*🌹SAWAL:-🌹*
Kya ghar me kutta paal sakte he ? Or Kutte Ko Bataure Tijarat Ghar Ya Farm House Par Palna kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Kutte do tarah ke hote he
Ek wo jis ke bareme mere aaqa alaihisalam ne irshad farmaya
Jis ghar me kutta ya tasvir ho us me rehmat ke farishte nahi aate aur dusre maqam per irshad farmaya jis ne kutta pala us ke nama e aamal se rozana do qirat nekiyañ nikali jati he
Dusra wo ki jis ke palne aur rakhne ke bareme khud mere aaqa ne ijazat marhamat farmai he jese shikari kutte vagerah
Is etebar se kutte do tarah ke huve baaz ka palna jaaiz baaz gair jaaiz..
Aur dono ki tafsil vajeh he ki kon se jaaiz aur konse naa jaaiz..
Shikari kutte jis ki mukmmal tarbiyat ki gai ho aur shikar ke liye rkhkhe gae ho aur vo jo ghar ki hifazat ke liye rakhe gae ho chor vagera se bachne ke liye dushman se hifazat ke liye rakhe ho to in vujuhat ki bina per is tarah ke kutte palna jaaiz jab palna jaaiz to kharido farokht bhi jaaiz
Lekin sif chote ya bade kutte shoq ke liye ghar ya form per rakhe gae ho to ese kotto ko palna aur tijarat karna najaaiz o haram he
Wallahu taaala aalam
Olma aur muftiyan e kiram is gurup me mavjud hen galati paen to islah farma e
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_
Kutta Palna Haram he, jis ghar me kutta ho us ghar me rahmat ka farishta nahi aata, roz us shakhs ki nekiya gatti he.
RasoolAllah ﷺ farmate he,
:لاتدخل الملٰئکۃ بیتا فیہ کلب ولاصورۃ۔ رواہ احمد۳؎ والشیخان والترمذی والنسائی وابن ماجۃ عن ابی طلحۃ رضی اﷲ تعالٰی عنہما۔
Farishte Nahi aate us ghar me jis me kutta ya tasweer ho.
*📚(Sahih Bukhari, J-1, S-458)*
*📚(Sahih Muslim, J-2, S-200)*
*📚(Jame'a Tirmizi, J-2, S-103)*
*📚(Sunan Nasai, J-2, S-193)*
(Imam Bukhari, muslim, Ahmad, Tirmizi, Nasai, or ibne maja ne is ko hazrat Abu talha RadiAllahu anhuma ke hawale se riwayat kiya he)
Or Farmate he ﷺ,
من اقتنی کلبا الا کلب ماشیۃ اوضاریا نقص من عملہ کل یوم قیراطان۔ رواہ احمد۴؎ والشیخان والترمذی والنسائی عن ابن عمر رضی اﷲ تعالٰی عنھما.
Jo Kutta Pale magar gali ka kutta ya Shikari, roz uski nekyo se do qeerat kam ho (in qeerato ki miqdar Allah ﷻ W Rasool ﷺ Jane).
(Imam Ahmad, Bukhari, Muslim, Tirmizi, or Nasai ne Hazrat Abdullah Umar RadiAllahu Anhuma ki sanad ks sarh is ko riwayat kiya he.)
*📚(Sahih Bukhari, J-2, S-824)*
*📚(Sahih Muslim, J-2, S-21)*
*📚(Jame'a Tirmizi, J-1, S-180)*
*📚(Sunan Nasai, J-2, S-194)*
*📚(Musnad Ahmad Bin Hambal, J-2, S-370)*
To Sirf Do Qism ke kutte ijazat me rahe, ek shikari jise khane ya dawa wagairah munafe'a sahiha ke liye shikar ki hajat ho, na shikare tafreeh ki vo khud haram he, Dusra vo Kutta jo gali ya Kheti Ya ghar ki hifazat ke liye laya jaye or hifazat ki sachchi hajat ho, warna agar makan me kuchh nahi ki chor le ya makan mahfooz jagah he ki chor ka andesha nahi, garz jahañ ye Apne dil se khub janta ho ki hifazat ka bahana he asl me kutte ka shoq he vaha jaiz nahi, aakhir aas paas ke ghar wale bhi apni hifazat Zaroori samajte he agar be kutte ke hifazat na hoti to vo bhi palte, khulasa ye ki Allah Ta'ala ke hukm me heela na nikale ki vo dilo ki baat janne wala he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-24, S-642)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment