*_🌹Sahibe nisab ke paas Daurane saal dusra paisa aaya to uski zakat hogi☘_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Agar Kisine Zakat Ki Taarikh 20 Ramzan Muqarrar Ki Hai
Agar Us Shaks K Paas 21 Ramzan Ko 1 Lakh Rupaye The Aur 6 Maah Baad 1 Laakh Rupaye Aur Aa Gaye Aur 20 Ramzan K 1 Maah Pahle 1 Lakh Aur Aaye
Ab Uske Paas Kul 3 Lakh Rupaye Hai
To Ab Vo Shaks Jakat Kitne Rupaye Par Nikalega Jaisa Ki Maal Par 1 Saal Guzarna Jaruri Hai To Sirf Pahle Wale 1 Lakh Par Saal Guzra Hai
Vo Shaks Kitne Rupayon Par Jakat Nikalega
Rehnumayi Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
```Huzur Sadrushshariya Hazrat Allama Amjad ali Aazmi Alaihir Rahma Taherir Farmate he....```
*Mas'ala:-* Jo shakhs malike nisab he agar darmiyane saal me kuchh or maal usi jins ka hasil kiya to is naye maal ka juda saal nahi balki pahle maal ka khatm saal iske liye bhi saale tamam he yani pura saal he, agarche saal pura hone se 1 hi minute pahle hasil kiya ho khwah wah maal iske pahle maal se hasil huaa ya miras w hiba or kisi jaiz zariye se mila ho or agar dusri jins ka he maslan pahle uske paas unt the or ab bakriya mili to iske liye naya saal shumar hoga.
*Mas'ala:-* Malike nisab ko darmiyame saal me kuchh maal hasil huaa or iske paas do nisabe he or dono ka juda juda saal he to jo maal darmiyane saal me hasil huaa ise uske saath milaye jiski zakat pahle wajib ho maslan us ke paas 1 hazar rupye he or saima ki kimat jis ko zakat de chuka tha ki dono milaye nahi jayege ab darmiyane saal me ek hazar rupye or hasil kiye to inka saale tamam yaani inka saal us waqt pura mana jaega jo dono me pahle ka ho..(durre mukhtar)
*_📚(BAHARE SHARIYAT,HISSA-5, SAFA-481)_*
Surate mas'ula me 1 lakh rakam jis par 1 saal guzar chuka he or us par zakat farz he or daurane saal uske paas 1 lakh or fir 1 lakh aaye to zaid ko total 3 lakh rupye hue.Use 3 lakh rupye ki zakat ada karni hogi
```Ab zaid ko 3 lakh rupe ka 40 va hissa bataure zakat nikalna hoga.```
Wallahu aa'alam
========➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza_*
========➖➖➖➖========

No comments:
Post a Comment