Abu Talib Ka Iman Lana Sabit Nahi Aala Hazrat Alaihir Rahma

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Aulmao ki Bargah me Sawal he ke Sarkare Aalahazrat Radiallaho Anhuma ka Kiya Moqif he Abu Talib ke Talluk se

Baraye Karam Hawalo ke Sath Bataye or Scene bhi Mil Jaye to Bohot Mehrbani Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*

W alaikum Assalam W Rahematullah,

Sarkar Aala Hazrat, Mujaddide Aazam, Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahmato Ridwan ne Huzur  ﷺ Ke Chaha Janab Abu Talib Ke Imam Ke Ta'alluk Se Ek Taheqiqi Risala Taherir Farmaya He Ba-Naam *"Sharahul Matalib Fi Mabhase  Abi Talib"*
Jisme Aap Ne Kai Muhaddissin W Aqawale Ahadis W Aayate Qura'anyaSe Sabit Kiya He Ki  Abu Talib Ka Iman Lana Sabit Nahi. Or Halate Kufr me Maut Hui.

Jesa Ki Aap Taherir Farmate He,

Isme Shak Nahi Ki Abu Talib Tamam Umar Huzur Saiyedul Mursaleen Saiyedul Awwaleen W Aakhireen Saiyedul Abrar  ﷺ Ki Hifzo Himayat W Kifayat w nusrat me Masroof Rahe. Apni Aulad Se zyada Huzur Ko Azeez Rakha, Or us waqt Me Sath diya ki Ek Aalam Huzur Ka Dushmane Jaañ Ho Gaya tha, or Huzur Ki muhabbat me apne tamam azeezo Qareebo Se Mukhalifat Gawara Ki, Sab ko chhor dena qubool kiya, Koi Daqeeqa gumgusari w jaañ nisari ka naa mara'ee na rakha, Or Yaqinan Jante the ki Huzur Afzalul Mursaleen  ﷺ Allah Ke Sachche Rasool Hain, Un par Iman Lane Me Jannat Abdi Or Takzib Me Jahannam Daeemi He.

Or Aage Farmate He,

Magar Mujrdaan Umoor Se Iman Sabit Nahi Hota. Kaash Ye Af'aal W Aqwal Un se Halate Islam Me sadir Hote To Saiyeduna Abbas Balki Zahiran Saiyeduna Hamza RadiAllahu Anhuma Se Bhi Afzal Qarar Paate Or Afzalul amam Huzur Afzulul Anam Alaihi W aleh w afzalus Salato Salam Kahlaye Jaate. Taqdeere Ilahi ne barbina us hikmat ke jise vo jaane ya us ka rasool  ﷺ unhe girohe muslimeen w gulamane Shafi ul Muznibeen  ﷺ Me Shumar Kiya Jana Manzoor Na Farmaya.

فاعتبروایا اولی الابصار.
To Ibrat Lo Ay Nigah Walo
*📚(Sura e Hashr, Aayat-2)*

*Makhuz 📚FATAWA RAZVIYA, J-29, 650-654)*

Or Aage Farmate He,

Mirqat Sharah Mishkat Me He,
لقولہ تعالی فی حقہ باتفاق المفسرین انک لا تھدی من احببت.
Allah Ta'ala Ke Is Irshad Ki wajah se jo baittifaq mufassireen us (Abu Talib)ke bare me he: Ay Nabi Tum Hidayat Nahi Dete Jise Dost Rakho.
*📚(مرقاۃ المفاتیح کتاب الفتن باب صفۃ النار و اھلھا تحت حدیث ۵۶۶۸ مکتبہ حبیبیہ کوئٹہ ۹/ ۶۴۰ )*

Sahih Hadees Me is Aayate Karima ka Sababe nuzool yuñ Mazkoor Ke jab huzure Aqdas  ﷺ Ne Abu Talib se Marte waqt kalma padhne ko irshad farmaya, saaf inkar kiya or kaha mujhe quraish ayb lagayege ki maut ki sakhti se gabhra kar musalman Ho gaya warna Huzur Ki Khushi kar deta.
Is Par Rabbul Izzat tabarak w ta'ala ne ye aayate kareema utari yaani ay Habib tum uska gam na karo tum apna mansabe tablig ada kar chuke, hidayat dena or dil me noor paida Karna ye tunhara fe'al nahi Allah  ﷻ ke ikhtiyar me he or use khub maloom he ki kise ye daulat dega kise mahroom rakhega.

Sahih Muslim Shareef Kitabul Iman W Jame'a Tirmizi Kitabul Tafsir me Saiyedna Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Marwi:
قال قال رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ وسلم لعمہ (زاد مسلم فی اخری عند الموت ) قل لا الہ الا اللہ اشھد لک بھا یوم القیٰمۃ قال لولا ان تعیرنی قریش یقولون انما حملہ علی ذلک الجزع لاقررت بھا عینک فانزل اللہ عزوجل انک لا تھدی من احببت ولکن اللہ یھدی من یشاء.

Abu Huraira RadiAllahu Ne Kaha Ki RasoolAllah ﷺ Ne apne chacha se farmaya(Muslim ne dusri riwayat me ye izafa kiya ke bawaqte maut farmaya)  La ilaha illallah  Kah Do me tere liye qayamat ke din us ki gawahi duga. Us ne jawab diya: agar ye baat na hui ki quraish mujhe aar dilayege ke maut ki shiddat ke baees musalman ho gaya to me aap ki aankh thandi kar deta. Is par allah Ta'ala ne ye aayat Nazil Farmai Ke, Ay Nabi Tum Hidayat Nahi Dete jise dost rakho, haañ khuda hidayat deta he jise chahe.
*📚( صحیح مسلم کتاب الایمان باب الدلیل علی صحۃ الاسلام الخ قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/ ۴۰)(جامع الترمذی ابواب التفسیر سورۃ القصص امین کمپنی دہلی ۲/ ۱۵۰)*

Sharah Aqaide Nasfi Me He,

لیست حقیقۃ التصدیق ان تقع فی القلب نسبۃ الصدق الی الخبر والمخبر من غیراذعان وقبول بل ھو اذعان وقبول لذٰلک بحیث یقع علیہ اسم التسلیم علی ماصرح بہ الامام الغزالی.
Haqiqat Tasdiq ye nahi ki dil me khabar ya mukhbir ki sachchai ki nisbat waqe'a ho jaye bagair az'aan w qubool ke balki vo to az'aan or is tarah qubool karna he ki us par isme taslim waqe'a ho. Jaisa ki imam gazali Alaihir Rahma Ne iski tasreeh farmai he.
*📚( ۔ شرح عقائد النسفی والایمان فی اللغۃ التصدیق دارالاشاعۃ العربیہ قندھار افغانستان ص ۸۹)*

Usi Me he,
بعض القدریۃ ذھب الی ان الایمان ھوالمعرفۃ واطبق علماؤنا علٰی فسادہ لان اھل الکتاب کانوا یعرفون نبوۃ محمد صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم کما کانوا یعرفون ابناء ھم مع القطع بکفرھم لعدم التصدیق ولان من الکفار من کان یعرف الحق یقینا وانما کان ینکرعناداً اواستکباراً قال اﷲ تعالٰی وجحدوا بھا واستیقنتھا انفسھم.
Ba'az Quduriya is taraf gaye he ke iman faqat ma'arefat ko kahte he, or hamare aulma ka is qaul ke fasad par ijma'a he, kyu ke ahle kitab Muhammad Mustafa  ﷺ ki nabuwwat ko ayse pahchante the jese apne beto ko pahechante the, is ma'arefat ke bawajood unka kufr qata'ee he kyu ki wahañ tasdiq nahi paai gai, or is liye bhi ba'az kafir yaqeeni taur par haq ko pahechante the or mahaz inado takbir ki wajah se inkar karte the, Allah Ta'ala ne farmaya,
Halañki Unke munkir huye or unke dilo me unka yaqeen tha.
*📚(  شرح عقائد النسفی والایمان لایزید ولا ینقص دارالاشاعت العربیہ قندھار افغانستان ص ۹۳ و ۹۴)*

*_👉🏻Aayate Qura'anya W Ahadise Sahiha Mutwafira se Abu Talib Ka Kufr Par Marna Or Dame Wapsi Iman Lane Se inkar karna or aqabat kaar as'habe Naar Se Hona Ayse Roshan Saboot Se Sabit Jis se Kisi Sunni Ko Majale Dam zadan Nahi,_*

Qura'an Majeed Me Rab Tabarak w Ta'ala ne farmaya,

:انک لاتھدی من احببت ولکن اﷲ یھدی من یشاء وھو اعلم بالمھتدین.
Ay Nabi Tum hidayat Nahi dete jise dost rakho Haañ khuda hidayat deta he jise chahe vo khub janta he jo raah paane wale hain.
*📚(Sura e Qasas, Aayat-56)*

Mufassireen ka ijma'a He ki ye aayat abu talib ke haq me nazil hui.
Ma'aalimul Tanzeel Me he,
نزلت فی ابی طالب
Abu Talib Ke Haq Me Nazil Hui.

*📚(۔ معالم التنزیل (تفسیر البغوی)تحت آیۃ ۲۸ /۵۶ دارالکتب العلمیہ بیروت ۳ /۳۸۷)*

Dusri Aayat Me He,
ما کان للنبی والذین امنوا ان یستغفروا للمشرکین ولوکانوا اولی قربی من بعد ما تبین لھم انھم اصحٰب الجحیم۔
Rawa nahi nabi or iman walo ko ki ye astagfaar kare mushriko ke liye agarche vo apne qarabat Wale ho ba'ad us ke ki un par zahir ho chuka ki vo barhakti aag me jaane wale he.
*📚(Sura e Taubah, Aayat-113)*

Ye Aayate Karima Bhi Abu Talib Ke Haq me Nazil Hui. Tafsir Imam Nasfi He,
:ھم علیہ الصلوۃ والسلام ان یستغفر لابی طالب فنزل ماکان للنبی.
*📚( مدارک التنزیل(تفسیرالنسفی ) تحت آیۃ۹ /۱۱۳ دارالکتاب العربی بیروت ۲ /۱۴۸)*

JalaLain Me he,
نزل فی استغفارہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم لعمہ ابی طالب.
Ye Aayat Huzur  ﷺ Ke Apne chacha abu talib ke liye astagfar karne ke bare me nazil hui.
*📚(  تفسیر جلالین تحت آیۃ ۹ /۱۱۳ اصح المطابع دہلی ص ۱۶۷)*
*Makhuz:📚FATAWA RAZVIYA, J-29, S-659-663)*

Imamul A'aimma, Sirajul A'aimma, Hazrat Imame Aazam Abu Hanifa RadiAllahu Anhu Farmate He
ابوطالب عمہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم مات کافرا.
Nabi  ﷺ Ke Chacha Abu Talib Ki Maut Kufr Par Hui.
*📚( ۱ ؂ الفقہ الاکبر مع وصیّت نامہ ملک سراج الدین اینڈ سنز پبلشرز کشمیری بازار لاہور ص ۲۱)*

Lihaza Huzur ﷺ Ke Chacha Abu Talib Ka Iman Lana Sabit Nahi Or Unki Maut Halate Kufr Par Hui. Jis Par Huzur Saiyedi Aala Hazrat Ne Aayate Qura'anya W Ahadise Sahiha W Muhaddissin Ke Aqwal Se wazeh Kiya He.

Tafsil Ke Liye Aap Ka Risala *📚 SHARHUL MATALIB FEE MABHASE ABU TALIB* Ka Muta'ala Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

1 comment:

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts