Gair Aalim Ka Kisi Kitab se Naql Karke Logo Ki Islah karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
اسلام علیکم

Zaruri Sawaal Bagaur Tawajjo Farmaaye,
Agar Social Media Par Ulma Ikraam Ki Kitaabein Naqal Karke Hawaaale Ke Sath, Yaa Ulama Ikraam Ke Bayanat, Yaa Naato Manqabat Logon Tak Pohnchaate Ho
 Kya Ye Agar Bina Ulmaa Ikraam Ki Ijaazat Ke Kare, Halaanke Tamaam Hawale Sahi Hote Hai Kya Aisa Karna Jaaiz Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aulma e Kiram Tasaanifat Me Bagair Kuchh Apni Taraf Se Kahe, Juñ Ki Tuñ Bayan Karna Jaiz He.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,
Jahil Urdu Khwañ Agar Apni Taraf Se Kuchh Na Kahe Balki Aalim Ki Tasnif Padh Kar Sunaye To Is Me Harj Nahi Ki Is Waqt Vo Jahil Safeere Mahaz (Yaani Mahaz Pahuchane) Wala He.
Or Haqiqatan Wa'az Us Aalim Ka He Jis Ki Kitab Padhi Jaye.
*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-409)*

Lihaza isi Tarah Social Media Par Ulma e Kiram Ki Kitabe Ma'a Hawala Naql Kar ke Ya Aulma e Kiram Ke Bayanat w Naato Manqabat Logo Tak Pahuchana Jaiz He, Aulma E Kiram Ki Tasaanif Isi Liye Hoti He Ki Zyada Se Zyada Logo Tak Pahunche Or Awam Ki Islah Ho Sake Lihaza Ye Aam Hota He, Isme Unki Bagair Ijazat Ke Bhi Share Kar Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts