Quraan Shareef Me Baal Nikalne Ki Haqiqat

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Quraan Shareef Me Kuchh Baal Nikalte He Or Ye Har Jagah Ho Raha He, Or Kuchh Log Use Huzur ﷺ Ke Baal Mubarak Kahte He, Iski Kya Haqiqat He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Bahut Purana Mu'amla He, Pahle Bhi is Tarah Ki Baate Fail Chuki He Ki Qura'an Shareef Me Huzur ﷺ Ke Baal Nikalte He Kabhi Kabhi Aysi Baat Chal Padti He, Ek To Ye Ki Ham Qura'an Majeed Padhte He To Istemal Me Hamare Baal Bhi Andar Chale Jate He, Binding Karte He Un Logo Ke Bhi Hote He, Or Ise Huzure Paak  ﷺ Ke Baal Mubarak Kahna Iski Koi Sanad Nahi He, Wajah Ye Ki Huzure Paak ﷺ Ki Taraf Kisi Bhi Cheez Ki Nisbat Bila Tahqiq Kar Dena Ye Jaiz Nahi He, Yahañ Tak Ki Hadees Shareef Me Bhi He Ki Jisne Huzur ﷺ Ki Taraf Jhuth Bandha Vo Apna Thikana Jahannam Me Talash Kare, Lihaza Huzur ﷺ Ki Taraf Kisi Bhi Cheez Ki Nisbat Bila Tahqiq Jaiz Nahi.
Wallahu Ta'aala Aa'alam

*🎙Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

Is Tarah Ke Muaamle Pahle Bhi Ho Chuke He, Or Kuchh Jahil Log Ise Huzur ﷺ Ke Baal Mubarak Kahte He, Ye Bilkul Be Asl, Mangarhat He, Kuchh Log To Ayse Hi Afwah Faila Dete He, Or Jahañ Qura'an Shareef Me Baal Nikalte He, Vo Khud Un Parhne Walo Ke Ya Ird Gird Se Ud Kar Aa Girte He,

In Baalo Ko Bagair Daleel Huzur ﷺ Se Nisbat Kar Dena Bilkul Jagalat w be asl He.

Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Is Ta'alluk Se Sawal Hua Aap Farmate He,
(Qura'an Shareef Me Huzur ﷺ Ke Baal Mubarak Nikalna) Ye Baat Be Asl He, Usko Apne Taur Par Huzur ﷺ Ka Baal Samajh Lena Ye Baat Samajh Nahi Aati.
http://jamiaturraza.com/session/30May10/34.mp3

Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Ek Or Sawal Is Hi Ta'alluk Se Hua Aap Farmate He,

Is Silsile Me Khabar Ki Tausiq Ka Koi Zariya Maqool Samajh Me Nahi Aata, Moo e Mubarak Ka Achanak Qura'ane Kareem Me Zahir Hona Or Fir Ye Ki Ye Sarkar Ke Baal Mubarak He Isko Muta'ayyan Karne Ka Kya Zariya He ? (Yaani Is Baal Ko Sarkar  ﷺ Ke Baal Mubarak Kahne Ka Kya Saboot He ? Iska Koi Saboot Nahi.)

http://jamiaturraza.com/session/25Aug13/3.mp3

Lihaza Is Tarah Ki Afwah Or Be Asl Baato Par Gaur Na Kiya Jaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts