*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Mera Sawal He Ki Walid Ki Hyati Me Jawan Beta Biwi Baccho Wala Faut Ho Jae To Kiya Uske Walid Ki Milkiyat Me Uske Biwi Bachcho Ko Hissa Milega Ya Nhi?????? Jawab Enayat Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jo Jawan Beta Faut Hua Uska Baap To Abhi Tak Zinda He, Or Warasat Baade Wafat Taqseem Hoti He, Lihaza Faut Hone Wale Jawan Bete Ke Biwi Bachcho Ka Us Jawan Ke Baap Ki Milkiyat Me Koi Hissa Nahi He, Albatta Vo Jawan Beta Jin Chizo Ka Mailk Tha, Jo Chize Uski Milkiyat Me Thi Vo Bataure Warasat Taqseem Ki Jayegi, Or Usme Biwi Bachchoñ Ka Haq Hoga..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️3 April 2022, 1 Ramzanul Mubarak 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment