MASJID ME WAQAF KI HUI CHEEZ AWAM YA WAQIF KHUD ISTEMAL KAR SAKTA HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya masjid me waqaf ki hui chiz ko awam apne zati kamo me istemal kar sakti he ?

Kya farmate he aulmae deen w muftiyane shara'a matin mas'ala zail me bhola shahid masjid jo new cloth market ke pichhe ke hisse me he ye masjid kalupoor baitul maal ke zere zere sarparasti me he vaha par ramzanul mubarak me har jumaa ke roz pani ki taklif rahti thi lihaza is masle par khuda ke ek bande ne baitul maal se ijazat le kar 1 paani ka bor khudvaya jiske sare akhrajat usne hi ada kiye maslan bor khudvai ka kharch sab marsabal pump pipe fitting lait connection wagairah kharche usne apni istita'at se khud kiye or inshaallah aage bhi akhrajat khud hi karege. Kya vo shakhs us bor ke pani ka khud istemal kar sakta he ?
Kya us bor ke pani ko awamun naas faida utba sakti he ?
Kya is borke pani ko masjid me bhi istemal kar sakte he ?
Kya waqaf masjid or awam dono ke liye istemal kiya ja sakta he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Soorate mas'ula me Agar Masjid ke naam waqaf kiya he to awam ya khud waqif apne ghar ke liye istemal nahi kar sakte. Kyu ki agarche paisa us shakhs ka he jisne Waqf kiya lekin ba'ade waqaf vo milkiyat uski na rahi vo allah ki milkiyat hui he.

Albatta waqif ka waqaf karte waqt irada masjid or awam ko faida pahunchana tha to awam or masjid dono istemal kar sakte he.

_Huzur Faqihe Millat Fatawa Razviya ke Hawale se taherir farmate he,_

Jo cheez jis garz ke liye waqaf ki gai dusri garz ki taraf use ferna jaiz nahi, agarche vo garz bhi waqaf hi ke faida ki ho ki شرط واقف نص شارع صلی اللہ علیہ وسلم واجب الاتباع ہے۔ *📚در مختار* "کتاب الوقف فروع فصل شرط الواقف کنص الشارع فی وجوب العمل بہ"
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-6, SAFA-455)*
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-191)*

Waqaf usi kaam me laya ja sakta he jis garz ke liye waqaf kiya gaya. Dusre kaam me lana mana'a he khusoosan masjid ke is ka muaamla aamma awqat se bhi tang tar he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-732)*

Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Taherir Farmate he,
masjid ka pani is soorat me le sakte he ki nal lagane wale ki niyyat sab ko lene ki ijazat ho or agar nal lagane wale ki khas masjid hi ke liye niyyat ho ko wuzu or gusl wagairah namaz ke liye taharat hi ke kaam me liya jae to us nal ke paani ki qimat masjid ke maal se ada ki jati ho to Awam gharo ko le jana jaiz nahi.
*📚(FATAWA MUSTAFIYA, S-269)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Khan Azhari,Petlad*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖===========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts