Rabi Ul Awwal Ko Madina Ka Dhancha Bana Kar Gumana Kesa ? Use Taziyadari Se Musabeh Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Maine Apne Dost Ko Bataya Ke Taziya Banana Or Isko Ghumana Jaiz Nahi Hai,

To Mere Dost Ne Palat Kar Sawal Kiya Ke 12 Rabi'ul Awwal Ko Jo Makka Shareef Or Madina Shareef Ka Modal Nikala Jaata Hai Wo Bhi Jaiz Nahi Hona Chahiye??

Hazrat Rehnumai Farmaea

*🌹JAWAB:-🌹*

Awwalan To Gumbade Khizra Ka Bhi Is tarah se Dhancha Bana Kar Gumana Jisme Aurto or mardo ka Mela Ho Ya Kisi Tarah Ki Khurafat Hi Vo Jaiz Nahi. Un Khurafat Ko Rok Kar In Dino Ko Shariyat Ki Roshni Me Manaya Jaye.

Magar Jis Tarah Muharramul Haram Me Taziya Ke Samne Khurafate Hoti He, jese fatiha padhna, mannate Mangna, Taziya Ko Hajat rawa Samajna, Taziya pe phool agarbatti karna, Matam W Dhol Bajana,  Wagairah Khurafate Hoti He Jo Rabi Ul Awwal Me To Hargiz Nahi Hoti. Is Liye Muharramul Haram Me Hone Wali Jahilana w Be bunyadi khurafato ka Bhi Rokna Zaroori he. Taziya Or isme Ye bhi Farq hota he Ki Gumbade Khizra Hubahu Roze Ki Tarah Banaya Jata he Magar Taziya kisi bhi tarah ka gumbad bana kar use Imame aali Makam ka roza kahte he or kai sari khurafate karte he.

_Fatawa Razviya Ki Ek Ibarata Ka Khulasa Ye He ki.._

Shay ki 2 Qisme Hoti He,
Ek to Ye ki Shay Apne Wujoode urfi ke lihaz se hi galat ho.

Or Ek Ye Ki Shay Apne Wujood Ke Lihaz Se To Sahih Ho, Kabhi Galat Tariqe Se Paai Ja Rahi Ho Ya Kabhi Sahih Tariqe Se Paai jaa Rahi Ho To Aysi Soorat Me Dono Ke Ahekam Alag Alag Hote He. Ab agar vo cheez Sahih Tariqe Se paai jaye to sahih or agar galat tariqe se Paai Jaye To Galat. Jese Majlise Milade Nabi  ﷺ, Imame Husain Ke Shahadat Naame, Buzurgo Ke Aaras, To Ye Sahih Tariqe Par Bhi Hote he or Galat Tariqe par bhi Hote He. Usme Jo Sahih Tariqe Par Ho Vo Sahih Or Jo Galat Tariqe Par Ho Vo Galat. Usko Mulaqan Galat Nahi Kaha Ja Sakta. Lihaza jaha Majlise Milad Me Riwayat Sahih Padhi Jaye Isi Tarah Majlise Shahadat Me Riwayat Sahih Padhi Jaye, Ya Julus Milad Sahih Tariqe Se Nikala Jaye To Ham Use Sahih Hi Kahege Or Agar Usme Kuchh Baate Galat Hoti He to Us Galat Baato Ko Ya Us Amal Ko galat kahege us wajah se us shay ya Vo cheez Galat Nahi Ho Jayegi.

Or ek Cheez Hoti He Ki Shay Apni Haqiqate Urfiya Hi Ke Lihaz se Galat Ho, to aysi soorat me ye cheez mutlaqan Galat Hogi. Ab Ye Nahi Kah sake ki Ye agar sahih ke sath Paai jaye to sahih or galat cheezo ke sath Paai jaye to galat, Is Liye Ki Vo cheez Urf Me Ya samaj me Galat tariqe par hi mashHoor He Ki Uski Haqiqat Hi Un Galat Cheezo Ka Majmuaa He, Vo cheez Mutlaqan Galat Hogi.

Jiski Misal Aala Hazrat Ne Is tarah se di he ki,

Wadd, wa sawa, wa yagoos, wa ya'auq, wa nasr Ye panch Log bani israil ke nek log the, ki pahle logo ne sirf unki yaad manane ke liye, ki unko dekh kar hame unki nekiya yaad aaye unki tasweere rakhi, unko dekh kar unko khuda ki yaad aati khuda ka zikr yaad aata, Lekin Baad Walo ne unki pooja Shuru kardi, To Jab Baad Walo ne unki pooja Shuru kardi to unki tasweer but hi ke taur par mash'hooro Ma'aroof Ho Gai. Ab ye koi Nahi Keh sakta ki isse agar zikre ilahi maqsood ho, khuda ki yaad maqsood ho, To jaiz he warna jaiz nahi.

Isi Tarah Taziya,... Ki Taziya Agarche Sunne Me Ye aaya he ki Taimur lang ne Sirf Imame Aali Maqam ke Roze Ki Naql Or Shabi Apne Sath Is Liye bana kar rakhi ki usko jango me jaane ki wajah se Or Saltanat me mashguliyat ki wajah se har saal Imame Aali Maqam Ke Rauze Par Hazri Dushwar Thi, To Aap Ki Yaad Ke Liye Rakha, Magar Baad Walo Ne Isko Bigad Tarash Karke Itna Farzi Bana diya Ke Aaj Taziyadari Unhi Galat Or Farzi Chizo ka Naam He Jo Aam Taur Par Raaij He. Koi Agar Apne Ghar Me Imame Aali Makam Ke Roze Ki Sahih Naqs Bana Kar Rakhe To Koi Usko Taziya Nahi Kahega Balki Kahege ki Ye Dargah Ki Photo He. Magar Taziya Naam He Usi Ka Jo Galat Or Farzi Or Biddat Or Najaiz Chizo ka Majmuaa He, Or Taziye ki Haqiqate Urfiya Hi Biddato Najaiz Chizo Ka Majmuaa He Is Liye Ye Mutlaqan Najaizo Gunah He.

Tafsil Ke Liye *📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-9, NISFE AWWAL, SAFA-64* Ki Taraf Ruju'a Kare.
Isme Huzur Aala Hazrat Ne Is Masle Ki Mukammal Taheqiq Ki He Jiska Khulasa Zikr Kiya Gaya.

_Or Jesa Ki Fatawa Faqihe Millat Me he,_

Rabi Ul Awwal Shareef Ke Mauqe Par Julus Nikalna Zaroor Kaare Sawab He Us Me RasoolAllah  ﷺ Ki  Ta'azimo Takreem He Or Us se Aap  ﷺ Ki Azmat w Barhai Zahir Hoti He Lekin Jis Tarah Nawwi Muharramul Haram Ko Ta'aziya Bana Kar Raat Bhar Aurto, Mardo Ka mela Lagana Haram he Usi Tarah Gumbade Khizra Wagairah Bana kar Mardo, Aurto Ka Raat Bhar Mela Lagana Fir Us Dhanche Ko Le Kar Mardo Ke Sath Julus Nikalna Bhi Najaizo Haram He. Alawa Azeeñ aage chal kar ye bhi murawajja taziya daari ki tarah bahut bada fitna ho jayega or ye mubarak din behuda rusoom or jahilana w fasiqana melo ka zamana ho jayega is liye ise band kiya jaye Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Apne Risala e Mubaraka *📚'Haadiyun Naas Fee Rusoomul Uraas' Safha 7* me taherir Farmate he "sare se fitna ka darwaza band kar diya jaye na ungli niklne ki jagah payenge na aage paanw fela payenge.

Lihaza Tamam Musalmamo Par Lazim He Ki Vo Gumbade Khizra Ka dhancha Hargiz Na banaye balki sirf kagaz, kapde ya teen par uska aks tayyar kare or sirf din me julus nikale or raat me jalsa Eide Milad Mun'aqid kare jis Me Aurto Ko bethne ke liye parda me jalsa gaah se hat kar intezam kare taaki aurto or mardo ki nigahe ek dusre ki taraf na uthe or din ke julus me bhi aurto ko hargiz na sharik hone de aulma w khawas agar unhe julus me shirkat se na rokege to vo sakht gunahgar w mubtalaye azabe naar hoge.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-2, S-296)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts