NABI KO MUSHKIL KUSHA KAHNA QURAAN W HADISH SE

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Nabi mushil kusha hai? Quran o hadees ki roshni me juwab inayath farmaiye..

*🌹JAWAB:-🌹*

Beshak huzur sallallahu alaihi w sallam W allah ke maheboob bande allah ke fazl se allah ki ata se mushkil kusha yani hamari mushkilo ko door karne wale he or unhe mushkil kusha kahna bilkul jaiz he...

JAISA KI QURAAN E MAJEED ME IRSHADW BAARI HE,,,

Tumhara Madadgar Nahi Magar ALLAH Aur Uska Rasool(Sallallaho AlaiheWasallam)
*📚[Surah Al-Maida ayat no 55]*

ALLAH Aur Uskey Rasool (Sallallahu alaihiwasallam) Ney Apney Fazal Sey Ghani Kar Dya
*📚[Surah Touba ayat no 74]*

Be Shak ALLAH Unka Madadgar Aur Jibrael Aur Nek Imaan Waley Aur Is Ke Baad Farishtay
*📚[Surah Tehreem ayat no 4]*

Ghair ALLAH sey madad mangna jaiz hai, asl main jo koi bhi ALLAH عزوجل k illawa kisi aur sey madad mangta hai tou us ka aqeeda yehi hota hai k haqeeqi ata kerny wali zaat ALLAH عزوجل ki hi hai, lekin jis sey madad mangi ja rahi hai wo ALLAH عزوجل k hukm sey humain ALLAH عزوجل sey ata kerwai ga,or yahi ahele sunnat w jamat ka aqida he or Yeh aqeeda Quran-o-Hadees sey sabit hai:

QURAANE KAREEM ME RAB TA'ALA IRSHAD FARMATA HE,,

“Aur jub wo apni jaano per zulm ker bethen tou aey Mehboob tumhary hazoor hazir hon aur ALLAH sey maafi chahain, aur rasool in ki shifaat fermai, tou zaroor ALLAH bohat tauba qabool kerny wala hai”.
*📚(Sura Nissa, verse:64)*

“Mominoo, neiki aur perheezgari per main aik dosry ki madad karo”.
*📚(Sura Maida, Verse:2)*

-“Aey gheib ki khabr deinay waly Nabi, tumhary liya ALLAH kafi hai, aur jitny musalman tumhary peiro hain”.
*📚(Sura Anfal, Verse:64)*

-“Aey eman walo ager tum deen-e-KHUDA ki madad karo gy tou KHUDA tumhari madad kary ga”.
*📚(Sura Muhammad, Verse:7)*

“Tou beshak ALLAH inka madadgar hai aur Jibrael, aur eman waly, aur in k baad farishty madad per hain”.
*📚(Sura tehreem, Ayat:4)*

HADISH E MUBARAKA,,

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney Hazrat Syedna Ka’ab رضی الله عنہ sey fermaya:” Maango kya mangty ho, Hazrat Ka’ab رضی الله عنہ ney fermaya, JANNAT main aapka sath mangta hon”.
*📚(Sahi Muslim, Mishqat ul Misabih, V:1, Pg:156, Published by Maktaba-al-Mishkaat)*

-Hazrat Jabir Bin Abdullah Al-Ansari رضی الله عنہ sey riwayat hai, AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:”ALLAH عزوجل atta kerta hai aur main bant’ta hon”.
*📚(Sahi Bukhari, V:8, Book:73, Number:216)*

-Hadees shareef main irshad hai ki, jo mujh sey hajjat talab kary tou eski hajat poori kerny ka main zimma leita hon
*📚(Kanzul Aamal, Hadees:221)*

-Aik nabeena SAHABI AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat main hazir hua aur apni ankhon ki binai k liye arz ki, AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney SAHABI ko jo dua seekhai wo yeh thi:
”Ya RASOOL ALLAH, main aap k zariyay sey ALLAH ki taraf mutawaja hota hon, k aey ALLAH k NABI meri hajjat poori ho”.
*📚(Sunan Ibn-e-Maaja, Hadees:336)*

-Hazrat Utba Bin Ghazwan رضی الله عنہ sey riwayat hai k AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:”Jub tum koi cheez guma betho ya madad ka irada ker lo aur ager tum aisi jaga per ho jahan tumhara koi anees na ho tou es tarha kaho, AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO, AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO”.
*📚(Tibrani Kabeer, Hadees:290)*

 Hazrat Ali رضی الله تعالی عنہ farmate hain ke, Jab HUZOOR صلی اللہ علیہ وسلم ke wisaal farmane ke kuch roz baad ek aaraabi Qabr e Anwar par haazir hua aur Qabr e Anwar ki khaak apne sar par daalne ke baad kehne laga:”YA RASOOLALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Jo kuch aapne farmaya hum ne suna aur Aap se humne Quraan ki ye aayat bhi suni ke:”Jo log apni jaano par zulm kar baithe wo aap ke paas haazir hon.’Aye ALLAH ke RASOOL صلی اللہ علیہ وسلم Main apni jaan par zulm kar baitha hu aur ab gunaahon ki muafi ke liye Aapke paas aaya hun.’Aaraabi ne ye kaha to Qabr Anwar se aawaaz aayi ke, ‘Jaao! ALLAH ne tumhe bakhsh diya.
*📚(Hawala: Hujjatullah Alal A’alamin, Safa-777)*

Nabi-Wali Se Madad Maangna Na Shirk Hai Na Bid’at.
Agar Nabi-Wali se Madad Mangna Shirk Hai, To Ye Shirk Aakhirat Tak Chalega. Ye Nahi Ho Sakta Ke Abhi Shirk Hai Lekin Aakhirat Me Ayne Tauheed Ho Jaaye, Kyun Ke Shirk To Har Waqt Shirk Hee Rahega.
Aakhirat Me Bhi Koi Gayrullah Se Madad Maangega To Bhi Shirk Hee Hoga.

Mehshar Ki Mushibat Se Badh Kar Kounsi Mushibat Hogi ! Us Se Bachane Ke Liye Tamaam Log Aadam Alaihissalan Ki Khidmat Me Aayenge Ke Aap Abool Bashar Aadam Ho, Aap Hamari Shafaa’at Karo Aadam Alaihissalam Ye Nahi Farmaege Ke Tum Shirk Kar Rahe Ho ! Mere Paas Kya Maangte Ho ?! Jaao Khuda Ke Paas ! Nahin, Balke Woh Bhi Gayr Ki Raah Deekhaenge Aur Farmaaenge, NAFSEE NAFSEE IZAHABOO ILAA GAYREE……

Feer Tamaam Log Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Rehnumaai Se Baari Baari Hazrat Nooh, Hazrat Ibrahim,
Hazrat Moosa Aur Aakhir Me Hazrat Isaa Alaihimussalamu Ke Paas Jaaenge, Har Ek Aisa Hee Kahege Ke IZAHABOO ILAA GAYREE.

Ab Unhe Khyaal Aayega Ke Chalo ! Huzoor Poor Noor, Shaafe-E- Youmunnusur, Saiyadul Mursaleen, Rehmatulil Aalamin,  SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Bargah-E Bekash Panah Me Jaate Hai. Jab Vaha Pahunchenge To Madanee Taajdaar Ambiya ke Sardaar Abd karaar Mehboob E-Parwardigaar Nabion Ke Saalaar Dino Duniya Ke Mukhtaar Ahmad-E-Mujtaba Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Aisa Nahi Kahege Ke, Tum To Mushrik Ho ! Fula Fula Nabi Ke Paas Gaye Baad Me Mere Paas Aaye Ho ! Jaaon ! Khuda Ke Paas !

Balke Farmaenge Ke Hazrat Aadam,Hazrat Nooh,Hazrat Ibrahim, Hazrat Moosa Aur Hazrat Isaa Alaihimussalamu Ne NAFSEE NAFSEE IZAHABOO ILAA GAYREE Is Liye Kaha Thaa Ke Mere Tak Pahunch Jaaon. Aur Is Kaam Ke Liye To Mein Hee Hoon,
Kyun Ke Allah Ta’ala Ne Mujhe Hee Ye Martaba Ata Farmaaya Hain.
SUB’HANALLAH !

*📚[Sahih Al-Bukhari, Vol.-04, Page-1748, Hadith-4441.*
*📚Sahih Al-Bukhari, Vol.-02, Page-536, Hadith-1405.*
*📚Sunan An-Nasa’i, Vol.-06, Page-381, Hadith-295.*
*📚Sunan Ibn Maaja, Vol.-02, Page-871, Hadith-927.*
*📚Sunan Ibn Maaja, Vol.-02, Page-854, Hadith-884.*
*📚At-Tabarani Mu’jam Al-Awsat, Vol.-08, Page-30, Hadith-8725.*
*📚Bayhaqi Shu’ab-Ul-Imaan, Vol.-03 Page-269 Hadith-3509.*
*📚Daylami Musnad Al-Firdaus, Vol-02, Page-377, Hadith-3677.*
*📚Al-Haythami Majma’ Az-Zawa’id, Vol-10, Page-371.]*

Matlab Ke Allah Ta’ala ki Ata Se Nabi-Wali Ko Har Ek Tareh Ki Kudarat Mili Huee Hai Jis Se Un Se Maangna Shirk Nahin Balki Imaan Waalon Ka Tareeka Hai,

Hum Rasool se Kyon na Mange, Jab ke Huzur Sallallaaho Alaihe Wasallam Farmate hai,

“Innama Ana Qasimun Wallaho Yuti”
“Beshak Allah deta hai
Aur main Taqsim Karta hun”

*📚(Bukhari Sharif, Vol. 1, Page 16)*

Sarkar Sallallaaho Alaihe Wasallam Farmate hai,

“Beshak, Ali mujh se hai Aur mainAli se hun, Aur Ali Har Momin ke madadgar hai, Mere Baad.”

*📚(Tirmiji Sharif, Vol. 2, Pg.212)*

```IN SAB QURAAN KI AAYTE OR HADISH SHAREEF SE WAZEH HE KI BESHAK ALLAH KI ATA SE ALLAH KE NABI,FARISHTE,AULIYA,OR USKE MAHEBOOB BANDE MADAD KARTE HE.. OR UNHE MUSHKIL KUSHA KAHNA BILA SHAKKO SUBAH JAIZ HE```
========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖========

2 comments:

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts