Masjid Me Haram Kamai Lagana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Masjid Me Haram Kamai Ka Rupya Lagana Kesa ? Or Usme Namaz Padhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Haram Rupya Masjid Ya Kisi Bhi Dini Kaam Me Lagana Jaiz Nahi, Or Agar Kisi Ne Kharch Kar diya To Vo Shar'an Masjid Hi He Usme Namaz Padhna Jaiz He, Magar Haram Rupya Allah Ke Ghar Me Kharch Karne Wale Sakht Gunahgar He. Or Haram Maal Ko Kharch Karne Par Sawab Ki Ummid Rakhna Bhi Haram He,

Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,

Haram Maal Se Nek Kaam Nahi Kiya Ja Sakta, Hadees Me He,
لا یقبل اللّہ الا الطیب
(Yaani Allah Qubool Naji Farmata Magar Tayyab Ko.)

Ayse Maal Ko Fuqra w Masakeen Par Sarf Kar Diya Jaye, Na ba Niyyate Tasadduq Balki Is Hesiyat Se Ki Jis Ka Koi Malik Na Ho Vo Haqqe Fuqra He, Ab Ye (Fuqra W Masakeen) Chahe To Apni Taraf Se Masjid Ya Madarsa Me Sarf Kar Sakte Hd Ki Ab Usmi Hurmat Jaati Rahi.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-237)*

لا یقبل اللّہ الا الطیب
Is Hadees Se Maloom Huva Ki Halal Kharch Zarooei he Or Usi Ko Allah Ta'ala Qubool Farmata He Or Haram Kamai Ko Raahe Khuda Me Kharch Karna Or Sawab Ki Ummid Rakhna Qura'an W Hadees Ke Khilaf He.

Or Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Najaiz Aamdani Ke Rupya Se Masjid Ta'ameer Karana Jaiz Nahi Lekin Agar Usne Aysa Kiya To Vo Shar'an Masjid He Or Usme Namaz Padhna Jaiz.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-357)*

Or Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Haram Rupya Kisi Kaam Me Lagana Aslan Jaiz Nahi, Nek Kaam Ho Ya Or, Siwa Uske Ki Jis Se Liya Use (Vo Rupya) Wapas De (Agar Asl Malik Na Mile To Uske Warsa'a Ko De, Ye Bhi Mumkin Nahi To Mufliso) Ya Faqeero Par Tasadduq (Sadqa) Kare. Bagair Uske Koi Heela Uske Paak Karne Ka Nahi, Use Khairat Karke Jaisa Paak Maal Par Sawab Milta He Uski Ummid Rakhe To Sakht Haram He, Balki Fuqha Ne Kufr Likha He. Haañ Vo Shara'a Ne Hukm Diya Ki Haqdar (Yaani Asl Malik Fir Uske Warsa'a) Na Mile To Faqeer Par Tasadduq Karde, Is Hukm Ko Maana To Is ( Hukm Ki Farmabardari) Par Sawab Ki Ummid Kar Sakta He.

Masjid Madarsa Wagairah Me Ba Ayniya  Rupya Nahi Lagaya Jata Balki Usse Ashya'a Kharidte He, Kharidari Me Agar Ye Na Huva Ki Zare Haram Dikha Kar Kaha Uske Badle Falañ Cheez De Usne Di Usne Qeemat Me Zare Haram Diya (Balki Aysa Huva Ki Dukandar Ko Halal Rupya Dikhaya, Dukandar Ne Shay Dedi Or Kharidne Wale Ne Haram Rupya Se Qeemat Ada Ki) To Jo Cheez Karide Vo Khabis Nahi Hoti, Or Aksar Yahi Soorat He, Masjid Me Namaz Madarsa Me Tahseele Ilm Jaiz He.
*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-572)*

Yaani Us Masjid Me Namaz Wagairah Padhna Jaiz He Jis Me Kisi Ne Haram Rupya Lagaya Ho, Is Wajah Se Masjid Me Namaz Padhna Najaiz Ya Haram Na Hoga, Albatta Masjid Me Haram Rupya Kharch Karne Wale Gunahgar Hoge, Ki Masjid Me Haram Kamai Lagana Jaiz Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts