Saee Me Wuzu Toot Jaye To Kya Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agr Sa'i me 5wa shout me wuzu tuth geyi, pr pta nhi tha ki Kya aur kaise krna tha, aur darr ke maare, firbhi Sa'i  complete  krke, 2 rkat namaz adaa kiya, to kya hukm hai?
Barahe karam rehnumahi farmayen ain nawazish hogi.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Saee ke liye wuzu hona bahetar he w sunnat he. Be wuzu bhi agar koi saee kare to uski saee mukammal w Ada ho jayegi. Magar sawab me kuchh kami aayegi. Lihaza agar saee karte huye bich me wuzu toot jaye to vaha kisi ko puchh kar bahar tashrif le jaye, wuzu kare, fir dobara aaye or saee kare. Jis fere par saee ko chhoda tha vahi se shuru karege. lihaza agar bich saee me panchva fera karte huye wuzu toot jaye to aap saee ko mukammal bhi kar sakte he or agar aap chahe ki pure ka pura sawab mile, be wuzu saee na karu, to bahar jaye wuzu karke fir wapas aaye or saee ko mukammal karle.

Lekin aap ne sawal me ek ye bhi puchha ki saee bhi karli or uske baad namaz ko bhi ada kiya. Lihaza namaz ko be wuzu ada kar hi nahi sakte , namaz shuru karne se pahle namaz ki sharto me se ek shart taharat he, or taharat  me namazi ka badan hadse asgar w hadse akbar Wagairah se paak hona zaroori he. Lihaza aap ki vo namaz nahi hui.

Agar Aap Ne Dar ki wajah se be wuzu ho kar janbuz kar namaz padh li to ye haram hua. Or murtakibe kabira huye, usse taubah kare.
Or agar kisi or shakhs ne ehanat ki niyat se padhli to ye kufr hoga. Magar ek banda e mo'amin se namaz ki ehanat hargiz hargiz maqsood nahi ho sakti, usse aysa khayal nahi ho sakta. Is wajah se yaha par hukme kufr nahi, Albatta Agar junbuz kar be wuzu namaz padhli to dobara ada kare or taubah kare. Or pakka ahad kare ki aainda kabhi aysa na hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792....
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts