Ramzan Ke Aakhri Jumaa Ko Nafl Namaz Padhne se Sabhi Qaza Namaze Maaf Hoti he Ya Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat,
Baaz Ilaqo Me Log Ramzanul Mubarak Ke Aakhri Jumaa(Jumatul Wida'a) Me Qaza E Umri Ada Karte Or Samajte He Ki Is Namaz Se Umr Bhar Ki Apni Qaza Namaze Maaf Ho Jayegi. Or Ek Tariqa Bataya Jata He Ki 700 Saal Ki Qaza Namaz Maaf Ho Jayegi.

Ye Kaha Tak Durust He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikum Assalam W Rahematullah,

Https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2019/05/ramzan-ke-aakhri-jumaa-ko-nafl-namaz.html?m=1

_Ramzanul Mubarak Ke Aakhri Jumuaa Me Qaza E Umri Ada Karke Ye Khayal Karna Ki Is Namaz Se Umr Bhar Ki Qaza Namaze Muaaf Ho Jayegi Ye Mahaz Batil Or Be Asl W Badtareen Bid'At He_

_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate He_

Faut Shuda Namazo Ke Kaffare Ke Taur Par Ye Tariqa(Qaza E Umri) Eejad Kar Liya Gaya He Ye Badtareen Bid'At He. Is Baare Me Jo Riwayat He Vo Mauzoo'a (Garhi Hui) He Ye Amal Sakht Mamnoo'a He, Aysi Niyyat W Aeteqad Batil W Mardood, Is Jahalate Qabeeha Or Wazeh Gumrahi Ke Batlane Par Musalman Ka Ittefaq He, Huzur Poor Noor Saiyedul Mursaleen Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ka Irshade Girami He.

من نسی صلوٰۃ فلیصلہا اذا ذکرھا لا کفارۃ لھا الا ذلک
Jo Shakhs Namaz Bhul Gaya To Jab Use Yaad Aaye Use Ada Karle, Us Ka Kaffara Siwaye Us Ki Adaigi Ke Kuchh Nahi.

Ise Imam Ahemad, Bukhari, Muslim, Tirmizi, Nasai Or Digar Muhaddiseen Ne Hazrat Anas RadiAllahu Anhu Se Riwayat Kiya He.
*📚(Sahihul Bukhari, J-1, S-84)*
*📚(Sahihul Muslim, J-1, S-241)*

حدیث ''من قضی صلوٰۃ من الفرائض فی اخر جمعۃ من رمضان کان ذلک جابرا لکل صلوٰۃ فائتۃ فی عمرہ الی سبعین سنۃ'' باطل قطعا لانہ مناقض للاجماع علی ان شیأ من العبادات لاتقوم مقام فائتۃ سنوات.

Allama Qari Alaihir Rahma Al-Bari Mauzuaate Kabeer Me Kahte He: Hadish "Jis Ne Ramzan Ke Aakhri Jumaa Me Ek Farz Ada Karli Usse Uski Sattar(70) Saal Ki Faut Shuda Namazo Ka Izala Hojata He" Yaqeeni Taur Par Batil He Kyu Ki Is Ijma'a Ke Mukhalif He Ki Ibadat Me Se Koi Shai Sabiqa Salo Ki Faut Shuda Ibadaat Ke Qaim Maqam Nahi Ho Sakta..
*📚(Al-Asrarul Mauzuaa Fil Akhbarul Mauzaa, Hadish-953, Matbuaa Darul Kutub Arbiya Bayroot, S-242)*

Imam Ibne Hajar Ki Tohfa Sharah Minhajul Imam Navvi Me Fir Allama Zurqani Sharah Mawahib Imam Qustalani Rahematullahi Ta'ala Me Farmate He.

اقبح من ذلک مااعتید فی بعض البلاد من صلوٰۃ الخمس فی ھذہ الجمعۃ عقب صلٰوتھا زاعمین انھا تکفر صلٰوۃ العام اوالعمر المتروکۃ و ذلک حرام لوجوہ لا تخفی ..
Is Se Bhi Badtar Vo Tareeqa He Jo Baaz Shahro Me Eejad Kar Liya Gaya He Ki Jumuaa Ke Baad Panch Namaze Is Guman Se Ada Karli Jaye Ki Isse Saal Ya Sabqa Tamam Umr Ki Namazo Ka Kaffara He Or Ye Amal Aysi Wajooh Bina Par Haram He Jo Nihayat Hi Wazeh He..
*📚(Sharah Zurqani Alal Mawahibul Ladunya, J-7, S-110)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-8, S-156)*

_Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahemato Ridwan Dusre Maqam Par Farmate He_

Aakhri Jumuaa Me Uska Parhna Ikhtra'a Kiya Gaya He Or Usme Ye Samjha Jata He Ki Us Namaz Se Umar Bhar Ki Apni Or Maañ Baap Ki Bhi Qaza E Utar Jaati He, Mahaz Batil W Bida'ate Shaiyya W Shanee'aa He, Kisi Bhi Muatebar Kitab Me Uska Aslan Nishan Nahi.
*📚(Ayzan, S-418,419)*

_Or Isi Tarah Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He_

Shabe Qadr Ya Ramzan Ke Aakhri Jumuaa Ko Jo Ye Qaza E Umri Jama'at Se Parhte He Or Ye Samjhte He Ki Umar Bhar Ki Qazae Isi Ek Namaz Se Ada Ho Jayegi, Ye Batil Mahaz He.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-708, QAZA NAMAZ KA BAYAN)*

Hasile Kalam Yahi He Ki Aysi Koi Namaz Nahi He Jise Parhne Se Umr Bhar Ki Qaza Namaze Ada Ho Jaye Ya Maaf Ho Jaye. 

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
*🗓️17 May 2019
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts