MARD AURAT KO SONE KA DANT LAGANA KESA ? YA SONE KA TAAR BANDHNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum

Ulama e kiram ki bargah m 1 sawal h k

Kya Mard aur aurat sone ka dant laga sakte h?

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa alaikum Assalam W Rahematullah,

_Huzur SadrushShariyah Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Aazami Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate He_

Imame Aazam Saiyeduna Abu Hanifa Alaihir Rahma ka Mazhab ye he ki sone ka dant banwana jaiz nahi. ye masnooi daant jo paththar ya masale se banaye jate he kaar aamad hote he. Mene khud bahuto ko dekha he ki unse achchi tarah khate he. Rahi baat badboo wo safai se jati rahegi, unme itni badboo nahi paida hoti ki saaf karne se bhi na jaye. Lihaza aysi soorat me sona istemal karna bila zaroorat huva jo najaiz he...
*📚(FATAWA AMJADIYA, J-4, S-106)*

_Or Aala Hazrat Ashshah Imam Ahemad Raza Khan Alahir Rahmato Ridwan ek sawal ke jawab me Farmate He_

Sone ke Taloo aurto ko mutlaqan jaiz he or mardo ko bazaroorat yaani jab ke sone me koi khususiyat muhtaje ilyha aysi honki chandi wagairah se hasil na ho sakti ho warna dusri dhat ikhtiyar karr chandi ki hajat ho to vo varna Aluminium ya jo munasib ho.

Durre Mukhtar Me he,
لایشد سنہ المتحرک بذھب بل بفضۃ ویتخذ انفا منہ لان الفضۃ تنتنہ
*📚(درمختار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی اللبس مطبع مجتبائی دہلی ۲/ ۲۴۰)*

Hilne wale dant ko sone ke taro se mazboot na kiya jaye balki chandi istemal ki jaye, haañ albatta sone ki masnooi naak bana kar lagai ja sakti he kyu ki chandi me badboo paida ho jati he.

Hidaya me he,
الاصل فیہ التحریم والاباحۃ للضرورۃ وقد اندفعت بالفضۃ وھی الادنی فبقی الذھب علی التحریم والضرورۃ لم تندفع فی الانف دونہ حیث انتن۳؎ اھ واﷲ تعالٰی اعلم۔
*📚( الہدایۃ کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی اللبس مطبع یوسفی لکھنؤ ۴/ ۴۵۵)*

Sone ke istenla me asl hurmat he or uska mubah hona zaroorat ki wajah se he kyu ki chandi se ge zaroorat puri ho jati he or uska istemal banisbat sone ke qareeb he, lihaza sona apni hurmat par baqi rahega, or ye zaroorat naak lagane me bagair sone ke pure nahi ho sakti, kyu ki sone ke alawa baqi dhato me badboo paida ho jati he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-24, S-190)*

_Sone ke dant se Badboo nahi hoti is wajah se aulma ne use mubah karar diya. Or badboo ke ta'alluk se fatawa amjadiya me huzur SadrushShariyah ne farma diya ki saaf karne se badboo jati rahti he agar badboo na jaye to sone ke istemal ki ijazat he.. lihaza bila zaroorat sone ke dant na lagaye jaye, chandi ka istemal bahetar.._

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts