Kya Gadeere Khum Me Huzur ﷺ Hazrat Ali Ko Wilayate Kubra Ya Khilafat Ata Ki ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Gadeere Khum Me Hazrat Ali Ko Huzur  ﷺ Ne Maqame Wilayate Kubra Ata Farmai ?
Shia Hazraat Kahte He Ki Is Deen Hazrat Ali Ko Huzur  ﷺ Ne Maqame Wilayat Ata Farmai Thi Isi Ki Khushi Me Shia Eide Gadeer Manate He Kya Ye Sahih He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Maula E Qainat Hazrat Ali KarramAllahu Wajahul Kareem Ke Sahih Riwayat Se Fazaailo Manaqib Beshumar He Jinka Bayan Karna Hamare Liye Mumkin Nahi.

Magar Hadis Shareef Ka Galat Ma'ana Bayan Karke Awam Ko Gumrah Karna Hargiz Jaaiz Nahi. Shia Hazraat Gadeere Khum Me Jo Waqe'aa Pesh Aaya Uska Galat Ma'ana W Mafhoom Bata Kar Awam Ko Gumrah Kar Rahi He.

Gadeere Khum Me 18 Zilhijja Ko Jo Waqe'aa Pesh Aaya Is Ta'alluk Se Jo Hadees Shareef He Uska Ma'ana Hargiz Ye Nahi Ki Us Waqt Huzur ﷺ Ne Hazrat Ali Ko Wilayate Kubra Ya Khilafat Ya Imamat Ata Farmai Balki Hadees Shareef Me Maula Ka Ma'ana Madagar Ya Maheboob He. Maula Ka Ma'ana Hargiz Sardar Ya Imam Ya Khilafat Nahi Hota.. Ye Shiao Ka Dhoka He.

Waqe'a Gadeer Se Maula Ali Ki Khilafat W Imamat Pe Koi Daleel Nahi He. Hadeese Gadeere Khum Me Maula Ali Ki Fazilat Ujagar Hoti He. Lekin Is Se Khilafat W Imamat Murad Lena Jahalat He. Halañ Ki Is Se Qabl Bhi Muta'addid Maqamat Par Maula Ali Ko Isi Tarah Huzur ﷺ Ne Nawaza Magar Us Din Ko Eid Ka Din Kyu Nahi Qarar Diya Jata ?

Ahle Tashai Waqe'a Gadeer E Khum Ke Jin Alfaz Ko Apne Maqsad Par Istedalal Karte He Vo Ye He,
من کنت مولاہ فعلی مولاہ

Is Jumla Se Kisi Bhi Tarah Khilafat W Imamat Ka Mafhoom Zahir Nahi Hota He.

Maula Ke Ma'ana Khalifa Ya Imam Ke Kahi Nahi Aate Balki Is Ke Muta'addid Ma'ana Me Se Ek Aham Ma'ana Jo Yaha Murad He Vo Nasiro Madadgaar He Khalifa Ya Imam  Ka Mafhoom Mahaz Fasid He.

*_Jaisa Ki Allama Mulla Ali Qari Alaihir Rahma Is Hadees Ki Sharah Me Likhte He,_*

Jiska Me Madadgaar Uske Ali Madadgaar He Kaha Gaya He Ki Iske Ma'ana Jisse Me Dosti Rakhta Hu Usse Ali Dosti Rakhte He. Dost Ba Muqabla Dushman, Yaani Jis Se Me Muhabbat Karta Hu Us Se Ali Muhabbat Karte He. Or Ye Ma'ana Bhi Iske Kiye Gaye He Ki Jis Ne Mujh Se Dosti Rakhi To Ali Usse Dosti Rakhte He. Hamare Shareheen Aulma Ne Aysa Hi Zikr Kiya He.

_Aage Iska Sabab Bayan Karte Huye Likhte He,_

Iska Sabab Ye Bataya Gaya He Ki Hazrat Asama Ne Kaha Ki Ali Mere Maula Nahi He Mere Maula To RasoolAllah ﷺ He To Rasool ﷺ  Ne Farmaya Ki Me Jiska Maula Hu Uske Ali Maula He.

_Or Is Hadis Se Maula Ali Ki Imamat Par Istedalal Karne Wale Shia Ko Jawab Dete Huye Likhte He,_

Shia Ne Kaha Ki Vo Mutasarf He Or Kaha Ki Hadish Ka Ma'ana Ye He Ki Ali Har Us Mu'amle Me Tasarruf Ka Haq Rakhte He Jisme RasoolAllah ﷺ Tasarruf Ka Haq Rakhte He. Or Unhi Me Se Musalmano Ke Mu'aamlat He Pas Vo Unke Imam Huve. Me Kahuga Ki Wilayat Ko Is Imamat Par Jo Mo'amineen Ke Mu'amla Me Tasarruf He, Mahmool Karna Durust Nahi Is Liye Ki Mustaqil Mutasarraf Apni Hayat Me Nabi ﷺ Hi He Koi Gair Nahi. To Wajib He Ki Use Muhabbat Or Islam Ki Wila'a Or In Dono Ke Misl Par Mahmool Kiya Jaye.
*📚(MIRQATUL MAFATIH SHARAH MISHKATUL MASABIH, KITABUL MANAQIB, J-11, S-247)*

*_Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Alaihir Rahma Farmate He,_*

Jaan Lo Ki Ye Sab Se Taqatwar Daleel He Jis Se Apne Da'awa Par Shia Istedalal Karte He Ki Ye Hazrat Ali Ki Khilafat Me Ye Tafsili Nas He Or Kahte He Ki Us Jagah Maula Ke Ma'ana Awla Bil Imamat He. Ham Bataure Ilzam Shia Se Kahte He Ki Unke Nazdik Imamat Ki Daleel Me Bil Ittefaq Tawatur Mu'atebar He Or Un Logo Ne Kaha He Ki Jab Tak Hadeese Mutwatir Na Ho Us Se Imamat Ke Sahih Hone Par Istedalal Nahi Kar Sakte. Or Yaqeeni Baat He Ki Ye Hadees Mutwatir Nahi He.
*📚(ASH'ATUL LAM'AAT FARSI,  J-2, S-372, BAAB MANAQIBE ALI)*

*_Allama Ibne Hajar Likhte He_*

Ahle Tashai Ne Guman Kiya Ki Khilafat Ali Par Nasse Misrah Tafsili Nabi Kareem ﷺ Ka Vo Qaul (Yaani Jis Ka Me Maula Hu Uske Ali Maula He) He Jo Gadeere Khum Ke Roz Maqame Hajfa Me Hujjatul Wida'a  Se Lotte Waqt Farmaya Tha.
*📚 (AS-SAWAIQUL MUHARRIQA, S-65)*

Is Par Ahle Tashai Jo Daleel Dete He Uske  Jawab Me Likhte He,

Ham Ye Nahi Mante He Wali Ka Vo Ma'ana Jo Unho Ne Zikr Kiya He Ham Nahi Mante He. Balki Is Ka Ma'ana Madadgaar Ke He. Is Bunyad Par Ke Maula Ke Ma'ana Imam Hona Logat Or Shara'a Ke Aitbar Se Ma'ahood Nahi He.
*📚(AS-SAWAIQUL MUHARRIQA, S-65,66)*

*_Hakimul Ummat Hazrat Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate He_*

Maula Ke Ma'ana He Dost, Madadgaar, Aazad Shuda Gulam, Aazad Karne Wala Maula. Is Ke Ma'ana Khalifa Ya Badshah Nahi. Rab Farmata He,
فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَوْلَاهُ وَجِبْرِيلُ وَصَالِحُ الْمُؤْمِنِينَ۔
Shia Kahte He Ki Maula Ba Ma'ana Khalifa He Or Us Hadees Se Lazim He Ki Bajuz Hazrat Ali Ke Khalifa Koi Nahi Aap Khalifa Bila Fasl He, Magar Ye Galat He Chand Wajah Se.

Ek Ye Maula Ba Ma'ana Khalifa Ya Ba Ma'ana Awla Bil Khilafa Kabhi Nahi Aata, Batao Allah Ta'ala Or Hazrat Jibrail Kis Ke Khalifa He Halañ Ki Qura'an Majeed Me Unhe Maula Farmaya,
فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَوْلَاهُ وَجِبْرِيلُ

Dusre Ye Ki Huzur  ﷺ Kisi Ke Khalifa Nahi Fir Man Kunto Maula Ke Kya Ma'ana Hoge.

Tisre Ye Ki Hazrat Ali Huzur Ki Maujudgi Me Khalifa Na The Halañ Ki Huzur Ne Apni Hayat Shareef Me Ye Farmaya Fir Maula Ba Ma'ana Khalifa Kese Hoga.

Chothe Ye Ki Agar Maan Lo Ki Ba Ma'ana Khalifa Hi Ho To Bhi Bila Fasl Khilafat Kaise Sabit Hogi.

Waqe'ee Aap Khalifa He Magar Apne Mauqa Apne Waqt Par.

Panchve Ye Ki Agar Yaha Maula Ba Ma'ana Khalifa Hota To Jab Saqeefa Bani Sa'adah Me Ansar Se Hazrat Siddiqe Akbar Ne Kaha Ki Huzur ﷺ Ne Farmaya He, الخلافہ فی القریش Khilafat Quraish Me He. Tum Log Chuñ Ki Quraish Nahi Lihaza Tum Ameer Nahi Ban Sakte, Wazeer Ban Sakte Ho. Us Waqt Hazrat Ali Ne Ye Waqe'aa Logo Ko Yaad Kyu Na Kara Diya, Ki Huzur ﷺ To Mujhe Khilafat De Gaye Mere Siwa Koi Khalifa Nahi Ho Sakta. Balki Aap Khamosh Rahe Or Tino Khulfa Ke Hath Par Baari Baari Bay'at Karte Rahe. Ma'aloom Hua Ki Aap Ki Nazar Me Bhi Yaha Maula Ba Ma'ana Khalifa Na Tha.

Chatte Ye Ki Huzur Ke Marze Wafat Me Hazrate Abbas Ne Hazrat Ali Se Kaha Ke Chalo Huzur Se Khilafat Apne Liye Le Lo Hazrat Ali Ne Inkar Kiya Ki Me Nahi Maangu Ga Warna Huzur Mujhe Hargiz Na Dege. Agar Yaha Maula Ba Ma'ana Khalifa Tha To Ye Mashwara Kesa.

Satwe Ye Ki Khilafat Ke Liye Rawafiz Ke Paas Nasse Qatai Suboot Or Qatai Dalalat Chahiye Ye Hadees Na To Qatais Suboot He Ki Hadees Wahid He Na Qataid Dalalat  Ke Maula Ke Bahut Ma'ana He Or Maula Ba Ma'ana Khilafa Kahi Nahi Aata.
*📚(MIRATUL MANAJEEH SHARAH MISHKATUL MASABIH, J-8, S-422)*

AL-GARZ: Hadeese Gadeere Khum Lafz Maula Ke Ma'ana Madadgaar He Siwaye Ahle Tashai Ke Kisi Ne Bhi Maula Ba Ma'ana Khilafat, Imamat Ya Wilayat Ma'arufa Nahi Liye He.

Lihaza Maula Ba Ma'ana Khilafat Murad Lene Me Ahle Tashai Ke Batil Aqida Ki Tarjamani He. Jo Yaqeenan Gumrahi He.

Kyu Ki Hazrat Ali Ko Is Hadees Ki Roshni Me Ahle Tashai Khalifa Bila Fasl Taslim Karte He.

Or Khulfa E Salasa Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman RadiAllahu Anhum Ki Khilafat Ko Batil Mante He. Halañ Ki Ye Sarasar Zalalat W Gumrahi Balki Kufr He Kyu Ke Khulfae Arb'aa Ki Khilafat Par Ijma E Ummat He. Or Ijma E Ummat Ka Inkar Kufr He.

_Shareh Bukhari Allama Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahma Farmate He_

Rafziyo Ka Yahi Aqida He Ki Khalifa Bila Fasl Hazrat Ali RadiAllahu Anhu He Khulfa E Salasa Ki Khilafat Batil He. Or Vo Gazib The. Unka Ye Aqida Batil He.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-24)*

_Faqihe Millat Allama Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Farmate He_

Ba'az Shia Sahban Ne Is Mauqa Par Likha He Ki,
Gadeere Khum Ka Khutba Ye Hazrat Ali KaramAllahu Wajahul Kareem Ki Khilafat Bila Fasl Ka Aelan Tha, Magar Ahle Faham Par Roshan He Ki Ye Mahaz Ek Tak Bandi Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi. Kyu Ki Agar Waqe'ee Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Ke Liye Khilafat Bila Fasl Ka Aelan  Karna Tha To Arfat Ya Mina Ke Khutbo Me Ye Aelan Zyada Munasib Tha. Jaha Ek Laakh Se Zaaid Musalmano Ka Ijtema'a Tha. Na Ki Gadeere Khum Par Jahañ Yaman Or Madina Walo Ke Siwa Koi Bhi Na Tha.
*📚(SEERATE MUSTAFA, S-535)*

Lihaza Gadeere Khum Me Huzur ﷺ Ke Alfaz Man Kunto  Maula FaAliyul Maula Se Murad Me Jiska Madadgaar Ali Uska Madagar Ya Me Jisse Muhabbat Karta Hu Ali Usse Muhabbat Karte He.

Is Hadees Ka Ye Ma'ana Na Hoga Ki Us Waqt Huzur ﷺ Hazrat Ali Ko Khilafat Ya Imamat Ata Farmai.

Balki Us Waqt Huzur ﷺ Ne Hazrat Ali Ke Fazail Bayan Farmaye..

Shia Us Din Dhoka De Kar Hadees Ka Galat Ma'ana Nikal Kar 18 Zilhijja Ko Eide Gadeer Manate He, Ye Bhi Jaiz Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
16 Aug 2019
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts