Khula Ka Tareeqa. Ladki Khula Lena Chahe To Kese Khula De ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Behen ka sawal hai.. Ladki khula lena chahti hai aur ladka isse razi hai..
Ab iska process ya procedure kya hoga? Kya ladke ki sign kaafi hai divorce paper par ya kaise khula leni chahiye batadein meherbani.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khula Ka Ma'ana Maal ke Badle Me nikah ko tod dena, zaeel kar dena he, is me ek shart ye he ki aurat usko qubool karle bagair uske qubool kiye khula nahi ho sakta. Or agar shohar or biwi me na ittefaqi rahti ho or ye andesha ho ki ahkame sharaiyyah ki pabandi na kar sakege to khula me muzayeqa nahi, khula kar lena chahiye, or jab khula kar liya to talaqe baeen waqe'a ho jayegi or jo maal thahera he aurat ki janib se dena us aurat par uska dena lazim w zaroori he. Kabhi kabaar miya biwi me na ittefaqi, zulmo ziyadati shohar ki taraf se hoti he to khula karne ki soorat me Mutlaqan Shohar ke liye paise lena makrooh w mana'a he. Or kabhi kabaar ye zyadati ya na ittefaqi aurat  ki taraf se hoti he to aurat ko bhi chahiye ki jo maher diya he usi par bas karle, usse zyada na le, usse zyada legi uske liye makrooh he, mana'a he. Lekin agar zyada le legi ya zyada le lega to kaza'andi jaiz he. Khula ke kuchh alfaz muta'ayyan he unhi naamo or alfazo ke sath kiya jaye.

Khula ke alfaz misal ke taur par, mera maher jo tumne diya he wapas lelo or meri jaan chhod do, shohar ne kaha thik he mene jaan chhod di,

jesa ki hadis shareef me aaya Allah Ke Rasool  ﷺ Ki khidmat Hazrate Sabit Bin Qais RadiAllahu Anhu ki Jauza Ne hazir ho kar arz ki Ya RasoolAllah ﷺ Sabit Bin Qais ke Akhlaq w deen ki nisbat par muje kuchh kalam nahi yaane unke akhkaq bhi achche he or dindar bhi he magar islam me me kufrane ne'amat ko me pasand nahi karti yaane ba wajhe khubsoorat na hone ke meri tabiyat unke taraf maeel nahi , irshad farmaya uska baag jo tum ko maher me diya gaya he kya tu wapas kar degi? To Sabit Bin Qais RadiAllahu Anhu ki Jauza Ne arz ki haañ Huzur Me usko wapas kardugi. Huzur  ﷺ ne sabit bin Qais se farmaya baag lelo or talaq dedo. Ye khula ke alfaz he jese hi biwi maal ko qubool karle shohar usko khula ki ijazat de dega to khula waqe'a ho jayega or khula se ek talaqe baeen waqe'a ho jayegi. Or jo Maal bhi thahra he uska aurat par dena lazim w zaroori hoga ya maher lotana wajib w zaroori hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab(in Audio):- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792869
*_📬Pathan Moin Raza khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts