12 Rabi Ul Awwal Ko Huzur ﷺ Ka Wisal Or Wiladat Dono Kahte Hai To Sirf Khushi Kis Liye

*🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Kuch Bad Aqeedo Ka Kehna H Ke Sarkaarﷺ Ki Tareekhe Wiladat Aur Wisaale Mubarak Ki Tareekh  Mein Ikhtelafat Hen To Aapke Wisale Mubark Aur Wiladat Ki Tareekh Jab Alag Alag H To Wisale Mubarak Ke Din Aap Khushi Kaise Mana Sakte H


*🌹JAWAB:-🌹*

https://baharemasail.blogspot.com/2020/10/12-rabi-ul-awwal-ko-huzur-ka-wisal-or.html


اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aap  ﷺ Ki Tarikhe Wiladat Ke Kai Aqwal He Magar Mash'hoor Or Sahih Tarikh 12 Rabi Ul Awwal He,  Or Aap  ﷺ Ki Tarikhe Wisal Ki Bhi Kai Riwayat He, Magat Jamhoor Ka Yahi Qaul He Ki 12 Rabi Ul Awwal Tarikhe Wisal Hargiz Nahi.


Ne'amat Ki Khushi Manana Shar'an Hamesha Or Baar Baar Mahboob He. Lekin Wafat Ka Gam Wafat Se Teen Roz Ke Baad Qat'an Jaaiz Nahi. Magar Afsos Ki Hadees Ke Naam Nihad Aashiq Ahle Hadees Samet Deobandi Me Ek Ko Bhi Is Qaboone Sharai Ki Khabar Nahi. Warna Aysa Lagw Aitraz Karne Ki Naubat Na Aati.


Chunanche Kai Sahaba E Kiram, A'imma E Kiram Se Ye Riwayat He,

Hame Hukm Diya Gaya Ki Ham Kisi Wafaat Yaafta Par 3 Roz Ke Baad Gam Na Manaye, Magar Shohar Par (Char Maah Das Roz Tak Biwi Gam Mana Sakti He)

*📚(Muta Imam Malik, Safha-219)*

*📚(Muta Imam Muhammad, Ibne Abi Shayba, Abdur Razaq Wagairah)*


RasoolAllah ﷺ Irshad Farmate Hai,

Tumhare Dino Me Afzal Din Jumuah Ka Din He, Isi Roz Aadam Alaihis  Paida Huve, Or Isi Roz Aapne Wafaat Paai.

*📚(Sunan Nisai, J-1, S-150, Karachi)*


Fir Sarkar Farmate Hai,

Ye Jumuah Eid Ka Din He, Use Allah Ta'ala Ne Musalamanoñ Ke Liye Eid Ka Din Banaya He.

*📚(Sunan Ibne Majah, J-1, S-78)*


Ma'aloom Hua Ki Jumuah Ka Din Youme Miladunnabi Bhi He, Or Youme Wafaatun Nabi Bhi He. Iske Bawajood Allah Ta'ala Ne Wafaat Ki Gami Ko Nazar Andaz Karte Huve Youme Milad Ki Khushi Ko Baaqi Rakha, Or Har Jumuah Ko Eid Manane Ka Hukm Diya.


Wazeh Ho Gaya Ki Ek Hi Roz Me Agar Gami Or Khushi Ke Waqeaat Jama'a Ho Jayeñ, To Azroo E Shariyate Muhammadi 'Gami Ki Yaad' Teen Roz Ke Baad Khatm Kardi Jati He Or Khushi Ki Yaad Hamesha Baaqu Rakhi Jati He.


Lihaza Agar 12 Rabi Ul Awwal Ko Youme Miladunnabi Or Youme Wafaat Bhi Maan Liya Jaye, To Wafaat Ki Gami Wafaat Se 3 Roz Baad Khatm Ho Chuki, Or Milad Ki Khushi Qayamat Tak Baaqi Rahegi.


Ye To Aam Baat Thi Ki Wisaal Ke Baat 3 Roz Se Zyada Gam Karna Mana'a He Lekin Ummat Ke Haq Me Huzur ﷺ Ki Wiladat Or Rahelate At'har Dono Hi Rahmat Hai.


Hazrat Abdullah Bin Mas'ood RadiAllahu Anhu Se Marwi He Ki Huzur ﷺ Ne Farmaya Meri Zahiri Hayaat Or Mera Wisal Dono Tumhare Liye Baaise Khair He.

حیاتی خیر الكم و موتی خیر الکم

*📚(Shifa Shareef, J-2, S-19)*


Dusre Maqam Par Iski Hiqmat Bayan Karte Huve Farmaya, Jab Allah Ta'ala Kisi Ummat Par Apna Khas Karam Karne Ka Iradah Farma Leta He To Us Ummat Ke Nabi Ko Wisal Ata Karke Us Ummat Ke Liye Shafa'at Ka Saamaan Kar Deta He Or Jab Kisi Ummat Ki Halakat Ka Iradah Farmata He To Uski Zahiri Hayat Me Hi Azaab Me Mubtala Karke Halaak Kar Deta He Or Us Ummat Ki Halakat Ke Zariye Apne Pyare Nabi Ki Aankhoñ Ko Thandak Ata Farmata He.

*📚(Muslim Shareef)*


Is Ummat Par Allah Ta'ala Ki Kitni Badi Inayat He Ki Aakhirat Me Pesh Hone Se Pahle Uske Liye Huzur ﷺ Ko Shafee'a Bana Diya Gaya. Isi Liye Aapne Farmaya Mera Wisaal Bhi Tumahre Liye Rahmat He. Jab Ye Baat Tay Paa Gai Ki Ummat Ke Haq Me Dono Rahmat Hai To Ab Dekhna Ye He Ki In Dono Me Ne'amate Azeem Konsi He? To Zaahir He Ki Aap ﷺ Ki Dunya Me Tashreef Aawri Ummat Ke Haq Me Aysi Azeem Ne'amat He Ki Uske Zariye Hi Dusri Ne'amat Hasil Hui.


Shariyat Ne Wiladat Ke Mauqa'a Par Aqeeqah Ka Hukm Diya He Or Ye Bachche Ke Paida Hone Par Allah Ke Shukr Or Khushi Ke Izhaar Ki Ek Soorat He, Lekin Maut Ke Waqt Aysi Kisi Cheez Ka Hukm Nahi Diya. Balki Noha, Maatam, Juz'a Wagairah Se Mana'a Kar Diya He. Shariyat Ke Mazkoorah Usool Ka Taqaaza He Ki Rabi Ul Awwal Shareef Me Aap ﷺ Ki Wiladat Ba Sa'aadat Par Khushi Ka Izhaar Kiya Jaye Na Ki Wisaal Par Gam.


Is Mas'ala Par Guftagu Karte Huve Mufti Inayat Ahmad Kaakurvi Harmain Shareefain Ke Hawale Se Likhte Hai, Aulma Ne Likha He Ki Is Mahefil Me Zikre Wafaat Shareef Na Chahiye Is Liye Ki Ye Mahfil Waste Khushi Milad Shareef Ke Mun'aqid Hoti He. Zikre Gam Jaañkah Is Mahfil Me Na-zeib He. Harmain Shareefain Me Hargiz Aadate Zikre Qissa E Wafaat Ki Nahi He.

*📚(Tawarikhe Habeebullah, S-15)*


Or Phir Aap  ﷺ  Ka Wisaal Aysa Nahi Jo Ummat Se Aap  ﷺ Ka Ta'alluq Khatm Karde Balki Aap  ﷺ Ka Faizane Nabuwwat Ta Qayamat Jaari He. Or Aap  ﷺ Barzakhi Zindagi Me Dunyavi Zindagi Se Badh Kar Hayaat Ke Malik Hai. 


Hazrat Mulla Ali Qaari Ne Aap Ke Wisal Ke Bare Me Kya Khub Farmaya He,

لیس هناک موت ولافوت بل انتقال من حال الی حال

*📚(Mirqaat Shareef)*

Ke Yahaañ Na Maut He Or Na Wafaat Balki Ek Haal Se Dusre Ki Taraf Muntaqil Hona He.

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓24 Oct 2020, 6 Rabi Ul Awwal 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts