Aurat Ka Mobile Par Gair Mahram Se Baat Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaykum wa Rahmatullah
Kya aurat ka phone par kisi gair mehram mard se bat karna jayiz hai (khairyat wagerah puchne k liye) or mamu ka beta ya masi ka ya chacha ke bete se to kabhi kabhi bat karni padti hai kuch kam ho to kya bat kar sakte hai phn pe ya parde me reh kar?
Baraye meherbani jawab bataye
Kya Aurat ke liye jaiz hai
Ye kaam

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurat Ko Apne Mahram Se Mobile Phone Par Baat Karna Jaiz w Durust He, Or Gair Mahram Se Baat Karna Najaiz He. Or Agar Sharai Haajat Ya Zaroorat Ke Waqt Ho To Gair Mahram Se Mobile Par Baat Karne Ki Ijazat He Vo Bhi Is Shart Par Ki Aawaz Me Lachak Ya Narmi Na Ho Balki Sakht Lahja Ho Jisse Fitne Ka Andesha Na Ho.

Fatawa Baraily Shareef Me He,

Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He, Or Aurat Ko Apni Aawaz Ka Chhupana Wajib He.

Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat Quddasirahu Se Sawal Huva Ki,
Kitne Ayse Shakhs He Jinse Aurto Ko Guftagu Karna Or Un Ko Apni Aawaz Sunana Jaiz He,

Jawaban Taherir Farmate He, Tamam Mahaarim Or Hajat Ho Or Andesha e Fitna na ho na khalwat ho to parda ke andar se Ba'az Na-mahram Se Bhi.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-161)*

Is ibarat se Ma'aloom huva ki agar Waqaee hajat he andesha e fitna or khalwat nahi he to aurat ko apni aawaz na Mahram ko sunana jaiz he to agar phone par Aurat ki aawaz aurat hi maan li jaaye or hajat he or Andesha e Fitna nahi to phone par Aurat ka dusre mard ko zaroori baat batana jaiz hoga.
*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-285)*

Or Mobile Phone Ke Zaroori Masail Me He,

Muslim Aurto Ke Liye Mobile Istemal Karna Or Uske Zariye Apne Mahramo Se Baat Cheet Karna Jaiz W Durust He, Or Gair Mahramo Se Baat Cheet Mamnoo'a W Najaiz He. Or Sharai Haajat Ya Zaroorat Ke Waqt Ke Liye Parde Ke Ehtemam Ke Sath Ajnabi Mardo Se Guftagu Ki Ijazat He, Khwañ Ye Guftagu Mobile Se Ho Ya Bagair Mobile Ke.

Gair Mahram Or Ajnabi Mardo Se Jahañ Waqte Zaroorat Baat Cheet Ki Ijazat He Wahañ Ye Bhi Shart He Ki Aurte Apni Aawaz Me lachak, Narmi Or Dilkashi paida na kare. Balki sakht lahje me or khurdure Andaz me Baat Cheet Kare Taaki Fitne ka Andesha Na Ho Or Koi Hareesut taba'a Aadmi aurto ko apni taraf maail karne ki jur'at na kar sake.

Allah Tabarak w Ta'ala Irshad Farmata He,
 إِنِ اتَّقَيْتُنَّ فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ
Tarjama: Agar Tum Parhezgari Ikhtiyar Karo To Narm Lahje se baat na karo ki jiske dil me rog he vo bura khayal kare.
*📚(Sura e Ahzab, Aayat-32)*

Lihaza Aam Halato Me Mobile Par Mard w Aurat Ka Ajnabi Mard w Aurat Se Guftagu Najaiz He Or Zaroorat Ke Waqt Jaiz He.
*📚Makhuz: (Mobile Phone Ke Zaroori Masail, Safha- 71 ta 73)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts