*🌹SAWAL:-🌹*
Zakat Kis Par Farz He ? Sahibe Nisab kise Kahte he ? Or sona Chandi(Gold & Silver) ki Price Kya He ?
Zakat Kis Par Farz He ? Sahibe Nisab kise Kahte he ? Or sona Chandi(Gold & Silver) ki Price Kya He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2019/05/zakat-kis-par-farz-he.html?m=1
https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2019/05/zakat-kis-par-farz-he.html?m=1
Zakat Farz he iska munkir yani iska inkar karne wala kafir he. Or na dene wala fasiq or katl ka mustahaq or ada karne me der karne wala gunahgar w mardudushshadat he Yaani Jiski Gawahi Nahi Mani Jayegi.
👉Zakat Wajib Hone ki chand sharte he.
👉Usme se ek Shart he sahibe Nisab Hona. Sahibe nisab yaani jiske paas 7.5 (saadhe saath)tola sona ya 52.5 (saadhe bawan) tola chandi Ho ya un dono me se kisi ek ki kimat ke barabar rupye ho to unka chalisva(40va) hissa nikalna wajib he.
👉7.5 tola sona yaani 93 gram 312 mili gram Sona. Or 52.5 tola chandi yaani 653 gram 184 mili gram chandi.
👉Is hisab se Aaj Ki Tarikh 16 May 2019 ke mutabik(Gujrat me) Sone(gold) ki kimat 3165 Rupye Per Gram. Yaani Ek Gram Sone ki kimat 3165 rupye he. Tab 93 gram 312 mili gram sone ki kimat *295332.48 rupye* (Two Lakh ninety five thousand three hundred thirty two point forty eight rupees) Hote he.
👉Or Chandi(Silver) Ki Aaj Ki Price 40.25 rupees per gram. Yaani 1 Gram Chandi Ki kimat 40.25 rupye hote he.
Tab 653.184 gram chandi ki kimat *26290.66 rupye* (twenty six thousand two hundred ninty point sixty six rupees) hote he.
Tab 653.184 gram chandi ki kimat *26290.66 rupye* (twenty six thousand two hundred ninty point sixty six rupees) hote he.
Kisi ke paas thoda sona or thodi chandi, ya chandi or thoda paisa ya thoda sona or thoda paisa agar dono milakar chandi ka nisab mukammal ho jaye to zakat wajib he.
*Yani Agar Kisi Ke Paas 26290.66 paisa ya usse zyada paisa ya thoda sona thodi chandi ya thoda sona thoda paisa ya thodi chandi thoda paisa mil kar 26290.66 rupye tak nisab pahuch jata he to zakat wajib he.*
*Zakat Wajib Hone Ke Liye Us maal Par Ek saal Guzarna Zaroori he.*
```NOTE: SONE CHANDI KI KIMAT HAR ROZ BADALTI RAHTI HE IS LIYE USKI KIMAT NAZDIKI SUNAR SE BHI PATA KAR LE TO BAHETAR```
```NOTE: SONE CHANDI KI KIMAT HAR ROZ BADALTI RAHTI HE IS LIYE USKI KIMAT NAZDIKI SUNAR SE BHI PATA KAR LE TO BAHETAR```
_👉Zakat Wajib Hone ke liye or bhi jo sharte he vo mandarja Zail he.._
*1. Musalman Hona*
Jo Musalman he Us par zakat wajib he, kafir par zakat wajib nahi.
Jo Musalman he Us par zakat wajib he, kafir par zakat wajib nahi.
*2. Balig Hona*
Yani Balig mard w aurat Musalman par zakat wajib he. Nabalig par zakat nahi.
Yani Balig mard w aurat Musalman par zakat wajib he. Nabalig par zakat nahi.
*3. AqlMand Hona*
Yaani Aql Mand Shakhs par zakat wajib he, junun ya pagal (agar pagal pan pure saal ger le to us) par zakat wajib nahi.
Yaani Aql Mand Shakhs par zakat wajib he, junun ya pagal (agar pagal pan pure saal ger le to us) par zakat wajib nahi.
*4. Aazad Hona*
Gulam par zakat wajib nahi.
*5. Maal Ba-Qadre Nisab Uski Milk Me hona*
Agar Nisab Se Kam He to Zakat Wajib Nahi.
Agar Nisab Se Kam He to Zakat Wajib Nahi.
*6. Pure Taur Par Maal Ka Maalik ho yani us par qabiz bhi ho*
Yaani Agar Koi maal gum ho gaya ya aysa maal jis par qabza nahi us par zakat Nahi. Zakat wajib hone ki liye us maal par qabza hona bhi zaroori he.
*7. Nisab Ka den(karz) Se Farig Hona*
Yaani Nisab Ka Malik He magar Us par den (karz) he ki ada karne ke baad nisab nahi rahti to zakat wajib nahi.
*8. Nisab Hajate Asliya Se Farig Ho*
Hajate Asliya Yaani jiski taraf zindagi basar karne me aadmi ko zaroorat he usme zakat wajib nahi. Jese rahne ka makan, Dukan, Garmiyo me pahenne ke kapde, khanadari ke saman, sawari ke janwar(moter cycle, car, Rickshaw,wagairah) , ladai ke liye hathyar, Ahle ilm ke liye hajat ki kitabe,A.C Freej, Mobile, tablet, computer, leptop, washing machine, wagairah.. in sab par zakat nahi..
*9. Nisab par ek saal Guzarna*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲8487928693
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲8487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========
============➖➖➖➖=========
JazakAllah
ReplyDeleteJazakAllah
ReplyDelete