Taqdeer Ke Ta'alluk Se Sawal

*🌹SAWAL🌹*

Agar koi nek amal kar raha ho Apne nafs ko kuchal raha ho to kya usme uska zarra barabar bhi apna khud ka ikhtiyar he ? Apne chah se kar raha he he ya fir allah ke chahne se kar raha he agar aysa he to koi nek kaam kyo nahi karta kyo ki mera rab to chahta hi he ki sab nek kaam kare sab apne nafs se jihad kare, isme kya hikmat he ?
Rahnumai farmaye.

*🌹JAWAB:-1⃣🌹*

Beshak Allah Tabarak W Ta'ala hi ke chahne se sabkuchh hota he, bagair uske chahne se kuchh bhi nahi ho sakta. Koi Patta bhi uske hukm ke bagair hil nahi sakta. Lekin Rab Tabarak W Ta'ala ne Bando ko ye Ikhtiyar bhi diya he vo chahe nek amal kare ya fir vo burai Ikhtiyar kare. Rab Tabarak w ta'ala ne insan ko Na bilkul paththar ki tarah majboore mahaz bana diya he, or na hi mukhtare qul karar diya he. Balki uske samne burai ke nuqsanat or nek aamal ki nekiya or uski achchaiya bhi ...
Or tamam ke asbab or wasail bhi paida farma diye.
Or uske Ikhtiyar karne me burai ya neki karne me rab Tabarak w ta'ala ne usko aqle saleem bhi ata farmai uske mutabik usko chahiye to ye hi ki nek hi amal kare Lekin agar vo burai karta he ye uska khudka amal he. Agar vo neki karta he ya uske sath bhalai pesh aati he ya vo nek aamale swaleha karta he to usko Rab Tabarak w ta'ala ka fazlo Rahmat samje. Or agar vo burai karta he min janibish Shaytan Samje.
Or ye Taqdeer Wagairah ke Masail he or Taqdeer Wagairah ke masail me hazraat shaikhain karimain RadiAllahu Ta'ala Anhuma ko  ziyadah  guftagu se mana kiya gaya ham  or tum  kis shumar va ginti me  he. Lihaza Taqdeer ke masail me zyada guftagu munasib nahi he. Ye sababe halakat ho sakta he.

Aysa hi Bahare Shariyat Hissa1 par raqam he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹JAWAB:2⃣🌹*
Allah Ta'ala ne Qura'ane Majeed Me irshad farmaya,

Vo jisne maut or zindagi ko paida kiya taake tumhari aazmaish kare tum me kon zyada achche amal karne wala he.

Allah Ne maut or zindagi ko paida kiya or aayat me zindagi or maut ki paida karne ki hikmat bhi bayan ki gai he ki allah ne zindagi or maut is liye paida kiya taake dunya ki zindagi me vo ahkamat or mamnoo'aat ke zariye tumhari aazmaish kare ki kon zyada farma bardar mukhlis or shariyat ke bayan karda tariqe ke mutabik amal karne wala he or kon uske khilaf. or koi apne bure aamal se Allah ko Aajiz nahi kar sakta kyu ki vo Galib he.

Or Bahare Shariyat Me He Insan ka Apne aap ko mukhtar ya majboor w bebas samajh lena dono gumrahi he.

Allah Ta'ala ne insan misl paththar or digar jamadat ke be has w harkat paida nahi kiya balki us ko ek no'a ikhtiyar diya he(ek tarah ka ikhtiyar) ke ek kaam chahe to kare chahe to na kare or sath hi aqle saleem bhi di he bhale bure, nafa'a nuqsan ko pahchan sake.

Or ye Allah ke daste Qudrat me jise chahe sirate mustaqeem par chalne ki hidayat bakhshe or jise chahe gumrah karde.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Watane Asli Or Watane Iqamat Se Kya Murad He ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalaamu Alaikum

 Watan e asli aur watan e iqamat se murad kaun si jagahein hai?

Jawab inayat farmayein badi meharbani hogi.

*🌹JAWAB:-🌹*

Watan ki do qism he,
1 watane asli
2 watane Iqamat

Watane asli vo jagah he jaha uski pedaish he ya uske ghar ke log vaha rahte he ya vaha sukoonat karli or ye irada he ki yaha se na jayega.

Watane Iqamat vo jagah he ki musafir ne pandrah din ya usse zyda thaharne ka vaha irada kiya ho.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUKHTAR AHEMAD SAHAB FAIZI,*
*_📬DAR UL ULOOM MUSTAFYA, HALDARVA,GUJRAT._*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

7ve din Aqiqa Na Kar saka To Kab Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya 9ve din aqiqa kar sakte he ? Kaam ki masroofiyat ki wajah se bakra kharid na paye to..

Napaki ki hakat me nikah hoga ya nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Agar Dulha Dulhan Dono Hi Napaki Ki Halat Me Ho Or Nikah Qubool Kare To Nikah Ho Jayega Ya Nahi.

*Rehnumai Farmaea*

*🌹JAWAB:-🌹*

w salam.. Nikah munaqid hone ke liye taharat shart nahi yani pak hona zaruri he napaki ki halat me bhi nikah ho jaye ga ..al batta nikah jaisi pakiza sunnat ki tazeem ke liye gusl wazu wagera karle to behtar he.

*✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Maulana Mahefooz Aalam Razvi Sahab*
*📬Khatibo Imam Hebat Khan Masjid, Ahemdabad Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Badmazhab Se Qurbani Ka Janwar Kharidna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Wahabi Deobandi se Qurbani Ka janwar kharidna Or bechna kesa ?

Kheti Ho Or Paisa Na ho To Qurbani Wajib hogi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid ke paas 4 ya 6 biga kheti he kya vo malike nisab he ? agar he to uske paas ayyame qurbani me paise nahi he to vo shakhs kya kare ?

Malike Nisab Ayyame Qurbani Na Kar saka to ab Kya Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Malike Nisab Jis par Qurbani Wajib Thi Or Ayyame Qurbani Me Qurbani na kar saka to ab kya kare ?

Mulazimat Ya Tijarat Ki Wajah Se Jama'at Tark karna kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mulazimat ya Tijarat ki wajah se jama'at tark karna Kesa ? Or kya education ki wajah se bhi jama'at tark karna jaiz he ? Jis se ye yaqeen ho ki is education se ham aane wale dino me mulazimat ya Tijarat karege or apne pariwar ke huqooq ko pura karege jo mere zimme us waqt farz ho jayegi.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jama'at raajeh Qaul ke mutabik wajib he jise bila azre sharai deeda w danista ek baar bhi tark karna gunah he or us ka aadi fasiq or muradoodush shahadat he. Or mulazimat w Tijarat tarke jama'at ke liye azre sharai nahi he balki ye heele bahane he tarke jama'at ke liye.
Or aysi mulazimat hi jaiz nahi jis ki wajah se ba-wujood qudrat jama'at tark karni pade. Usi tarah agar tajir Tijarat ki wajah se tarke jama'at ka aadi he to vo bhi murtakibe kabeera or gunahgar he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUFTI MUZZAMMIL BARKATI SAHAB QIBLA☘*
*_📬KHADIME TADRIS W IFTA DARUL ULOOM GAUSHE AAZAM, PORBANDAR_*
*_📌BANI SADRUSH SHARIYAH RESEARCH CENTER PORBANDAR, GUJRAT_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Gadeere Khum Me Huzur ﷺ Hazrat Ali Ko Wilayate Kubra Ya Khilafat Ata Ki ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Gadeere Khum Me Hazrat Ali Ko Huzur  ﷺ Ne Maqame Wilayate Kubra Ata Farmai ?
Shia Hazraat Kahte He Ki Is Deen Hazrat Ali Ko Huzur  ﷺ Ne Maqame Wilayat Ata Farmai Thi Isi Ki Khushi Me Shia Eide Gadeer Manate He Kya Ye Sahih He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Maula E Qainat Hazrat Ali KarramAllahu Wajahul Kareem Ke Sahih Riwayat Se Fazaailo Manaqib Beshumar He Jinka Bayan Karna Hamare Liye Mumkin Nahi.

Magar Hadis Shareef Ka Galat Ma'ana Bayan Karke Awam Ko Gumrah Karna Hargiz Jaaiz Nahi. Shia Hazraat Gadeere Khum Me Jo Waqe'aa Pesh Aaya Uska Galat Ma'ana W Mafhoom Bata Kar Awam Ko Gumrah Kar Rahi He.

Gadeere Khum Me 18 Zilhijja Ko Jo Waqe'aa Pesh Aaya Is Ta'alluk Se Jo Hadees Shareef He Uska Ma'ana Hargiz Ye Nahi Ki Us Waqt Huzur ﷺ Ne Hazrat Ali Ko Wilayate Kubra Ya Khilafat Ya Imamat Ata Farmai Balki Hadees Shareef Me Maula Ka Ma'ana Madagar Ya Maheboob He. Maula Ka Ma'ana Hargiz Sardar Ya Imam Ya Khilafat Nahi Hota.. Ye Shiao Ka Dhoka He.

Waqe'a Gadeer Se Maula Ali Ki Khilafat W Imamat Pe Koi Daleel Nahi He. Hadeese Gadeere Khum Me Maula Ali Ki Fazilat Ujagar Hoti He. Lekin Is Se Khilafat W Imamat Murad Lena Jahalat He. Halañ Ki Is Se Qabl Bhi Muta'addid Maqamat Par Maula Ali Ko Isi Tarah Huzur ﷺ Ne Nawaza Magar Us Din Ko Eid Ka Din Kyu Nahi Qarar Diya Jata ?

Ahle Tashai Waqe'a Gadeer E Khum Ke Jin Alfaz Ko Apne Maqsad Par Istedalal Karte He Vo Ye He,
من کنت مولاہ فعلی مولاہ

Is Jumla Se Kisi Bhi Tarah Khilafat W Imamat Ka Mafhoom Zahir Nahi Hota He.

Maula Ke Ma'ana Khalifa Ya Imam Ke Kahi Nahi Aate Balki Is Ke Muta'addid Ma'ana Me Se Ek Aham Ma'ana Jo Yaha Murad He Vo Nasiro Madadgaar He Khalifa Ya Imam  Ka Mafhoom Mahaz Fasid He.

*_Jaisa Ki Allama Mulla Ali Qari Alaihir Rahma Is Hadees Ki Sharah Me Likhte He,_*

Jiska Me Madadgaar Uske Ali Madadgaar He Kaha Gaya He Ki Iske Ma'ana Jisse Me Dosti Rakhta Hu Usse Ali Dosti Rakhte He. Dost Ba Muqabla Dushman, Yaani Jis Se Me Muhabbat Karta Hu Us Se Ali Muhabbat Karte He. Or Ye Ma'ana Bhi Iske Kiye Gaye He Ki Jis Ne Mujh Se Dosti Rakhi To Ali Usse Dosti Rakhte He. Hamare Shareheen Aulma Ne Aysa Hi Zikr Kiya He.

_Aage Iska Sabab Bayan Karte Huye Likhte He,_

Iska Sabab Ye Bataya Gaya He Ki Hazrat Asama Ne Kaha Ki Ali Mere Maula Nahi He Mere Maula To RasoolAllah ﷺ He To Rasool ﷺ  Ne Farmaya Ki Me Jiska Maula Hu Uske Ali Maula He.

_Or Is Hadis Se Maula Ali Ki Imamat Par Istedalal Karne Wale Shia Ko Jawab Dete Huye Likhte He,_

Shia Ne Kaha Ki Vo Mutasarf He Or Kaha Ki Hadish Ka Ma'ana Ye He Ki Ali Har Us Mu'amle Me Tasarruf Ka Haq Rakhte He Jisme RasoolAllah ﷺ Tasarruf Ka Haq Rakhte He. Or Unhi Me Se Musalmano Ke Mu'aamlat He Pas Vo Unke Imam Huve. Me Kahuga Ki Wilayat Ko Is Imamat Par Jo Mo'amineen Ke Mu'amla Me Tasarruf He, Mahmool Karna Durust Nahi Is Liye Ki Mustaqil Mutasarraf Apni Hayat Me Nabi ﷺ Hi He Koi Gair Nahi. To Wajib He Ki Use Muhabbat Or Islam Ki Wila'a Or In Dono Ke Misl Par Mahmool Kiya Jaye.
*📚(MIRQATUL MAFATIH SHARAH MISHKATUL MASABIH, KITABUL MANAQIB, J-11, S-247)*

*_Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Alaihir Rahma Farmate He,_*

Jaan Lo Ki Ye Sab Se Taqatwar Daleel He Jis Se Apne Da'awa Par Shia Istedalal Karte He Ki Ye Hazrat Ali Ki Khilafat Me Ye Tafsili Nas He Or Kahte He Ki Us Jagah Maula Ke Ma'ana Awla Bil Imamat He. Ham Bataure Ilzam Shia Se Kahte He Ki Unke Nazdik Imamat Ki Daleel Me Bil Ittefaq Tawatur Mu'atebar He Or Un Logo Ne Kaha He Ki Jab Tak Hadeese Mutwatir Na Ho Us Se Imamat Ke Sahih Hone Par Istedalal Nahi Kar Sakte. Or Yaqeeni Baat He Ki Ye Hadees Mutwatir Nahi He.
*📚(ASH'ATUL LAM'AAT FARSI,  J-2, S-372, BAAB MANAQIBE ALI)*

*_Allama Ibne Hajar Likhte He_*

Ahle Tashai Ne Guman Kiya Ki Khilafat Ali Par Nasse Misrah Tafsili Nabi Kareem ﷺ Ka Vo Qaul (Yaani Jis Ka Me Maula Hu Uske Ali Maula He) He Jo Gadeere Khum Ke Roz Maqame Hajfa Me Hujjatul Wida'a  Se Lotte Waqt Farmaya Tha.
*📚 (AS-SAWAIQUL MUHARRIQA, S-65)*

Is Par Ahle Tashai Jo Daleel Dete He Uske  Jawab Me Likhte He,

Ham Ye Nahi Mante He Wali Ka Vo Ma'ana Jo Unho Ne Zikr Kiya He Ham Nahi Mante He. Balki Is Ka Ma'ana Madadgaar Ke He. Is Bunyad Par Ke Maula Ke Ma'ana Imam Hona Logat Or Shara'a Ke Aitbar Se Ma'ahood Nahi He.
*📚(AS-SAWAIQUL MUHARRIQA, S-65,66)*

*_Hakimul Ummat Hazrat Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate He_*

Maula Ke Ma'ana He Dost, Madadgaar, Aazad Shuda Gulam, Aazad Karne Wala Maula. Is Ke Ma'ana Khalifa Ya Badshah Nahi. Rab Farmata He,
فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَوْلَاهُ وَجِبْرِيلُ وَصَالِحُ الْمُؤْمِنِينَ۔
Shia Kahte He Ki Maula Ba Ma'ana Khalifa He Or Us Hadees Se Lazim He Ki Bajuz Hazrat Ali Ke Khalifa Koi Nahi Aap Khalifa Bila Fasl He, Magar Ye Galat He Chand Wajah Se.

Ek Ye Maula Ba Ma'ana Khalifa Ya Ba Ma'ana Awla Bil Khilafa Kabhi Nahi Aata, Batao Allah Ta'ala Or Hazrat Jibrail Kis Ke Khalifa He Halañ Ki Qura'an Majeed Me Unhe Maula Farmaya,
فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَوْلَاهُ وَجِبْرِيلُ

Dusre Ye Ki Huzur  ﷺ Kisi Ke Khalifa Nahi Fir Man Kunto Maula Ke Kya Ma'ana Hoge.

Tisre Ye Ki Hazrat Ali Huzur Ki Maujudgi Me Khalifa Na The Halañ Ki Huzur Ne Apni Hayat Shareef Me Ye Farmaya Fir Maula Ba Ma'ana Khalifa Kese Hoga.

Chothe Ye Ki Agar Maan Lo Ki Ba Ma'ana Khalifa Hi Ho To Bhi Bila Fasl Khilafat Kaise Sabit Hogi.

Waqe'ee Aap Khalifa He Magar Apne Mauqa Apne Waqt Par.

Panchve Ye Ki Agar Yaha Maula Ba Ma'ana Khalifa Hota To Jab Saqeefa Bani Sa'adah Me Ansar Se Hazrat Siddiqe Akbar Ne Kaha Ki Huzur ﷺ Ne Farmaya He, الخلافہ فی القریش Khilafat Quraish Me He. Tum Log Chuñ Ki Quraish Nahi Lihaza Tum Ameer Nahi Ban Sakte, Wazeer Ban Sakte Ho. Us Waqt Hazrat Ali Ne Ye Waqe'aa Logo Ko Yaad Kyu Na Kara Diya, Ki Huzur ﷺ To Mujhe Khilafat De Gaye Mere Siwa Koi Khalifa Nahi Ho Sakta. Balki Aap Khamosh Rahe Or Tino Khulfa Ke Hath Par Baari Baari Bay'at Karte Rahe. Ma'aloom Hua Ki Aap Ki Nazar Me Bhi Yaha Maula Ba Ma'ana Khalifa Na Tha.

Chatte Ye Ki Huzur Ke Marze Wafat Me Hazrate Abbas Ne Hazrat Ali Se Kaha Ke Chalo Huzur Se Khilafat Apne Liye Le Lo Hazrat Ali Ne Inkar Kiya Ki Me Nahi Maangu Ga Warna Huzur Mujhe Hargiz Na Dege. Agar Yaha Maula Ba Ma'ana Khalifa Tha To Ye Mashwara Kesa.

Satwe Ye Ki Khilafat Ke Liye Rawafiz Ke Paas Nasse Qatai Suboot Or Qatai Dalalat Chahiye Ye Hadees Na To Qatais Suboot He Ki Hadees Wahid He Na Qataid Dalalat  Ke Maula Ke Bahut Ma'ana He Or Maula Ba Ma'ana Khilafa Kahi Nahi Aata.
*📚(MIRATUL MANAJEEH SHARAH MISHKATUL MASABIH, J-8, S-422)*

AL-GARZ: Hadeese Gadeere Khum Lafz Maula Ke Ma'ana Madadgaar He Siwaye Ahle Tashai Ke Kisi Ne Bhi Maula Ba Ma'ana Khilafat, Imamat Ya Wilayat Ma'arufa Nahi Liye He.

Lihaza Maula Ba Ma'ana Khilafat Murad Lene Me Ahle Tashai Ke Batil Aqida Ki Tarjamani He. Jo Yaqeenan Gumrahi He.

Kyu Ki Hazrat Ali Ko Is Hadees Ki Roshni Me Ahle Tashai Khalifa Bila Fasl Taslim Karte He.

Or Khulfa E Salasa Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman RadiAllahu Anhum Ki Khilafat Ko Batil Mante He. Halañ Ki Ye Sarasar Zalalat W Gumrahi Balki Kufr He Kyu Ke Khulfae Arb'aa Ki Khilafat Par Ijma E Ummat He. Or Ijma E Ummat Ka Inkar Kufr He.

_Shareh Bukhari Allama Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahma Farmate He_

Rafziyo Ka Yahi Aqida He Ki Khalifa Bila Fasl Hazrat Ali RadiAllahu Anhu He Khulfa E Salasa Ki Khilafat Batil He. Or Vo Gazib The. Unka Ye Aqida Batil He.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-24)*

_Faqihe Millat Allama Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Farmate He_

Ba'az Shia Sahban Ne Is Mauqa Par Likha He Ki,
Gadeere Khum Ka Khutba Ye Hazrat Ali KaramAllahu Wajahul Kareem Ki Khilafat Bila Fasl Ka Aelan Tha, Magar Ahle Faham Par Roshan He Ki Ye Mahaz Ek Tak Bandi Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi. Kyu Ki Agar Waqe'ee Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Ke Liye Khilafat Bila Fasl Ka Aelan  Karna Tha To Arfat Ya Mina Ke Khutbo Me Ye Aelan Zyada Munasib Tha. Jaha Ek Laakh Se Zaaid Musalmano Ka Ijtema'a Tha. Na Ki Gadeere Khum Par Jahañ Yaman Or Madina Walo Ke Siwa Koi Bhi Na Tha.
*📚(SEERATE MUSTAFA, S-535)*

Lihaza Gadeere Khum Me Huzur ﷺ Ke Alfaz Man Kunto  Maula FaAliyul Maula Se Murad Me Jiska Madadgaar Ali Uska Madagar Ya Me Jisse Muhabbat Karta Hu Ali Usse Muhabbat Karte He.

Is Hadees Ka Ye Ma'ana Na Hoga Ki Us Waqt Huzur ﷺ Hazrat Ali Ko Khilafat Ya Imamat Ata Farmai.

Balki Us Waqt Huzur ﷺ Ne Hazrat Ali Ke Fazail Bayan Farmaye..

Shia Us Din Dhoka De Kar Hadees Ka Galat Ma'ana Nikal Kar 18 Zilhijja Ko Eide Gadeer Manate He, Ye Bhi Jaiz Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
16 Aug 2019
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ghar Me Kutta Palna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya ghar me kutta paal sakte he ? Or Kutte Ko Bataure Tijarat Ghar Ya Farm House Par Palna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Kutte do tarah ke hote he

Ek wo jis ke bareme mere aaqa alaihisalam ne irshad farmaya

Jis ghar me kutta ya tasvir ho us me rehmat ke farishte nahi aate aur dusre maqam per irshad farmaya jis ne kutta pala us ke nama e aamal se rozana do qirat nekiyañ nikali jati he

Dusra wo ki jis ke palne aur rakhne  ke bareme khud mere aaqa ne ijazat marhamat farmai he jese shikari kutte vagerah

Is etebar se kutte do tarah ke huve  baaz ka  palna jaaiz baaz gair jaaiz..

Aur dono ki  tafsil vajeh he ki kon se jaaiz aur konse naa jaaiz..

Shikari kutte jis ki mukmmal tarbiyat ki gai ho  aur shikar ke liye rkhkhe gae ho   aur vo jo ghar ki hifazat ke liye rakhe gae ho  chor vagera se bachne ke liye dushman se hifazat ke liye rakhe ho to  in vujuhat ki bina per is tarah ke kutte palna jaaiz jab palna jaaiz to kharido farokht bhi jaaiz

Lekin sif chote ya bade kutte shoq ke liye ghar ya form per rakhe gae ho to ese kotto ko palna aur  tijarat karna najaaiz o haram he

Wallahu taaala aalam


Olma aur muftiyan e kiram is gurup me mavjud hen galati paen to islah farma e

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*


_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Kutta Palna Haram he, jis ghar me kutta ho us ghar me rahmat ka farishta nahi aata, roz us shakhs ki nekiya gatti he.

RasoolAllah ﷺ farmate he,
:لاتدخل الملٰئکۃ بیتا فیہ کلب ولاصورۃ۔ رواہ احمد۳؎ والشیخان والترمذی والنسائی وابن ماجۃ عن ابی طلحۃ رضی اﷲ تعالٰی عنہما۔

Farishte Nahi aate us ghar me jis me kutta ya tasweer ho.
*📚(Sahih Bukhari, J-1, S-458)*
*📚(Sahih Muslim, J-2, S-200)*
*📚(Jame'a Tirmizi, J-2, S-103)*
*📚(Sunan Nasai, J-2, S-193)*

(Imam Bukhari, muslim, Ahmad, Tirmizi, Nasai, or ibne maja ne is ko hazrat Abu talha RadiAllahu anhuma ke hawale se riwayat kiya he)

Or Farmate he  ﷺ,
من اقتنی کلبا الا کلب ماشیۃ اوضاریا نقص من عملہ کل یوم قیراطان۔ رواہ احمد۴؎ والشیخان والترمذی والنسائی عن ابن عمر رضی اﷲ تعالٰی عنھما.

Jo Kutta Pale magar gali ka kutta ya Shikari, roz uski nekyo se do qeerat kam ho (in qeerato ki miqdar Allah ﷻ W Rasool ﷺ Jane).

(Imam Ahmad, Bukhari, Muslim, Tirmizi, or Nasai ne Hazrat Abdullah Umar RadiAllahu Anhuma ki sanad ks sarh is ko riwayat kiya he.)

*📚(Sahih Bukhari, J-2, S-824)*
*📚(Sahih Muslim, J-2, S-21)*
*📚(Jame'a Tirmizi, J-1, S-180)*
*📚(Sunan Nasai, J-2, S-194)*
*📚(Musnad Ahmad Bin Hambal, J-2, S-370)*

To Sirf Do Qism ke kutte ijazat me rahe, ek shikari jise khane ya dawa wagairah munafe'a sahiha ke liye shikar ki hajat ho, na shikare tafreeh ki vo khud haram he, Dusra vo Kutta jo gali ya Kheti Ya ghar ki hifazat ke liye laya jaye or hifazat ki sachchi hajat ho, warna agar makan me kuchh nahi ki chor le ya makan mahfooz jagah he ki chor ka andesha nahi, garz jahañ ye Apne dil se khub janta ho ki hifazat ka bahana he asl me kutte ka shoq he vaha jaiz nahi, aakhir aas paas ke ghar wale bhi apni hifazat Zaroori samajte he agar be kutte ke hifazat na hoti to vo bhi palte, khulasa ye ki Allah Ta'ala ke hukm me heela na nikale ki vo dilo ki baat janne wala he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-24, S-642)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Taqbire Tashriq Kab Padhi Jaye ? Or Taqbire Tashriq Kya he

*🌹SAWAL:-🌹*
Takbire Tashriq Kab Padhi Jaye Or Kya Ye Hazrat Jibrail Or Ibrahim Or Ismail Alhimus Salam ke darmiyan ki guftagu he ?

9 zilhijja ka Roza Rakhna Kesa Or Uski Fazilat Kya he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
9vi ZilHijja yaani Youme Arfa Ka Roza Rakhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

9vi Zilhijja Ka Roza Rakhna Jaiz he or uski Kai Fazilate He. Lekin Hajj Karne wale par Jo arfat me he use 9 zilhijja yaani Youme Arfa ka roza rakhna makrooh he.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Sahih Muslim w Sunan abu Dawood w  Tirmizi w Nasai W Ibne maja me Abu Fatada RadiAllahu se marwi, RasoolAllah ﷺ Farmate he, Mujhe Allah ﷻ Par Guman He, Ki Arfa Ka Roza Ek Saal qabl or ek saal ba'ad ke Gunah mita deta he.
*📚(Sahih Muslim, Hadis-1162, S-589)*

Or iske misl sahal bin Sa'ad w abu Saeed Khudri W Abdullah bin umar w zaid bin arqam RadiAllahu Anhum se marwi.

Or Ek hadish Shareef me he,

Ummul Mu'amuneen Hazrate Siddiqa RadiAllahu Anha se bayhaqi w tabrani Riwayat karte he, Ki RasoolAllah ﷺ Arfa ke Roza ko hazar din barabar batate.
*📚(Al-Moajamul Awsat, Hadis-6802, J-5, S-127)*

Magar Hajj karne wale par jo Arfat me he, use arfa ke din ka Roza Makrooh he Ki Abu Dawood w Nasai w ibne khuzaima w abu Hurairah RadiAllahu Anhu se raawi, Huzur  ﷺ ne arfa ke din arfa me roza rakhne se mana'a Farmaya.
*📚(Sunan Abi Dawood, Hadis-2440, J-2, S-479)*

*📚(BAHARE SHARIYAT application, H-5, S-144, 145)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84879

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qurbani Ki Mannat Thi Or Sahibe Nisab Ho Jaye to Kitni Qurbani Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Shakhs ne Mannat maani ke bakra agar bimari se tandurast Ho jayega to usko Allah ki raah me Qurban karega, bakra sehat yaab ho gaya

Or sahibe nisab bhi he to kya vo shakhs us bakre ki qurbani kar sakta he ? Ya uske liye alag se janwar kharidna padega ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Agar Malike Nisab ne Qurbani ki mannat maani to uske zimma do Qurbani Wajib he ek vo jo gani par wajib hoti he or ek mannat ki wajah se..

Jaisa Ki Allama Kasani Hanfi Rahematullah Alaihi tahrir farmate he,
و لو نذر ان یضحی بشاۃ و ذلک فی ایام النحر و ھو موسر  فعلیه ان یضحی بشاتین عندنا شاۃ لأجل  النذر  و شاۃ  بایجاب  الشرع ابتداء ملخصا

*📚(Badai'Aus Sanaai'a, J-4, S-194)*
*📚(Fatawa Shami, J-9, S-464)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

_Isi Tarah Se Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Malike Nisab ne Qurbani ki Mannat maani to us ke zimme do Qurbaniya wajib ho gai ek vo jo gani par wajib hoti he or ek mannat ki wajah se. Do ya do se zyada Qurbaniyo ki mannat maani to jitni Qurbaniyo ki mannat he sab wajib he.
*📚(Durre Mukhtar w Raddul Mohtar, J-9, S-549, 550)*
*📚(BAHARE SHARIYAT application, J-15, S-166)*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Muhsar Kise Kahte he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Muhsar Kise Kahte he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jisne Hajj Ya Umrah Ka Ahram Bandha Lekin kisi wajah se poora na kar saka use muhsar kahte he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ka Eid Ki Namaz Padhna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum,

Kya Aurat Eid ki namaz padh sakti he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aurto ke liye Eidain ki namaz jaiz nahi,  is liye ki Eidgaah me Mardo ke sath ikhtelat hoga or isi liye ab aurto ko kisi namaz namaz me jama'at ki hazri jaiz nahi, din ki namaz ho ya raat ki, Jumaa ho ya Eidain khwan vo jawan ho ya burhiya.

Jaisa ki Tanwirul Absar w Durre Mukhtar me he,
یکرہ حضورھن الجماعة و لو لجمعة و عید و وعظ مطلقا و لو عجوزا لیلا علی المذھب المفتی به لفساد الزمان۔

Or agar sirf aurte jama'at kare to ye bhi najaiz he is liye ki sirf aurto ki jama'at najaiz w makroohe tahrimi he.

Jaisa Ki Fatawa Aalamgiri me he,
یکرہ  امامة المرأة للنساء فی الصلوات کلها من الفرائض و النوافل الا فی صلاة الجنازة ھکذا فی النهاية۔
*📚(Fatawa Aalamgiri, J-1, S-80)*

Or Jaisa ki Durre Mukhtar Babul Imamah me he,
و یکرہ تحریما جماعة النساء و لو فی التراویح فی غیر صلاة جنازة.

Or Agar fardan fardan padhe to bhi namaz jaiz na hogi. Is liye ki Eidain ki namaz ke liye jama'at shart he.
و اذا فات الشرط فات المشروط.

Haañ Aurte us din apne apne gharo me fardan fardan nafl namaz padhe to baeese sawab w barkat or sababe azdiyade Ne'amat he.
*📚(ANWARUL  HADIS, S-193, 194)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Deobandi Ke Darul Uloom me Sunni Ko Bhejna Kesa ? Or Uske Pichhe Namaz padhne ka kya hukm he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki agar zaid sunni hai aur deobandi madrese me padhai kr raha hai aur uske aqaid bhi sunniyo jaisi hain..lekin sunniyo ke Darul ulum se kuch ikhtelaf ki vajah se zaid ke papa ne uska dakhla deobandi madrese me karadiya.. Ab zaid waha padh raha bai aur sunniyo ki masjid me imamat bhi kara raha hai to is surat me kya zaid k piche namaj hojaegi??

*🌹JAWAB:-🌹*

Sirf Deobandiyo ke madarse me padhne se koi deobandi nahi ho jata jab tak uske wahi aqaid na ho jo Deobandiyo ke he ya unke aqaid se waqif hone ke ba wajood unko kam az kam musalman samajta he ki
من شک فی کفرھم وعذابھم فقد کفر.

Magar Deobandiyo ke madarse me padhna ya apne bachcho ko padhana bilashuba haram he ki apna deen barbad karna he.

Hazrat Saiyeduna Muhammad Bin Seerin RadiAllahu Anhu se marwi he,

ان ھذاالعلم دین فانظروا عمن تاخذون دینکم.
*📚(MIRA'ATUL MANAJEEH, J-1, S-227,228)*

Ilm deen he lihaza Gaur karo ki apna deen kis se hasil karte ho.

Soorate Mas'oola me ,
Agar Zaid ke aqaid wahi he ya deobandiyo ke aqaid ma'aloom hone ke bawajood un ko musalman samajta he to ye bhi unhi me se he uske pichhe namaz batil mahaz or agar uske aqaid vo nahi he or na hi unko musalman samajta he to vo sunni hi he magar unke madarsa me padhna unko ustad banana unki ta'azeemo tauqeer karna sab najaizo haram.

_Shareh Bukhari Allama Mufti Shariful Haqq Amjadi Alaihir Rahma Farmate he_

Deobandi Shane Risalat w wahiyat me gustakhi karne ki wajah se kafir murtad he, is liye unke paas bachcho ko padhne ke liye bhejna bila shuba haram w gunah he or bachcho ke gumrah hone ka andesha.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-3, S-125)*

Aysi Halat me zaid ke pichhe namaz makroohe tahrimi wajibul Ae'aada.

Zaid par lazim he ke fauran deobandi madarsa ko chhod kar kisi sunni madarsa me dakhla le.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍ Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Muhammad Shakeel Akhtar Qadri Barkati Sahab Qibla*
*_📬Shaikhul Hadees  Ba-Madrasarul  Banat Maslake Aala Hazrat Sadrus Soofa, Hubli Karnataka_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Sirri Or Zahri Qiraat Ki Hikmat Kya he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Zohar or asar me pasht aawaz se Or fajar magrib isha me buland aawaz se Qira'at Q karte he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur ﷺ jab Makka mukarrama me qayam parez the to tamam namazo me Qura'an kareem jahar(buland aawaz) se parha karte the kuffaro mushrikeene makka zuhar w asar ki namazo ke awqat me buland aawaz se Qura'an kareem ki tilawat ko sunkar Shor machaya karte the or Qura'ane kareem or uske nazil karne wale or laane wale wagairahuma ko bura kahte the to haq Ta'ala ne un do namazo me chupke chupke Qura'an kareem padhne ka hukm de diya ki kuffaro mushrikeene makka un cheezo se baaz rahe.

 Magrib ke waqt kuffaro mushrikeen khane pine me masroof rahte the. Or isha w fajr me soye rahte the. Kuffaro mushrikeen ka aam taur par yahi haal tha. Isi liye in teen namazo me Qura'an zor se padhne ki mumane'at nahi ki gai. Jumaa ki namaz ki farziyat madina munawwara me hui, yaha us qism ka waqe'aa nahi huva. Na bazahir esa imkan tha is liye zor se usme Qira'at rakhi gai ba'ade hijrat bhi vahi hukm baqi raha jo qabl hijrat tha.
*📚(HABIBUL FATAWA, SAFA-101)*

Or Aysa Hi
*📚(FATAWA MARKAZE TARBIYAT IFTA, J-1, S-124)*   par bhi he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84879

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Allah Hafiz Ya Khuda Hafiz Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Rukhsati Ke waqt Allah Hafiz Ya Khuda Hafiz Kahna Kesa He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Rukhsati ke waqt Masnoon tariqa yahi he ki pahle Salam kare, Or agar baad me Allah Hafiz ya khuda Hafiz bhi kahe to harj nahi.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_
Tirmizi w abu Dawood ne Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat ki, ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya, jab kisi majlis tak koi pahoche to salam kare, fir agar vaha bethna ho to beth jaye fir jab vaha se uthe salam kare, kyu ki pahli martaba ka salam pichhli martaba ke salam se zyada bahtar nahi he. Yaani jaise vo sunnat he ye bhi sunnat he.
*📚(Sunan Tirmizi, Hadis-2815, J-4, S-324)*
*📚BAHARE SHARIYAT, Application H-16, S-99)*

Isse Maloom Hua Ki Jab Ek Musalman Dusre Musalman se mile to Salam kare Or Jab Unse juda ho tab bhi salam kare ye sunnat tariqa he.

Or Ek Hadis Shareef me he,
Allah ke Rasool ﷺ jab kisi ko rukhsat karte to uska hath tham lete, or ye dua padhate.
أَستَودِعُ اللہَ دِینَکَ وَأَمانَتَکَ وَخَواتِیمَ عَمَلِکَ
(Yaani me tumhara deen tumhari amanat or aakhri amal ko allah ke hawale karta hu)
*📚(TIRMIZI SHAREEF)*

Lihaza Musalmano ko chahiye ki rawangi ke waqt pahle salam fir ye dua padhe. Salam or dua chhod kar sirf khuda Hafiz ya allah hafiz ko uski jagah par istemal karna sunnat ke khilaf he.

Haañ agar koi shakhs salam ke sath sath Allah Hafiz ya khuda hafiz kahe ya is tarah ke dusre ham ma'ana alfaz bhi kah de to , usme koi harj nahi,

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Apne Aap Ko Wahabi Kahe Or Kufriya Aqaid Ka ilm na ho us par kya hukm he

*🌹SAWAL:-🌹*
Koi aysa shakhs jisko ye pata na ho ki sunni or wahabiyo ke darmiyan kis baat par ikhtilaf he. Or vo ye kahe ki me wahabi hu to us oar shariyat ka kya hukm he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Jisko Wahabio ke aqaid ka ilm bilkul na ho sirf unke zahir ko dekh kar apne aap ko wahabi samajta ho us par kufr ka hukm aaid na hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍ Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Zulfiqar Ahemad Razvi Alimi Kathiyari Sahab Qibla, Baraily Shareef*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84879
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hajje Qiraan karne wala Umrah karke sidha mina jaye ya Tawafe qudoom karke ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Haaji ki flight is tarah hai  k wo hujje Qiran ki Niyat kar raha hai to Tawafe Qudoom us par wajib hoga,..
Ab sawal ye hai ke Umra karke bina takseer kiye wo seedha mina chala jaye.. ?? Ya Tawafe Qudoom karke phir jaye..?

Ya Qaarin ne jo Umra kiya tha uska Tawaf bhi Tawafe Qudoom ke hi Qaim maqaam hua...??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

1⃣Hajje Qiraan Ki Niyyat Karne wale hajiye qaarin par tawafe qudoom sunnat he, or jane ke baad jo usne umrah kar liya vo hajje Qiraan ka umrah mukammal hua. Lihaza agar kisi ne hajje Qiraan ka umrah karne ke baad tawafe qudoom nahi kiya or ayse hi mina chala gaya to usne sunnat ko tarq kiya, lihaza  chahiye to ye tha ki vo umrah karne ke baad tawafe qudoom ki niyyat se ek or tawaf karta or usi tawafe qudoom me ramal saee wagairah kar leta taaki tawafe ziyarat me ye sari cheeze na karni padti.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙 AL-JAWAB:- HAZRAT ALLAMA MUFTI TAUFIQ RAZA SAHAB MISBAHI*
*_📬TADRISO IFTA DARUL ULOOM QADARIYA RAZVIYA, PETLAD, GUJRAT_*

2⃣Hajje Qiraan Ki Niyyat se agar vo aaya he to aate hi umrah mukammal karega tawafe kaba 2 Raka'at nafil or saee karne ne baad sar nahi mundvayga baal nahi katvayega. Fir ek tawaf narega ji ki tawafe qudoom he ye wajjb nahi he, Ye sunnate mun'aqada he. Tawafe qudoom karne ke baad vo aheram me tahhera rahega yaha tak ki fir ahram me hajj ke liye rawana hoga. 10 tarikh ko ramee ke baad Qurbani ho jane ke baad tisre number par halak karvayega uska ahram khulega umrah ka bhi or hajj ka bhi uske baad jab tawafe ziyarat karega fir saee karega ir nikalne se pahle tawafe wada jarega ye hajje Qiraan he.

*🎙Al-Jawab:-HAZRAT ALLAMA MUFTI ATA ULLAH NAIMI SAHAB QIBLA*
*_📬KHADIME DARUL HADISH W DARUL IFTA JAMEATUN NOOR JAMI'AT ISHA'AT AHELE SUNNAT, KARACHI, PAKISTAN*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qurbani Ki Khal Ko Dafn Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Qurbani Ki Khal ko Dafn karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Qurbani Ki Khal Ko Dafn karna jaiz nahi ye maal Ko Barbad karna he.

_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he,_

Khal Dafn Karna Haram he ke  iza'ate Maal he.
*📚(AL-MALFOOZ, J-3, S-14)*

_Huzur Muhaddise Kabeer Hazrat Allama Ziya Ul Mustafa Sahab Qibla 2 Aug 2019 Baroz Jumaa ko Amjadi Razvi Jame'a Masjid me khitab karte huye Farmate he_

Qurbani Ki Khal ko dafn kar dena ye durust nahi he is liye ki us janwar par Allah Ta'ala ki milkiyat he.

Lekin banda us janwar ke gosht ko khaye or khal ko apne kaam me istemal kare or agar us khal ko bech diya to uski qimat ko sadqa karna zaroori he. Lekin us janwar ke koi bhi juz ko zaaye karna durust nahi.
Lihaza khal bhi ek juz he to usko bhi zaaye karna durust nahi he.

Or khal ko dafn karne ke bare me na koi daleel he or na Qura'an w hadis se he or na hi is par koi juzya he.

Lihaza khal ko dafn na kare balki usko apne kaam me istemal kare ya bech kar qimat sadqa kar de agar che kam hi qimat me kyu na ho Lekin dafn karke zaaye na kare.

_Or Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Kaleji dafn karna maal zaaye karna he or iza'ate Maal najaiz he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-446)*

Is se Ma'aloom huva ki jab kaleji dafn karna najaiz he to khal ko dafn karna bhi najaiz he. Or Kaleji ko sirf khaya jata he uske alawa koi or faida nahi lekin khaal se deeni w dunyavi faida hi faida he or uske zariye zarooryat puri ki jaa sakti he.. to jab kaleji ko dafn karna or zaaye karna najaiz he to khal ko dafn karna ya zaaye karna to isse badarja awla najaiz hoga.

Or agar khal ko na bechna ho to khud Apne istemal ne laaye jese chalni, mashkiza, miyan, dastar khwan, dol banwa kar istemal kare lekin use dafn kar ke zaaye hargiz na kare.

_Jaisa Ki Huzur Aala Hazrat Alahir Rahma Taherir Farmate he_

Qurbani Ki Khal Ko sadqa kiya jaaye kyu ki ye Qurbani ka juz he ya us ko khud kaam me la kar ghar me khwan ya thela ya chalni wagairah banaye.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-479)*

_Or Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qurbani Ke Chamde ko khud bhi apne kaam me laa sakta he yaani usko baaki rakhe huye apne kisi kaam me la sakta he maslan uski janamaz banaye, chhalni, theli, mashkiza, dastarkhwan, dol wagairah ya kitabo ki jildo me lagaye ye sab kar sakta he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-15, S-345)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Imam QadqamatisSalat Par Namaz Shuru Kare Ya Iqamat Puri Hone Par ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Jab Mukabbir Qad Qamatis Salat Kahe Tab Imam ko Namaz Shuru'a karna Chahiye Ya Iqamat Puri Hone Par Imam ko Namaz Shuru'a Karni chahiye ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Fiqh Ki kai Kitabo Me He Ki Jab Mukabbir Qad Qamatis Salat Kahe uske zara pahle Imam ko namaz Shuru'a Karni chahiye, Lekin Bahetar ye he ki Iqamat Puri Hone par Namaz Shuru'a Kare.

_Imamul A'imma Hazrat Allama Shamsul A'imma Muhammad Bin Ahemad bin sahal  sarkhasi Alahir Rahma  Taherir Farmate he_

Agar Imam Muqtadio Ke sath masjid ke andar maujud ho to unke liye bahetar ye he ki jah Mukabbir "Hayya Alal Falah" kahe us waqt sab saf me khade ho. Fir jab " Qad Qamatis Salat" kahe to imam or Muqtadi sab takbire tahrima kahe. Ye imame aazam abu hanifa or imam Muhammad rahma Ullah ka qaul he. Or agar takbire tahrima mu'akhir kare yaha tak ki Mukabbir iqamat se farig ho jaye to ye bhi jaiz he.

Or imam abu yusuf alaihir rahma ne farmaya,
jab tak Mukabbir iqamat se farig na ho jaye us waqt tak takbire tahrima na kahe.

Or imam zafar alaihir rahma ne farmaya,
Jab Mukabbir pahli baar 'Qad Qamatis Salat' kahe ti saf bandi kare or jab dusri baar 'Qad Qamatis Salat' kahe to takbire tahrima kahe.

*📚(Al-Mabsoot Fil Sharahul Qafi, Baab iftetahus Salat, J-1, S-39)*

_Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Jab Mukabbir Qad Qamatis Salat Kah ke to namaz Shuru'a kar sakta he, Magar bahetar ye he ki iqamat puri hone par shuru'a kare.
*📚(BAHARE SHARIYAT SOFTWARE, H-3, S-106)*

Agar Imam Ne Qad Qamatis Salat par Namaz Shuru'a Ki Tab Bhi Namaz Ho jayegi, magar Bahetar he ki Iqamat Puri Hone ke baad namaz shuru'a kare..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ghar Me Billi (cat) Palna Kesa )

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Hazrat Mera Ek Sawal Hai'??

Kya Ghar Me Billi (Cat) Paal Saktey Hain'??

👆Harat Jawab Inayat Famayiye Maherbani

*🌹JAWAB:-🌹*
Wa Alaikum Assalam w Rahematullah,

Billi Palna Jaiz he, magar uske khane pine ka khas khayal rakha jaye or iza se bacha jaye.

_Jaisa ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Sahih Bukhari Shareef me he,
 رسول اﷲ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم فرماتے ہیں :دخلت امرأۃ النار فی ھرۃ ربطتھا فلم تطعمھا ولم تدعھا تاکل من خشاش الارض.
Ek Aurat Dozakh Me gai ek billi ke sabab ki use bandha rakhatha, na use khana diya, na chhora ki zameen ke chuhe wagairah khaleti.
*📚(SAHIH BUKHARI, J-1, S-467)*

Or ibne Habban Ki Hadish me he,
فھی اذا قبلت تنھشھا قبلھا واذا ادبرت تنھشھا.
Vo billi dozakh me us aurat par musallat ki gai he ki us ka aaga pichha danto se noch rahi he.
*📚(Al-Ahsan Batartib Sahih Ibne Habban, J-8, S-455)*

Ek Hadis Me hukm he ki jo Janwar paalo din me sattar baar se dana Paani diikhao na ki ghanto pahro bhuka pyasa rakho or niche aana chahe to aane do.

Aulma farmate he janwar par zulm kafire zimmi par zulm se sakht tar he or kafire zimmi par musalman zulm se ashad.
*📚Durre Mukhtar, J-2, S-249)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-24, S-642)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya talaq ke liye niyat zaroori he ? Talaqe Sareeh or Kinaya Kise Kahte he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Talaq Ke Liye Niyat ka hona zaroori he ? Talaq ke liye konse lafz me bagair niyyat talaq waqe'a hogi or konse lafz me bagair niyat talaq na hogi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Talaq do Qism ki he,
Ek Sareeh Or Ek Kinaya.

Sareeh Talaq yane un alfaz ka iste'amal jinse talaq murad hona zahir ho. Isme niyate talaq ho ya na ho talaq waqe'a ho jayegi. Agarche gusse me kaha ho...

Or Kinaya vo alfaz jiska istemal talaq ke alawa bhi or ma'ano me hota ho.. isme niyat agar talaq ki ho to talaq waqe'a hogi or agar niyate talaq nahi to talaq bhi nahi.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Sareeh vo jis se talaq murad hona zahir ho aksar talaq me uska istemal ho agarche vo kisi zaban ka lafz ho.

Lafze Sareeh( esa lafz jis ka matlab zahir ho)
Maslan Mene tujhe Talaq di, tujhe talaq he, tu mutlaqa he, to talaq he, me tujhe talaq deta hu, ay mutlaqa,  wagairah..
In Sab Alfaz ka hukm ye he ki ek talaq raja'ee waqe'a hogi agarche kuchh niyat na ki ho ya baeen ki niyat ki ya ek se zyada ki niyat ho ya kahe me nahi janta tha ki talaq kya cheez he magar us soorat me ki vo talaq ko na janta tha diyanatan waqe'a na hogi.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-8, S-10)*

Kinayae talaq vo alfaz he jin se talaq murad hona zahir na ho talaq ke alawa or ma'ano me bhi un ka iste'amal hota ho.

Kinaya talaq waqe'a hone me ye shart he ki niyate talaq ho ya halat batati ho ki talaq murad he yaani peshtar talaq ka zikr tha ya gussa me kaha.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-8,  S-23)*

Kinaya ke ba'az alfaz ye he,
Ja, nikal, chal, Ravana ho, rasta naap, apni raah le, dafa'a ho, bahut ho chuki ab maherbani farmaiye, mene teri raah Khali kardi, apne meike beth, muje tuj par kuch ikhtiyar nahi,  apna nikah kar, mene tuje juda kar diya wagairah wagairah.
*📚MAKHUZ: (BAHARE SHARIYAT, H-8, KINAYA KA BAYAN)*
Tafsil Ke Liye Bahare Shariyat H-8 Kinaya ka bayan dekhe..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qurbani Ke Pahle Baal Ya Nakhun Katna Kesa ?

https://baharemasail.blogspot.com/2019/08/qurbani-ke-pahle-baal-ya-nakhun-katna.html

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Qurbani Karne Wala 1 se 10 zilhijja me nakhun ya baal nahi tarashwa sakta ?or agar nakhun ya baal kaate to Qurbani Par Koi Asar Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jiska Qurbani Ka irada ho ya jiske Naam se Qurbani Ho usko pahli se daswi zilhijja tak nakhun ya baal na tarashwana mustahab he, ki vo pahli zilhijja ke pahle nakhun ya baal tarashva le.
Or agar kisi wajah se na tarash saka or 31 din ho gaye ho to 1 se 10 zilhijja me bhi nakhun ya baal tarashwa sakta he. Ki na tarashwana mustahab he or 40 din tak rakhna Gunah he. Or agar kisi ne in ayyam me tarashwa liye to Qurbani me Koi farq bhi na aayega. Magar bahetar he ki zilhijja ka chand dikhne se pahle Nakhun ya baal tarashwa le.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qurbani Karni ho to mustahab ye he ki pahli se daswi zilhijja tak na hajamat banwaye, na nakhun tarashwaye.
*📚(BAHARE SHARIYAT, J-4, S-134)*

_Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Ye Hukm(yane 1 se 10 zilhijja tak nakhun ya baal na tarashwana) sirf istehbabi he kare to bahetar he na kare to mazaiqa nahi, na is ko hukme adooli kah sakte he na qurbani me nuqs aane ki koi wajah, balki agar kisi shakhs ne 31 din se kisi uzr ke sabab khwañ bila uzr nakhun na tarashe ho na khat banvaya ho ki chand zilhijja ka ho gaya to vo agarche qurbani ka irada rakhta ho us mustahab par amal nahi kar sakta ab daswe tak rakhega to nakhun w khat banvaye huye ektalis(41) din ho jayega, or chalis (40) din se zyada na banwana gunah he. Fe'ale mustahab ke liye gunah nahi kar sakta.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-344)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693
*🗓️27 July 2019*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts