*๐นSAWAL:-๐น*
Aashura ke yaani Muharram ke 9 or 10 tarikh ko roza rakhne ke fazilat kya he ?
Or ek msg social media par chal raha he jisme kaha jata he ki yah msg Kisi ko bhejne se 80 saal ki ibadat ka sawab milta he ? Kya ye sahih he ?
*๐นJAWAB:-๐น*
_Muharram ke 9 or 10 va roza rakhne ki bahut si fazilate he agar koi kisi wajah se 9 ko na rakh saka to 10 or 11 ka roza rakhe.._
Or jesa ki social media pe raaij he ki kisi bhi msg ke nichhe likha jata he ki ye msg kisi ko send karne se 80 saal ko ibaadat ka sawab ya is tarah ki jahilana baat kahi jati he. Jiski koi asl nahi he aese msg hargiz send na kare.
Aashura ke yani muharram ke va or 10 va roza rakhne ki fazilat๐
“Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Rasool Allah Sallallahu Alaiho w sallam Ne Farmaya
Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ka Roza Aur Uske Baad Muharram Ka Roza Hai, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz E Tahazud ki Namaz Hai”
*๐(Sahi Muslim Vol :03, Pg :246, Kitab As Saum, Baab : Muharram Me Roze Ki Fazilat, Hadees : 2755)*
_Aashure Ka Roza Pichle Saal k Gunaho Ka Kaffara Hai_
Abu Qatada Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabi sallallahu alaihi w sallam se Asura (10 Muharram) ke din ke Rozey ke bare mein pucha to Aap ุตูู ุงููู ุนููู ู ุขูู ูุณู ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.
*๐(Sahih Muslim Vol :03, Pg :243, Kitab As Saum, Hadees : 2747)*
*_❓Kitne Roze Rakhe ❓_*
Aksar Log Isme Bhi Confuse Hote Hai k Kitne Roze Rakhne Hai.
Awwal to Jitna Aap rakh sake rakhe jitne rakhe utna faida hai dusri baat log 9 10 ye tarikh me confuse hai to uska jawab bhi hadees me hai , 9 Aur 10 Muharram ko rakhe
“Hazrath Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasool Allah sallallahu alaihi w sallam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm Kiya is Rozey ka, tou logo ne Arz ki : “Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iskiTaazim karte hain Yahud aur Nasara”?
To Aap sallallahu alaihi w sallam Ne farmaya Ki : “Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege” Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap sallallahu alaihi w sallam Ne Duniya se parda farma liya”
*๐(Sahi Muslim Vol :03, Pg :205, Kitab As Saum, Hadees : 2666)*
*๐Note : Jo kisi wajah se 9 ko naa rakh sake to 10 aur 11 ko rakh sakte hain 09 & 10 ko Roza Rakhna Sunnat hai agar koi Muslim Roza kisi aisi wajah se naa rakh saka kay uski tabyaat yaa koi sharai mazburi hoto usko maah me 02 to jarur rakhna chahye jab mauka mile phir bhi agar naa rakh saka to koi gunaah nahi hai lekin agar koi shaks ho accha khasa tandrust par ROZA sirf KHICHDA SARBAT kay chakkar me chod de aur yaa phir Murwazza TAZIYADARI ki khurrafat kay liye chod de aur phir khud ko bahot bada Hussaini hone ka dawa bhi kare to yakin jaan le ye dawa jhuta hai aur shaitan ka waswasa hai*
Imam Abdur Rehman ibn Abdus Salam Safuri likhte hai
“Nabi E Karim ุตูู ุงููู ุนููู ู ุขูู ูุณู Ne Irshad Farmaya Jo Shaksh Aashure Kay Din 04 Rakat is tarah padhe kay har rakat me Surah Fatiha kay baad 11 baar Surah Ekhlas padhe To Allah Taala uske 50 Saal Kay gunaah maaf farmayga aur uske liye Noor ka Mimber banayga”
*๐(Nuzhatul Majalis Vol : 01, Pg : 181)*
“Hazrat Abdullah Ibn Masood Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Nabi E Akram ุตูู ุงููู ุนููู ู ุขูู ูุณู Ne irshad farmaya Jo Shaksh Yaum E Aashure Kay Roz Apne Ghar Waalo Pe Khane Peene Me Khushadgi Karega Saal Bhar Tak barabar Khusadgi Me Rahega”
References :
*๐(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 366, Hadees : 3790)*
*๐(Maa Sabata Bis Sunnah, Pg : 10)*
*๐(Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Ashatul Lam’aat Shara E Mishkat Vol : 03, Pg : 135)*
*๐(Imam Ghazali Muqashafatool Quloob Pg :655)*
*๐(Mazahir E Haqq Vol : 02, Pg : 135)*
*๐ฌPathan Moin Raza Azhari, Petlad*
๐ฒ8487928693
*๐นSAWAL-O-JAWAB๐นF.T.S๐grp*
===========➖➖➖➖==========

No comments:
Post a Comment