Taqdeer Ke Ta'alluk Se Sawal

*🌹SAWAL🌹*

Agar koi nek amal kar raha ho Apne nafs ko kuchal raha ho to kya usme uska zarra barabar bhi apna khud ka ikhtiyar he ? Apne chah se kar raha he he ya fir allah ke chahne se kar raha he agar aysa he to koi nek kaam kyo nahi karta kyo ki mera rab to chahta hi he ki sab nek kaam kare sab apne nafs se jihad kare, isme kya hikmat he ?
Rahnumai farmaye.

*🌹JAWAB:-1⃣🌹*

Beshak Allah Tabarak W Ta'ala hi ke chahne se sabkuchh hota he, bagair uske chahne se kuchh bhi nahi ho sakta. Koi Patta bhi uske hukm ke bagair hil nahi sakta. Lekin Rab Tabarak W Ta'ala ne Bando ko ye Ikhtiyar bhi diya he vo chahe nek amal kare ya fir vo burai Ikhtiyar kare. Rab Tabarak w ta'ala ne insan ko Na bilkul paththar ki tarah majboore mahaz bana diya he, or na hi mukhtare qul karar diya he. Balki uske samne burai ke nuqsanat or nek aamal ki nekiya or uski achchaiya bhi ...
Or tamam ke asbab or wasail bhi paida farma diye.
Or uske Ikhtiyar karne me burai ya neki karne me rab Tabarak w ta'ala ne usko aqle saleem bhi ata farmai uske mutabik usko chahiye to ye hi ki nek hi amal kare Lekin agar vo burai karta he ye uska khudka amal he. Agar vo neki karta he ya uske sath bhalai pesh aati he ya vo nek aamale swaleha karta he to usko Rab Tabarak w ta'ala ka fazlo Rahmat samje. Or agar vo burai karta he min janibish Shaytan Samje.
Or ye Taqdeer Wagairah ke Masail he or Taqdeer Wagairah ke masail me hazraat shaikhain karimain RadiAllahu Ta'ala Anhuma ko  ziyadah  guftagu se mana kiya gaya ham  or tum  kis shumar va ginti me  he. Lihaza Taqdeer ke masail me zyada guftagu munasib nahi he. Ye sababe halakat ho sakta he.

Aysa hi Bahare Shariyat Hissa1 par raqam he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹JAWAB:2⃣🌹*
Allah Ta'ala ne Qura'ane Majeed Me irshad farmaya,

Vo jisne maut or zindagi ko paida kiya taake tumhari aazmaish kare tum me kon zyada achche amal karne wala he.

Allah Ne maut or zindagi ko paida kiya or aayat me zindagi or maut ki paida karne ki hikmat bhi bayan ki gai he ki allah ne zindagi or maut is liye paida kiya taake dunya ki zindagi me vo ahkamat or mamnoo'aat ke zariye tumhari aazmaish kare ki kon zyada farma bardar mukhlis or shariyat ke bayan karda tariqe ke mutabik amal karne wala he or kon uske khilaf. or koi apne bure aamal se Allah ko Aajiz nahi kar sakta kyu ki vo Galib he.

Or Bahare Shariyat Me He Insan ka Apne aap ko mukhtar ya majboor w bebas samajh lena dono gumrahi he.

Allah Ta'ala ne insan misl paththar or digar jamadat ke be has w harkat paida nahi kiya balki us ko ek no'a ikhtiyar diya he(ek tarah ka ikhtiyar) ke ek kaam chahe to kare chahe to na kare or sath hi aqle saleem bhi di he bhale bure, nafa'a nuqsan ko pahchan sake.

Or ye Allah ke daste Qudrat me jise chahe sirate mustaqeem par chalne ki hidayat bakhshe or jise chahe gumrah karde.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts