Roza Todne wale Par kya Hukm He ?

Roza Todne Wale Par Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Olmaye Kiram Ki Bargah Me Sawal He Ke Agar Koi Shaqs Jan Buz Kar Roza Todde To Uske Liye Kiya Hukm He
Baraye Karam Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Bila Azre Sharai Jaan Bujh Kar Ada E Ramzan Ka Roza Jiski Niyyat Raat Se Hi Ki Thi Todna Najaaizo Gunahe Kabeera He, Or Us Se Taubah Karna Or Us Roze Ki Qaza W Kaffara Lazim He.

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate He,_

Agar Waqe'ee Iftar Ka Waqt Nahi Huva Tha Or Jaan Bujh Kar Bila Azr Sharai  Roza Tod Diya Or Raat Hi Se Uske Ada Ki Niyyat Ki Thi To Us Par Qaza Or Kaffara Dono Lazim He.
Aysa Hi *📚(Bahare Shariyat, H-5, S-120)* Par He.

_Or Saiyeduna Aala Hazrat Muhaddise Barailvy RadiAllahu Anhu Taherir Farmate He,_

Kisi Ne Bila Azre Sharai Ramzan Mubarak Ka Ada Roza Jis Ki Niyat Raat Se Ki Thi Bil Qasd Kisi Giza Ya Dawa Ya Nafa'a  Rasaañ Shay Se Torh Dala Or Sham Tak Koi Aysa Aariza Lahaq Na Huva Jis Ke Baees Shar'An Aaj Roza Rakhna Zaroor Na Hota To Is Jurm Ke Jurmana Me Saath(60) Roze Pe Dar Pe Rakhne Hote He.
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-600)*

_Or Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,_

Roza Tod Ne Ka Kaffara Ye He Ki Pe Dar Pe (Ek Ke Baad Ek Lagatar) Sath(60) Roze Rakhe Ye Bhi Na Kar Sake To Saath(60) Masakeen Ko Bhar Bhar Pet Dono Waqt Khana Khilaye Or Roze Ki Soorat Me Agar Darmiyan Me Ek Din Ka Bhi Chhut Gaya To Ab Se Saath(60) Roze Rakhe Pahle Ke Roze Mahsoob(Shumar) Nahiñ Hoge Agarche Unsath(59) Rakh Chuka Tha. Agar Che Bimari Wagairah Kisi Azr Ke Sabab Chhuta Ho Magar Aurat Ko Haiz Aa Jaye To Haiz Ki Wajah Se Jitne Naage Huve Ye Naage Nahi Shumar Kiye Jayege Yaani Pahle Ke Roze Or Haiz Ke Baad Waale Dono Mil Kar Saath(60) Ho Jane Se Kaffara Ada Ho Jayega.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, S-123)*

_Or Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Taherir Farmate He,_

Yahañ Baandi Gulam Kahañ Jinhe Aazad Karne Par Qudrat Ho Jab Is Par Qudrat Nahi To Pe Dar Pe Do Maah Ke Be Fasl Roze Us Par Lazim Jisne Be Wajah Maqboole Shara'a Qasdan Roza Is Tarah Tora Jis Me Kaffara Lazim... Pe Dar Pe Roze Na Rakh Sake To Sath(60) Miskeenoñ Ko Khana De Agar Koi Aajiz Na Ho Roze Pe-dar-pe  Do Maah Be Fasl Rakh Sake Or Roze Na Rakhe To Sath(60) Miskeen Nahi Agar Sath Hazar(60000) Masakeen Ko Khana Dega Kaffara Ada Na Hoga.
*📚Fatawa Mustafiya, J-3, S-47)*
*📚Ba-Hawala:(Fatawa Faqihe Millay, J-1, S-339)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
*🗓️10 May 2019*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts