ae'aada Hogi or Agar Dirham Se Kam Ho to Namaz Ho Jayegi Magar Khilafe Sunnat W Tarke Awla Aysi Namaz Ka Ae'aada Mustahab He.

Aalamgiri Me He,
"النجاسة ان كانت غليظة وهى اكثر من قدر الدرهم فغسلها فريضة والصلوة بها باطلة وان كانت مقدار الدرهم فغسلها واجب والصلوة معها جائزة وان كانت اقل من الدرهم فغسلها سنة 
*📚(فتاوی عالمگیری ، کتاب الصلوۃ، ج ۱، ص ۱۱۵)*

Sadrushshariyah Allama Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Najasate Galeeza Ka Hukm Ye He Ki Agar Kapde Ya Badan Par Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye to Uska Paak Karna Farz He, Be Paak Kiye Namaz Parhli to Hogi Hi Nahiñ or Qasdan Parhi to Gunahgaar Bhi Hoga or Agar Ba Niyyate Istekhfaaf He to Kufr Huva Aur Agar Dirham Ke Barabar He to Paak Karna Wajib He Be Paak Kiye Namaz Parhi to Makroohe Tahreemi He Yaani Aysi Namaz Ka Ae'aada Wajib He or Qasdan Parhi to Gunahgaar Bhi Huva or Agar Dirham Se Kam He to Paak Karna Sunnat He Be Paak Kiye Namaz Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui or Uska Ae'aada Bahetar He.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Najasatoñ Ka Bayan, J-1, S-389)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Mujeeb: Hammad Raza Hanfi Sahab*
*📬Al-Mutakhassis Fil-Fiqhe Al-Hanfi, Imam Ahmad Raza Learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️24 Aug 2023, 17 Muharram Ul Haraam1445*

*✅Qadd SahhalJawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab*
*_Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mustaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla_*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aalima (Aurat) Ke Bayanat Social media Par Share Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrate Se Ek Sawal Hai

Social Media Per Bohat Se Ahle Ilm (Aalima) Ke Video Aur Audio Bayan Log Share Karte Jisme Female Aalima Islamic Baatein Bata Rahe Hote

To Hazrat Se Sawal Hai Ki Female Aalima Ke Video Aur Audio Bayan Share Karna Kaisa ?

Note - Aise Video Aur Audio to Male/female Sab Hi Sunenge Aur Dekhenge

*🌹JAWAB:-🌹*
Aurat Ka Takarir W Bayan Ya Milad Wagairah Karna Jaaiz W Durust He, Lekin Is Tarah Ki Uski Aawaz Namahramoñ Tak Na Pahunche... Aurat Ka Itni Baland Aawaz Se Bayan Ya Milad Karna Ki Gair Mahramoñ Ko Uski Aawazeñ Pahuñche To Ye Najaaiz W Gunah He.. Ki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He Uski Khush Ilhaani Ajnabi Sune Mahalle Fitna He... 

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ek Sawal Ki Aurat Ka Is Tarah Mahefile Milad Parhna Ki Gair Mahram Aawaz Sune Jiske Jawab Me Farmate Hai,
Najaaiz He, Ki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He, Aurat Ki Khush Ilhaani Ki Ajnabi Sune Mahalle Fitna He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-240, Mas'ala-99, Raza Foundation)*

Dusre Maqam Par Farmate Hai,
Aurat Ka Khush Ilhaani Se Ba-aawaz Aysa Parhna Ki Namahramoñ Ko Uske Nagma Ki Aawaz Jaaye, Haram He. 

نوازل میں فقیہ ابواللیث میں ہے:
نغمۃ المرأۃ عورۃ
Yaani Aurat Ka Khush Aawaz Karke Kuchh Parhna Aurat Yaani Mahalle Satar He.
*📚(ردالمحتار بحوالہ النوازل باب شروط الصلوٰۃ داراحیاء التراث العربی بیروت ۱/ ۲۷۲)*

کافی امام ابوالبرکات نسفی میں ہے:
لاتلبی جھرا لا ن صوتھا عورۃ
Yaani Aurat Baland Aawaz Se Talbiyah Na Parhe, Is Liye Ki Uski Aawaz Qabile Satar He.
*📚(ردالمحتار بحوالہ الکافی باب شروط الصلوٰۃ داراحیاء التراث العربی بیروت ۱/ ۲۷۲)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-242, Mas'ala-103)*

Lihaza Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He.. Aurtoñ Ko Social Media Par Apne Bayanat Share Karna Najaaizo Gunah He... Or Logoñ Ka Bhi Is Tarah Na Mahram Aurtoñ Ke Bayanat Share Karna, Sunna Sunana Najaaizo Gunah He. Or Agar Usme Jandar Ki Tasweer Ho to Aur Bhi Sakht Gunah....

(Or Khas Ye Ki Social Media Ya Youtube Wagairah Par Is Tarah Jo Aurtoñ Ke Bayanat Hote He Vo Badmazhaboñ Ke Hi Zyada Hote He, Jisse Bachna Zaroori He..)
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
*🗓️30 Aug 2023, 12 Safar Ul Muzaffar 1445*
📲+
*🌹 SAWAL-O-JAWAB 🌹 F.T.S👑 Grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Zaroori Sawal Hargiz Na Kare

 *_❌GAIR ZAROORI SAWAL HARGIZ NA KARE❌_*

 فَسْــٴَـلُوْۤا اَهْلَ الذِّكْرِ اِنْ كُنْتُمْ لَا تَعْلَمُوْنَۙ 
Ay Logo ! Agar Tum Nahiñ Jante to Ilm Waaloñ Se Puchho...
*📚(Surah Nahal, Aayat-43)*

Lekin Bila Zaroorat Ayse Fuzool Sawalat Karne Se Bachna Chahiye Jinka Ta'alluq Na to Aqeede Se Ho or Nahi Amal Se.. Gair Zaroori or Fuzool Sawalat Karne Wale Ki Niyyat Agar Aulma E Kiram Se Bahas W Mubaahisa Karne, Sawalat Ke Zariye Ilm Hasil Karke Awam Ko Pareshan Karne or Shohrat Hasil Karne Ki Ho to Use Is Farmane Rasool ﷺ Par Gaur Karke Darna Chahiye...

Jo Is Liye Ilm Talab Kare Taaki Uske Zariye Aulma Se Muqabla Kare, Jahiloñ Se Jhagre Ya Logoñ Ki Tawajjeh Hasil Kare to Allah Paak Use Dozakh Me Dakhil Farmayega..
*📚(Tirmizi, 4/297, Hadees-2663)*

Huzur Shareh Bukhari Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahma Fuzool Sawalat ki Misaale Bayan Karte Huve Farmate Hai,
Vo Baateñ Jinke Janne Ke Ham Mukallaf (Yaani Paband) Nahiñ, Jaise Hazrat Aadam Alaihis Salam Ne Jannat Me Sabse Pahle Kya Khaya Tha ? Dunya Me Aakar Sabse Pahle Kya Khaya ? Hazrat Hawwa Se Aapki Mulaqat Hui to Pahli Guftagu Kya Hui ? Hazrat Ismaail Alaihis Salaam Ke Fidye Ke Gosht Ka Kya Hua ? Wagairah Wagairah... Ye Sawalat Mamnoo'a Hai or Isi Kasrate Sawalat Me Dakhil He..
*📚(Nuzhatul Qaari, J-2, S-959)*

*Lihaza Gair Zaroori Sawalat Grp Me Hargiz Na Kare...  Jo Aqaaid or Zaroori Masaail Ke Ta'alluq Se Ho Wahi Sawalat Grp Me Kare..*

*_Jab Aulma E kiram Se Sawal Karne Ka Mauqah Mayassar Aaye To Faaltu Sawal Karke Waqt Zaaya Na Kiya Jaye Balki Zaroori Sawal Kiya Jaye Jiska Jawab Mufeed Sabit Ho_*

Kya Hazrate Fatima Ki Sahabzadi Ka Nikah Hazrate Umar Se Hua Tha ?

 *_Kya Hazrate Fatima Ki Sahabzadi Ka Nikah Hazrate Umar Se Hua Tha ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Saiyyada Fatimah Radiyallahu Anha Ki Sahabzadi Ka Nikah Hazrat Umar Radiyallahu Anhu K Sath Huwa Tha? jin Ka Naam Umme Qulsoom Bataya Gaya He.. (Radiyallahu Anha)

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Haañ, Hazrate Fatima Radiallahu Ta'ala Anha Ki Sahabzadi Hazrate Umme Qulsoom Ka Nikah Hazrate Umar Farooque Aazam Radiallahu Anhu Se Hua Tha...

Jaisa Ki Seerate Khulfa E Rashideen Me He,
Umme Kulsum Binte Ali Ibne Abi Talib Ye Binte Rasool ﷺ Ki Sahabzaadi Thi, Hazrat Umar Farooque Ne Khandane Nabuwwat Se Ta'alluq Jodne Ke Liye 17 Hijri Me Unse Chalees Hazar Mahar Par Nikah Kiya...
*📚(Seerate Khulfa e Rashideen, S-63)*
*✍️Al-Qalam: Hazrat Mufti  Muhammad Arif Husain Alghausi Rampuri*
*📬Al-Mutakhassis Filfiqhe Alhanfi, Imam Ahmad Raza learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️24 Aug 2023, 6 Safar Ul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Background Me Music Wali Naat Sunna Ya Parhna Kesa ?

 *Background Me Music Wali Naat Sunna Ya Parhna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ahle Ilm Ki Bargah Me Saval Ye Hai Ke Naat E Pakk Ya Digar Manqabat Me Back Ground Music LagaTe H Vo Kesa Hai Kitaboki Roshnime Javab Inayat Farmaae .

*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام 
Naat Ke Dauran Beech Me Mukhtalif Qism Ki Aawazeñ Shamil Karna Jo Ki Dar Haqeeqat Music Ki Tarah Hoti Ho Aysi Na'atoñ Ka Sunna or Parhna Donoñ Durust Nahiñ He or Naat Ke Aadab Ke Khilaf He, Unse Bachna Lazim He..

*📚Mo'ajamul Awsat Tabraani Ki Ek Hadees (Number:7223)* Me Rasoolallah ﷺ Ne Qur'aane Kareem Ko Gaane Ki Dhun Ke Mutabiq Parhne Se Mana'a Farmaya He, or Aysa Karne Waloñ Ki Mazammat Farmaai He, Is Hadees Se Ye Rahenumaai Milti He Ki Naat Ko (Jo Ki Ek Ibadat He) Gaane Ke Andaaz Par Nahiñ Parhna Chahiye..
*✍️Al-jawab: Hazrat Allama Mufti Alfaz Quraishi Najmi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Lasha Masjid, Karnataka*
*🗓️17 July 2023, 28 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dukandaar Ka Barik Ya Fashion Wale Kapde Bechna Kesa ?

*Dukandaar Ka Barik Ya Fashion Wale Kapde Bechna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrat Se Ek Sawal Hai 
Banda Ladies Kapde Ka Business Karte Usme Kuch Kapde Is Tarah Ke Hote Jo Barik Hote Aur Aise Kapde Aurton Ke Liye Mana Hai Pehanna to Aise Kapde Bech Kar Kamai Rakam Ka Kya Huqm Hoge?

*🌹JAWAB:-🌹*
 وعلیکم السلام و رحمۃ اللہ
Jaaiz Hai Bechna Is Liye Ke Us Ka Istemaal Kisi Jagah Jaaiz Hai Our Kisi Jagah Haraam to Jaaiz Na Jaaiz Istemaal Me Hai Na Ke Bechne Me Jese Ki Koi Insaan Nikar Bechta Hai Us Ka Bechna Jaaiz Hai Ab Koi Insaan Sirf Nekar Pehan Kar Ghume Us Ka Ye Amal Haraam Hoga Na Ke Dukaan Daar Ka Bechna..
*✍️Al-Jawab: Hazrat Mufti Suhail Raza Markazi*
*📬Khadimut Tadrees Al-Jamiatul Qadariyah, Richha, Bareilly Shareef, Up*
*🗓️19 July 2023, 30 Zulhijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Taziya Banana Kesa?

 *_Taziya Banana Kesa?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Taziya Banana Kaisa Kuchh Aulma Kahte Hai Jaaiz or Kuchh Kahte Hai Ye Najaaiz O Haram Hai Is Par Rahenumai Farmaye...

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Murawajjah Taziya Daari Najaaizo Haram He Ki Usme Bahut Si Baateñ Aysi Hai Jin Ka Shariyat Se Koi Ta'alluq Nahiñ Maslan Taaziya Ka Juloos Aage Pichhe Dhol Taashe Baaje Filmi Geet Aurtoñ Ka Hujoom or Isi Tarah Ke Aur Khurafat Jo Aajkal Ki Taaziya Daari Me Kiye Jate Hai Ye Najaaizo Haram He Log in Behooda Baatoñ Ka Ehtemam Karte Hai or Jo Log Uski Taaid Karte Hai Sab Gunahgaar Hai...

Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai Ki,
Taaziya Ki Asl Is Qadar Thi Ki Roza E Imame Husain Ki Sahih Naql Bana Kar Baniyyate Tabarruk Makaan Me Rakhna Isme Koi Kharabi Na Thi Jahañ Pe Khurd Ne Is Asl Jaaiz Ko Neisto Nabood Karke Sad'ha Khurafat Tarasheñ Ki Shariyate Mutahhara Se Al-Amaañ Al-Amaañ Ki Sadayeñ Aane Lagiñ

Awwal to Nafse Taaziya Me Roza E Mubarak Ki Naql Malhooz Na Rahi Har Jagah Nai Tarash Kahiñ Ilaqana Nisbat Wagairah

Phir Kucha Bakucha Gali Bagali Isha'ate Gam Ke Liye Phiraana Unke Gird Matam Zani Karna Isse Mannateñ Maangna Uspe Koi Cheez Charhana or Raatoñ Me Dhol Baaje Ke Sath Tarah Tarah Ke Khel Karna Wagairah Wagairah

Ab Jabki Taaziya Daari Is Tareeqah Namarziyah Ka Naam He Jo Qat'an Bid'at Najaaiz W Haram He.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-513)*

*✍️Al-Jawab: Hazrat Mufti Suhail Raza Markazi*
*📬Khadimut Tadrees Al-Jamiatul Qadariyah, Richha, Bareilly Shareef, Up*
*🗓️18 July 2023, 29 Zulhijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mushrikeen Ke Chhote Bachche Ki Tajheezo Tadfeen Ka Hukm

 *_Mushrikeen Ke Chhote Bachche Ki Tajheezo Tadfeen Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hindu Mard Aurat Ne Zina Kiya or Is Se Hamal Raha or Bachcha Paida Huwa. beizzati K Sabab in Logo Ne Us Bachche Ko Maar Dala or Musalmano Ki Aabadi Ki Taraf Lawaris Chhod Diya Musalmano Ko Jab Ye Bachcha Mila or Kisi Tarah Ye Baat Malum Hui K Ye Kisi Hindu Ki Olad He or Ye Ise Lawaris Chhod Diya He.
To Is Ki Tadfin Tajhiz or Namaze Janza Padhi Jayegi?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Chhote Bachche Apne Walidain Ke Taabe'a Hote Hai Is Liye Mushrikeen Ke Bachchoñ Ki Namaze Janaza Parhna Jaaiz Nahiñ He.

*📚(Baharur Raaiq, J-2, S-189 Par He)*
*لایصلی علیه لانه تبع لهما للحدیث کل مولود یولدعلی الفطر ة فابواه یهو دانه*
Lihaza Agar Waqaee Vo Bachcha Mushrikeen Ka He To Us Bachche Ko Uske Walidain Ko Ye Na Hoñ to Azeezo Aqaarab Ya Uske Ham Mazhab Ko Wapas Kar Diya Jaaye Vo Jo Chaheñ Kareñ Ya Agar Vo Na Le Jayeñ to Bawajhe Majboori Ek Kapde Me Lapet Kar Musalmanoñ Ke Madfan Se Bahar Ek Garhe Me Daba Deñ.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍️Al-Jawab: Hazrat Mufti Suhail Raza Markazi*
*📬Khadimut Tadrees Al-Jamiatul Qadariyah, Richha, Bareilly Shareef, Up*
*🗓️16 July 2023, 27 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mazar Ka Tawaaf Karna Kesa?

 *_Mazar Ka Tawaaf Karna Kesa ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Kya Husul E Barkat Ke Liye Mazar E Paak Par Tawaf Karna Jaiz Hai?

Gulam Masoom Raza Qadri
Bokaro Jharkhand

*🌹JAWAB🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mazar Ka Tawaf E Tazimi Mana He, Albatta Barkat Hasil Karne Ke Liye Mazar Ke Gird Chakkar Lagae to Haraj Nahiñ... Magar Awam Ko Roka Jaae, Balki Awam K Samne Chakkar Na Lagae..

Bahaar E Shariat Me He,
Qabar Ko Bosa Dena Ba'az Aulma Ne Jaaiz Kaha He, Magar Sahih Ye He Ki Mana'a He.. Or Qabar Ka Tawafe Ta'azeemi Mana'a He or Agar Barkat Lene Ke Liye Girde Mazaar Phira to Harj Nahiñ.. Magar Awam Ko Mana'a Kiye Jayeñ Balki Awam Ke Samne Kiya Bhi Na Jaye Ki Kuchh Ka Kuchh Samjheñge
  *📚(Bahare Shariyat, H-4, Baab Ziyarate Quboor, Mas'ala-41)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Mazar Ka Tawaaf Ki Mahaz Ba-Niyyate Taazim Kiya Jaye Najaaiz He, Ki Ta'azeem Bit Tawaaf Makhsoos Ba-Khana E Kaaba He..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, S-529, Mas'ala-162)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️20 July 2023, 1 Muharram 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hazrat Tajul Awliya Nagpuri Ki Nisbat Se Kahna Ki Vo Ayyame Me Muharram Me Hare ( Green ) Rang Ka Libaas Pahante The To Kya Awam Ko Jaaiz He ?

 *_Hazrat Tajul Awliya Nagpuri Ki Nisbat Se Kahna Ki Vo Ayyame Me Muharram Me Hare ( Green ) Rang Ka Libaas Pahante The To Kya Awam Ko Jaaiz He ?_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Muharram Me Hara (Green) Libas Pahanne Ke Ta'alluq Se Ek Hawala Diya Jata He Ki Tajul Awliya Hazrat Baba Nagpuri Rahematullah Alaihi 10 Muharram Ko Sabz (Hara) Jubba Pahan Kar Maidan Me Tashreef Laate the.... Iski Kya Haqeeqat He ?
*🌹JAWAB🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kyoñ Ki Ye Mushabihat He Taziya Daaro Se...
Our Kisi Buzurg Ka Libas Hi Kyoñ Dekha Jaae Ke Unhone Kab Kya Pehna... Balki Ye Dekhiye... Ke Kya Unhone Apni Puri Life Me Namaz, Roza, Ibadaat Our Tilawat E Quran Wagairah Chhod Diya... Ya Us Par Sakhti Se Amal Kiya...?
Lihaza Buzurgo Se Sachchi Mahanat Ye He Ke Un Ki Zindagi Ko Namuna E Amal Banaya Jaae... Our Ek Baat Hamesha Yaad Rakkhe Wo Sab Allah Wale He Awliya E Kiram He Un Par Kabhi Apne Ko Qayas Nahi Karna Chahiye....
Dusri Ye Baat Dhyan Me Rakkhe Ke Buzurgoñ Ki Sawaneh Likhne Me Bahut Se Ilhaqat Bhi Hote He.. Lihaza Koi Baat Khilaf E Shara'a Mile Kahiñ Kisi Kitab Me Likkhi Hui to Wo Baat Hargiz Us Buzurg Ki Taraf Se Nahi Mani Jaaegi... Ke Awliya E Kiram Shariat Ka Khub Se Khub Tar Paas O Lihaz Rakhte the...الحمد للہ۔۔۔
Al Batta Jo Qoul Ya Amal Jazb O Shukr Me Ada Huwe Unka Bhi Etebar Nahi... Balki Etebar Har Haal Me Shariat Ka He ...
Fir Ye Kahañ Likkha He Ke Aap Muharram Ke Alawa Nahi Pahente the Khas Muharram Hi Me Is Ka Ehtemam Farmate the Our Agar Bil Farz Aysa Ho Bhi to Wo Awam Ke Liye Hujjat Nahiñ... Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻Al-jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️20 July 2023, 1 Muharram 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts