EK SATH 3 TALAQ DI TO KYA HUKM HE ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Ne Apni Biwi Ko Ek Sath 3 Talaq Di To Kya Hukm he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Teen(3) Talaq Ek sath dena Islam me sakht napasandida amal he, or islam ne iski sakht mazammat ki, ekehi sath 3 talaq dena wala sakht gunahgar he, Lekin Agar koi dede to Isse Tino Talaq Waqe'a ho jaegi.Chahe Ek Jumla me teen talaq ka lafz istemal kiya maslan me apni biwi ko teen talaq deta hu, ya alag alag jumlo me kaha maslan mene apni biwi ko talaq di talaq di, talaq di. Ya ek Majlis ya ek din me teen talaq di bahere soorat talaqe waqe'a ho jaegi. Uski biwi uske nikah se nikal gai or us pe haram ho gai, Ab Agar Use Wapas rakhna chahe to bina Halale ke nahi rakh sakta._

Allah Pak Qura'ane Muqaddas Me Farmata Hai-

ٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِ ۖ فَإِمْسَاكٌۢ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌۢ بِإِحْساَٰنٍ ۗ

*Tarjamah-* Talaq Jo 2 Baar Tak Hai, (Yani Jisse Biwi ko Bagair Naya Nikah Kiye Rakha Ja Sakta hai) Phir Bhalai Ke Sath Rok Lena (Yani Bagair Naye Nikah Ke Hi) Ya Nikoi (Bhalai) Ke Sath Chhod Dena.
*📚(QURA'ANE KAREEM, SURAH BAQRAH, AAYAT-229)*

Phir Rab Ta'ala Farmata Hai-

فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ

*Tarjamah-* Phir Agar Tisri Talaq Use Dee To Ab Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shohar Ke Pas Na Rahe, Phir wo Dusra Agar Use TALAQ De De To In Dono Par Gunah Nahi Ki Apas Me Mil Jayen (Ab Pehla Wala Usse Nikah Kar Sakta Hai) Agar Guman Ho Ki Allah Ki Hadon Ko Qa'im Rakhenge, Ye Allah Ki Hade'n Hai Jo Wo Bayan Farmata Hai Samajhdaron Ke Liye.
*📚(SURA E BAQRAH, AAYAT-230)*

Sura e Baqrah ki In Aayato se Wazeh ho gaya ki, Do Talaqo Ke baad iddat khatam hone se pahle Rujoo'a ho sakta he. Agar Do talaqo se tadad badh jae to rujoo'a nahi ho sakta. Yaani  bek waqt teen talaqe di gai agarche aysa karna haram he, ya 3 tuhar me di gai jo jaiz or sunnat ke mutabiq tariqa he to in dono soorto me ruju'a nahi ho sakta.

*Ek sath Teen Talaq Dena Sakht Gunah W haram he lekin Talaq Waqe'a Ho jati he.*

Hadees-

أَخْبَرَنَا سُلَيْمَانُ بْنُ دَاوُدَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ وَهْبٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَخْبَرَنِي مَخْرَمَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ مَحْمُودَ بْنَ لَبِيدٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏  أُخْبِرَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ رَجُلٍ طَلَّقَ امْرَأَتَهُ ثَلَاثَ تَطْلِيقَاتٍ جَمِيعًا، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ غَضْبَانًا، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ قَالَ:‏‏‏‏  أَيُلْعَبُ بِكِتَابِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَنَا بَيْنَ أَظْهُرِكُمْ ، ‏‏‏‏‏‏حَتَّى قَامَ رَجُلٌ وَقَالَ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏أَلَا أَقْتُلُهُ ؟.

Tarjamah-

Huzoor ﷺ Ko Eik Shakhs Ke Hawale Se Bataya Gaya Ki Usne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-Talaqe'n De Dee Hain, Ye Sunke Aap Sakht Gusse Me Khade Huye Aur Farmaya Tum Log Allah Ki Kitab Se Khelte Ho Halaki Mai Tumhare Beech Maujood Hun, Eik Shakhs Khada Hua Aur Arz Ki Huzoor ﷺ Aap Ijazat De'n Ki Mai Use Qatl Karun.

{سنن النسائي، جلد-٦، صفحہ نمبر-٤٤٢، حدیث نمبر-٣٤٣٠}



Agar Eik Sath Dee Gai 3-Talaq 1 Hi Hoti To Huzoor E Pak ﷺ Is Qadar Gussa Na Farmate Aur Ise Allah Ki Kitab Se Khel Na Batate Jabki 1 Baar Me 1 Talaq  Quran Hi Ka Hukm Hai, Aur Phir Eik Sahabi Us Shakhs Ke Qatl Ki Ijazat Na Chahte.

Sunane Ibne Majah Me Ye Hadees Hai-

Hadees-

عَنْ عَامِرٍ الشَّعْبِیِّ:’’قَالَ: قُلْتُ لِفَاطِمَۃَ بِنْتِ قَیْسٍ: حَدِّثِینِی عَنْ طَلَاقِکِ، قَالَتْ: طَلَّقَنِی زَوْجِی ثَلَاثًا، وَھُوَ خَارِجٌ اِلَی الْیَمَنِ، فاَجَازَ ذَلِکَ رَسُولُ اللَّہِ صَلّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ‘‘۔

Tarjamah-Hazrat Shabi (شعبی) Kehte Hain Main Ne Fatimah Binte Qais Se Kaha Aap Mujhe Apni Talaq Ka Waqiyah Sunaiye, Unho Ne Jawab Diya Mujhe Mere Shaohar Ne Yaman Jate Waqt 3 Talaqen Dee'n, To Rasulullah ﷺ Ne Ye 3no Talaqen Naafiz Farma Dee'n.

[سنن ابن ماجہ ، کتاب الطلاق، باب من طلق ثلاثاً فی مجلس واحد، حدیث نمبر( 2024): 1/652، مطبوعہ:احیاء الکتب العربیۃ، بیروت۔]

Hadees Me Saaf Hai Ki Ye 3no Talaqen Eik Majlis Ki Thi, Jabhi Hazrat Fatimah Ne Bayan Diya Ki Rasulullah ﷺ Ne 3no Naafiz Farma Dee'n Agar Alag Alag Majlis Me Dee Hoti To Huzoor ﷺ Ka Ise Naafiz Farmane Ka Kya Matlab Hai?

Jaisa Ki Imam Abu Zakarya Yahya Bin Sharf An'nowi رحمہ اللہ Ne Sharah An'nowi Me Farmaya-

قال لامرأتہ انت طالق ثلاثاً فقال الشافعی ومالک وابو حنیفۃ واحمد وجماھیر العلماء من السلف والخلف یقع ثلاثاً‘‘۔

Tarjamah-

Jis Shakhs Ne Apni Biwi Ko Kaha Tujhe 3 Talaqen Hain To Uske Muta'alliq Imam Azam Abu Hanifah, Imam Malik, Imam Shafai, Imam Ahmad, Aur Jamhoor Ulama E Salaf O Khalaf Ne 3 Talaq Waqe Hone Ka Fatwa Diya Hai.

[شرح النووی علی المسلم، کتاب الطلاق، باب طلاق الثلاث: 1/478، مطبوعہ: قدیمی کتب خانہ،کراچی]

Allama Kamaluddin Ibne Humam رحمہ اللہ Fathul Qadeer Me Farmate Hain-

ذھب جمھورالصحابۃ والتابعین ومن بعدھم من ائمۃ المسلمین الی ان یقع ثلاثاً

Tarjamah-

Jamhoor Sahabah Taba'een Aur Unke Baad Wale Aimmah E Kiram Ka Maslak Ye Hai Ki Eik Lafz Se 3 Talaq Dene Se 3 Hi Waqe Hongi

[فتح القدیر، کتاب الطلاق، باب طلاق السنۃ: 3/469، مطبوعہ: دارالفکر، بیروت، لبنان]

Fiqhe Hanfi Ki Mash'hoor Kitab Alamgeeri Me Hai-

اذاقال لامرأتہ’’ انت طالق وطالق وطالق‘‘ ولم یعلقہ بالشرط، ان کانت مدخولۃ طلقت ثلثا‘‘

Tarjamah-

Jab Mard Ne Apni Madkhulah (Jisse Sohbat Hui) Biwi Se Kaha "Tujhe Talaq Hai Aur Talaq Hai Aur Talaq Hai" Aur Talaq Ko Kisi Shart Ke Sath Khas Na Kiya To Biwi Par Talaqen Pad Gai.

[فتاوی ہندیہ، کتاب الطلاق، الباب الثانی، الفصل الاول: 1/355، مطبوعہ: دار الفکر، بیروت۔]

_Hasile kalam yahi he ki ek sath teen talaq dena agarche gunah w haram he lekin tino takaqe waqe'a ho jaegi. Aurat nikah se nikal jaegi. Bina halala kiye wapas nahi rakh sakta_

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts