Halate Roza Me Loban Lena Ya Dhunva Lena Kesa ??

*🌹SAWAL:-🌹*
Roze Ki Halat Me Dargah par se Jo Loban ka dhunva lete he to kya usse roza toot jayega ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma *📚FATAWA RAZVIYA, J-10, S-489-493)* par Tafsili Jawab Taherir Farmate he, Jiska Khulasa Ye he ki,

Dhunva Ya Gubar Halq me ya dimag me apne aap chala jaye ki roza daar ne bilqasd yani janbuz kar use dakhil na kiya ho to roza na jayega, agarche us waqt roza hona yaad ho.
Or agar kisi Roza daar ne bilqasd yani janbuz kar apne halq me dhunva dakhil kiya to uska roza toot jayega khwañ vo dhunva aood ya anbar ka ho, agar use roza yaad ho kyu ki us se bachna mumkin he.

_Or Isi Tarah Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Makhi Ya Gubaar halq me jane se roza nahi toota. Khwañ vo gubar aate ka ho ki chakki pisne ya channe me udta he ya galla ka gubaar ho ya hawa se khak udi ya janwaro ke khar ya taap se gubar urh kar halq me pahucha, agarche roza daar hona yaad tha or agar khud qasdan dhunva pahuchaya to fasid ho gaya jabki roza daar hona yaad ho, khwañ vo kisi ka dhunva ho or kisi tarah pahuchaya ho, yaha tak ki agar ki batti wagairah khushboo sulagti thi, usne munh qareeb karke dhunve ko naak se khichaa roza jata raha. Yuhi huqqa pine se bhi roza toot jata he, agar roza yaad ho or huqqa pine wala agar piyega to kaffara bhi lazim aayega.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-5,  S-117)*

Is riwayat se bhi saaf zahir he ki agar roza daar ko apna roza hona yaad ho or agar batti ya loban sulagta ho or munh qareeb kar ke dhunve ko naak se khincha to roza toot jayega.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts