Anguthi Pahan Kar Baytul Khala'a (Toilet) Jana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Mazar Par Ki Anguthi He Misal Ke Taur Pe Agar Koi Ajmer Shareef Se Anguthi Laya To Kya Use Pahan Kar Baytul Khala'a Or Gusal Kar Salta He.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aysi Anguthi Jis Par Isme Jalalat Ya Naame Paake Huzur ﷺ Likha Ho Use Baytul Khala'a Ya Gusal Khana Me Pahan Kar Jana Sakht Bura W Be Adbi He, Aysa Karne Wala Gunahgar Hoga, Isi Tarah Agar Anguthi Par Koi Bhi Lafz Likha Ho Use Pahan Kar Bhi Baytul Khala'a Jana Makrooh w Napasandida He.

Or Aysi Anguthi Jis Par Kuchh Likha Hua Na Ho Use Baytul Khala'a Me Pahan Kar Jana Makrooh Nahi Magar Bahetar W Afzal Ye He Ki Baytul Khala'a Me Pahan Kar Na Jaye. Yuñ Hi Utar Kar Jana Is Liye Bhi Bahetar He Ki Isse Najasat Wagairah Anguthi Par Na Lage.

Jaisa Ki Fatawa Europe Me He,

Aysi Anguthiya Ya Locket Jis Par Isme Jalalat (Allah) Ya Naame Paak Sarware Kainat (Muhammad)  Alaiha Afzalus Salat wazkit Taslimat Likha Huva Ho, Pahan Kar Baytul Khala'a Balki Gusal Khana Me Jana Nihayat Bura Or Indush Shara'a Isa'at Ke Hukm Me Dakhil He Aysa Karne Wala Gunahgar Hoga.

Jin Anguthiyon Ya Locket Par Koi Harfe Hijja Maslan ا ، ب ، ج، د ، Wagairah Ya A, B, C Likha Huva Ho Ya Kisi Zaban Ka Harfe Hijja Ya Lafz Ho Use Pahan Kar Baytul Khala'a me jana makrooh or indush Shara'a Na Pasandida He, Kyu Ki Mutlaqan Huroof Ka Adab Hamari Shariyat Ko Mahboob W Matloob He.

Bahrur Raaiq Me He,
يكره اين يدخل الخلاء ومعه خاتم مكتوب عليه اسم الله تعالي او شيء من القرآن

Aysi Anguthi ke sath baytul Khala'a Me Jana jis par Allah Ka Naam Ya Qura'an Ki Koi cheez likhi ho makroohe Tahrimi He.

Or Durre Mukhtar Me He,
عندنا ان للحروف حرمة ولومقطعة وذكر بعض القرآن ان حروف الهجّاء قران نزل هودعليه السلام الخ

Ham Fuqha Ke Nazdik Mutlaqan Huroof Qabile Ahteram He Agarche Vo Huroof Alag Alag Ho Or Ba'az Qurra'a Se Manqool He Ki Huroofe Hijja (Alag Alag Huroof)  Qura'an ( منزل من اللہ تعالٰی) He Jo Hazrat Hood Alaihis Salam Par Nazil Huva Tha.

Yahi Se Ye Baat Ma'aloom  Hui Ke Ba'az Log Akhbarat W Rasaail Ko Dastarkhwan Ya Juta Wagairah Punchne me istemal karte he ya ba'az Hazraat aysa takya ya roomal istemal karte he jin par Ash'aar ya Jumle ya lafz kushida hote he zahir he ki in Huroof w alfaaz ka ahteram baaqi nahi rahta he lihaza ye sab kaam makrooh w Napasandida he haañ jo ta'aweezaat anguthi ya gilaf ke andar poshida ho unke sath baytul Khala'a me jana makrooh nahi or agar utar kar baytul Khala'a me jaye to bahetar he.
*📚(Durre Mukhtar, S-24)*

رقية في غلاف متجاف لم يكره دخول الخلاء به والاحتراز افضل

Jo Ta'aweezat Khushk Gilaf Ke Andar Ho Uske Sath Baytul Khala'a me jana Makrooh Nahi Magar isse Bachna Afzal He.
*📚(Fatawa Europe, S-528)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts