*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Chhote Bachche Ko God Lena Ya Kisi Ko God Dena Jaaiz He Agar Jaaiz He To Iski Kya Soorat Ho Sakti He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Bachcha God Lena Ya Dena Jaaiz He..
Qura'an Muqaddas Me Allah Ta'ala Farmata He,
وَ مَا جَعَلَ اَزْوَاجَكُمُ الّٰٓـِٔیْ تُظٰهِرُوْنَ مِنْهُنَّ اُمَّهٰتِكُمْۚ-وَ مَا جَعَلَ اَدْعِیَآءَكُمْ اَبْنَآءَكُمْؕ-ذٰلِكُمْ قَوْلُكُمْ بِاَفْوَاهِكُمْؕ-وَ اللّٰهُ یَقُوْلُ الْحَقَّ وَ هُوَ یَهْدِی السَّبِیْلَ
Or Usne Tumhari Un Biwiyoñ Ko Tumhari Haqeeqi Maayeñ Nahi Bana Diya Jinhe Tum Maañ Jesi Kahdo Or Na Usne Tumhare Muñh Bole Betoñ Ko Tumhara Haqeeqi Beta Banaya, Ye Tumhare Apne Muñh Ka Kahna He Or Allah Haq Farmata He Or Wahi Raah Dikhata He.
*📚(Surah Ahzab Aayat-4)*
اُدْعُوْهُمْ لِاٰبَآىٕهِمْ هُوَ اَقْسَطُ عِنْدَ اللّٰهِۚ-فَاِنْ لَّمْ تَعْلَمُوْۤا اٰبَآءَهُمْ فَاِخْوَانُكُمْ فِی الدِّیْنِ وَ مَوَالِیْكُمْؕ-وَ لَیْسَ عَلَیْكُمْ جُنَاحٌ فِیْمَاۤ اَخْطَاْتُمْ بِهٖۙ-وَ لٰكِنْ مَّا تَعَمَّدَتْ قُلُوْبُكُمْؕ-وَ كَانَ اللّٰهُ غَفُوْرًا رَّحِیْمًا
Unke Haqeeqi Baap Hi Ka Kah Kar Pukaro, Ye Allah Ke Nazdik Zyada Insaf Ki Baat He Phir Tumheñ Unke Baap Ka Ilm Na Ho To Vo Deen Me Tumhare Bhai Or Tumhare Dost Hai.
*📚(Surah Ahzab, Aayat-5)*
Is Aayate Mubaraka Ki Tafseer Me Tafseere Seeratul Jinan Me He,
Pahli Aayat Me Le Paalak Bachche Ko Palne Waloñ Ka Beta Qarar Dene Se Mana'a Kiya Gaya Or Is Aayat Me Ye Farmaya Ja Raha He Ki Tum Un Bachchoñ Ko Unke Haqeeqi Baap Hi Ki Taraf Mansoob Karke Pukaro, Ye Allah Ta'ala Ke Nazdik Zyada Insaf Ki Baat He, Phir Agar Tumheñ Unke Baap Ka Ilm Na Ho Or Is Wajah Se Tum Unheñ Unke Baapoñ Ki Taraf Mansoob Na Kar Sako To Vo Tumhare Deeni Bhai Or Dost Hai Or Insaniyat Ke Naate Tumhare Chacha Zaad Hai, To Tum Unheñ Apna Bhai Ya Ay Bhai Kaho Or Jis Ke Lepaalak Hai Uska Beta Na Kaho Or Mumaneat Ka Hukm Aane Se Pahle Tumne La Ilmi Me Le Paalakoñ Ko Unke Paalne Waloñ Ka Beta Kaha Us Par Tumhari Giraft Na Hogi Albatta Is Soorat Me Tum Gunahgar Hoge Jab Mumaneat Ka Hukm Aa Jane Ke Baad Tum Jaanbujh Kar Le Paalak Ko Uske Paalne Wale Ka Beta Kaho.
*📚(Tafsire Khazin, Al-Ahzaab, Aayat-5)*
*📚(Tafsire Madarik, Al-Ahzaab, Aayat-5, Safha-932)*
God Liye Huve Bachche Ki Haqeeqi Baap Ke Taur Par Apna Naam Istemal Karne Ka Sharai Hukm:
Bachha God Lena Jaaiz He Lekin Ye Yaad Rahe Ki God Me Lene Wala Aam Bol Chaal Me Ya Kagzaat Wagairah Me Uske Haqeeqi Baap Ke Taur Par Apna Naam Istemal Nahiñ Kar Sakta Balki Sab Jagah Haqeeqi Baap Ke Taur Par Us Bachche Ke Asli Walid Hi Ka Naam Istemal Karna Hoga Or Agar Asli Baap Ka Naam Maloom Nahi To Uski Ma'aloomat Karwa Kar Baap Ke Taur Par Haqeeqi Baap Ka Naam Likhna Hoga Or Agar Koshish Ke Bawajood Kisi Tarah Uske Asli Baap Ka Naam Maloom Na Ho Sake To God Lene Wala Guftagu Me Haqeeqi Baap Ke Taur Par Apna Naam Hargiz Istemal Na Kare Or Na Hi Bachcha Use Haqeeqi Walid Ke Taur Par Apna Baap Kahe, Isi Tarah Kagzaat Wagairah Me Sarparast Ke Column Me Apna Naam Likhe Haqeeqi Walid Ke Column Me Hargiz Na Likhe, Agar Jaanbujh Kar Khud Ko Haqeeqi Baap Kahe Ya Likhega To Ye Bhi Darj Zail Waeedoñ Me Dakhil He,
Chunanche, Hazrat Sa'ad Radiallahu Anhu Se Riwayat He, Huzure Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya: Jis Shakhs Ko Ye Maloom Ho Ki Uska Baap Koi Or He Or Uske Bawajood Apne Aapko Kisi Gair Ki Taraf Mansoob Kare To Us Par Jannat Haram He.
*📚(بخاری، کتاب الفرائض، باب من ادعی الی غیر ابیہ، ۴ / ۳۲۶، الحدیث: ۶۷۶۶)*
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Riwayat He, Nabi E Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya, Jis Shakhs Ne Khud Ko Apne Baap Ke Gair Ki Taraf Mansoob Kiya Ya Jis Gulam Ne Apne Aapko Apne Maula Ke Gair Ki Taraf Mansoob Kiya Us Par Allah Ta'ala Ki, Farishtoñ Ki Or Tamam Logoñ Ki Laanat Ho, Qayamat Ke Din Allah Ta'ala Uska Koi Farz Qubool Farmayega Na Nafl.
*📚(مسلم، کتاب الحج، باب فضل المدینۃ ودعاء النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم فیہا بالبرکۃ۔۔۔ الخ، ص۷۱۱، الحدیث:۴۶۷ (۱۳۷۰))*
Ek Mas'ala Ye Bhi He Ki,
God Liya Hua Bachha Jab Us Umr Tak Pahunch Jayeñ Jis Me Un Par Namahram Mard Ya Aurat Se Parda Karna Laazim Ho Jata He To Us Waqt Bachhe Par Palne Wali Aurat Se Or Bachchi Par Palne Wale Mard Se Parda Karna Bhi Lazim Hoga Kyuñ Ki Vo Us Bachche Ke Haqeeqi Ya Razaai Maañ Baap Nahiñ Is Liye Vo Us Bachche Or Bachchi Ke Haq Me Mahram Nahi,
Lihaza Agar Bachcha God Me Liya Jaye To Aurat Use Apna Ya Apni Bahan Ka Dudh Pila De Or Bachchi God Me Li Jaye To Mard Apni Kisi Mahram Aurat Ka Dudh Use Pilva De, Is Soorat Me Unke Darmiyan Razaai Rishta Qaaim Ho Jayega Or Mahram Ho Jane Ki Wajah Se Parde Ki Vo Pabandiyañ Na Raheñgi Jo Namahram Se Parda Karne Ki Hai, Albatta Yahañ Mazeed Do Baateñ Zaheen Nasheen Raheñ.
Pahli Ye Ki Dudh Bachche Ki Umar Do Saal Hone Se Pahle Pilaya Jaye Or Agar Do Saal Se Le Kar Dhaai Saal Ke Darmiyan Dudh Pilaya To Bhi Raza'at Sabit Ho Jayegi Lekin Us Umr Me Dudh Pilana Naajaiz He Or Dhaai Saal Umar Ho Jane Ke Baad Pilaya To Raza'at Sabit Na Hogi.
Dusri Ye Ki Aurat Ne Bachche Ya Bachchi Ko Apni Bahan Ka Dudh Pilwaya To Vo Uski Razaai Khala To Ban Jayegi Lekin Uska Shohar Bachchi Ka Mahram Na Banega..
Albatta In Masaail Me Kahiñ Pechidgi Peda Ho Sakti He Lihaza Aysa Koi Muaamla Ho To Kisi Qabil Mufti Ko Puri Tafseel Bata Kar Amal Kiya Jaye..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓20 Sep 2021, 12 Safarul Muzaffar 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•