MANNAT KE ROZE KE MASAIL

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum teen din ka atekaf  Mannat Jaisa Ho Mera falana Kaam Ho Jayega Aur Main 3 Din atekaf me rahuga kya  Aisa kar sakte hain
Hazrat Rehnoomai farmaiye

*🌹JAWAB:-🌹*
Wa Alaikum Assalam W Rahematullah,
 ji is tarah se Ae'atikaf kar sakte he, ye mannat ka Ae'atikaf he jo wajib he or usme roza rakhna bhi shart he. Is me din muta'ayyan nahi. Jitne bhi deen ki mannat ho kar sakte he.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Aetekaf Ki 3 Qisme He,
1. Sunnate Mu'aqqad,
2. Wajib,
3. Mustahab w sunnate Gair mu'aqqada.

Jis me se Wajib Ae'tekaf vo he ki mannat maani, Yaani Zaban se kaha mahaz dil me irade se wajib na hoga.

Mannat Ke Ae'atikaf me roza shart he yahañ tak ki agar ek mahine ke Ae'atikaf ki mannat maani or ye kaha ki roza na rakhega jab bhi roza rakhna wajib he or agar raat ke Ae'atikaf ki mannat maani to ye mannat sahi nahi ki Raat me roza nahi ho sakta or agar yuñ kaha ki ek din raat ka mujh par Ae'atikaf he to ye mannat sahi he or agar aaj ke Ae'atikaf ki mannat maani or Khana kha chuka he to mannat sahi nahi.
*📚(Durre Mukhtar Aalamgiri)*

Yuñhi agar zahva e kubra ke baad mannat maani or roza na tha to ye mannat sahi nahi ki ab roze ki niyyat nahi kar sakta balki agar roze ki niyat kar sakta ho maslan zahva e kubra se kabl(pahle) jab bhi mannat sahi nahi ki ye roza nafl hoga or is Ae'atikaf me roza wajib darkar he.

Ye zaroori nahi ki khas Ae'atikaf hi ke liye roza ho balki roza hona zaroori he, agarche Ae'atikaf ki niyat se na ho maslan is ramzan ke Ae'atikaf ki mannat maani to vahi ramzan ke roze is Ae'atikaf ke liye kaafi he, or agar ramzan ke roze to rakhe magar Ae'atikaf na kiya to ab ek maah ke roze or iske sath Ae'atikaf kare or agar yu na kiya yaani roze rakhkar Ae'atikaf na kiya or dusra ramzan aa gaya to is ramzan ke roze us Ae'atikaf ke liye kaafi nahi. Yuñhi agar kisi or wajib ke roze rakhe to ye Ae'atikaf un rozo ke sath bhi ada nahi ho sakta balki ab uske liye khas Ae'atikaf ki niyat se roze rakhna zaroori he or agar us soorat me ki kaza rakh raha he to in kaza rozo ke sath vo Ae'atikaf ki mannat bhi puri kar sakta he.
*Makhuz 📚(BAHARE SHARIYAT, H-5, Ae'atikaf Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈•

Sone Ki Kharid Kimmat Se Zakat Nikale Ya Bechne ke Kimat se ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Sone ki Qimat ka hisab sona bechne ki Qimat k hisab se lagana chahiye ya kharidne ki Qimat ke hisab se lagana chahiye
Kyoki bazar m sona bechne par 80 se 85 percent hi milta hai
Hazrat rehnumayi farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Us Waqt Sone ke wazan ki Jo Kimat Chal rahi he yaani kharidne wali usi ke mutabik zakat ada ki jayegi. Sone chandi ka zevar banane me  jo mazduri hoti he use shumar nahi karege..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬 Tadriso ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲
•┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈•

Halate Roza Me Loban Lena Ya Dhunva Lena Kesa ??

*🌹SAWAL:-🌹*
Roze Ki Halat Me Dargah par se Jo Loban ka dhunva lete he to kya usse roza toot jayega ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma *📚FATAWA RAZVIYA, J-10, S-489-493)* par Tafsili Jawab Taherir Farmate he, Jiska Khulasa Ye he ki,

Dhunva Ya Gubar Halq me ya dimag me apne aap chala jaye ki roza daar ne bilqasd yani janbuz kar use dakhil na kiya ho to roza na jayega, agarche us waqt roza hona yaad ho.
Or agar kisi Roza daar ne bilqasd yani janbuz kar apne halq me dhunva dakhil kiya to uska roza toot jayega khwañ vo dhunva aood ya anbar ka ho, agar use roza yaad ho kyu ki us se bachna mumkin he.

_Or Isi Tarah Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Makhi Ya Gubaar halq me jane se roza nahi toota. Khwañ vo gubar aate ka ho ki chakki pisne ya channe me udta he ya galla ka gubaar ho ya hawa se khak udi ya janwaro ke khar ya taap se gubar urh kar halq me pahucha, agarche roza daar hona yaad tha or agar khud qasdan dhunva pahuchaya to fasid ho gaya jabki roza daar hona yaad ho, khwañ vo kisi ka dhunva ho or kisi tarah pahuchaya ho, yaha tak ki agar ki batti wagairah khushboo sulagti thi, usne munh qareeb karke dhunve ko naak se khichaa roza jata raha. Yuhi huqqa pine se bhi roza toot jata he, agar roza yaad ho or huqqa pine wala agar piyega to kaffara bhi lazim aayega.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-5,  S-117)*

Is riwayat se bhi saaf zahir he ki agar roza daar ko apna roza hona yaad ho or agar batti ya loban sulagta ho or munh qareeb kar ke dhunve ko naak se khincha to roza toot jayega.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈•

Shafai Mazhab Chhor kar Hanfi Mazhab Ikhtiyar Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kisine sawal pucha hai ki...
Agar woh shaafi hai aur hanafi maslak hona chahta hai kyuki use hanafi fiqh ke masle masail me jawab jaldi hi mil jate hai aur woh dil hi taur se hanafi hona chahta hai toh kaise karein?
Kisi ko batane ki zarurat. Toh nahi hai na?

*🌹JAWAB:-🌹*

Shafai Mazhab Chhor kar Hanfi Mazhab Ikhtiyar karne ki ijazat Nahi,

_Isi Tarah ke Ek sawal ke jawab me Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate he_

Iski Ijazat nahi ki zaid shafai mazhab chhor Kar hanfi mazhab Ikhtiyar kare. "Ashshqafatus Sunniya" Calicut kerla shafai hazraat ka bahut bada ilmi markaz he. induz zaroorat waha se bazariya daak masail Ma'aloom kar liya kare.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-232)*

Or Farmate he,
Awam Ko Ye Jaiz nahi Ki kisi Ek Imam Ki Taqlid Ikhtiyar karke fir use chhod kar dusre imam ki Taqlid kare.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-231)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈•

Shia Ka Padha Hua Kalam Sunna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Shia Logo Ne Padha Hua Hazrat Ali ki Shan me Kalam ko Sunna ya apne Status par rakhna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Shiya ka padha Hua kalam Maula Ali ki shan me ho ya kisi bhi hazrat ki shan me ho, use awam ko sunna Hargiz Jaiz nahi Balki Sakht Gunah he. Or Apne Status par rakhna bhi hargiz hargiz jaiz nahi.

Kyu ki Shiya Badmazhab, kafiro murtad he. Unse wa'az(Takrir) sunna ya wa'az karana, naa'at sunna, ya unki likhi hui naa'at Padhna hargiz jaiz nahi.

Shiya log jo Hazrat ali ki shan me manqabat wagairah padhte he use hargiz hargiz nahi sunna Chahiye or na hi kisi ko sunana chahiye ki usme kai sari Aesi Baate hoti he jo aqaide Ahle Sunnat ke khilaf hoti he.

Shiya hazraat huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki shan me khulli gustakhi karte he. Or Ma'azAllah hazrate ali RadiAllahu Anhu ke maqam ko huzur Sallallahu alaihi wa sallam se bhi badkar batate he(Ma'azAllah).
Or shiya hazraat Huzur Sallallahu alaihi wa sallam, Sahaba e kiram ki khulli gustakhiya karte he.
Unke likhe huye kalam me bhi kai sari gustakhiya or Kufr w gumrahkun alfaz maujud hote he.
Sunne me Chahe kitna hi achcha lagta ho lekin unke padhe huye kalam ko hargiz na sune, Ki usme kai sari gustakhiya gumrah kun w kufriya alfaz maujud hote he.

_Jaisa Ki Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahemato Ridwan Farmate he_

Hamare yaha Yani Hindustan me jo shia paye jate he vo asna Ashriya, imamya he or ye islam se kharij kafiro murtad he.
Aalamgiri me he,
Or ye qaum deene Islam se kharij ho gai or un ka hukm murtad jaisa he.
*📚(Fatawa Aalamgiri, J-2, S-264)*
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-3, S-82)*

Shia Badmazhab, Kafiro Murtad he unse Naat Sunna Ya unki likhi hui Naat padha bhi jaiz nahi, ki konse jumle me kufr ho ya gumrahkun alfaz ho, Or ham jane Anjane me bahak jaye ya fitne me mubtala ho jaye. Unse Hamesha door rahna chahiye.

_Jaisa Ki Hadish shareef me he,_

ایاکم وایاھم لایضلونکم ولایفتنونکم

Unse Alag Raho unhe apne se door rakho kahi vo tumhe bahka na de vo tumhe fitne me na dalde.
*📚(SAHIH MUSLIM, J-1, S-10)*

Or Naa'at khwani Bhi Ek Ilme Deen ka Hissa He, is liye Naa'at khwani bhi usi se sunni Chahiye jo ilme deen ka Sahih ilm rakhta ho. Ya kam az kam Aqaide Ahle Sunnat sahih tarah se bayan karta ho.

_Jaisa ki Hadish Shareef me he,_
عن ابن سیرین قال ان ھذاالعلم دین فانظرواعمن تاخذون دینکم ” رواہ مسلم “
Hazrat Muhammad bin seerin RadiAllahu Anhu se riwayat he farmate he ki ye ilme deen he lihaza gaur karo ki apna deen kis se hasil karte ho.
*📚(MISHKAT, KITABUL ILM)*

_Iski Shara'a me hakeemul Ummat Allama Mufti Ahemad Yaar khan naeemi Alaihir Rahma Farmate He_

Yaani Ilme Shariyat Ilme deen jab banega jab Sikhane wala ustad aalime deen hoga be deen aalim se hasil kya hua ilm be deeni hi dega aaj log be deeno se tafseer w hadish parh kar be deen ho rahe he, farman ke sath faizan zaroori he.
*📚(MIR'AATUL MANAJIH, J-1, S-220)*

Is Hadishe Paak Or Uski Shara'a se Ma'aloom hua ki deen ka koi ilm or deen ki koi baat kisi Badmazhab gumrah se parhna, sunna, sunana, durust nahi. Log Be deeno se Ilme deen ki baate sikh kar padh kar ya sun kar be deen ho jate he.
Jaise be deen ki Azan Azan Nahi, unki Namaz Namaz Nahi, usi tarah Unki Na'at khwani bhi na'at khwani nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈•

Zaid Ne Apne Bhai ko Zakat Di Kya Vo Apne Walidain Par Kharch kar sakta he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Ne Uske Bhai Ko Zakat Ki Raqam Di Aur Zaid Ne Uske Bhai Ko Raay Di K Vo Chahe To In Rupayo Se Unke Waliden Ke Kamre Mai Ac Laga Sakta Hai Kya Zaid Ka Bhai Un Zakat K Rupayo Se Unke Waliden K Kamre Mai Ac Laga Sakta Hai Kya Zakat Ki Raqam Ko Hilaa K Zariye Waliden K Upar Kharch Kiya Jaa Sakta Hai
Hazrat Rehnumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Agar Zaid ka bhai zakat ka mustahiq he Or Zaid Ne Uske bhai ko Zakat Ki niyyat se Rupye diye,
To ab zaid ka bhai un peson se jo chahe jis par chahe kharch kar sakta he. Wo pesa jo zakat ki surat me mustahiiqe zakat ke hath me aa gaya fir wo jise chahe de ab jise dega wo zakat ka pesa nahin rahega. تبدیل ملک و ید سے تبدیل حکم ہو جاتا ہے۔

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻 Khalifa E Huzur Ashraful Fuqha, Hazrat Allama Mufti Junaid Raza Azhari Sahab Qibla, Nadiad, Gujrat_*

*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈•

Hazrat Aadam Alaihis Salam ki namaze Janaza Kisne Padhi Or Padhai ?


*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Aadam Alaihis Salam ki Namaze janaza kisne padhai or kisne padhi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Hazrat Allama Akhtar Husain Aleemi Sahab *📚Sunan Darul Qutni, J-2, S-70, Kitabul Janaiz* Ke Hawale Se Taherir Farmate He,
Sunan Darul Qutni me he,
Hazrat Abdullah bin abbas RadiAllahu Anha se riwayat he ki Unhone kaha hazrat Jibrail Alaihis Salam ne hazrat Aadam Alaihis Salam ki chaar takbeer kah kar namaze janaza padhi us din hazrat Jibrail ne farishto ko namaz padhai or hazrat aadam masjide khaif me madfan huye. Is se ma'aloom huva ki hazrat aadam Alaihis Salam ki namaze janaza Hazrat Jibrail Alaihis Salam ne parhai.
*📚FATAWA ALEEMYA, J-1, S-352)*
Hazrat Aadam Alaihis Salam Ki Namaze Janaz Hazrat Jibrail Alaihis Salam ki imamat me malaika ne ada ki namaz me padhi jane wali takbeero ki ta'adad 4 thi.
Ek dusri riwayat ke mutabik namaz hazrat sheesh alaihis Salam ne padhai.
Makhuz:
*📚(TAFSIRE NAEEMI, J-1, S-332)*
*📚(JALALAIN HASHIYA 4, S-131)*
Isi tarah Se Fatawa Baraily Shareef me bhi he,
Hazrat Aadam Alaihis Salam Ki namaze janaza padhi gai thi, or farishto ne padhai thi. Usi waqt se namaze janaza ki shuruaat hui, iske baad ambiya e kiram ki bhi namaze janaza padhi gai hogi.
Islam me hijrat ke nawwe(9) mahine ke ibteda'a me huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne namaze janaza padhai thi.
*📚(FATAWA BARAILY SHAREEF, S-302)*
Or Isi Tarah Se,
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-5, S-375)*
Par bhi he..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬 Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲8
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈•

Masjid Ki diwar pe Ishtehar(Poster) Lagana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Masjid Ki Diwaro Par sharai Masail, Hadish Ya  Istehar(Poster) lagana kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Masjid Ki diwaro Par Sharai Masail, Qura'an ki aayate w Hadish shareef or Madarsa Ya deeni Program ke istehar ya Hadish shareef  lagana jaiz he.

_Isi Tarah Ke ek Sawal Me Huzur Bahrul Uloom Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate he_

Madarso ke ishtehar me aam taur se deeni masail or madarsa ke liye chanda ki apeel hoti he is ko masjid ke andar lagane ki soorat me do baate qabile lihaz he, usme mas'ala koi galat na likha ho, or kisi gumrah firqa ka vo ishtehar na ho, agar ye dono baate us ishtehar me na ho to uska masjid me lagana jaiz balki kaare sawab he, haañ ye baat khayal rahe us diwar me usko na lagaya jaaye jo pachchim taraf he kyu ki namaz padhte huye agar us me nigah padi to musalli(namazi) ka khayal batega. Hadish Shareef me he ki RasoolAllah ﷺ masjid me deeni masail batate the or deeni kaamo ke liye chanda mangte the, Aulma farmate he,
القلم احداللسانین
Yaani aadmi ke paas do zabane he, ek gosht posht ki jo munh me he, or dusri qalam he to jo baat munh se ki ja sakti he qalam se likh kar kyu nahi taangi ja sakti he, gumraho ke madarsa ko chanda dena jaiz nahi he to us ke liye zaban se bhi masjid me nahi keh sakte, or galat masail batana najaiz he to masjid me zabani bhi bayan nahi kar sakte.
*📚(FATAWA BAHRUL ULOOM, J-2, S-226)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖=======

Roze Ki Halat Me Colgate Ya Manjan Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Roze Ki Halat Me Colgate Ya Manjan Istemal Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Roze Ki Halat Me Colgate Ka Istemal Karne Se Parhez Karna Chahiye Ki Aaj Kal  Jo Colgate Hoti He Uska Asar Ya Test Halq Tak Pahuch Jata He. Jisse Roza Fasid Ho Jata He.
Or Colgate Ya Manjan Karna Najaiz W Haram Bhi Nahi Agar  Karne Wale Ko Is Baat Ka Yaqeen Ho Ki Us Ka Koi Juz  Halq Me Na Jayega, Albatta Bagair Zaroorate Sahiha Ke Makrooh He.

_Jaisa Ki Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He_
Manjan Najaizo Haram Nahi Jab Ki Itminan Kaafi Ho Ke Uska Koi Juz Halq Me Na Jayega Magar Be Zaroorate Sahiha Karahat Zaroor He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-4, S-614،)*
_Or Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate He_
Roze Ki Halat Me Colgate Or Manjan Karna Najaizo Haram Nahi Jabki Yaqeen Ho Ki Uska Koi Juz Halq Me Na Jayega, Haañ Makrooh He.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-343)*
_Huzur Bahrul Uloom Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate He_
Manjan Or Tooth Pest Wagairah Ke Bareek Ajza Halq Se Utar Gaye To Roza Toot Jayega Or Na Utre To Na Tootega Albatta Aysi Cheezo Ko Munh Me Rakhna Roza Ko Makrooh Kar Dega.
*📚(FATAWA BAHRUL ULOOM, J-2, S-276)*
Or Farmate He..
Gul Karne Se Roza Toot Jayega Agar Jan Bujh Kar Karega To Kaffara Bhi Lazim Hoga, Tambaku Ko Jise Kheni Kaha Jata He Munh Me Rakhne Ko Roza Todne Wala He, Agar Gul Bhi Isi Qism Ki He Kheyni Ki Tarah Iska Bhi Log Istemal Karte He Is Liye Iska Istemal Bhi Mufside Som He..
*📚(FATAWA BAHRUL ULOOM, J-2, S-276)*

Lihaza Halate Roza Me Colgate Ya Manjan Ka Istemal Karne Se Parhez Karna Hi Bahetar He Ki Isse Roza Tootne Ka Andesha Bhi Rahta He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖========

Posted By Pathan Moin Raza At May 18, 2019

Ramzan Ke Aakhri Jumaa Ko Nafl Namaz Padhne se Sabhi Qaza Namaze Maaf Hoti he Ya Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat,
Baaz Ilaqo Me Log Ramzanul Mubarak Ke Aakhri Jumaa(Jumatul Wida'a) Me Qaza E Umri Ada Karte Or Samajte He Ki Is Namaz Se Umr Bhar Ki Apni Qaza Namaze Maaf Ho Jayegi. Or Ek Tariqa Bataya Jata He Ki 700 Saal Ki Qaza Namaz Maaf Ho Jayegi.

Ye Kaha Tak Durust He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikum Assalam W Rahematullah,

Https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2019/05/ramzan-ke-aakhri-jumaa-ko-nafl-namaz.html?m=1

_Ramzanul Mubarak Ke Aakhri Jumuaa Me Qaza E Umri Ada Karke Ye Khayal Karna Ki Is Namaz Se Umr Bhar Ki Qaza Namaze Muaaf Ho Jayegi Ye Mahaz Batil Or Be Asl W Badtareen Bid'At He_

_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate He_

Faut Shuda Namazo Ke Kaffare Ke Taur Par Ye Tariqa(Qaza E Umri) Eejad Kar Liya Gaya He Ye Badtareen Bid'At He. Is Baare Me Jo Riwayat He Vo Mauzoo'a (Garhi Hui) He Ye Amal Sakht Mamnoo'a He, Aysi Niyyat W Aeteqad Batil W Mardood, Is Jahalate Qabeeha Or Wazeh Gumrahi Ke Batlane Par Musalman Ka Ittefaq He, Huzur Poor Noor Saiyedul Mursaleen Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ka Irshade Girami He.

من نسی صلوٰۃ فلیصلہا اذا ذکرھا لا کفارۃ لھا الا ذلک
Jo Shakhs Namaz Bhul Gaya To Jab Use Yaad Aaye Use Ada Karle, Us Ka Kaffara Siwaye Us Ki Adaigi Ke Kuchh Nahi.

Ise Imam Ahemad, Bukhari, Muslim, Tirmizi, Nasai Or Digar Muhaddiseen Ne Hazrat Anas RadiAllahu Anhu Se Riwayat Kiya He.
*📚(Sahihul Bukhari, J-1, S-84)*
*📚(Sahihul Muslim, J-1, S-241)*

حدیث ''من قضی صلوٰۃ من الفرائض فی اخر جمعۃ من رمضان کان ذلک جابرا لکل صلوٰۃ فائتۃ فی عمرہ الی سبعین سنۃ'' باطل قطعا لانہ مناقض للاجماع علی ان شیأ من العبادات لاتقوم مقام فائتۃ سنوات.

Allama Qari Alaihir Rahma Al-Bari Mauzuaate Kabeer Me Kahte He: Hadish "Jis Ne Ramzan Ke Aakhri Jumaa Me Ek Farz Ada Karli Usse Uski Sattar(70) Saal Ki Faut Shuda Namazo Ka Izala Hojata He" Yaqeeni Taur Par Batil He Kyu Ki Is Ijma'a Ke Mukhalif He Ki Ibadat Me Se Koi Shai Sabiqa Salo Ki Faut Shuda Ibadaat Ke Qaim Maqam Nahi Ho Sakta..
*📚(Al-Asrarul Mauzuaa Fil Akhbarul Mauzaa, Hadish-953, Matbuaa Darul Kutub Arbiya Bayroot, S-242)*

Imam Ibne Hajar Ki Tohfa Sharah Minhajul Imam Navvi Me Fir Allama Zurqani Sharah Mawahib Imam Qustalani Rahematullahi Ta'ala Me Farmate He.

اقبح من ذلک مااعتید فی بعض البلاد من صلوٰۃ الخمس فی ھذہ الجمعۃ عقب صلٰوتھا زاعمین انھا تکفر صلٰوۃ العام اوالعمر المتروکۃ و ذلک حرام لوجوہ لا تخفی ..
Is Se Bhi Badtar Vo Tareeqa He Jo Baaz Shahro Me Eejad Kar Liya Gaya He Ki Jumuaa Ke Baad Panch Namaze Is Guman Se Ada Karli Jaye Ki Isse Saal Ya Sabqa Tamam Umr Ki Namazo Ka Kaffara He Or Ye Amal Aysi Wajooh Bina Par Haram He Jo Nihayat Hi Wazeh He..
*📚(Sharah Zurqani Alal Mawahibul Ladunya, J-7, S-110)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-8, S-156)*

_Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahemato Ridwan Dusre Maqam Par Farmate He_

Aakhri Jumuaa Me Uska Parhna Ikhtra'a Kiya Gaya He Or Usme Ye Samjha Jata He Ki Us Namaz Se Umar Bhar Ki Apni Or Maañ Baap Ki Bhi Qaza E Utar Jaati He, Mahaz Batil W Bida'ate Shaiyya W Shanee'aa He, Kisi Bhi Muatebar Kitab Me Uska Aslan Nishan Nahi.
*📚(Ayzan, S-418,419)*

_Or Isi Tarah Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He_

Shabe Qadr Ya Ramzan Ke Aakhri Jumuaa Ko Jo Ye Qaza E Umri Jama'at Se Parhte He Or Ye Samjhte He Ki Umar Bhar Ki Qazae Isi Ek Namaz Se Ada Ho Jayegi, Ye Batil Mahaz He.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-708, QAZA NAMAZ KA BAYAN)*

Hasile Kalam Yahi He Ki Aysi Koi Namaz Nahi He Jise Parhne Se Umr Bhar Ki Qaza Namaze Ada Ho Jaye Ya Maaf Ho Jaye. 

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
*🗓️17 May 2019
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖========

Roze Ki Halat Me Vicks Lagana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Roze ki Halat Me Vicks Lagana Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Vicks ek qism ka chemical hota he use jab naak ke nathno ke andar lagate he to chemical ke ajza halq ke raste andar jate he, lihaza usse roza toot jayega.
Albatta aysi vicks jo sar dard ki soorat me peshani par lagaye jate he ya kisi or azu me dard ho to us par lagaye jate he usse roza fasid Nahi hota.
Kyu ki badan ke masamo ke zariye paani, tel ya koi or cheez andar jaye to usse roza nahi tootta.
*📚(TAFHIMUL MASAIL, J-1, S-188)*

*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖=======

Roze Ki Halat Me Miswak Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Roze Ki Halat me Miswak Karna Kesa?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Huzur Aala Hazrat Ashshah imam Ahemad Raza Khan Fazile Barailvy RadiAllahu Anhu Farmate he_

Miswak Mutlaqan Jaiz he, Agrche baade zawal ho.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-10, S-551, JADEED)*

Yani Roze Ki Halat Me Kisi Bhi Waqt Zawal se Pahle Ya baad miswak karne se roze me Koi kharabi nahi hogi..

_Or Dusri Jagah Roze ki Halat Me Miswak karne ke ta'alluk se Irshad Farmate he_

Miswak Karna Sunnat He, Har Waqt kar sakta he, agar che tisre paher ya asar ko chabane se lakdi ke reze chhute ya maza mahsoos ho to na chahiye.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-10, S-511 JADEED)*

yaani aysi miswak Ka istemal Na kare Jiske reze zyada hote ho or uska maza halq tak pahuch jaye. Misvak Karte waqt ye Ahtiyat zaroor rakhe ki uske reze halq tak na pahuch Jaye.

_Isi Tarah Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Roza Me miswak karna makrooh nahi. Balki jaise or dino me sunnat he roza me bhi Masnoon He. Miswak khushk ho ya tar, Agarche paani se tar ki ho, zawal se pahle kare ya baad kisi waqt makrooh nahi.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-5,  S-125)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

KYA ULTI HONE SE ROZA TOOTEGA YA NAHI ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Ulti Aane Pe Roza Toot Jata Hai Kam Aaye Ya Zyada ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Khud Ba khud Bila ikhtiyar qae(Ulti) Ho Jane se roza nahi tootta, chahe munh bhar ho ya kam ho. Or Qasdan(Janbuz kar) Qae(Ulti) karne se(Agar Munh Bhar Ho to) bil-Ittifaq Roza toot jata he.

_Jaisa ki Huzur SadrushShariyah Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Aazami Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate he_

Qasdan(Janbuj kar) Bhar munh Qae(Ulti) ki or rozadar hona yaad he to mutlaqan roza jata raha, or usse kam ki  to nahi. or bila ikhtiyar Qae(ulti) ho gai to bhar munh he ya nahi, or bahre taqdeer vo lot kar Halq me chali gai ya usne khud lotai ya loti, na lotai to agar bhar munh na ho to roza na gaya. agarche lot gai ya usne khud lotai.
or bhar munh he or usne lotai, agarche usme se sirf chane barabar halq se utri to roza jata raha warna nahi.

Qae(Ulti) ke ye Ahkam us waqt he ki Qae(Ulti) me khana aaye ya sufra ya khoon. or balgam aaya to mutlaqan roza na toota۔
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-5, S-123)*

_Isi Tarah Se Allama Alauddin Haskafi Alaihir Rahma Farmate He_
وإن ذ رعة القى وخرج ولم یعد لا يفطر مطلقاملاء أولا
Agar Bila Ikhtiyar qae(Ulti) ho gai or halq me na loti to mutlaqan roza nahi tootega Khawañ  munh bhar ho ya munh bhar na ho..

Or Farmate he,
وإن استقاء أي طلب القی (عامد ا ) أي متذ کرا لصومه ان کان ملء الفم فسد بالاجماع مطلقا وان اقل لا ،
Or Agar Qasdan Jaan bujh kar Qae(Ulti) ki yaani use apna rozadaar hona yaad tha to agar munh bhar he to us par ijma'a he ki roza toot Gaya or agar munh bhar se kam he to roza nahi toota.
*📚(RADDUL MUHTAR, J-3, S-349 TO 352, BAYROOT)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Zakat Kis Par Farz He ?


*🌹SAWAL:-🌹*
Zakat Kis Par Farz He ? Sahibe Nisab kise Kahte he ? Or sona Chandi(Gold & Silver)  ki Price Kya He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2019/05/zakat-kis-par-farz-he.html?m=1

Zakat Farz he iska munkir yani iska inkar karne wala kafir he. Or na dene wala fasiq or katl ka mustahaq or ada karne me der karne wala gunahgar w mardudushshadat he Yaani Jiski Gawahi Nahi Mani Jayegi.

👉Zakat Wajib Hone ki chand sharte he. 

👉Usme se ek Shart he sahibe Nisab Hona. Sahibe nisab yaani jiske paas 7.5 (saadhe saath)tola sona ya 52.5 (saadhe bawan) tola chandi Ho ya un dono me se kisi ek ki kimat ke barabar rupye ho to unka chalisva(40va) hissa nikalna wajib he.

👉7.5 tola sona yaani 93 gram 312 mili gram Sona. Or 52.5 tola chandi yaani 653 gram 184 mili gram chandi.

👉Is hisab se Aaj Ki Tarikh 16 May 2019 ke mutabik(Gujrat me) Sone(gold) ki kimat 3165 Rupye Per Gram. Yaani Ek Gram Sone ki kimat 3165 rupye he. Tab 93 gram 312 mili gram sone ki kimat *295332.48 rupye* (Two Lakh ninety five thousand three hundred thirty two point forty eight rupees) Hote he.

👉Or Chandi(Silver) Ki Aaj Ki Price 40.25 rupees per gram. Yaani 1 Gram Chandi Ki kimat 40.25 rupye hote he.
Tab 653.184 gram chandi ki kimat *26290.66 rupye* (twenty six thousand two hundred ninty point sixty six rupees) hote he.
Kisi ke paas thoda sona or thodi chandi, ya chandi or thoda paisa ya thoda sona or thoda paisa agar dono milakar chandi ka nisab mukammal ho jaye to zakat wajib he.

*Yani Agar Kisi Ke Paas 26290.66 paisa ya usse zyada paisa ya thoda sona thodi chandi ya thoda sona thoda paisa ya thodi chandi thoda paisa mil kar 26290.66 rupye tak nisab pahuch jata he to zakat wajib he.*
*Zakat Wajib Hone Ke Liye Us maal Par Ek saal Guzarna Zaroori he.*

```NOTE: SONE CHANDI KI KIMAT HAR ROZ BADALTI RAHTI HE IS LIYE USKI KIMAT NAZDIKI SUNAR SE BHI PATA KAR LE TO BAHETAR```

_👉Zakat Wajib Hone ke liye or bhi jo sharte he vo mandarja Zail he.._

*1. Musalman Hona*
Jo Musalman he Us par zakat wajib he, kafir par zakat  wajib nahi.

*2. Balig Hona*
Yani Balig mard w aurat Musalman par zakat wajib he. Nabalig par zakat nahi.

*3. AqlMand Hona*
Yaani Aql Mand Shakhs par zakat wajib he, junun ya pagal (agar pagal pan pure saal ger le to us) par zakat wajib nahi.

*4. Aazad Hona*
Gulam par zakat wajib nahi.

*5. Maal Ba-Qadre Nisab Uski Milk Me hona*
Agar Nisab Se Kam He to Zakat Wajib Nahi.

*6. Pure Taur Par Maal Ka Maalik ho yani us par qabiz bhi ho*

Yaani Agar Koi maal gum ho gaya ya aysa maal jis par qabza nahi us par zakat Nahi. Zakat wajib hone ki liye us maal par qabza hona bhi zaroori he.

*7. Nisab Ka den(karz) Se Farig Hona*

Yaani Nisab Ka Malik He magar Us par den (karz) he ki ada karne ke baad nisab nahi rahti to zakat wajib nahi.

*8. Nisab Hajate Asliya Se Farig Ho*

Hajate Asliya Yaani jiski taraf zindagi basar karne me aadmi ko zaroorat he usme zakat wajib nahi. Jese rahne ka makan, Dukan, Garmiyo me pahenne ke kapde, khanadari ke saman, sawari ke janwar(moter cycle, car, Rickshaw,wagairah) , ladai ke liye hathyar, Ahle ilm  ke liye hajat ki kitabe,A.C Freej, Mobile, tablet, computer, leptop, washing machine, wagairah.. in sab par zakat nahi..

*9. Nisab par ek saal Guzarna*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Zakat ka Paisa Itna Mila Ki sahibe Nisab Ho gaya ab use zakat lena or usko zakat dena kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Zaid  k upar zakat farz nahi hai aur zaid ne apne bhai se pichle saal zakat li thi lekin is baar ye hai ki zaid k paas pichle mahine bhar k andar itne rupaye aaye ki chandi ka nisab pura ho jaye yani 25 se 30 hazar rupaye tak
Ab sawal ye hai kya zaid k upar zakat farz ho gayi ya un rupayo par saal guzarana jaruri hai
Kya zaid is saal uske bhai se zakat le sakta hai

Aur agar zaid ko uska bhai aur ek do rishtedaar zaid ko zakat ki raqam dete hai aur vo sab raqam mila kar chandi k nisab se jyada ho jaye to kya zaid us sab raqam ko rakh sakta hai ya nahi

Hazrat is masle par tafsil se rehnumayi farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'oola me zaid par agarche zakat farz nahi hui kyu ki sahibe nisab hone ke sath sath saal guzarna bhi Zaroori he to zaid ko chunki 1 mahine pahle hi 25000 se 30000  rupye hasil huye , saal nahi guzra is wajah se us par zakat to farz nahi hui magar sahibe nisab ho gaya. Sahibe nisab ho jane ke bina par or saal na guzarne ki bina par zakat farz nahi  hui. Lekin vo zakat nahi le sakta. Ye ma'aloom hote huve zakat lega gunahgar hoga, or maloom hote huye usko zakat dena bhi gunah or agar di to ada na hogi.
Usi tariqe se dusra MasAla bhi ki zahir si baat he ki vo zakat nahi le sakta to vo apne bhai ya karibi rishtedaaro se zakat kis tarah le sakta he ?

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me he,

Jo Shakhs Malike Nisab Ho (Jabki vo cheez hajate asliya se farig ho yaane makan, saman khana dari, pahanne ke kapde, khadim, sawari ka janwar, hathyar, Ahle ilm ke liye kitabe jo uske kaam me ho ki ye sab hajate asliya he or vo cheez unke alawa ho, agarche us par saal na guzra ho agarche vo maal naami na ho) ayse ko zakat dena jaiz nahi.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-5,)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Mufti e Petlad, Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi*
*_📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah Petlad_*

*_📬Pathan Moin Raza Khan Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

Walida Ne zaid ko aone kharch ke liye chhut di kya tanzim me paise dene ke liye ijazat leni hogi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
 اسلام علیکم
Zaid collage jata he aur uskke validain ne use kaha he ke tuje paiso ki zaroor pade to hame puche bagair le lena to ab zaid ek sunni tanzeem ko madad karna chahta he to ab validain ke puche bagair paise le sakta he?
*🌹JAWAB:-🌹*
 وعليكم السلام و رحمة الله
Walidain ne apne zaati khrch ke liye kaha he to khas ijazat leni padegi.or agar aam ijazat de chuke hen yaani chahe apne par kharch kare ya isi aur par to ijazat ki hajat nahin. Albatta sawal se pehli surat zahir he.

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Juned Raza Sahab Azhari, Nadiad*
*_👑Khalifa E Huzur Ashraful Fuqha_*

*📬 Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

Roza Todne wale Par kya Hukm He ?

Roza Todne Wale Par Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Olmaye Kiram Ki Bargah Me Sawal He Ke Agar Koi Shaqs Jan Buz Kar Roza Todde To Uske Liye Kiya Hukm He
Baraye Karam Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Bila Azre Sharai Jaan Bujh Kar Ada E Ramzan Ka Roza Jiski Niyyat Raat Se Hi Ki Thi Todna Najaaizo Gunahe Kabeera He, Or Us Se Taubah Karna Or Us Roze Ki Qaza W Kaffara Lazim He.

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate He,_

Agar Waqe'ee Iftar Ka Waqt Nahi Huva Tha Or Jaan Bujh Kar Bila Azr Sharai  Roza Tod Diya Or Raat Hi Se Uske Ada Ki Niyyat Ki Thi To Us Par Qaza Or Kaffara Dono Lazim He.
Aysa Hi *📚(Bahare Shariyat, H-5, S-120)* Par He.

_Or Saiyeduna Aala Hazrat Muhaddise Barailvy RadiAllahu Anhu Taherir Farmate He,_

Kisi Ne Bila Azre Sharai Ramzan Mubarak Ka Ada Roza Jis Ki Niyat Raat Se Ki Thi Bil Qasd Kisi Giza Ya Dawa Ya Nafa'a  Rasaañ Shay Se Torh Dala Or Sham Tak Koi Aysa Aariza Lahaq Na Huva Jis Ke Baees Shar'An Aaj Roza Rakhna Zaroor Na Hota To Is Jurm Ke Jurmana Me Saath(60) Roze Pe Dar Pe Rakhne Hote He.
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-600)*

_Or Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,_

Roza Tod Ne Ka Kaffara Ye He Ki Pe Dar Pe (Ek Ke Baad Ek Lagatar) Sath(60) Roze Rakhe Ye Bhi Na Kar Sake To Saath(60) Masakeen Ko Bhar Bhar Pet Dono Waqt Khana Khilaye Or Roze Ki Soorat Me Agar Darmiyan Me Ek Din Ka Bhi Chhut Gaya To Ab Se Saath(60) Roze Rakhe Pahle Ke Roze Mahsoob(Shumar) Nahiñ Hoge Agarche Unsath(59) Rakh Chuka Tha. Agar Che Bimari Wagairah Kisi Azr Ke Sabab Chhuta Ho Magar Aurat Ko Haiz Aa Jaye To Haiz Ki Wajah Se Jitne Naage Huve Ye Naage Nahi Shumar Kiye Jayege Yaani Pahle Ke Roze Or Haiz Ke Baad Waale Dono Mil Kar Saath(60) Ho Jane Se Kaffara Ada Ho Jayega.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, S-123)*

_Or Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Taherir Farmate He,_

Yahañ Baandi Gulam Kahañ Jinhe Aazad Karne Par Qudrat Ho Jab Is Par Qudrat Nahi To Pe Dar Pe Do Maah Ke Be Fasl Roze Us Par Lazim Jisne Be Wajah Maqboole Shara'a Qasdan Roza Is Tarah Tora Jis Me Kaffara Lazim... Pe Dar Pe Roze Na Rakh Sake To Sath(60) Miskeenoñ Ko Khana De Agar Koi Aajiz Na Ho Roze Pe-dar-pe  Do Maah Be Fasl Rakh Sake Or Roze Na Rakhe To Sath(60) Miskeen Nahi Agar Sath Hazar(60000) Masakeen Ko Khana Dega Kaffara Ada Na Hoga.
*📚Fatawa Mustafiya, J-3, S-47)*
*📚Ba-Hawala:(Fatawa Faqihe Millay, J-1, S-339)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
*🗓️10 May 2019*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

Second Floor Par Namaz Padhna Kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
kya namaz second floor  pe padh sakte he,, ?

Second  floor par namaz ho zayegi,,,?

Kya sazda Karte waqt pesaani zemin par lagna jaruri he,,?

Jab ki second  floor par pesani  zamin par nahi legate he,,

*🌹JAWAB:-🌹*

Masjid ki bunyad Zameen Se hi lagi hoti he to dusri Manzil ya tisri manzil kisi bhi manzil par namaz parhne se Namaz ho jayegi. Or sajda bhi ho jayega. Bashrte ki niche ki Safe bhar gai ho or niche jagah na ho. Niche Jagah Chhor Kar Uper namaz parhna makrooh he.

_Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,_

Jab Masjid do Manzila ya teen manzila ho to imam ko niche hi namaz padhana chahiye niche jagah rahte huye uper Dusri ya tisri manzila Par namaz parhna, parhana makrooh he is liye ki bila zaroorat masjid ki chhat par charhna jaiz nahi. Haañ Agar niche jagah na ho to uper namaz parhi jaye.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-195)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Purane Ya Fate Huye Quran ke awraq Ya Kitabo Ka Kya Kiya Jaye ?


*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki ramzan ke  mahine me jo iftari ke time table jo aate hain unpar duaen likhi hoti hain.. Aur chanda lene vale hazrat jo recip dete hain un par quran w kareem aur gumbad e khajra vagerah ki image hoti hai to fir  unka  kya kiya jae unhe ek Quve (well) me dal diya jata hai kya ye durust hai? Agr nahi to kya kiya jae.. Rehnumai farmyen
*🌹JAWAB:-🌹*

_Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate he_

Qura'an Majeed purana or bosida ho gaya, is qabil na raha ki usme tilawat ki jaye or ye andesha he ki awraq bikhar kar zaye hoge to kisi paak kapde me lapet kar ehtiyat ki jagah  dafn kar diya jaye or dafn karne me lahaf banai jaye take is par mitti na pade ya is par takhta laga kar chhat bana kar mitti dale ki us par mitti na pade.
Usko jalaya na jaye.
Aysa hi *📚Bahare Shariyat, H-16, S-118* par *📚Fatawa Aalamgiri* Ke Hawale Se He
Or isi tarah vo  sticker,banner, shadi card or khat wagairah jin me Qura'an ki aayate, hadish, durood shareef, or awliya e kiram ke naam w gumbad wagairah hote he unhe bhi mazkoora tariqe par dafn kar diya jaye ya darya me daal diya jaye, jalane ki ijazat nahi.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-2, S-329)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
📲8487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

Azan Na Ho Or Waqt Ho Jaye To Masjid Me Tanha Namaz Padhna ?

*🌹SAWAL:-🌹*
ya koi masjid me azan na hui ho but dusri masjid me azan ho chuki ho to fir kya us masjid me puri namaz yani ki farz namaz bagair imam k padh sakte he???

*🌹JAWAB:-🌹*
 ji parh sakte hen .lekin agar us masjid me jama,at ke sath namaz parhni honto azan deni hogi.

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Maulana Mahefooz Aalam Razvi, Ahemdabad, Gujrat_*

*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲
==========➖➖➖➖=========

TAHAJJUD KI KITNI RAKAT HE ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Tahajjud Ki Kitni Raka'at Hain
Dalaail Mil Sakte Hain

*🌹JAWAB:-🌹*
Kam se kam Tahajjud ki 2 Raka'ate he, or huzur Sallallahu alaihi w sallam se 8 tak sabit he.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Tahajjud Ka Bayan)*


✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad
📲8487928693
🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp
===========➖➖➖➖=========

Aankh Or Kaan me Dawa(Drops) Dalne se Roza Tootega Ya Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Aankh Or Kaan Pe Dawa(Drops) Dalne Se Roza Toot Jata He ? Pakistan Ki Ek Post Padhi jisme Likha He ki Aankh Me Dawa Dalne Se Roza Toot Jayega, Or Kaan Me Dawa Dalne Se Roza Nahi Tootega.

Sahi Mas'Ala Kya he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
بسم اللہ الرحمن الرحیم
الجواب:-
Aankh me ya kaan me Dawa  dalne se roza tootega ya nahi  ye masla Pakistan me bahut hi mash'hooro ma'aroof mas'ala he or vaha par mukhatalif fee he, ha  hamare mulk Hindustan ke muftiyane kiram or sarkar mufti e aazame hind se le kar ab tak jitne Bhi aulma e kiram pakistan me ya yaha  guzre he ya usse qabl guzre he un tamam ka ba-ittefaqe raaye yahi faisla tha ki aankh me dawa yani eye drops Dalne se roza nahi tootega or kaan me dawa dalne se roza toot jayega, aulma e salaf w khalaf w aaj tak hindustan w digar mumalik ke aulma e kiram ka mutafaqqa yahi faisla he ki aankh me dawa dalne se roza nahi tootega or kaan me dawa dalne se ya katre tapkane se roza toot jayega.

Is  Mas'ale ki zyada wazahat Bahare Shariyat ke 5ve Hisse me, Fatawa Razviya me aur majlis e sharai ke fesle se Maloom Kare.

Uski Wajah kya he ki  Pakistani ooloma keyte hai k "Aankh  me dawa dalne se Roza Toot jata he or Kaan me dawa dalne se roza nahi tootega ? "

Pakistan ke baaz Aulma ye kahte he ki aankh me ek esa surakh he jo sidha pet me jata he or kaan se lekar gale tak Aysa Surakh nahi he ki usme agar koi dawa daali jaye to pet ya dimag ko pahuch jaye, ye unki daleel he is Wajah se unhone  Aulma e salaf  w khalaf ke Mas'Ala se inheraf karte huye usse muh modte huye Ye kaha ki Aankh me dawa dalne se roza toot jayega or kaan me dawa dalne se Roza Nahi tootega.

Ab Aaiye Hamare Aulma E salaf w khalaf yani imame Aazam Abu Hanifa RadiAllahu Ta'ala Anhu se Lekar aaj tak aulma e kiram muftiyane izam ka jo muhaqqaq  or ittefaqi mas'ala he ittefaqe raaye se jo fatawa he vo ye ki Aankh Me Koi Bhi Aysa Surakh Nahi He Jo Sidhi Dawa Ke Drops Ko Pet Me Pahucha De, Haañ Kaan Me Aysa Surakh He Jo Pet Me Pahucha De. 
Aur ek vajah majlis e sharai ne ye bhi di k kaan ke androoni hisse ko javf  e batin qarar diya gaya hai...

_is wajah se Aulma E Salaf w khalaf ye farmate he ki Aankh me Drops Dalne se Roza Nahi tootega or Kaan Me Drops Dalne se Roza Toot Jayega._

Uski Ek Waazeh Misal surma he.
Kya Aankh me surma lagane se Roza Toot jata he ?
Jab aankh me surma lagane se roza nahi tootta to fir eye drops se Roza Kyu Tootega ?

Rahi Ye baat ki Jab surma lagate he to fir gale me uska asar ya test mahesoos kyu hota he ?

To yaad rakhe hamare Jism me 2 Qism ke surakh he.
1. jo chhote chhote chhote he.usko masam kehte hai.
2. jo Bade Bade Surakh he.jinko manfaz kaha jata hai..

Un bade bade surakho me Naak, Kaan, Muh, Or Pichche Ka Makam He.

Or Chhote Chhote Surakh me Baal Ugne Ki Jagah, Aankh Ke Andar Jo Parda He vo..

Ye Chhote Chhote Surakho ke zariye agar koi cheez javf tak pahuch jaye to usse roza fasid nahi hota he.

Bade bade surakh yani kaan, naak, muh or pichhe ka makam uske zariye koi cheez badan ke andar jati he to usse roza fasid ho jata he.

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬 Tadriso ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah,Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*

📲8487928693
============➖➖➖➖==========

Injection Lagvane Se Roza Tootega Ya Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Injection Lagane se roza Tootega Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Farmate He_

Injection lagvane se roza nahi tootega chahe gosht me lagvaye ya rag me kyu ki is silsile me hukme sharayi ye he ki qasdan khane pine or jima'a ke alawa aysi dawa ya giza se roza tootega jo pet ya dimag me dakhil ho. dawa tar ho ya khushk.

Jaisa Ki *📚Fatawa Aalamgiri Jild-1, S-104, Matbuaa Rahimya* me he,

وفي دواء الجائفة والامّة اكثر المشايخ على ان العبرة للوصول إلي الجوف والدماغ لا لكونه رطبا أو يابسا حتى إذا علم أن اليابس وصل يفسد صومه ولو علم أن الرطب لم يصل إلى الجوف لم يفسد هكذا في العنايه .ا ھ"
Dimag me dakhil hone se is liye roza tootega ki dimag se pet tak ek manfaz he jis ke zariye dawa wagairah pet me pahuch jati he warna dar haqiqat pet me kisi cheez ka dakhil ho kar ruk jana hi fasade som ka sabab he.

*Jaisa Ki 📚 Bahrur Raiq, J-2, S-300* par he,
قال في البدائع و هذا يدل على أن استقرار الداخل في الجوف شرط لفساد الصوم وفي التحقيق أن بين الجوفين منفذا اصليا فما وصل إلى جوف الرأس يصل إلى جوف البطن كذا في العنايه"ا ھ ملخصا

Gosht me injection lagne se dawa pet ya dimag me kisi manfaz ke zariye dakhil nahi hoti, balki masaamaat ke zariye pure badan me fail jati he or masaamaat ke zariye kisi cheez ke dakhil hone se roza nahi tootta.

Jaisa Ki *Fatawa Aalamgiri, Jild-1, S-104* me he,
وما يدخل من مسام البدن من الدهن لا يفطر هكذا في شرح المجمع اھ"

Usi tarah rag me injection lagne se bhi dawa pet ya dimag me manfaz se dakhil nahi hoti balki rago ke zariye hi pure badan me failti he un rago ko Sharain ya aawarda kahte he jo bit-tarteeb dil ya jigar se nikali hui he.

_Jaisa Ki Mahire ilme tibb Allama Mahmood Chugaini Alaihir Rahma Taherir Farmate He_
اما العروق الضواريب التي تسمي الشرائين فهي نابتة من القلب في تجويفها روح كثير و دم قليل ومنفعتها أن تفيد الأعضاء قوة الحيلة التي تحملها من القلب .و امام العروق الغير الضوارب التي تسمى آورده فهي نابتة من الكبد فيها دم كثير او روح قليل و منفعتها ان تسقى الأعضاء الدم الذى تحمله من الكبد. اھ ملخصا
*📚(Qanooncha, Safa-30)*
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-1, S-344,345)*

*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

Kafir Ko Kiraye Pe Function Hall Ya Kursiya Ya Samiyana Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Khud ka shaadi khana (functionhall ) hai.. To isme kaafiro ko unke functions(shadiyo ) ke liye dena kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

ShadiKhana, ya Shamyana Kursi table wagairah, bataure ujrat hindu,muslim, badmazhab, gumrah ko dena jaiz he.
Agarche usko gunah ke kamo me istemal kare.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Musalman ne kisi kafir ko rahne ke liye makan kiraya par diya ye ijara jaiz he koi harj nahi. Ab us ghar me kafir ne sharab pee ya salaib ki parasti ki ye us kafir ka zaati fe'al ge us se Musalman par gunah nahi hañ agar us makan me kafir ne ghanta or naqoos bajaha ya sankh phunka ya ae'laniya sharab bechna shuru'a kiya to zaroor in umoor se roka jayega.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-14, S-145)*

_Or Imame Ahele sunnat Mujaddide Dino Millat Aala Hazrat Alaihir Rahemato Ridwan se Is tarah Ka ek sawal puchaa gaya ki hinduo ke jalsa me kiraya par kursiya dena jaiz he ya najaiz ? Aap ne farmaya ki unki kufriyat kursi par mauquf nahi he, na kursi ka unke kufr me koi ta'awwun he.
Lihaza unhe kiraya par kursi dena jaiz or unka kiraya haram nahi he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-538, RAZA FOUNDATION LAHOR)*

_Or Fatawa Bazariya Me He,_
" كل موضع تعلقت المعصية بفعل فاعل مختار كما اذا اجر منزلها ليتخذه بيعة او كنيسة او بيت نار يطيب له " اھ

Yaani Har vo soorat jis me gunah ka ta'awwun khud mazdoor se na ho balki kisi or ba ikhtiyari shakhs se ho vahañ mazdoori jaiz he, jaise koi shakhs apna ghar kisi ko ibadat khana, gurba ya aatish kada banane ke liye kiraya par de to uske liye kiraya jaiz he.
*📚(FATAWA BAZARIYA  AL HAMISHUL HINDIYA, J-5, S-125)*

Or isi tarah kisi ka makan ko kisi majoosi, isai ya yahudi ko kiraya par dena jaiz he agarche vo us me aatish kada banaye ya girja banaye ya usme sharab bechi jaye wagairah kyu ki ye kiraye makan ki manfe'at ke badle me he or ye bilkul halal he use taawun alal eism nahi kahege.

_Jaisa Ki Hidaya  Me He_
ومن اجر بيتا ليتخذه فيه بيت نار او كنيسة او بيعة او يباع فيه الخمر بالسواد فلا بأس به وهذا عند ابى حنيفة لان الإجارة ترد على منفعة البيت و لهذا تجب الاجرة بمجرد التسليم ولا معصية فيه و انما المعصية بفعل المستاجر وهو مختار " اھ :

Yaani Jis ne makan kiraya par diya kj us me aatish kada ya girja ya vahañ sharab farokht ki jaye to koi harj nahi kyu ki ijara ka in'eqad makan ki manfe'at par huva he usi wajah se sirf ghar supurd kar dene se ujrat wajib ho gai or usme koi gunah nahi he. Gunah to kiraya daar ke fe'al se huva or yahi Mukhtar he.

*📚(AL-HIDAYA, J-4, S-470, )*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

Musafir Jumaa Ki Iqamat Kara Sakta He. Fajar Magrib Me Musafir Ki Iqteda ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar fajr ,  magrib aur jummah ki farz namaze jis ki kasar bhi utni hi hoti he to kya us imam ke pichhe us ki namaz mukammal ho jayegi
Albatta masafir per jummah Mubarak farz nahi fir bhi musafir imamat kare to kya masla banega ???
Rehnumai kare

*🌹JAWAB:-🌹*

Ji Fajar, Magrib, Or jumaa mubarak ki farz namaze jis ki kasar utni hi hoti he ye namaze bhi musafir imam ki iqteda me padh sakte he, namaz mukammal ho jayegi.

2. Musafir jumaa ki namaz ki imamat kara sakta he.

_Jaisa ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He_

Jumaa ki imamat har mard kar sakta he jo or namazo me imam ho sakta ho agarche us par jumaa farz na ho jaise, mareez, musafir, gulam. Yaani jabki sultane islam ya us ka naeeb ya jis ko usne ijazat di bimar ho ya musafir to ye sab namaze jumaa parha sakte he. Ya unho ne kisi mareez ya musafir ya gulam ya kisi laeeq imamat ko ijazat di ho ya bazaroorat aam logo ne kisi ayse ko imam muqarrar kiya ho jo imamat kar sakta ho, ye nahi ki bataure khud jis ka jee chahe jumaa parhave ki yuñ jumaa na hoga..
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-122)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

JANWARO KA BUT KHANA KESA ? OR US PAR FATIHA DENA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat but khana kesa or us par fatiha padna kesa kch log isko khane se mana krte h

*🌹JAWAB:-🌹*
_But Khana Jaiz Or Us par Fatiha Padhna Bhi jaiz he_


_Jaisa ki Musaddiqate TajushShariyah Me He,_

But Ojh ke uper ka gosht he, but or najasat ke darmiyan ek Jhil hoti jo asre Najasat ko but tak nahi pahunchne deti, lihaza but ka khana jaiz he, Noori Kiran 1981 me Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma ki tasdeeq ke sath khane ke jawaz ka fatwa maujud he, or Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma ka fatwa bhi but khane ke jawaz par he.

_Isi Tarah Huzur Shareh Bukhari Alahir Rahma  Farmate He,_

But khana bila adna karahat jaiz he but agar che ma'ade ke uper ka gosht he magar us ke or najasat me ek moti jhilli jisko hanare taha ki zaban me jhroota kahte he hail hoti he jhilli itni moti hoti he ki us ki channi banti he is liye but ma'ade  ke hukm me nahi is liye ki karahat ki illat najasat ke sath ittesal he or vo but me murtafa'a he.

*📚(MUSADDIQATE TAJUSHSHARIYAH, S-38,39)*

*📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲
==========➖➖➖➖=========

MARD AURAT KO SONE KA DANT LAGANA KESA ? YA SONE KA TAAR BANDHNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum

Ulama e kiram ki bargah m 1 sawal h k

Kya Mard aur aurat sone ka dant laga sakte h?

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa alaikum Assalam W Rahematullah,

_Huzur SadrushShariyah Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Aazami Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate He_

Imame Aazam Saiyeduna Abu Hanifa Alaihir Rahma ka Mazhab ye he ki sone ka dant banwana jaiz nahi. ye masnooi daant jo paththar ya masale se banaye jate he kaar aamad hote he. Mene khud bahuto ko dekha he ki unse achchi tarah khate he. Rahi baat badboo wo safai se jati rahegi, unme itni badboo nahi paida hoti ki saaf karne se bhi na jaye. Lihaza aysi soorat me sona istemal karna bila zaroorat huva jo najaiz he...
*📚(FATAWA AMJADIYA, J-4, S-106)*

_Or Aala Hazrat Ashshah Imam Ahemad Raza Khan Alahir Rahmato Ridwan ek sawal ke jawab me Farmate He_

Sone ke Taloo aurto ko mutlaqan jaiz he or mardo ko bazaroorat yaani jab ke sone me koi khususiyat muhtaje ilyha aysi honki chandi wagairah se hasil na ho sakti ho warna dusri dhat ikhtiyar karr chandi ki hajat ho to vo varna Aluminium ya jo munasib ho.

Durre Mukhtar Me he,
لایشد سنہ المتحرک بذھب بل بفضۃ ویتخذ انفا منہ لان الفضۃ تنتنہ
*📚(درمختار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی اللبس مطبع مجتبائی دہلی ۲/ ۲۴۰)*

Hilne wale dant ko sone ke taro se mazboot na kiya jaye balki chandi istemal ki jaye, haañ albatta sone ki masnooi naak bana kar lagai ja sakti he kyu ki chandi me badboo paida ho jati he.

Hidaya me he,
الاصل فیہ التحریم والاباحۃ للضرورۃ وقد اندفعت بالفضۃ وھی الادنی فبقی الذھب علی التحریم والضرورۃ لم تندفع فی الانف دونہ حیث انتن۳؎ اھ واﷲ تعالٰی اعلم۔
*📚( الہدایۃ کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی اللبس مطبع یوسفی لکھنؤ ۴/ ۴۵۵)*

Sone ke istenla me asl hurmat he or uska mubah hona zaroorat ki wajah se he kyu ki chandi se ge zaroorat puri ho jati he or uska istemal banisbat sone ke qareeb he, lihaza sona apni hurmat par baqi rahega, or ye zaroorat naak lagane me bagair sone ke pure nahi ho sakti, kyu ki sone ke alawa baqi dhato me badboo paida ho jati he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-24, S-190)*

_Sone ke dant se Badboo nahi hoti is wajah se aulma ne use mubah karar diya. Or badboo ke ta'alluk se fatawa amjadiya me huzur SadrushShariyah ne farma diya ki saaf karne se badboo jati rahti he agar badboo na jaye to sone ke istemal ki ijazat he.. lihaza bila zaroorat sone ke dant na lagaye jaye, chandi ka istemal bahetar.._

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

MUSAFIR IMAM KI IQTEDA OR MUSAFIR MUQTADI KO MUQEEM KI IQTEDA KA HUKM


*🌹SAWAL:-🌹*
(1) zaid ek musafir he aur agar use vakt mile to kya wo vaha ke imam ( jo musafir nahi) us ke pichhe puri namaz padh sakta he ya fir akele me kasar kar ke padhe
(2) bakar masafir he aur hamare ilake aaya he ab wo imamat karenga to us ki ekteda me namaz padhna kesa
agar jummah mubarak ki namaz padhaye to padh sakte he ya masafir imam ke pichche namaz n padhi jaaye
Rehnumai farmaye.
*🌹JAWAB:-🌹*
1. Agar Zaid musafir he or usne muqeem imam(yani jo musafir nahi) uski iqteda ki to vo puri char raka'at padhega. Yaani imam ki pairvi karega.
_Jaisa ki Momin Ki Namaz Me he_
Agar Musafir Muqtadi ne muqeem ki iqteda ki, to ab vo imam ki iqteda me char raka'at hi Padhe, yaani puri namaz padhe.
*📚(Duree Mukhtar, 📚Raddul Mohtar)*
*📚(Bahare Shariyat, H-4, S-82)*
*📚(MOMIN KI NAMAZ, S-403)*
2. Mukeem musafir imam ki iqteda kar sakta he, uska tariqa ye he ki musafir imam apni kasr padhega yani vo chaar raka'at wali namaz me 2 raka'at padh kar salam fer dega, tab muqeem muqtadi(yane jo musafir nahi vo) musafir imam ke salam ferne ke baad apni 2 raka'ate puri kare, or un 2 raka'ato me qira'At na kare balki baqadre Sura e fatiha Khamosh rahe.
_Jaisa ki Bahare Shariyat me he,_
Musafir imam ne 4 (char) raka'at wali namaz yani zohar , asar, or isha me Mukim  muqtadi ki imamat ki, to musafir imam 2 (do) raka'at par salam fer de or imam ke salam ferne ke baad muktadi apni baaki namaz puri kare or in dono raka'ato me mutlaq kira'at na kare yani halate kayam me kuch na padhe, balki  itni der ki sura e fatiha padhi jaae mahaz khamosh rahe.
*📚(Durre mukhtar,raddul muhtar,)*
*(bahare shariyat,hissa-4,safa-82)*
*+Fatawa razviya, jild-3, safa-395)*
*📖(momin ki namaz, safa-403/404)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

Quran Shabe Qadr Me Nazil Hua Se kya murad he ? Kya 23 saal me hua ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Sural al qadr me hain ke "beshak hamne ise(quran) ko al qadr me utaara..
Mukhtalif riwayato se pata chalta hai ke alag alag jagaho par wahi nazil hui alag alag time me to hazrath ye samjhadein quran mukammal kab hui aur al qadr me quran shareef utarnr ka maana kya hai..

*🌹JAWAB:-🌹*

Beshak jo surah al qadr me likha he ki ham ne quran ko shabe qadr me utara ..yaqinana ye haq he ...aur jo ye he ki 23 baras ke arse me thoda thoda mukhtalif maqam par quran utarta raha ye bhi haq he ...to is ka matlab ye he ki .surah qadr me jo he ...is ka matlab ye he ki ..lauhe mahfooz se aasmane duniy par quran ek sath shabe qadr me utra ...phir aasmane duniya se huzur ki bargah me thoda thoda .23 baras me nazil hota raha ..ye ma'ana he..

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Maulana Mahefooz Aalam Razvi, Ahemdabad, Gujrat_*

*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲
==========➖➖➖➖=========

Mobile Me Achanak Tasweer aati he kya mobile ka istemal karna jaiz hoga ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mobile me Jab WhatsApp status dekhte he to kai logo ke jandar ki tasweer wale status aate he to kya mobile ka istemal karnajaiz hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Agar aapney najaiz tasweer e jandar dekhney ke qasd se mobile on kiya to yeh gunah hua. Aur agar kisi jaiz kaam ke liye mobile on kiya lekin advertisement ya news men zabardasti tasaweer aayin jinko dekhney ka iradah nahi tha sirf koi jaiz kaam ke liye mobile on kiya tha to yeh gunah nahi hai. Huzoor e Taajush ShariAh SaHib AlayhirRaHmah ne news paper ki tasaweer ke barey men aesa hi kuchh irshad farmaya tha jiski raushni men yeh jawab diya gaya hai..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

Mobile may jo tasweer hoti hain kia wo bhi manae nuzool-e-malaika kay hokum may shaamil hain ?  Note may bhi tasweer hoti awr akhbaraat wagerah
http://jamiaturraza.com/session/12Jan09/16.mp3

*📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲
===========➖➖➖➖=========

Kam paiso ka kaam me jhuth bol kar zyada paise lena

*🌹SAWAL:-🌹,*
ek Shaks Kharaad kaa Kaam Kartaa H (bike ke blck bore hed chudi baghara Kaa) ab Koi mistry bike ki repair krtaa H Aur Usmein Koi bhee kharabi na Hone Pr Bhee Boo mistry kharabi bata Detaa H Aur is Shaks ke pass lata H Aur Dono log jhoot bolte H aur costumer se paise le lete H??
2-kharab Hone Pr mistry costumer ko is shaks ke pass lata H Aur Ye shaks 100 rupee ke kaam Ko 300 ka batata H isme se commission nikalta H mtlb 100 rupee mistry ko deta hain??
kaisa H yee Aaj kal Sare Kamo mein Hi Ho Raha H

*🌹JAWAB:-🌹*
1. Yeh baghair kharabi huey kharabi bata kar jhoot bol kar gahak ko dhoka detey hain yeh gunah hai Haram hai. Iski kamayi Haram hai.

2. Yahan costumer ko 100 rupyey ke kaam ke 300 bataye to agar costumer samajhdar hai Aql wala hai apna nafaA nuqsan samajhta janta hai  to ussey jitney paesey taye karenge jaiz hoga. Costumer bhi to chahey to 100 ke bajaye 50 deney ki koshish kar sakta hai . Haan nasamajh ya bachchey se is tarah ka muAmlah karna jaiz nahi hai ke yeh itni samajh nahi rakhta ke apney faedey nuqsan ko samajh sakey.

*🌹SAWAL-O-JAWAB 🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan Razvi, Petlad Gujrat_*

=============➖➖➖➖=========

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts