Zakat ka Paisa Itna Mila Ki sahibe Nisab Ho gaya ab use zakat lena or usko zakat dena kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Zaid  k upar zakat farz nahi hai aur zaid ne apne bhai se pichle saal zakat li thi lekin is baar ye hai ki zaid k paas pichle mahine bhar k andar itne rupaye aaye ki chandi ka nisab pura ho jaye yani 25 se 30 hazar rupaye tak
Ab sawal ye hai kya zaid k upar zakat farz ho gayi ya un rupayo par saal guzarana jaruri hai
Kya zaid is saal uske bhai se zakat le sakta hai

Aur agar zaid ko uska bhai aur ek do rishtedaar zaid ko zakat ki raqam dete hai aur vo sab raqam mila kar chandi k nisab se jyada ho jaye to kya zaid us sab raqam ko rakh sakta hai ya nahi

Hazrat is masle par tafsil se rehnumayi farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'oola me zaid par agarche zakat farz nahi hui kyu ki sahibe nisab hone ke sath sath saal guzarna bhi Zaroori he to zaid ko chunki 1 mahine pahle hi 25000 se 30000  rupye hasil huye , saal nahi guzra is wajah se us par zakat to farz nahi hui magar sahibe nisab ho gaya. Sahibe nisab ho jane ke bina par or saal na guzarne ki bina par zakat farz nahi  hui. Lekin vo zakat nahi le sakta. Ye ma'aloom hote huve zakat lega gunahgar hoga, or maloom hote huye usko zakat dena bhi gunah or agar di to ada na hogi.
Usi tariqe se dusra MasAla bhi ki zahir si baat he ki vo zakat nahi le sakta to vo apne bhai ya karibi rishtedaaro se zakat kis tarah le sakta he ?

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me he,

Jo Shakhs Malike Nisab Ho (Jabki vo cheez hajate asliya se farig ho yaane makan, saman khana dari, pahanne ke kapde, khadim, sawari ka janwar, hathyar, Ahle ilm ke liye kitabe jo uske kaam me ho ki ye sab hajate asliya he or vo cheez unke alawa ho, agarche us par saal na guzra ho agarche vo maal naami na ho) ayse ko zakat dena jaiz nahi.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-5,)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Mufti e Petlad, Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi*
*_📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah Petlad_*

*_📬Pathan Moin Raza Khan Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts