Aqeeqah Ke Baad Naam Badalna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Aqiqa Hone Ke Baad Naam Badalna Kesa ? Or Kya Naam Badalne Ke Liye Fir Se Aqiqa Karna Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Naam Kabhi Bhi Badal Sakte He Agar Naam Durust Na Ho Yaani Uska Ma'ana W Matlab Thik Na Ho. Aqiqa Ke Baad Bhi Naam Badal Sakte He, Naam badalne Ki Liye Dubara Aqiqa Karne Ki Koi Zaroorat nahi.

Agar Naam Bura He To Fauran Badal Diya Jaye, Jaisa Ki Hadis Shareef Me He Ki Jin Ka Naam Bura Hota Tha Nabi E Paak  ﷺ Achche Naam Badal Diya Karte The.

Jaisa Ki Sahih Muslim Me Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma Se Marvi, Kahte He, Jawairya RadiAllahu Anha  Ka Naam Barrah Tha, Huzur ﷺ Ne Ye Naam Badal Kar Jawairya Rakha Or Ye Baat Huzur ﷺ Ko Napasand Thi Ke Yuñ Kaha Jaye Ki Barrah Ke Paas Se Chale Gaye.
*📚(Al-Marja Us Sabiq, Hadis-16 (2140), S-1182)*

Sahih Muslim Me Ibne Umar RadiAllahu Anhuma Se Marvi, Kahte He Ki Hazrat Umar RadiAllahu Anhu Ki Ek Ladki Ka Naam Aasya Tha, Huzur  ﷺ Ne Uska Naam Jameela Rakha.
*📚(Sahih Muslim Kitabul Aadab, Hadis-15 (2139), S-1181)*

Tirmizi Ne Hazrate Aaisha RadiAllahu Anha Se Riwayat Ki, Ke RasoolAllah ﷺ Bure Naam Ko Badal Dete The.
*📚(Sunan Tirmizi, Kitabul Aadab, Hadis-2848, J-4, S-382)*

Sahih Bukhari Me Saeed Bin Musayyab RadiAllahu Anhu Se Marvi, Kahte he, Mere Dada Nabi E Kareem  ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Huye. Huzur  ﷺ Ne Puchha: Tumahara Kya Naam He ? Unhone Kaha: Huzn. Farmaya Tum Sahal Ho. Yaani Apna Naam Sahal Rakho Ki Is Ke Ma'ana He Narm, Or Huzn Sakht Ko Kahte He. Unhone Kaha Ki Jo Naam Mere Baap Ne Rakha He Use Nahi Badluga.
*📚(Sahih Bukhari, Kitabul Aadab, Hadis-6193, J-4, S-153)*

Saeed Ibnul Musayyab Kahte He Is Ka Nateeja Ye Huva Ki Ham Me Ab Tak Sakhti Paayi Jati He..

*📚Ba-Hawala(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-243,244, Application)*

In Ahadis Se Sabit Huva Agar Naam Bure Ho Yaani jiska Ma'ana W Matlab Durust Na Ho Use Fauran Badal Dena Chahiye. Iske Liye Firse Aqiqa Karna Zaroori Nahi. Lihaza Aqiqa Ke Baad Bhi Naam Badal Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792..

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts