*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Chalte Chalte Durood Sharif Padhna Kaisa?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Chalte Phirte, Uthte Bethte Bhi Durood Shareef Ka Wird Kar Sakte He.. Albatta Ye Khayal Rahe Ki Najasat Ki Jagah Se Guzar Ho To Utni Der Ke Liye Parhna Maukuf Karde Gandagi Ki Jagah Par Zikro Durood Karna Mana'a He.
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Durood Shareef Raah Chalte Bhi Parhne Ki Ijazat He Jahañ Najasat Pari Ho Vahañ Ruk Jaye Bahetar Ye He Ek Waqt Mu'ayyan Karke Ek Adad Muqarrar Karle Is Qadar Bawuzu Do Zaano Adab Ke Sath Madeena Tayyabah Ki Taraf Muñh Karke Rozana Arz Kiya Kare Jis Ki Miqdaar So Baar Se Kam Na Ho Zyada Jis Qadar Nibha Sake Bahetar He, Alawa Is Uthte Bethte, Chalte Phirte Bawuzu Be Wuzu Har Haal Me Durood Jaari Rakhe, Or Uske Liye Bahetar Ye He Ki Ek Siga Khas Ka Paband Na Ho Balki Waqtan Fa Waqtan Mukhtakif Seego Se Arz Karta Rahe Taaki Huzur Qalb Me Farq Na Ho.... Or Apne Tamam Awqaat Ko Durood Shareef Me Sarf Kar Dene Ko Farmaya Ki Aysa Karega To Allah Tere Sab Kaam Bana Dega Or Tere Gunah Muaaf Farma Dega.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, Mas'ala-413)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓11 Jan 2022, 7 Jamadi Ul Aakhar 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment