Kya Makhluq Ko Paida Karne Se Pahle Allah Badal Pe Tha ?? Ek Hadis Ka Tarjama

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Hadish Shareef He,

Hazrat Abu Razin Radi Allahu Anhu se riwayat hai meine Arz Kiya *Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam* Hamara RABB Apni Makhluq ke paida Karne se pehle Kahan tha ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya *BADAL* main tha. Na to Uske neeche Hawa thi Na upar Hawa thi aur Na hi koi Makhluq thi ( phir pani paida Kiya ) aur uska arsh pani pe tha..

Iska Ma'ana Kya He Or Kya Ye Sahih He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

وعَنْ أَبِي رَزِينٍ قَالَ : " قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَيْنَ كَانَ رَبُّنَا عَزَّ وَجَلَّ قَبْلَ أَنْ يَخْلُقَ خَلْقَهُ ؟ قَالَ : ( كَانَ فِي عَمَاءٍ مَا تَحْتَهُ هَوَاءٌ وَمَا فَوْقَهُ هَوَاءٌ ، ثُمَّ خَلَقَ عَرْشَهُ عَلَى الْمَاءِ )
*📚رواه الترمذي ( 3109 )*
 *📚وابن ماجه ( 182 )*
*📚وأحمد ( 15755 )*

Ye hai hadis k Asl arabi kalimat ... Is me ek lafz hai عماء  jis ka tarjama badal kiya gaya hai ...

Ahle sunnat ka Aqida hai k Allah La Mehdood hai yani koi chiz ise gher nahi saki na is par ghalib aa sakti hai ...

Kyu k Jo chiz ghir Jaye voh lambai chodai or gherai vali hai or jis me ye teen bate ho us ko jism kehte hai or jism fani hota hai or Jo fani ho voh khuda nahi ho sakta lihaza khuda ka jism vala hone se Pak hona zaruri ...

Ab Zahir e hadis k Ma'ana ke lihaz se ye kahe k khuda badal me hai to badal k andar khuda ka hona lazim aayege or badal k andar hoga to badal khuda ko gherne vala ho jayega .. or khuda ka Mehdood jism or fani hona lazim aayega ... Ma'azAllah

To hadis me Murad kaya hai ...? ..
ise samjhte hai.

Pehli baat ye yaad rakhe is tarah ki hadis mutashibehat me se kehlati hai or mutashabehat k zahire ma'ana ko lekar is tarah ki bahas se avam to avam khwas olam ko bhi Mana kiya gaya hai ... To ayse massage se bechare avam Zahir e Mana k translation ki vajah se ghalat samjh bethenge. .. aysi bate avam me na rakhe ..

Hadis ka sahi Matlab padhiye jis me khuda e paak k liye jism or Mehdud hone jaise ayb lazim na aaye.   عماء ka meaning sirf badal nahi hota is ka Mana zulmat Yani andhera bhi hota hai .. عماء ka ek Mana mu'amma Yani raaz bhi hota hai ... Arabi Lughat

Hadis me هواء ka lafz hai jis ka Mana hava Yani air kiya gaya jab k hava ka Mana khvahish or nafs bhi hota hai.

Zulamat Yani andhere ki Surat me Mana ye hoga ki khuda zulmat me tha Yani us ne khlaq ko apne Noor ki qudrat se noor azim se paida nahi ki thi jis ki vajha se koi Allah ko janne vali makhlooq na thi.. us ne Noor ata kiya to makhluq ko jahalat ki Andheri se khuda ki ma'arefat ka Noor mila.

Muamma Yani raaz ... Jaysa k khud farmata hai hadis e qudsi me k me ek poshida raaz tha (koi mere bare me janne vala na tha) jab mene chaha k me pehchana jau to khalq ko paida kiya ..

Lihaza is tarah k Mana Shariat me sabit hai or ye Murad lene me koi kharabi nahi to Bila vajah ibn e taimiyah mardud ki tarah Ahle sunnat k mauqif k khilaf ma'ani nikalne se bachna chahye.

Is se upar na hava thi na niche hava thi ... Ye Matlab bhi thik nahi ...
Ham ne bataya k hava ka meaning nafs jaan or khvahish bhi hota hai ..lihaza Matlab hoga Allah hamesha se hai hamesha rahega na Allah se pehle koi Nafs na baad me koi Nafs or jan ... Woh qadim Azali Abadi or baki sab nufus ek zamane me Mehdud fani
و الله اعلم
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Allama Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Mustafiya Haldarva W Qazi e Petlad, Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts