Paidal Haj Ko Jana Kesa ? Huzur Ne Aurat Ko Paidal Hai Se Mana'a Kiya Hadees Ki Tashreeh Or Tafsili Jawab..

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ye Mas'ala Abhi Shoro Se Chal Raha He.. Paidal Hajj Ke Ta'alluq se ki,

Paidal Haj Karne Ka Jo Bahare Shariyat Me Afzal Bataya Gaya He Vo Bhi Makka Se He.. Or Hadees Paak Jo Bahare Shariyat Me He Usme Bhi He Ki Jo Makka Se Paidal Haj Ko Gaya Uske Liye 700 Nakiya He.....

Lekin Kya Ye Hukm Ghar Se Ya India Wagairah Se Paidal Jane Wale Ke Liye Bhi He...

Kyuñ Ki Huzur  ﷺ Ne Is Tarah Paidal Haj Na Kiya Balki Aap Sawari Par Hi Gaye... 

Or Paidal Haj Karne Me Kai Din Nikal Jate He... Jisme Aadmi Apne Aapko Mashakkat Me Dalta He... Jab Ki Ek Ek Hadees Me He Allah Iske Paidal Chalne Se Bezar He...

Ye Ishq Ka Muamla He Ki Ham Us Azeem Sar Zameen Par Bataure Nadamat Paidal Jaye...

Or Ye Bhi He Ki Paidal Haj Imam Hasan Ne Takriban 25 Martaba Farmaya Or Kai Buzurgone Bhi Farmaya...

Ab Afzal Kya Hoga Hazrat Ki India Se Paidal Haj Ko Jaye Ya Sawari Wagairah Se..

Rahenumai Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Raddul Mohtar Al-Ma'roof Fatawa Shami Me Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahmato Ridwan Ne Kitabul Hajj Ke Safha 460 Me Un Tamam Aitrazat Ke Jawabat Mukhtasar Ibarat Me Darj Farma Diye..

اللباب ، لكن سيأتي آخر كتاب الحج أن من نذر حجاً ماشياً وجب عليه المشي في الأصح وعليه المتون، وعلله في الهداية وغيرها بأنه التزم القربة بصفة الكمال لقوله ﷺ "من حجَّ ماشياً كَتَبَ اللهُ له بِكُلِّ خُطْوَةٍ حَسَنَةٌ مِنْ حَسَنَاتِ الحَرَمِ، قيلَ : وما حسناتُ الحرم؟ قال : كُلُّ حسنةٍ بِسَبْعِمائَةِ، ولأنه أشق على البدن فكان أفضل، وتمامه في شرح الجامع الخاني . وقال في الفتح : إن قيل كره أبو حنيفة الحج ماشِياً فكيف يكون صفة كمال؟ قلنا : إنما كرهه اذا کان مظنة سوء الخلق، كأن يكون صائماً مع المشي أو لا يطيقه، وإلا فلا شك أن المشي أفضل في نفسه لأنه أقرب إلى التواضع والتذلل، ثم ذكر الحديث المار وغيره .

Mafhoom Or Uska Tarjama Ye He,
Paidal Haj Karna Afzal He, Ab Ye Kahiñ Se Bhi Ho Makkah Se Miqaat Se Ho Madina Se Ho Ya Dunya Ke Kisi Bhi Kone Se Ho.

Balki Allama Shami Alaihir Rahmato Ridwan Ye Bhi Bayan Farmaya Ki Kisi Ne Mannat Maani Chalte Huve Haj Karne Ki To Sahih Qaul Ke Mutabiq Us Par Wajib He Ki Vo Chal Kar Hajj Kare, Or Aysa Hi Mutoon Me Yaani Jo Fiqh Me Badi Moatebar Kitabe Maani Gai He Usme Bhi Waisa Hi Likha Hua He.

Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahma Ba'adahu Taherir Farmate Hai, 
Ki Uski Wajah Hidaya (jo Fiqh Ki Azeem Kitab He) Or Uske Alawa Dusri Kitaboñ Me Uski Wajah Ye Batai Gai Ki, Chalte Huve Ya Paidal Hajj Karna Isme Sifate Kamaal Ke Sath Ibadat Ko Lazim Karar Diya He.. Is Wajah Se Ye Afzal He.

Or Is Par Hamare Aulma E Kiram Ne Hadees Shareef Ko Naql Farmaya

من حجّ ماشياً كتب الله له بكلّ خطوة حسنة، من حسنة حسنات الحرم. قيل: وما حسنات الحرم؟ قال: كلّ حسنة بِسَبْعِمائةِ 
Allah Ke Rasool  ﷺ Irshad Farmate Hai, Ki Jisne Paidal Hajj Kiya To Allah Tabarak Wa Ta'ala Haram Shareef Ki Nekiyoñ Me Se Har Ek Neki Uske Qadam Ke Barabar Ata Farmayega.. To Sahaba E Kiram Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Haram Shareef Ki Neki Kitni He To Farmaya Har Ek Neki 700 Nekiyoñ Ke Barabar He. 

Yaani Mafhoom Or Khulasa Uska Ye He Ki Jo Paidal Haj Kare To Har Ek Qadam Ke Badle Me 700 Nekiyañ Ata Ki Jayegi.. Allama Shami Is Hadees Shareef Ki Jo 700 Nekiyañ Ata Karne Wali Baat He, Uski Ye Wajah Bayan Farmate Hai Ki Yahañ Par Qadam Par Thodi Si Mashaqqat Daal Kar Zahemat Daal Kar Vo Hajj Par Ja Raha He, Allah Ki Raah Me Ja Raha He To Ye Afzal He.. Zyada Fazilat Rakhta He..

Or Uski Tamam Tafsili Baate Sharhe Al-Jame'a Al-Khani Me Mazkoor He..

Or Fatah Me (ek Kitab Ka Naam) Usme Ek Aitraz Ka Jawab Diya He Ki Imame Aazam Abu Hanifa Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Paidal Haj Ko Jane Ko Makrooh Bataya To Fir Is Sifate Kamal Ke Sath Paidal Haj Ko Jana Or Usko Sahih Batana Kyuñ Kar Sahih Ho Sakta He ? 

To Hamare Aulma E Kiram Ne Uska Jawab Diya Fatah Me Or Is Ibarat Me Bhi He Ki Imame Aazam Abu Hanifa Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Paidal Haj Ko Jane Ko Us Waqt Makrooh Qarar Diya Napasand Kiya Jab Ki Uske Akhlaq Bure Ho Jane Ka Khatra Ho... 

Uski Misaal Yuñ Di Ki Vo Chalte Huve Roza Rakhega Or Vo Uski Taqat Na Rakhega, Zahir Si Baat He Ya To Vo Roza Rakhega Ya Chalega.. Ya Chalega To Fir Roza Nahiñ Rakhega... To Usme Kuchh Kami Hogi Is Wajah Se Imame Aazam Ne Usko Napasand Kiya...

Lekin Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahma Farmate Hai, Lekin Isme Koi Shaq Nahiñ Ki Chalte Huve Haj Karna Ye Afzal He Zyada Fazilat Rakhta He Kyuñ Ki Usme Zyada Tawaazo, Aajizi W Inkesari He... Uske Baad Sahibe Fatah Ne Is Hadees Shareef Ko Naqal Farmaya..

Algarz Is Mukhtasar Ibarat Me Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tamam Aitrazat Ke Jawabat De Kar Ye Bataya Ki Paidal Hajj Karna Makka Se Ho Miqaat Se Ho Miqaat Ke Bahar Se Ho Madina Se Ho Hindustan Se Ho Ya Dunya Ke Kisi Bhi Kone Se Ho Afzal He..

Or Jo Mumaneat Ki Hadees Bayan Ki Jati He Ki,
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Se Riwayat He, Ek Aurat Ne Nazr Maani K Vo Baitullah Tak (paidal) Chal Kar Jayegi. Nabi E Kareem ﷺ Se Is Silsile Me Sawal Kiya Gaya To Aap  ﷺ Ne Farmaya: Allah Ta'ala Iske Paidal Chalne Se Be Niyaz He, Ise Hukm Do Ke Vo Sawar Ho Kar Jaye. (Tirmizi, #1536 Sahih)

Is Hadees Sharif Ne Jo Mana'a Kiya Gaya He Vo Is Wajah Se Hi Vo Aurat Kamzor Thi Ya Ma'azoor Thi, Or
لَا يُكَلِّفُ ٱللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا 
Allah Tabarak W Ta'ala Uski Jaan Se  Zyada Bojh Nahi Dalta..

Is Wajah Se Rasoole Qainat ﷺ Ne Usko Mana'a Kiya.. Or Is Jahañ Tirmizi Shareef Me Ye Hadees He Aurat Ko Paidal Hajj Se Mana'a Farmaya Uske Niche Dusri Bhi Hadees He Jisme Ek Budhe Shakhs Ko Uske Dono Bete Apne Kandhoñ Par Paidal Hajj Ko Le Ja Raha The.. To Allah Ke Rasool ﷺ Ne Us Waqt Ye Irshad Farmaya Ki Uska Paidal Chalna Allah Ta'ala Usse Be Niyaz He To Vahañ Par Bhi Uske Kamzor Hone Ki Bina Par Usko Mana'a Kiya Gaya...

Jis Hadeese Nabwiya Me Paidal Hajj Ko Mana'a Kiya Gaya He, Usme Majboori Lachari Or Kamzori Ki Bina Par He, Na Ki Taqato Quwwat Ki Bina Par, Albatta Taqato Quwwat Ki Bina Par Agar Koi Paidal Hajj Ko Jana Chahta He To Jaa Sakta He, Or Ye Afzal He..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️27 July 2022, 27 Zilhijja 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Quran Khatm Ho Gaya Tarawih Khatm Ho Gai Me "Khatm" Lafz Ka Istemal Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalam Alaikum Hazrat Sawal Hai, Kuch Log 1 Quran Sharif Padhne Par Kahte Hain Ek Quran Khatam Ho Gayi, Ya Hmari Taraf Ki Taraveeh Khatam Ho Gayi, Kuch Yun Kahte Hain 2 Kalaam Pak Khtam Kr Chuka Hun, Hazrat Sawal Yahi Ki Lafze Khatam Istemal Kiya Ja Sakta Hai??? Ya Phir Hme Mukammal Kahna Chahiye

Khatun Ne Kaha Mere Marne Ke Baad Mera Sabhi Sona Bahu Ko De Dena kya Is Wasiyat Par Amal Kiya Jayega ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
As Salam Alaikum
Hazrat Ek Khatun Ne Kaha Ki Mera Jitna Bhi Gold Sona He Wo Mere Intekal Ke Baad Meri Bari Bahu Ko Sab De Dena Halañ Ki Us Khatun Ki Ek Beti Or Char Bahu He To Shariyat Ke Hisab Se Kiya Hukam He Hawale Ke Sath Jawab De Bara E Maherbani Hogi
Khatun Ka Intekal Ho Chuka He..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Us Khatun Ne Agar Hosho Hawaas Ki Durustagi Me Ye Kaha Ki Mere Inteqal Ke Baad Sara Sona Meri Badi Bahu Ko De Dena Agar Mustafti Apni Baat Me Sachcha He To Us Khatun Ka Apni Bahu Ke Liye Apne Sone Ki Wasiyat Sahih He Kyuñ Ki Bahu Apni Saas Ki Waris Nahiñ Hoti Albatta Sirf Tihaai Me Uski Wasiyat Nafiz Hogi Baaqi Sona Or Uske Alawa Jo Kuchh Vo Khatun Chhod Kar Faut Hui He Sab Uske Warsa Ke Darmiyan Unke Hissoñ Ke Aitbar Se Taqseem Hoga, Lekin Agar Warsa Jab Ki Aaqil Balig Hoñ Vo Agar Us Khatun Ki Maut Ke Baad Tihaai Se Zaaid Ki Wasiyat Ko Jaaiz Kar Deñ To Sahih He...

Bahare Shariyat Me He,
Wasiyat Sulus Maal Se Zyada Ki Jaaiz Nahiñ Magar Ye Ki Waris Agar Baalig Hai Or Nabaalig Ya Majnoon Nahiñ Or Vo Musi (Wasiyat Karne Wale) Ki Maut Ke Baad Sulus Maal Se Zaaid Ki Wasiyat Jaaiz Kar Deñ To Sahih He Musi Ki Zindagi Me Agar Warisoñ Ne Ijazat Di To Uska Aitbar Nahiñ Musi Ki Maut Ke Baad Ijazat Moatebar He..
*📚(Bahare Shariyat, J-3, H-19, S-938, Qadri Kitab Ghar)*
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Darul Uloom Ziya E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️4 July 2022, 4 Zilhijja 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kisi Ne Kaha "Me Namaz Nahi Padhuga" To Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Ne Namaz Ki Dawat Di Wife Ko Us Ne Mana Kr Diya Phadne Se (mtlb Saf Khe Diya Ke Me Nahi Phadne Wala ) Tu Kya Us Ne Kufr Kiya????

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Kisi Ne Kaha Me Namaz Nahiñ Parhuga To Usme 4 Soortoñ Ka Ehtemal He..

Ek Nahiñ Paruga Kyuñ Ki Me Padh Chuka Huñ.

Dusra Ye He Ki Me Tere Hukm Se Nahiñ Padhuga Kyuñ Ki Tujhse Bahetar W Afzal Ne Uska Hukm Kiya He..

Tisra Ye He Ki Nahiñ Padhuga Az Raah Fisq W Dileri Or Nidarpan Ke Ye Teenoñ Soortoñ Me Kufr Nahiñ..

Or Chotha Ye He Ki Nahiñ Padhuga Is Liye Ki Namaz Mujh Par Farz Nahiñ Or Mujhe Uske Ada Karne Ka Hukm Nahiñ  Diya Gaya He To Is Soorat Me Uski Takfeer Ki Jayegi..

Jaisa Ki Fatawa Aalamgiri Me He,
(وقول الرجل لا اصلی یحتمل اربعة اوجہ احدھا لا اصلی لانی صلیت والثانی لا اصلی بامرک فقد امرنی بھا من ھو خیر منک والثالث لا اصلی فسقا مجانة فھذہ الثلاة لیست بکفر والرابع لا اصلی اذ لیس یجب علی الصلوة ولم اومر بھا یکفر ولو  اطلق وقال لا اصلی لا یکفر لاحتمال ھذہ الوجوہ )
*📚(Fatawa Aalamgiri, J-2, S-268, Baab Ahkamul Murtadeen)*

Or Fatawa Razviya Me He,
Namaz Se Inkar Ye Bhi He Ki Vo Kahe Me Namaz Nahiñ Parhta Ya Nahiñ Padhuñga Is Qadar Se Kafir Na Hoga Jab Tak Namaz Ki Farziyat Se Inkar Ya Istekhfaaf Na Kareñ..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-14, S-523, Mas'ala-255)*

Lihaza Zaid Ke Kahne Par Biwi Ne Namaz Padhne Se Inkar Kiya Zahiran Agar Uski Farziyat Se Inkar Na Kiya To Ye Kufr Nahi... Balki Sakht Gunahgar Hui Taubah Kare... Is Tarah Ka Kalam Shar'an Durust Nahiñ.. Aaindah Is Tarah Ke Kalimat Kahne Se Parhez Kare...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓24 June 2022, 24 Qa'ad 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ladka Kitni Umr Ki Ladkiyoñ Ko Tution De Sakta He Ya Padha Sakta He ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ

Muhammad Sahil Qadari Razavi

Mahudha Gujarat


Dunyavi Padhai Ke Tuition Class Me Ladka (Male) Kitne Saal Tak Ki Bacchiyon (Females) Ko Padha Sakta He ???

Janwar Wagairah Ki Print Kiya Hua Kapda Istemal Karna Kesa ? Or Design Wali Jewellery Wagairah Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh

Koi Janwar Jaise Tota, Peacork Ke Jaisa Design Ke Print Ka Kapda, Jewellery, Ya Mehendi Design Ya Koi Cheez Istemal Karna Kaisa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tasweer Ke Ta'alluq Se Hamare Tamam Aulma E Kiram Ka Bahukme Hadees Ye Ittefaq He Ki Vo Haram He...

Hadees Shareef Me Pyare Aaqa  ﷺ Ne Irshad Farmaya,
أشد الناس عذاباً عند الله المصورون
Yaani Allah Tabarak W Ta'ala Ke Yahañ Sabse Zyada Azab Un Logoñ Par Hoga Jo Jandar Ki Tasweer Banate He..

Or Dusri Hadees Shareef Me He,
لا تدخل الملائكة بيتا فيه كلب ولا صورة 
Jis Ghar Me Kutta Ya Tasweer Ho Usme Rahemat Ke Farishte Nahiñ Aate..

Huzur Sadrushshariyah Badrut Tariqah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Fatawa Amjadiya Jild-4 Me Taherir Farmate Hai,
Tasweer Khinchna Ya Khichwana Ya Use Bawajhe Tazeem Rakhna Najaaizo Haram He. Or Jis Ghar Me Tasweer Hoti He Usme Rahemat Ke Malaika Nahiñ Aate.. Uska Makan Me Bataure Tazeem W Aejaz Rakhna Jaaiz Nahiñ...

Lihaza In Tamam Baato Se Ye Baat Sabit Hui Ki Jandar Ki Tasweeroñ Ka Rakhna, Unke Print Kiye Huve Kapde Pahenna, Ya Nafa'a Ki Niyyat Se Use Farokht Karna Apne Ghar Me Rakhna Ye Sab Haramo Gunah He.. Ayse Shakhs Ko Chahiye Ki Vo Taubah Kare Or Haram Kaamo Se Baaz Aaye.. 

Rahi Baat Jewellery Or Design Print Ki Jisme Jaan Nahiñ Hoti To Usme Ijazat He Ki Vo Ayse Kapdo Ka estemal kare  ha Mardoñ Ke Liye Zyada Bhadkile Kapde Na Ho aur aise kapde k jo aurto se mushabahat rakhte hai.To Jaaiz He..

Saiyedna Ibne Abbas Radiallahu Anhu Farmate Hai,
فإن کنت لا بد فاعلاً فاصنع الشجر وما لا روح فیہ․
 (مشکاة شریف، ص: ۳۸۵، ۳۸۶، بحوالہ: صحیحین)
Yaani Darakht Wagairah Ki Tasweer Ke Jisme Jaan Nahiñ He Vo Jaaiz He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 Jan 2022, 22 Zil Qa'ad 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Safar Me Kasar Ki Jagah Puri Namaz Padhna ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum..
Hazrat, Safar Me Ager Free Waqt Hai To Masjid Me Jamat Ke Sath NAMAZ Padh Sakte Hai?

 Ya Safar Ki Kasar Hi Padhne Honge?

Islam Me Halala Ki Haqiqat ?? Halala Karne Or Karwane Wale Par Lanat Ka Kya maana He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ek Shakhs Ne Kuchh Ahadis Ka Zikr Karte Huve Kaha Ki Halala Ka Nikah Kisi Bhi Soorat Me Jaaiz Nahi Or Kisi Bhi Sahabi Ne Nahi Kiya... Iski Kya Haqiqat He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Kisi Zaroorat Ke Tahat Talaq Deni Pad Jaye To Aurat Ko Shariyat Ke Mutabiq Ek Ya Do Talaq De Kar Chhod De, Ye Ahsan Tariqa He.. Do Talaqoñ Ke Baad Bahetar Soorat Ye He Ki Mazeed Talaq Na Di Jaye.. Taaki Agar Kisi Waqt Ye Dono Mard W Aurat Dubara Ikaththa Hona Chahe To Sirf Nikah Ke Zariye Aysa Mumkin Ho Sake...

Daure Jahiliyat Me Ek Shakhs Apni Biwi Ko Talaq De Kar Iddat Khatm Hone Se Pahle Ruju'a Karleta Tha.. Agar Vo Ek Hazaar Talaq Bhi Deta To Uske Liye Ruju'a Ka Haq Sabit Tha... Chunanche Ek Aurat Ne Ummul Muamineen Hazrate Aaisha Siddiqa Radiallahu Anha Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Shikayat Ki Ke Uska Khawind Use Talaq Deta He Fir Ruju'a Kar Leta He, Is Tarah Vo Taklif Pahunchata He.. Ummul Muamineen Ne Ye Baat Sarkare Do Aalam  ﷺ Se Arz Ki To Allah Ta'ala Ne Ye Aayat Nazil Farmai  Ki "Talaq Do Baar Tak He"
*📚(Fakhruddin Raazi Tafsire Kabeer, J-6, S-102)*

Goya Islam Ne Dore Jahiliyat Me Aurat Par Dhhaye Jane Wale Us Zulm Ka Khatma Karke Ruju'a Ko 2 Talaqoñ Tak Mahdood Kar Diya.. Agar Do Talaqeñ Raj'ee Di Ho To Iddat Ke Andar Andar Ruju'a Kar Sakta He. Or Jab Talaqoñ Ki Ta'adad 3 Tak Pahunch Jaye Chahe Talaqeñ Ikaththi Di Ho Ya Alag Alag Karke 3 Ki Ta'adad Mukammal Ki Ho To Ab Ruju'a Nahi Ho Sakta... Ab In Donoñ Ka Ikaththa Hona Isi Soorat Me Jaaiz Hoga Jab Aurat Ka Dusri Jagah Nikah Ho Jaye Or Vo Shakhs Use Mubasharat Ke Baad Talaq Dede.. 

Qura'ane Paak Me Allah Ta'ala Farmata He,
إِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ

*Tarjamah-* Phir Agar Tisri Talaq Use Dee To Ab Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shohar Ke Pas Na Rahe, Phir Wo Dusra Agar Use TALAQ De De To In Dono Par Gunah Nahi Ki Apas Me Mil Jayen (Ab Pehla Wala Usse Nikah Kar Sakta Hai) Agar Guman Ho Ki Allah Ki Hadon Ko Qa'im Rakhenge, Ye Allah Ki Hade'n Hai Jo Wo Bayan Farmata Hai Samajhdaron Ke Liye.
*📚(SURA E BAQRAH, AAYAT-230)*

Qura'ane Paak Ki Is Aayat Me Jo Amal Bataya Gaya He Use 'Halala' Kaha Jata He...

Hadeese Paak Me He,
Ummul Muamineen Hazrate Aaisha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marwi He, Hazrat Rafa'aa Qarzi Ne Ek Khatun Se Nikah Kiya Phir Use Talaq Dedi,  Ab Us Khatun Ne Dusre Shakhs Se Nikah Kiya.. Phir Us Khatun Ne Bargahe Nabvi Me Hazir Ho Kar Shikayat Ki Ke Vo (Dusra Khawind) Huqooqe Zaujiyat Ada Nahiñ Kar Sakte, Unke Paas Kapde Ke Phande Ki Tarah He, Aap  ﷺ Ne Farmaya,
Tum Us Waqt Tak Pahle Khawind Se Nikah Nahi Kar Sakti Jab Tak Tum Us Khawind Ka Zaaiqa Or Vo Tumhara Zaaiqa Na Chakh Le.
*📚(صحیح البخاری باب اذاطلاقہاثلاثاثم تزوجت بعدالعدۃ ٢/٨٠١)*
Goya Qura'an W Sunnat Ki Roshni Me Halala Usi Soorat Me Hoga Jab Dusra Khawind Huqooqe Zaujiyat Ada Kare.

Ab Ye Janna Zaroori He Ki Halala Ki Hikmat Kya He....

Halala Me Shohare Saani Ke Hambistar Hone Ki Shart Or Mahaz Aqde Nikah Ko Na Kaafi Qarar Dene Ki Hikmat W Maqsad Logoñ Ko Talaq Dene Me Jald Baazi Se Rokna He, Or Ye Cheez Hambistari Ki Shart Se Zyada Hasil Hoti He, Is Liye Ki Koi Dusra Shakhs Uski Biwi Ke Sath Hambistar Ho Umooman Logoñ Ki Gairat Iski Ijazat Nahiñ Deti... Iske Barkhilaf Aqde Nikah Se Ye Cheez Hasil Nahi Hoti, Ki Dusre Shakhs Se Nikah Karna Logoñ Ke Liye Zyada Nafrat W Gairat Ka Baais Nahiñ Hota, Is Hikmat Ke Peshe Nazar Halala Me Dusre Shohar Ke Sath Hambistari Ki Shart Lagai Gai, Taaki Log Talaqe Mugallaza Dene Me Jald Baazi Se Kaam Na Leñ.
Isi Tarah *📚(Tafsire Roohul Bayan, J-1, S-359)* Me He
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-597)*

Halaala Ki 3 Soorteñ He, *(Kitab 📚Tahqiqe Halala Se Makhuz)*

Pahli Soorat:
Jis Aurat Ko 3 Talaqeñ Di Gai Vo Iddat Guzarne Ke Baad Dusri Jagah Nikah Kare. Phir Khawind Huqooqe Zaujiyat Ada Karne Ke Baad Jab Chahe Apni Marzi Se Talaq De. Ab Iddat Guzarne Ke Baad Us Aurat Ka Pahle Khawind Se Nikah Ho Jaye.. Goya Yayañ Halala Kiya Nahiñ Jata Ho Jata He..

Halale Ki Is Soorat Ka Qura'ane Paak Me Zikr He, Is Par Tamam A'imma Ka Ittefaq He Ki Ye Soorat Bila Karahat Jaaiz He....

Ye Soorat Chuñ Ki Aqlan Naqlan Sahih He Or Qura'an W Hadees Se Sabit Bhi He Lihaza Use Najaaiz Ya Behayai Ka Baais Qarar Dena Na Sirf Jahalat He Balki Khullam Khula Qura'an Ki Mukhalifat He..

Dusri Soorat:
Jab Khawind Ne Talaq Dedi Or Aurat Ki Iddat Bhi Guzar Gai Ab Koi Shakhs Apni Marzi Se Usse Nikah Karta He Or Nikah Ke Waqt Halala Ki Shart Bhi Nahiñ Rakhi Gai Yaani Yuñ Nahiñ Kaha Gaya Ki Tum Huqooqe Zaujiyat Ada Karne Ke Baad Use Talaq De Dena Ki Pahle Khawind Se Uska Nikah Kiya Jaye.. 

Albatta Dusre Aadmi Ne Dil Me Ye Niyyat Ki Ke Chuñki In Donoñ Ke Bahami Ta'alluqat Achhe The, Unke Chhote Chhote Bachhe Hai, Lihaza Agar Me Is Aurat Se Nikah Karluñ Or Fir Use Talaq Deduñ Taaki Pahla Khawind Usse Nikah Karle Or Yuñ vo Ujda Hua Ghar Dubara Aabad Ho Jaye To Is Soorat Me Maliki W Hambali Fiqh Ke Mutabik Nikah Fasid W Batil Hota He. 
Or Shafai Or Fiqhe Hanfi Ke Mutabik Ye Nikah Sahih Qarar Diya Jata He Agar Kuchh Sharait Ka Khayal Rakha Jaye..

Khulasa Ye Ki Jab Halal Mamnuaat Se Mahfooz Ho Or Uska Maqsad Pahle Khawind Or Uski Mutlaqa Biwi Ke Daemiyan Sulah Karana Ho To Ye Jaaiz He Or Ayse Shakhs Ko Us Aadmi Ki Tarah Ajr Milega Jo Miya Biwi Me Sulah Karata He.

Tisri Soorat:
Jab Us Mutalaqa Se Nikah Kiya Jaye To Ye Shart Rakhi Jaye Ki Dusra Khawind Jima'a Ke Baad Use Talaq Dega Taaki Vo Pahle Khawind Se Nikah Kar Sake. Ye Tariqa Ikhtiyar Karna Tamam A'imma E Kiram Ke Nazdik Haram He...
Isi Tarah Dusra Shakhs Halala Karne Wala Mash'hoor Ho, Ya Is Par Ujrat Muqarrar Karta Ho To Ye Sab Haram He...

Or Isi Ke Ta'alluq Se Hadeese Paak Me He,
RasoolAllah ﷺ Ne Halala Karne Wale Or Jiske Liye Halala Kiya Gaya Donoñ Par La'anat Farmai.. 

Is Tarah Ki Kai Ahadise Paak He... Lekin Ahadis Shart Ke Sath Halala Karne Ke Ta'alluq Se He...

Lihaza Shart Ke Sath Nikah Karna Haram He Or Jo Log Isme Sharik Hai Vo Sab Laanat Ke Mustahik Hai Musalamanoñ Ko Isse Bachna Chahiye..

Albatta Fiqhe Hanfi Ke Nazdik Nikah Is Soorat Me Bhi Ho Jayega, Magar Makrooh Hoga.. Is Tariqa Se Bhi Vo Pahle Shohar Ke Liye Halal Ho Jayegi...

Ab Hadeese Paak Me Jo Zikr He Ki Halala Karne Wale Or Karwane Wale Par Laanat... Is Hadees Ka Muhaddisine Kiram Ne Yahi Mafhoom Bayan Kiya Ki Is Shart Par Nikah Karna Haram He, Or Hazrat Imame Aazam Abu Hanifa Or Aapke Pairokaar Bhi Yahi Nazariya Rakhte Hai Ki Halala Ki Shart Par Nikah Karne Wale Lanat Ke Mustahiq Or Gunahgar Hai Lekin Iske Bawajood Nikah Sahih Ho Jayega.. 

Lihaza Zaid Ka Ye Kahna Ki Halala Ka Nikah Kisi Bhi Soorat Me Jaaiz Nahi Sarasar Galat Or Qura'an Hadees W A'imma E Kiram Ke Khilaf He.. 
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓30 May 2022, 28 Shawwal 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chanda Ki Raqam Me Not Tabdil Karna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Kisi Ke Paas Madarsa Ke Chanda Ke Paise Hai, Or Kisi Ne Kaha Ki Aap Mujh Se 500 Ka Ek Not Lo Or Mujhe 100-100 Ke Note Do. To Kha Chanda Ki Raqam Me Se De Sakte Hai ?

Nikah Me Wakalat Ka Tariqa Or Wakil Kon Ban sakta He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Nikah Me Wakalat Hoti He Vo Bata Dijye Kya Kya Karna Hota He 

Ladki Se Ijazat Kis Tarah Li Jaye Pura Tareeqa Bata Dijye..


Or He Bhi Ki Jo Masjid Ke Imam Sahab Hai Kya Vo Khud Hi Wakil Ban Sakge Hai Ya Ladke Waloñ Ki Taraf Se Gawah Wakil Donoñ Ban Sakte Hai.. Jawab Inayat Farmayeñ JazakAllah Khairan Kaseera..

Badmazhab Ki Masjid Masjid Nahi, Badmazhab Ki Masjid Me Namaz Padhna Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*

Wahabi Deobandi Wagairah Badmazhab Ki Masjid Masjid He Ya Nahiñ ??

Kafir Ka Maal Chori Karne Par Taubah Kese Hogi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu

اَلسَّلاَمْ عَلَيْــــــــــــــــــــكُمْ وَ رَحْمَةُ اللہِ وَبَرَكَاتُهُ


Ek Shaks Hai Jo  Kisi Gair Muslim Ke Yahan Chori Ki Tih Par Ab Usko Gunah Se Sachchi Tauba Karni Hai Ab Woh Tauba Karliya Kya Uski Tauba Khubool Hogi 

Ya Woh Shaks Se Jaakar Maafi Mange Ke Main Aisa Chori Kya Aap Maaf Kardo Kehkar ?

Shaheri Ke Baad Kulli Kar Lene Ke Baad Muh Me Miswak Ka Ark Aaye To Roze Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ulema Ikraam Wa Hazraat E Muhtaram O Rizwan Ki Bargah Me Salaam Tarz E Adab Pesh Hai


ASSALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAAHI WA BARAKAATUHU


Hazrat Roze Ke Ta'alluq Se Sawal Hai 


 Agar Roze Se Qabl Yaa Haalat E Sawm Me Agar Miswak Kiya Jaaye To Kuch Ark Us Miswak Ka Muh Saaf Kar Lene K Baad B Jo Reh Jaata Hai Agar Wo Ark Halk Se Neeche Utar Jaaye To Kya Roza Toot Jaata Hai?

Baraaye Karam Jawaab Inaayat Farmaayein

 Is Sawaal Me Ek Izaafa Hai Ki Ye Surat Pesh Tab Aayi Thi Jab Seheri Me Miswaak K Baad Muh Me Paani Daal Kar Dhone Se Paani Pee Kar Baith Kar 5 Minutes Ho Gaye The

Quran Shareef Se Tarawih Padhne Wala Bich Me Alam Tara Se Padhle To Kya Hukm He..

 *🌹SAWAL:-🌹*

Koi Shakhs 27 Din Vali Taravi Padh Raha Hain Kisi State Me Or Agar 15 Din Baad Kisi Or State Chla Jaye Vaha Ki 27 Din Vali Taravih Padh Le To Aisi Surat Me Kya Hukm Hain Or Beech Me Ek Do Din Chhut Jae To Bhi?

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts