Marne Ke Baad Momin Ko Rooh Ghar Aati he

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Marne ke Baad Momin Ki Rooh Apne Ghar Aati he?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ji Marne Ke Baad Momin Ki Rooh Shabe Jumaa, Eid ke roz or Aashura ke Roz Or shabe barat ko Apne Gharo me Aati he.

_Is Ta'alluk Se Huzur Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahma Ne Ek Risala Taherir Farmaya he_

Farmate he,

Khatimul Muhaddiseen Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Rahematullah Alaihi sharah mishkat shareef baab ziyarate Quboor me farmate he,
Mayyat ke dunya se jane ke baad saat din tak uski taraf se sadqa karna mustahab he. Mayyat ki taraf se sadqa uske liye nafa bakhsh hota he. Isme ahle ilm ka koi ikhtelaf nahi, is baare me sahih hadise warid he, khusoosan paani sadqa karne ke bare me. Or ba'az aulma ka qaul he ki mayyat ko sirf sadqa or dua ka sawab pahuchta he. Or ba'az riwayat me aaya he ki rooh shabe jumaa ko apne ghar aati he or intezar karti he ki us ki taraf se sadqa karte he ya nahi.
*📚(Ash'atul Lam'aat Baab Ziyarate Quboor, J-1, S-816,817)*

Shaikhul Islam Kashful Guta'a, fasl Hashtum me farmate he

Garaaib or khazana me manqool he ki Momin ki roohe har shabe jumaa, Roz Eid, Roz Aashura, Or Shabe Barat ko apne ghar bahar khadi rahti he or har rooh gamnak buland aawaz se nida karti he ki, ay mere ghar walo, Ay meri Aulad, Ay Mere Qarabat Daro! Sadqa karke ham par maherbani karo.
*📚(Kashful Guta'a Amalizam Lil Muta Alal Ahya'a, Fasl Ahkame Dua w Sadqa, S-66)*

Usi me he, Sharahus Sudoor Me Shaikh Jalaluddin Suyuti Rahematullah Alaihi ne un me se aksar awqat ke bare me mukhtalif hadise naql ki he.....

Imam Ajal Abdullah bin mubarak w abu bakar bin abi Shayba ustad bukhari w muslim hazrat Abdullah bin umar w bin aas RadiAllahu Anhum se mauqoofan or imam ahamd musnad or tabrani mu'ajamul kabeer or hakim sahih mustadarak or abi naeem hilya me basanad sahih huzur poor noor saiyede aalam  ﷺ se marfuan raawi,

Ye ibne Mubarak ke alfaz he,
Beshak dunya kaafir ki bahisht or musalman ka qaid khana he, jab Musalman ki jaan nikalti he to us ki misal aysi he jaise koi shakhs zindan me tha ab aazad kar diya gaya to zameen me gasht karne or ba faragat chalne firne laga..
*📚(Kitabul Zahadul ibne mubarak baab fi talabul halal, Hadis-597 Darul kutbul ilmiya Bayroot, S-211)*

Or Abu Bakar ki Riwayat yu he,
Jab Momin marta he uski raah khol di jati he ki jaha chahe jaye.
*📚(Musannaf ibne abi shayba, kitabul zahad, Hadis 16571, Idaratul Qura'an karachi, J-13, S-355)*

Ibne abi dinya w bayhaqi Saeed bin musayyab RadiAllahu Anhuma se raawi hazrat salman farsi w abdullah bin salam RadiAllahu anhuma baham mile, ek ne dusre se kaha ki agar mujh se pahle inteaal karo to mujhe khabar dena ki vaha kya pesh aaya, kaha kya zinde or murde bhi milte he ? Kaha
نعم اما المومنون فان ارواحھم فی الجنۃ وھی تذھب حیث شاءت
Yaani Musalman ki roohe to jannat me hoti he unhe Ikhtiyar hota he jaha chahe jaye.
*📚(Shoabul Iman, Hadis-1355, J-2,S-121)*

Ibne mubarak kitabul zahad w abu bakar ibne abi dinya w ibne mandah salman RadiAllahu Anhu se raawi,
قال ان ارواح المؤمنین فی برزخ من الارض تذھب حیث شاءت ونفس الکافر فی سجین..
Beshak Musalman ki roohe zameen ke barzakh me he jaha chahti he jaati he, or kafir ki rooh sijjeen me muqeed he.
*📚(Kitabul Zahadul ibne mubarak baab maja'a fil Tawaqqal, Hadis-429 Darul Kutbul ilmiya Bayroot, S-144)*

Ibne Abi dinya malik bin anas RadiAllahu Anhu se raawi
قال بلغنی ان ارواح المومنین مرسلۃ تذھب حیث شاءت.
Farmaya mujhe hadish pahunchi he ke Musalmano ki roohe aazad he jahañ chahti he jaati he.
*📚(Sharhus Sudoor, S-98)*

Imam Jalaluddin Suyooti Sharhus Sudoor me farmate he,
رجح ابن البران ارواح الشھداء فی الجنۃ وارواح غیرھم علی افنیۃ القبور فتسرح حیث شاءت.
Imam Abu umar ibne abdulbir ne farmaya, Raajeh ye he ki shahido ki roohe jannat me he or Musalmano ki fana e quboor par, jaha chahe aati jati he.
*📚(Sharhus Sudoor, S-105)*

Allama Manavi tisri sharah jame'a sageer me farmate he,
ان الروح اذا انخلعت من ھذا الھیکل وانفکت من القیود بالموت تحول الی حیث شاءت.
Beshak jab rooh us qalib se juda or maut ke baees qaido se riha hoti he jaha chahti he jula karti he.
*📚(Tisri Sharah Jame'a Sageer, J-1, S-329)*

Qazi Sana Ullah Bhi Tazkiratul Maut Me likhte he,
Auliya e kiram qudsat asraham ki roohe zameen aasman, bahisht me jaha chahti he jati he.
*📚( Tazkiratul Muta w quboor Urdu Tarjama Misbahun Noor, S-75,76)*

Ba'az Aulma muhaqqiqeen se marwi he ki roohe shabe jumaa chhutti paati or felti jati he, pahle apni qabro par aati he fir apne gharo me.
*📚(Khazanatul Riwayat)*
....
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-9, S-638)*

Hasil yahi ki Allah ke Fazl se Baade wafat momin ki roohe mukhtalif awqat me Apne ghar aati he. Or jaha chahe aati jaati he.

Zyada Tafsil ke Liye Fatawa Razviya Me Jild-9 Risala
رسالہاِتْیَانُ الْاَرْوَاح لِدِیَارِھَمْ بَعْدَ الرَّوَاح
(Rooho ka Ba'ad Wafat Apne ghar aana) Mulaheza Farmaye

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts