Quraani Aayat ko Mobile Ya Leptop me Bina Wuzu Chhuna Ya Padhna Kaisa ?

*🌹SAWAL🌹*
Quraani Aayat ko Mobile Ya Leptop me Bina Wuzu Chhuna Ya Padhna Kaisa ?

*🌹JAWAB🌹*

Padhne ke liye wuzu zaroori nahi he agar vo taharate kamila par he or us par gusl wajib nahi he to vo Quraane kareem dekh kar ke ya hafze se padh sakta he.
Ye aesa hi he jese ki quraane kareem ka aqs shise me nazar aaye to us shise ko chhuna quraane kareem ko chhuna nahi hoga isi taur par jo screen he usme jo Aayate quraani nazar aa rahi he vo us parde ke pichhe he or us parde ke pichhe se aadmi ko nazar aati he albatta agar koi Ahetiyat kare to bahetar he..

http://jamiaturraza.com/session/07June09/22.mp3

*_🎙Al-Jawab:- QAZI UL QUZZAT, HUZUR TAJUSHSHARIYAH MADDAZILAHUL AALI_*

Bager Vuzu usko touch kar sakte hai. .uski dalil ye hai k mobile par Ek glass laga rehta hai Aur Voh quran sharif par rakhhe huve gilaf ki tarah hai. . To jis tarah gilaf ya kapde ke uper se be Vuzu quran sharif ko mass kar sakte hai. .Usi par qayas karke mobile ki screen per nazar aa rahi aayat ko bager vazu chhu sakte hai. .
 *📚(MAJLISE SHARAI,MUBARAK PUR)*

Ehtiyat isme he ki wuzu ke sath hi chhue..

Wallahu aa'alam

=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Azhari_*
=========➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts