Malike Nisab Ayyame Qurbani Na Kar saka to ab Kya Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Malike Nisab Jis par Qurbani Wajib Thi Or Ayyame Qurbani Me Qurbani na kar saka to ab kya kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ayyame Nahar(yaani 10 11 12 zilhijja) guzar gaye or jis par Qurbani wajib thi usne nahi ki he to Qurbani faut ho gai ab nahi ho sakti agar usne pahle se janwar kharid rakha tha to use zinda sadqa karde or agar zabah kar dala to sara gosht sadqa kare us me se kuchh na khaye or agar kuchh kha liya he to jitna khaya he uski qimat sadqa kare or agar zabah kiye huve janwar ki qimat zinda janwar se kuchh kam he to Jitni kami he use bhi sadqa kare. Or agar janwar kharida na ho to bakri ki qimat sadqa kare.

_Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Shakhse mazkoor (yaani jis par qurbani wajib thi) agar Qurbani ka janwar kharid chuka tha to usi ko sadqa kare. Or agar nahi kharida tha to ek bakra ki qimat sadqa karna us par wajib he. Agar aysa na karega to gunahgar Hoga.
*📚(FATAWA FAIZUR RASOOL, J-2, S-441)*

_Or Huzur Aala Hazrat, Imam Ahemad Raza Khan Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Jab Waqt guzar gaya to un ko chahiye ki vo bakre ki qimat fuqra par sadqa kare, durre Mukhtar me he ki Qurbani chhut gai ho to waqt ho jane par gani shakhs bakre ki qimat sadqa karde to usse kifayat hasil ho jayegi.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-353)*

Or Agar Kisi ne qimat ya janwar sadqa na kiya or dusri bakra eid aa gai tab bhi use Janwar ya ek bakre ki qimat hi sadqa karna hoga.

_jaisa ki Huzur SadrushShariyah Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qurbani Ke din guzar gaye or usne Qurbani nahi ki or janwar ya uski qimat ko sadqa bhi nahi kiya yahañ tak ke dusri baqra Eid aa gai ab ye chahta he saal guzishta ki Qurbani ki qaza'a is saal kare ye nahi ho sakta balki ab bhi janwar ya uski qimat sadqa kare.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-15, S-138)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts