Qurbani Ki Khal Ko Dafn Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Qurbani Ki Khal ko Dafn karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Qurbani Ki Khal Ko Dafn karna jaiz nahi ye maal Ko Barbad karna he.

_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he,_

Khal Dafn Karna Haram he ke  iza'ate Maal he.
*📚(AL-MALFOOZ, J-3, S-14)*

_Huzur Muhaddise Kabeer Hazrat Allama Ziya Ul Mustafa Sahab Qibla 2 Aug 2019 Baroz Jumaa ko Amjadi Razvi Jame'a Masjid me khitab karte huye Farmate he_

Qurbani Ki Khal ko dafn kar dena ye durust nahi he is liye ki us janwar par Allah Ta'ala ki milkiyat he.

Lekin banda us janwar ke gosht ko khaye or khal ko apne kaam me istemal kare or agar us khal ko bech diya to uski qimat ko sadqa karna zaroori he. Lekin us janwar ke koi bhi juz ko zaaye karna durust nahi.
Lihaza khal bhi ek juz he to usko bhi zaaye karna durust nahi he.

Or khal ko dafn karne ke bare me na koi daleel he or na Qura'an w hadis se he or na hi is par koi juzya he.

Lihaza khal ko dafn na kare balki usko apne kaam me istemal kare ya bech kar qimat sadqa kar de agar che kam hi qimat me kyu na ho Lekin dafn karke zaaye na kare.

_Or Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Kaleji dafn karna maal zaaye karna he or iza'ate Maal najaiz he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-446)*

Is se Ma'aloom huva ki jab kaleji dafn karna najaiz he to khal ko dafn karna bhi najaiz he. Or Kaleji ko sirf khaya jata he uske alawa koi or faida nahi lekin khaal se deeni w dunyavi faida hi faida he or uske zariye zarooryat puri ki jaa sakti he.. to jab kaleji ko dafn karna or zaaye karna najaiz he to khal ko dafn karna ya zaaye karna to isse badarja awla najaiz hoga.

Or agar khal ko na bechna ho to khud Apne istemal ne laaye jese chalni, mashkiza, miyan, dastar khwan, dol banwa kar istemal kare lekin use dafn kar ke zaaye hargiz na kare.

_Jaisa Ki Huzur Aala Hazrat Alahir Rahma Taherir Farmate he_

Qurbani Ki Khal Ko sadqa kiya jaaye kyu ki ye Qurbani ka juz he ya us ko khud kaam me la kar ghar me khwan ya thela ya chalni wagairah banaye.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-479)*

_Or Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qurbani Ke Chamde ko khud bhi apne kaam me laa sakta he yaani usko baaki rakhe huye apne kisi kaam me la sakta he maslan uski janamaz banaye, chhalni, theli, mashkiza, dastarkhwan, dol wagairah ya kitabo ki jildo me lagaye ye sab kar sakta he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-15, S-345)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts